Friday 29 April 2016

TARHI MISRA: Zainab ne deene haq ka moqaddar jaga diya

TARHI MISRA: Zainab ne deene haq ka moqaddar jga diya

Misra By: Janab Altaf Haidari Maroofi Sahab

Tarikh: April 2016

1
Janab Anees Sahab.

Bujhti shamae deen ko kisne jala diya,
Aabid ko kisne shaam talak housla diya....

Kiski rida ke saaye me deen e nabi raha,
Kisne wajud e zulm ko qaidi bana diya...

Paigaam e inqelaab me kiski sada rahi,
Kisne dayaar e shaam me khutba suna diya..

Kiski ziya se shaam e garibaaN chamak uthi,
Kisne Andheri raat ko roushan bana diya,

Daamaan e bayaabaan ko aabaad kar diya,
Kisne aza ka farsh zameeN par bicha diya...

Kisne ragoN me aag bhari inteqaam ki,
Soye huwe zameer ko kisne jaga diya...

Ye kon hai parwarda e aagosh e balaghat,
KhutboN se jisne zulm ko had se gira diya...

Kisne ana ka paath padhaya jahaan ko,
Kisne khilaaf e zulm bhi ladna sikha diya....

Aala fazilatoN se nawaza gaya kise,
Rutbe me kisko rabne Azeema bana diya....

Kisne wajud e zulm ke shaane kalam kiye,
Kiski bahen ne auj e shuja'at dikha diya...

Hai mukhtasar yahi mera paigaam Abr sun,
Zainab ne deen e haq ka muqaddar jaga diya...




2
Janab Ahmad abbas lorpuri sahab.

Qaidi thi khud yzeed ko qaidi bna diya
Binte ali ke khutbe ne sbko hila diya

Baiyyat khdi na ho saki fir apne pao pr
Asghar ne usko aysa  apahij bna diya

Bade husain khwahare shabbeer ka hunar
Zalim k ghar m farsh aza ka bicha diya

Apne lahu se deen ko seecha h is qadar
Zainab ne deene haq ka moqaddar jga diya






3
Janab Zeeshan Azmi sahab.

🌹1. Islaam ko zamane ne kya kya bana diya.
Afsos ke nabi ko ajab sa sila diya.

🌹2. Chakkar me waah waah ke mufsid khateeb ne.
Becharey saamaeen ko kya kya suna diya.

🌹3. Phans kar yaha zamane ke rasmo rawaj me.
Har ek ne ghar ke taaq pe quraa'n saja diya.

🌹4. Matlab parast logo ne kuch apne zikr se.
Insaaniyat ki aql ko kese pha'nsa diya.

🌹5. Kashti hamari qaum ki manzil pe thi magar.
Firqa parast logo ne aa kar dubaa diya.

🌹6. Afsoos jis ko khauf e ilahi nahi hy kuch.
Masjid ka us laee'n ko mohafiz bana diya.

🌹7. Kiyo aaj ittehad nahi anjuman me hy.
jo ahal Mabsabo'n ka tha us ko hataa diya.

🌹8. Ta'leem kuch nahi hy ke qur'aan padh saku'n.
Hala'nke maulavi ne sabaq sab padha diya.

🌹9. Karta hoo madha saniye zahra ki ab shuro.
Jo mere dil me baat thi mene suna diya.

🌹10. Binte Ali ne bachcho ko yu hausala diya.
Jitni talab thi pyas ki us ko mita diya.

🌹11. Binte Ali(s.a) ne aisa, wo khutba suna diya.
Lahja Ali ka saare jahaa'n ko bata diya.

🌹12. Jis ke liye yazid lada tha hussain se.
Abbas ki bahan ne, wo takhta hila diya.

🌹14. Jo apni saltanat ko samajhta raha eram
Zainab ne wo hi shaam ka his'sa jala diya.

🌹15. Ban kar hussain, sham e gariba ke baad me.
Zainab ne  deene haq ka moqaddar jaga diya.

🌹16. Zainab ne tashnagi pe kiya aisa sabr ke
Saare jaha se zulmo sitam ko mita diya.

🌹17. Zainab ne apni chadar e tatheer ke sabab.
Taarikh e karbala ka jahaa'n ko pata diya.

🌹18. Hyder ki laadli ne khitabat ki dhar se.
Jhoothi yazidi shan ko poora baha diya.

🌹19. Dam tod kar sakina ne zindaan e sham me.
Farshe aza yazid ke ghar me bicha diya.

🌹20. Ghar laut ne se pahle wo qasr e yazid par.
Bint e Ali ne deen ka parcham laga diya.

🌹21. Allah ne hussain ki midhat ke wasate.
Zeeshan ko hussain ka shayer bana diya.






4
Maulana Ghafir Rizvi Sahab

Zainab ne dars e sabr o rezayat padha diya.
soya hua zameer e musalma'n jaga diya.
🌹
Khashkoul e faqr dast e sitam me thama diya.
us ka qabeeh chehra jaha'n ko dikha diya.
🌹
Mehmez kar ke asp e tafak'kur ko mad'h me.
Qirtaas ne qalam ko bhi sajda kara diya.
🌹
Khutba tha ya ke matla e toofan e sabr tha.
bunyad e zulm o jour ko yeksar hila diya.
🌹
Apni sada ko lehja e Haider me dhaal kar.
niswaniyat ke mulk ko dars e haya diya.
🌹
Zainab ne dasht e ranj se bazar e Shaam tak.
Ibn e Ali ke naam ka sik'ka chala diya.
🌹
Zanjeer e zulm o jour ne zakhmo'n ki shakl me.
Abid ka jism e naaz gulo'n se saja diya.
🌹
GHAFIR! Uda ke nee'nde'n sitamgar ki aa'nkh se.
Zainab ne deen e haq ka muqad'dar jaga diya.

🌹
زینب نے درسِ صبر و رضایت پڑھا دیا
سویا ہوا ضمیرِ مسلماں جگا دیا
🌹
کشکولِ فقر دستِ ستم میں تھما دیا
اس کا قبیح چہرہ جہاں کو دکھا دیا
🌹
مہمیز کر کے اسپِ تفکر کو مدح میں
قرطاس نے قلم کو بھی سجدہ کرا دیا
🌹
خطبہ تھا یا کہ مطلعِ طوفانِ صبر تھا
بنیادِ ظلم و جور کو یکسر ہلا دیا
🌹
اپنی صدا کو لہجۂ حیدر میں ڈھال کر
نسوانیت کے ملک کو درسِ حیا دیا
🌹
زینب نے دشتِ رنج سے بازارِ شام تک
ابنِ علی کے نام کا سکّہ چلا دیا
🌹
زنجیرِ ظلم و جور نے زخموں کی شکل میں
عابد کا جسمِ ناز گلوں سے سجا دیا
🌹
غافر! اڑا کے نیندیں ستمگر کی آنکھ سے
زینب نے دینِ حق کا مقدّر جگا دیا
🌹







5
Janab Najaf Masoom Marufi Sahab.

Shabbir ki aza ka hame'n silsila diya
Zainab ne humko khuld se bilkul mila diya

Zainab ne chal ke naqshe qadam pe husain ke
Har dushmane husain ka chhakka chura diya

Shabbir ki bahan ka ye ajaz dekhiye
Gu'nge ko bhi zaban chalana
Sikha diya

Jis ghar se bhi nikalti hai badboye bughze shaah
Zainab ne us makan me tala laga diya

Zahra ne deke fizza ko ilme kalaame rab
Ek koyela tarash ke heera bana diya

Kis muh se takhte shaam pe baithe ga ai yazeed
Zainab ne tujhko shaam ka qaidi bana diya

Farshe aza bichhake yazeedi makan me
Zainab ne deene haq ka moqaddar jaga diya

Kursi nasheen uth gaye kursi ko chhod ke
Jis dam ali ki beti ne khutba suna diya

Soye ga kaise chain se ab qatile Husain
Zainab ne unki aankho'n me ka'nta chubha diya

Qurban karke deene mohammad pe har khushi
Zainab ne apne bhai ka wada nibha diya

Jab jab uthaya hamne alamdar ka alam
Abbas ki bahab ne NAJAF hausala diya






5
Janab Altaf Haidari Marufi Sahab.

Thi shahrag e shareeyat e Ahmad lohulohaan

Wo to kaho sagheer ne apna gala diya
🌺
Daa'ish ki aandhiya'n to bahot door ki hain bat

Toofan bhi bujha na sake deen ka diya









6
Janab Nazaa Jafri sahab.
zainab (sa) ne deene huq ka muqaddar jaga diya _

darbar me sitam ke  tehelka macha diya _
bilkul Ali (as) ke lehje me khutba suna diya

sabro raza ke sath rasan basta ho ke bhi
binte Ali (as) ne zulm ko pani bhara diya

koofe me is ne dawate fikro amal ke sath
Haidar (as) ke dushmano ko bhi darse wafa diya

sar kat gaya to huq ki khitabad ke waste
Neze ko bhi husain (as) ne mimbar bana diya

toofane zulm o jor me zinda dili ke sath
de kar zaban gungo.n ko kalma padha diya

bolee.n ye fatema (sa) meri zainab (sa) ke madha khwa.n
ja gulshane jina me tera ghar bana diya

sab kuch luta ke apne muqaddar ko war ke
zainab (sa) ne deene huq ka muqaddar jaga diya









7
Maulana Raza Maroofi Sahab.

1. Fikr e rasa me madh ka aisa jala diya

Jis ki zeya ne dil ko munawwar bana diya1.

Midhat  ki wadiyu'n me qadam jab badha diya

Tab Aayato'n ne badh ke mujhe haosala diya

Kar ke bayan maqsad e shabbeer har jagah

Zainab ne apni fath ka parcham laga diya

Bunyad e zulm hil gai bint e botool ne

Lahje me nurtaza ka jo khutba suna diya

Illa jamila kah ke ba rue bin e zeyad

Taohid aur shirk ka matlab bata diya

Us ko shabih e mursal e Aazam kaha gaya

Parwan jis ko Aap ne zainab chadha diya

Wo phir na uth saka kabhi.dono'n jahan me

Apni nazar se Aap.ne jis ko gira diya

Marqad me dafn hote hi abbas Aa gaye

Rab ne ye teri madh ka mujh ko sela diya

Bachcho'n ko apne bhej ke maidan e jang me

Tu ne baraye shukr mosalla bicha diya

Hamrah leke Aabid e muztar ko shah ke bad

Zainab ne deen e haq ka moqaddar jaga diya

Us eik pal pe sara zamana nesar hai

Tu ne imam e waqt ko jab mashwara diya

Darbar me yazid ke lafzo'n ki Aag se

Baiat ka tu ne sara elaqa jala diya

Zidan ki zameen pe padh kar namaz e shab

Ta'at ka kul jaha'n ko saliqa sikha diya

Khutbat padh ke Aap.ke dil ne ye di sada

Ilm o adab ka Aap ne darya baha diya

Afkar chu na paye'n ge jis ke hodud ko

Rab ne tumhe'n zamane me wo martaba diya

Bad e shahdat e shah e mazloom dahr me

Jo so rahe the Aap ne un ko jaga diya

Is be nawa raza pe hai ehsan Aap ka

Qatra tha is ko Aap ne darya bana diya

فکر رسا میں مدح کا ایسا جلا دیا

جس کی ضیا نے دل کو منور بنادیا

مدحت کی وادیوں میں قدم جب بڑھا دیا

تب آیتوں نے بڑھ کے مجھے حوصلہ دیا

کرکے بیان مقصد شبیر ہر جگہ

زینب نے اپنی فتح کا پرچم لگادیا

بنیاد ظلم ہل گئی بنت بتول نے

لہجے میں مرتضیٰ کے جو خطبہ سنادیا

الا جمیلا کہہ کے بروئے بن زیاد

توحید اور شرک کا مطلب بتا دیا

اس کو شبیہ مرسل اعظم کہا گیا

پروان جس کو آپ نے زینب چڑھا دیا

وہ پھر نہ اٹھ سکا کبھی دونوں جہان میں

اپنی نظر سے آپ نے جس کو گرادیا

مرقد میں دفن ہوتے ہی عباس آگئے

رب نے یہ تیری مدح کا مجھ کو صلہ دی

بچوں.کو اپنے بھیج کے میدان جنگ میں

تو نے برائے شکر مصلّی بچھا دیا

ہمراہ لے کے عابد مضطر کو شہ کے بعد

زینب نے دین حق کا مقدر جگا دیا

اس ایک پل پہ سارا زمانہ نثار ہے

تو نے امام وقت کو جب مشورہ دیا

دربار میں یزید کے لفظوں کی آگ سے

بیعت کا تو نے سارا علاقہ جلا دیا

زندان کی زمین پہ پڑھ کر نماز شب

طاعت کا کل جہاں کو سلیقہ سکھا دیا

خطبات پڑھ کے آپ کے دل نے یہ دی صدا

علم و ادب کا آپ نے دریا بہا دیا

افکار چھو نہ پائیں گے جس کے حدود کو

رب نے تمہیں زمانے میں وہ مرتبہ دیا

بعدِ شہادتِ شہِ مظلوم دہر میں

جو سو رہے تھے آپ نے ان کو جلا دیا

اس بے نوا رضا پہ یہ احسان ہے کردیا

قطرہ تھا اس کو آپ نے دریا بنا دیا











8
Sadiqali Bijani Navshad.

Rab ko ali ke naam ka jab vaasta diya.
Moosa ko aabe neel ne tab raasta diya.

Zulmo sitam ke qasr ko khutbo se dha diya.
Zainab ne deene haqq ka muqaddar jaga diya.

Halkoome zulm kaat ke shamsheere sabr se.
Zaynab ne fat'he deen ka danka baja diya.

Sheeshe ki misl tod ke har kohe zulm ko.
Shirk o nifaaq o kufr ko jad se mita diya.

Khutbo'n se apne binte ali ne yazeed ko.
Farqe husain o aale umayya bata diya.

Waada nibhaaya karke alam deen ka baland.
ghazi ne aisa dehr me darse wafa diya.

Shaytaan muj pe haavi na ho paaya jab talak.
Dil me ali ke ishq ka raushan raha diya.

Har marz ki dava hai yeh kehkar tabeeb ne.
Haatho me mere zarra e khaake shifa diya.

Jannat ka jis kisi ne bhi poochta hai rasta
Navshad ne hai naqsha e karbobala diya.










9
Janab Eram Rizvi Sahab.

Zainab ko charkh e peer ne kiya kiya dikha diya
Gham ka pahaad aal e  muhammad pe dha diya..

Beton  ko  dono kar diya islam pe fida
Zainab ne deen e haq ka muqaddar jaga diya..

Ayin watan jo laut ke zindan e shaam se
Bibi ke shoor o shain ne yasrib hila diya..

Royin  lipat ke qabr e Risalat Maab se
Nana ko dil ka haal tha jo kuch suna diya..

Qabr e Nabi pe Zainab e Kubra ke bain the
Ummat ne ham ko loot ke bekas bana diya..

Phir bhi bacha na payi mai tere Husain ko
Jo kuch bhi mere paas tha nana luta diya..

Nana Sakina mar gayi zindan e shaam me
Furqat ne jiski meri kamar ko jhuka diya..

Qasim shaheed ho gaye Akbar nahi rahe
Dono ne zoor e fatah e Khaibar dikha diya..

Piyasa shaheed ho gaya Asghar Rabab ka
Lekin sipah e shaam ko pani pila diya..

Ahl e haram ki cheen lin aada ne chadaren
Asbaab loot le gaye khaima jala diya..

Abbas mashk bhar ke jo palte furat se
Zalim ne teer maar ke paani baha diya..

Piyasa shaheed kr diya Sibt e Rasool ko
Allah ke sutoon e hidayat ko dha diya..

Piyase gale pe tegh chalayi Husain ke
Hai hai charaagh e qabr e Payambar bujha diya..

Nana tumhari god ke paale ne khoon se
Karb o bla ko qibla e Kaaba bana diya..








10
Janab Masoom Haidari Maroofi sahab.

Abbaas ko jo sheh ne na izne wegha diya

Samjho ki kaynaate khuda ko bacha diya
🌺
Apna gala kata ke bhi marte nahi shaheed

Quraan padhke sheh ne sena par bata diya
🌺
Kar kar ke sajde karbobal se damishq tak
Aabid ne gaam gaam pe kaaba bana diya.

Wassalaam,
-Anees Abr

No comments:

Post a Comment