Monday 9 April 2018

Tarhi Misra: Sagheer aaya hai ab zalimoN ki khair nahi

[02/04/2018] 

*بزم شعراء*

🌹 *BAZM-E-SHOARA* 🌹
  
     SalamunAlaikum.

*MISRA BARA E KALAAM*  

              👇👇👇👇

*Sagheer aaya hai ab zalimoN ki khair nahi*

*Qafiya........zalimo'n*
*Radeef.......ki khair nahi*

Misra by👉🏻
*Janab Altaf Haidari Maroofi sahab*

Pesh karda MISRE par kalaam qata shoara hazraat ke peshe khidmat hai.


1. Janab Shaker Sayyadi Sb: KALAAM E SAYYADI.   
                                        04.04.2018

MISRA DIYA GAYA THA,

SAGEER AAYA HAI AB ZAALIMON KI KHAIR NAHI

🌹🌹🌹🌹🌹

FASAAD KARTE HAI JO BHI NABI KE MIMBER SE,,,,,,
BA ROZE HASHRE AB UN AALIMON KI KHAIR NAHI,,,,,,
JARI KE ROOH SE AKBER KI ROOH KAHTI HAI,,,,,,,
SAGEER AAYA HAI AB ZAALIMON KI KHAIR NAHI,,,,,,

🌹🌹🌹🌹🌹

SHAKER SAYYADI



2. Janab Kaifi Kalkatwi Sb: 🌹 *BISMILLAH* 🌹

Zameen e karbobala dushmano'n ki khair nahi
Jo hai'n yazid ke un hamiyo'n ki khair nahi
*زمینِ کرب و بلا دشمنوں کی خیر نہی*
*جو ہیں یزید کے ان حامیوں کی خیر نہی*

Diye the qatl ke fatwe jinho'n ne sarwar ke
Sitamgaro'n mei'n unhi jahilo'n ki khair nahi
*دیئے تھے قتل کے فتوے جنہونے سرور کے*
*ستمگروں میں انہی جاہلوں کی خیر نہی*

Woh pal mei'n jung ka naqsha palat ke rakh dega
Sagheer aaya hai ab zalimo'n ki khair nahi
*وہ پل میں جنگ کانقشہ پلٹ کے رکھ دے گا*
*صغیر آیا ہے اب ظالموں کی خیر نہی*

Woh 6 mahine ka bachcha hai dast e sarwar par
Jo keh raha hai ke ab baligho'n ki khair nahi
*وہ چھ مہینے کا بچّہ ہے دستِ سرور پر*
*جو کہہ رہا ہے کے اب بالغوں کی خیر نہی*

Hua hai waar tabassum ka hurmala tujh par
Jo darmiya'n mei'n hai'n un faslo'n ki khair nahi
*ہوا ہے وار تبسّم کا حرملا تجھ پر*
*جو درمیاں میں ہیں ان فاصلوں کی خیر نہی*

Chala hai shaan se neze pe misl baba ke
Sada e ghaib uthi raasto'n ki khair nahi
*چلا ہے شان سے نیزے پے مسل بابا کے*
*صدائے غیب اٹھی راستوں کی کی خیر نہی*

Ali hai naam ye mushkil kusha ka pota hai
Pukaro dil se to phir mushkilo'n ki khair nahi
*علی ہے نام یہ مشکل کشاء کا پوتا ہے*
*پکارو دل سے تو پھر مشکلوں کی خیر نہی*

Utha qalam tu aye kaifi le naam asghar ka
Radeef aesi hai ke qafiyo'n ki khair nahi
*اٹھا قلم تو ائے کیفی لے نام اصغر کا*
*ردیف ایسی ہے کے قافیوں کی خیر نہی*

Kaifi kalkatwi....✍🏻

*کیفی کلکتوی*




3. Janab Muntazir Abbas Sb:

RABBISHI SADRI VA YASSIRLI AMRI
BISMILLAHIRRAHMANIRRAAHEEM

1)SIPAAH E SHAAM KE MURDA DILO.N KI KHAIR NAHI
HASEGA FOOL TO PHIR AANDHIYO.N KI KHAIR NAHI

2)LABO.N SE APNE TABASSUM KA VAAR KAR NE KO
SAGEER AAYA HE AB ZAALIMO.N KI KHAIR NAHI

3)ALI KE POTE KA HAMLA BHI HOGA MISL E ALI
YAZEEDI FAUJ KE ZINDA BUTO.N KI KHAIR NAHI

4)ABHI TO MUTTHIYA.N KHOLI NAHI HE ASGAR NE
KHULEGA HAATH TO BU JAHILO.N KI KHAIR NAHI

5)MAZAAK TEER KA HAS KAR UDAAEGA ASGAR
AY HURMULA TERI FANKAARIYO.N KI KHAIR NAHI

6)MANA NE AAYA HE YE JASHN FATH E SARWAR KA
YAZEED AB TERI MAKKARIYO.N  KI KHAIR NAHI

7) ALI KA NAARA LAGA JASHN E SHEER KHWAR ME HE
WILA E MURTAZA KE MUNKIRO.N KI KHAIR NAHI

8)HISAAR E NAAD E ALI KA HI MO'JEZA HE YE
ME KHAYRIYAT SE HU AUR MUSHKILO.N KI KHAIR NAHI

9)BAS EK JUNG HE WO JUNG E KARBALA  JIS ME
YE GARDANO.N NE KAHA KHANJARO.N KI KHAIR NAHI

10)LO KARNE AA GAYEE TAQREER SHAAM ME ZAYNAB
HUSSAIN AB TO TERE QAATILO.N KI KHAIR NAHI

11)ALAM JARI KA LAGAAYA HE CHAUK ME HUM NE
YAQEEN JAANIYE AB MUFTIYO.N KI KHAIR NAHI

12)DABA KE BAYTHE HE.N AY *MUNTAZIR* JO HAQQ E BUTOOL
IMAAM AAYENGE PHIR GHAASEEBO.N KI KHAIR NAHI

SHUQRE MAULA


4. Janab Ghazi Abbas Sb: *Bismillah hirrehmaan nirraheem*

*Sagheer aaya hai ab zaalimo'n ki khair nahi*

Badey bado'n se bhi badhkar bado'n ki khair nahi
Ali ke saamney aakar naro'n ki khair nahi

Jidaar e kaaba ye kaabey se haskey kehtii hai
Lo aarahey hai Ali ab buto'n ki khair nahi

Hameysha shukr khuda ka adaa karo warna
Jo tumney paaya hai un neymato'n ki khair nahi

Zabaa'n pey naam e Ali lekey aagaye yousuf
Lo shehr e misr mey ab maaliko'n ki khari nahi

Parr apna jhooley se mas Karkey bol uthaa fitrus
Ye kisney kehdiya merey paro'n ki khair nahi

Ye kehtey nehr se lashkar tamaam bhaag utha
Ali ke Sher ke aagey saro'n ki khair nahi

Ye rauza Gaazi alamdaar e baawafa ka hai
Yahaa Jo garjeygi un baadalo'n ki khair nahi

Ali ke Sher ki jaageer, karbala hai ye
Adab se aao yahaa buzdilo'n ki khair nahi

Pidar ke haatho'n ko mimbar banaakey maidaa'n mey
*Sagheer aaya hai ab zaalimo'n ki khair nahi*

Rihaayi paaye Jo Mukhtar khaid se to kahaa
Husain,abse terey khaatilo'n ki khair nahi

Jahaa'n mey waaris e khaibar shikan ko aaney do
Phir uskey baad ye fitnaagaro'n ki khair nahi

Labo'n pey *"GAAZI"* ke har damm hai wird e naad e Ali
Ab ussey milkey fakhat mushkilo'n ki khair nahi

-Az Qalam e *"GAAZI"*
05/04/18.




5. Janab  Muqeem Haider Sb:
ali ke laal ka jaaho jalaal jehta tha
yazeediyat ke sabhi hamiyo'n ki khair nh

mere huzur ke parde ko uth to jaane
jahaane zulm tere muftiyo'n ki khair nhi



6. Janab  Arshad Sirsivi Sb:
Hai khatm waqfa e mohlat buto'n ki khair nahi
Ali hain kabe me ab pattharo'n ki khair nahi

Zahoor hote hi mehdi ka hoga ye ailan
Phir aa gaye hain ali marhabo'n ki khair nahi

Sipahe shaah ke sookhe galo ne gher liya
Mayan e karbobala khanjaro'n ki khair nahi

Ulajh to baithe hain shahzada e tabassum se
Magar ye tey hai ki ab nawaqo'n ki khair nahi

Zameen e karbobala hai charagh gaah e husain
Yaha'N ghuroor zada aandhiyon ki khair nahi

Ulajh ke seena e akbar me toot jayengi
Akad ke chalti hui barchhiyon ki khair nahi

Aza e sibte payambar se hai gurez jinhe
Kasam husain ki aise gharo ki khair nahi

Barasne wali hai Inkaar e shaah e dee'n se ajal
Yazeed ab tere baiyat kado'n ki khair nahi

Badi jo pao'n ki raftaar aablo ne kaha
Dayar e shaam talak bediyon ki khair nahi

Sina'n ki nok pe bole shahadato'n ke charagh
Hamare hute huye zulmato'n ki khair nahi

Chala hai janib e dariya ameer e tashnalabi
Ghuroor e aab tere maqsado'n ki khair nahi

Hilal e mahe moharram niklne wala hai
Hamare sheher ke fatwa garo'n ki khair nahi

Bata rahi hai ye khum me halaqat e haris
Kisi bhi haal me In munkiro'n ki khair nahi

Wo jin ke shero me arshad ghulu jhalakta hai
Yaqeen janiye un shayero'n ki khair nahi




7. Janab Zeeshan Aazmi Sb:
कलम के नूर से   अब ज़ुल्मतो   की  खैर नहीं
लिखूं मैं    शेर तो फिर  जाहिलों  की खैर नहीं

हुआ जो काबे में पैदा वह बुत शिकन  है अली
खुदा के   घर में रखें   अब बुतों   की खैर नहीं

बहुत      करीब    ज़ुहूरे इमामे     महदी     है
खुदा    के दीन के   सब दुश्मनों  की खैर नहीं

अली के   होठों    पे हथियार    है तबस्सुम का
यज़ीदी   फोज के सब बुज़दिलों की खैर  नहीं

यज़ीदी    फौज   में हंगामे    हश्र   है    बरपा
सगी़र आया     है अब ज़ालिमों   की खैर नहीं

लिखेंगे शेर    जो तोहीद    के खिलाफ  अगर
तो समझो हश्र के    दिन शायरों की खैर  नहीं

तेरा तो काम है    ज़ीशान    बस दुआ   करना
खुदा ने चाहा तो फिर   मुश्किलों की खैर नहीं

✍ ज़ीशान आज़मी

قلم کے    نور سے    اب ظلمتوں کی خیر نہیں
لکھوں میں  شعر تو پھر جاہلوں کی خیر نہیں

ہوا جو   کعبہ میں    پیدا وہ بت شکن ہے علی
خدا کے گھر میں رکھے اب بتوں کی خیر نہیں

بہت        قریب     ظہورِ   امامِ    مہدی     ہے
خدا کے   دین   کے سب دشمنوں کی خیر نہیں

علی کے    ہونٹوں   پہ     ہتھیار ہے    تبسم کا
یزیدی  فوج کے    سب بزدلوں   کی خیر نہیں

یزیدی   فوج   میں    ہنگامِ   حشر    ہے    برپا
صغیر    آیا    ہے اب    ظالموں    کی خیر نہیں

لکھیں   گے   شعر   جو   توحید  کے خلاف اگر
تو سمجھو حشر کے دن شاعروں کی خیر نہیں

ترا    تو     کام     ہے     ذیشان    بس دعا کرنا
خدا  نے   چاہا  تو پھر   مشکلوں کی خیر نہیں

✍ ذیشان آعظمی





8. Janab Zia Haidar sb:

Misra: SagHeer aaya hai ab zaalimoN ki khair nahi.

Bismillah hirrahma nirraheem

🌹🌹🌹🌹🌹
1.
Munafiqeen ki or jaahiloN ki khair nahi,
Mukhauta pahne huve buzdiloN ki khair nahi.

2.
Ragad ke aidiyaN AsgHar bhi apne jhoole me,
Machal raheN haiN bahot shaamiyoN ki khair nahi.

3.
Idhar to jhoole ko AsgHar ne bas hilaaya tha,
Udhar hai shor utha baagiyoN ki khair nahi.

4.
Gira ke jhoole se AsgHar ne li hai aNgdaayi,
Kasam khuda ki hai ab marhaboN ki khair nahi.

5.
HaNsi ki tegH se takhta palat ke rakh dega,
Ye sheer khwaar hai par diggajoN ki khair nahi.

6.
Chala hai sher abhi sheh ke aashiyaane se,
Yazeede bad tere ab saathiyoN ki khair nahi.

7.
Pidar ki goad me AsgHar ka jung me aana,
Bata raha hai ki ab hausloN ki khair nahi.

8.
HaNsi haNsi me ujad jaaega tera khaima,
SagHeer aaya hai ab zaalimoN ki khair nahi.

9.
Bala ke dast me beaheer haNs ke kahta hai,
Tumhare tegH o tabar khanjaroN ki khair nahi.

10.
Ali haiN kahte ise ye Ali ke jaisa hai,
Ay hurmula tere ab shokhiyoN ki khair nahi.

11.
Karega zulm ko ruswa abad talak besheer,
Yazeede shaam ki nautaNkkiyoN ki khair nahi.

12.
Ataye AsgHar e besheer hai ye misroN ko,
Kahe radeef ZIA qaafiyoN ki khair nahi.

🌹🌹🌹🌹🌹
✍🏻Zia Haidar
06.04.2018




9. Janab Eram Mehdi Sb: *Qaseeda*

❤ ❤ ❤ ❤ ❤ ❤ ❤

hawa ki khair nahi, Aandhion ki khair nahi

Charaagh e khum ke sabab zulmaton ki khair nahi

qareeb aate to un ke naseeb khul jaate

Hame pata hai wo mahfil kiyun nahi aate

ye bazm e dil hai yahan dil jalon ki kahir nahi

Dayaar e zulm me toofan aane wala hai

Ameer shaam ka takhta ulatne wala hai 

Chitakh rahe hain kenwal qumqomon ki kahir nahi

ghoor-e taalib e biat kuchal ke rakh dega 

bala ke dasht ka naqsha badal ke rakh dega 

Sagheer aaya hai ab zalimon ki khair nahi

udahar najaf ki haden hain idhar Madeena hai

Shahe huda ne bari hikmaton se Ghera hai

Yazeed aaj tere Lashkaron ki khair nahi

ae jibraeel sare kooh e toor hi rehna

jari ki tegh ke saaye se door hi rehna

lagi jo zarb to ab ke paron ki kahir nahi

Atash ka chark sar-e Alqama pe toot para

ye kehke sher Saf e ashqiya pe toot para

Traayi chor do warna saron ki kahir nahi

Eram Mehdi

💓💓💓💓💓💓💓💓



10. Janab Azam Maroofi Sb:
Sawaab ki gharaz se ek matla 2sher ap hazrat ki khidmat me bator islaah hazir h👇👇👇👇👇

Ghroor me jo uthe hain saro'n ki khair nahi....

Kisi b haal me ab bad zano'n ki khair nahi.....

adoo b royenge or hurmula bhi larzega......

Sagheer aaya hai ab zalimo'n ki khair nahi...

Tabassume ali asghar tabaah kar dega.....

Yazeediyat teri fankariyo'n ki khair nahi.......

Az qalam Azam Maroofi

11. Janab Altaf Maroofi Sb:

امامِ عصر کو آنے دو ذوالفقار کے ساتھ

قسم خدا کی اِن اخباریوں کی خیر نہیں

ہمک کے آیا ہے سرور کی  گود میں اصغر

اے حرملہ تری انگڑائیوں کی خیر نہیں

بدل رہے ہیں تشہّد جو اپنی مرضی سے

یقین جانئیے ان پاگلوں کی خیر نہیں ۔

یہ بات سچ ہے مقصر ہے لعنتی لیکن

یقین یہ بھی رکھو غالیوں کی خیر نہیں

Orooj pr h bahot fitna baz aur kaazib

Mujhe lage hai k saccha'iyoN ki khair nahi

Tarhi Misra: Sunati hai muskura ke naghme jidaare Kaaba Ali(as) Ali(as)

[24/03/2018]
: *بزم شعراء*

🌹 *BAZM-E-SHOARA* 🌹
  
     SalamunAlaikum.

*MISRA BARA E KALAAM*  

              👇👇👇👇

*سناتی ہے مسکرا کے نغمہ جدارِ کعبہ علی علی*

*Sunati hai muskura ke naghme jidaare Kaaba Ali Ali*

*Qafiya........*Kaaba*
*Radeef.......Ali Ali*

*Bahr format:*
*فعول فعلن فعول فعلن فعول فعلن فعول فع*

*F'oolo f'alun f'oolo f'alun f'oolo f'alun f'oolo f'a*

*121 22 121 22 121 22 121 2*

Misra by👉🏻
*Janab Navshad Bijani sahab*

Pesh karda MISRE par manqabat, qata kalaam aap hazraat ke peshe khidmat hai.

1. Janab Navshad Bijani Sb: 🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Dulaara imraan ka hai binte asad ka beta ali ali.
Imaame dee'n waarise nabi do jahaa'n ka aaqa ali ali.

Sukoone dil ke liye hai nuskha kaho kamesha ali ali.
Rasool o allah ko jaha'n me hai sab se pyaara ali ali.

Khiza'n'e'n rukhsat huvi bahaar aa gai ye haydar ka fazl hai
Hai bulbulo'n ke labo'n pe yeh raat din qaseeda ali ali.

Nikal ke paakeeza rab ke ghar se basaalo tum ab naya jaha'n.
Buto'n se haq keh raha tha hardam lagaa ke naara ali ali

Yeh kehna tha sab ka jab huvi darmayaane asnaam guftagu.
Haqeeqi is ghar ka jo hai maalik hai nam uska ali ali.

Mina o zamzam safa o marva hai jhoomte ho ke shaad aaj.
Sunati hai muskurake naghme jedare kaaba ali ali.

Behisht se ho rahi hai phoolo'n ki aaj baarish zameen par.
Likha hai hooro'n ne milke har ayk phool par ya ali ali.

Falak se mehve safar hai manzil hai jiski maula ali ka ghar
Utar raha hai zamee'n pe kehta huva sitaara ali ali.

Lahad me navshaad ko malaaik savaal jab poochne lage.
To uska har ik savaal par tha javaab maula ali ali.

*✍Navshad Bijani*
🗒 *2018 / 03 / 25*

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹





2. Janab Ghazi Abbas Sb: *Bismillah hirrehmaan nirraheem*

*Sunaati hai muskuraa ke naghmey jidaar e kaaba Ali Ali*

Hamaara rehbar hamaara daata hamaara Maula Ali Ali
Har eak momin ke sarr pey saaya hai tera panja'h Ali Ali

Khushi se godii mey lekey imraan kehtey hai dekho fatema
Lo aagaya ab khuda ke Dee'n ko bachaaney waala Ali Ali

Ye Eid ka din palatkey phirsey tumhaari khismat mey aagaya
Sajaakey mehfil gharo'n mey apney lagaao naara Ali Ali

Abhi wo jhooley mey sorahey hai nikal yahaa se na shor kar
Wagar na tukdo'n mey baa'nt deyga tujhey wo bacha Ali Ali

Yakhee'n na aaye to chalkey tera rajab ko ab bhi suno aye sheikh
*Sunaati hai muskuraa ke naghmey jidaar e kaaba Ali Ali*

Khuda ney Qur'an mey Ali ka Kuch is tarha tazkera kiya
Kahii pey soora'h kahii pey aayat kahii pey nukhta Ali Ali

Ohad ke rann mey Ali ke haatho'n pey aakey kehtii thi zulfeqar
Sitamgaro'n ke lahoo se Mera utaaro sadkha Ali Ali

Nabi ney naad e Ali ki soorat tumhey bulaakar yehi kahaa
Khuda ke haatho'n se kaafiro'n ka palatdo takhta Ali Ali

Bashar ho jinn ho farishta ho yaa ke ho tamaam ambiya walii
Har ek ko mushkil mey kaam aata hai naam tera Ali Ali

Kahaa farishtey ney badhkey Maula hai kaun tera bataa mujhey
Lagaaya my ney jab eak naara to khud wo bola Ali Ali

Jahaa'n ke saarey bashar mey *"GAAZI"* ka martaba sabse hai judaa
Ye uski khismat banaa wo shaayar tumhaarey darr ka Ali Ali

-Az Qalam e *"GAAZI"*
24/03/18.




3. Janab Urfi Jafrabadi Sb:
786
*****
۔1
*صراط حق ڈھونڈناہمیں کیاہمارارستہ علیٌ علىٌ*
*ہرایک دل کاہےجو سہاراوہ ہےسہاراعلىٌ علىٌ*
۔2
*بناہےکعبےمیں اک نیادریہ تیرھویں شب رجب کی ہے*
*سناتی ہےمسکراکےنغمےجدارکعبہ علی علی*
۔3
*زمین سونااگل رہی ہےبرستےہیں عرش سےگہر*
*کرم کی ہےبھیک آپ کی آپ کاہےصدقہ علی علی*
۔4
*زمیں سےتاعرش نورہےتیرگی کانام ونشاں نہیں*
*یہ جوف کعبہ سےجوہےپھیلاوہ ہےاجالاعلی علی*
۔5
*جوآپ کےپاوُں سےہوامس زمین سےپہونچاوہ عرش پر*
*وہی جوذرہ کبھی تھاذرہ بناستارہ علی علی*
۔6
*قسم ہےمعراجِ مصطفیّ کی اسےبھی معراج مل گئی*
*علی کی محفل میں دل سےکہتاہواجوپہونچاعلی علی*
۔7
*ملائےاکمال کی جوآیت سےکوئی من کنت کی صدا*
*غدیرِخم میں نبی کےہاتھوں ملےگامولاعلی علی*
۔8
*زمانےبھرمیں جناب آدم سےلےکےتاختم انبیاء*
*سبھی کی حل مشکلیں ہوئیں دل سےجب پکاراعلی علی*
۔9
*جناب میثم جناب قنبرزمانےکویہ بتاگئے*
*جناں میں حق کاہےایک رستہ وہی ہےرستہ علی علی*
۔10
*بغیرعشقِ علی بھی سجدہ ہےکوئی سجدہ بتائیے*
*مزہ توجب ہےعبادتوں میں پکارےسجدہ علی علی*
۔11
*لگی جوضربت علی کےسرپہ توبولےمیں کامیاب ہوں*
*نبی کابھی دین اپناسراونچاکرکےبولاعلی علی*
۔12
*علی کاہی نام لےکےعرفی  جومیں نےبھی کردی ابتدا*
*علی علی کرکےمیراپوراہواقصیدہ علی علی*
Urfi Jalalpuri UP India



4. Janab Zeeshan Aazmi Sb:
نبی   نے   اعلانیہ   کہا   مومنوں    کا    مولا    علی علی
غدیر خم   میں سبھی   نے دیکھا   خدا کا بندہ علی علی

گلے ملیں   گے تمام    حضرات   کہ     ولادت علی کی ہے
سجے گی   تیرہ    رجب کو  محفل   لگے گا نارہ علی علی

خوشی میں مدہوش ہیں ستارے کہ آسماں پر بھی دیکھئے
فلک پہ   چکر    لگائے    کہتا    ہراک    ستارہ    علی  علی

زمانے    والوں    درود پڑھتے   رہو   کہ تیرہ رجب کے دن
خدا کے    گھر آگیا    ہے    بنتِ اسد   کا  بیٹا   علی علی

جوان   ہو    کر کریگا    دعوی     یہاں  سلونی کا بالیقیں
وہ    پاک   دستِ نبی    پہ   قرآن   پڑھنے   والا علی علی

علی کے    اقوال    پڑھ کے    سمجھو   کلامِ پروردگار کو
کہ جتنی   مبہم    ہیں  آیتیں اس کا بھی سہارا علی علی

سبھی    نے    پوچھا  وہ  کون ہوگا نبی کا داماد دہر میں
اتر کے     زہرہ کے     در پہ     کہنے    لگا ستارہ علی علی

خیالِ باطل      نے     جو     بنایا    اسے  مبارک وہی علی
خدا کی     جو  بہترین     خلقت     وہی   ہمارا علی علی

کسی    کو     موقع اگر    ملے تو   طواف  کرتے سنا کرو
سناتی     ہے     مسکرا کے    نغمہ    جدارِ کعبہ علی علی

دعا     کریں     سب     قبول ہو     بارگاہِ پروردگار  میں
لکھا     جو     ذیشان     نے قلم سے نیا قصیدہ علی علی

✍ ذیشان آعظمی




5. Janab Syed Ali Abbas Naqvi Sb:
Ek matla ek sher pesh e khidmat hai.
Bataur e islaah.

Jo ain e imaa'n jo nafs e yazda'n hai naam uska ali ali.

Batao phir ab Halaali'on ka na kyun ho naara ali ali.

Zami'n pa arsh e bari'n se aaye malak ye kah ke chalo chalo.

Sunati hai muskura ke naghme jidaar e kaaba ali ali.








6.  Zia Haidar sb:

Bismillah hirrahma nirraheem

🌹🌹🌹🌹🌹
1.
ZubaN se nikla jigar bhi bola fiza me gooNja Ali Ali,
Lagaaya maine  jo bazm e haq me gHadeeri naaraH Ali Ali.

2.
FaNsii jo darya me meri kashti bane sahaara Ali Ali,
Najaf se maula madad ko aaye jabhi pukaara Ali Ali.

3.
Nuzoole maula hua jo terah 13 rajab ko kaabe ke batn me,
ZamiiN Ali ki zia se chamki falaq me chamka Ali Ali.

4.
Zameen se aasmaaN talak haiN khushi se chehre chamak raheN,
Jab aaya jag ka nabi ka Zahra ka aur Rabb ka Ali Ali.

5.
Butaane Kaaba se Kaaba bola tere haiN aayeN fana ke din,
JahaaN me aaya mera sahara Khuda ka pyaara Ali Ali.

6.
Kabhi tijarat nahi huvi thi jo lail e hijrat me ho gayi,
Khuda ne marzi ko bechne ke liye pukaara Ali Ali.

7.
Ali Ali ki sada hai gooNji nabi ne jis dum sunaaya haqq,
Ghadeere khum me, tumhare mere sabhi ke maula Ali Ali.

8.
Hamare ghar par munafiqoN ka na aana jaana huva kabhi,
Hamare lab par har ek lamha hai bas taraana Ali Ali.

9.
Hai ek mushkilkusha jahaaN me haiN jinke alqaab anginat,
Madad me nabiyoN ne bhi pukaara jise hamesha Ali Ali.

10.
Ye sun ke haaNtho me hurmula ke sambhalta teero kamaN nahi,
SagHeer AsgHar zaroor hai par hai naam iska Ali Ali.

11.
Haram me jaa kar ke sheikh ji ka bigadta chehra hai aaj bhi,
Wo jab bhi deewaar dekhte haiN dikhaayi deta Ali Ali.

12.
Bigaad paayega kya mera tuu ali ke dar ka muhib huN maiN,
Ali ke dar pe jhuke zamaanaH kahe zamaanaH Ali Ali.

13.
Ali ki nafrat dhakel degi tumhe jahannum me sheikh ji,
JinaN ke dar pe bade bade aksharoN(अक्षरों) me likkha Ali Ali.

14.
Gayi hai chaudah 14 sadi guzar par abhi bhi Kaaba ke sahn me,
Sunaati hai muskura ke nagHme jidaare Kaaba Ali Ali.

15.
Labe ZIA pe yahi dua hai laga ke naaraH Ali Ali,
Najaf me aakar ke wo bhi choome tumhara rauza Ali Ali.

🌹🌹🌹🌹🌹
✍🏻Zia Haidar
29.03.2018





7. Janab Kaifi Kalkatwi Sb: *BISM E TA'ALA*
      *بسمِ تعالیٰ*

*1*   *MATLA*
Saji hai mehfil' ali ki har soo hai aane wala ali ali
Labo'n pe har dam ali ali ho lagao naara ali ali
سجی ہےمحفل علی کی ہرسوہےآنےوالاعلی علی
لبوں پےہردم علی علی ہو لگاؤ نعرہ علی علی

*2*
Jaha'n mei'n ahl e jaha'n ko rasta bataye haq ka ali ali
Ibaadato'n ka sikhaye insaano'n ko saliqa ali ali
جہاں میں اہلِ جہاں کورستہ بتائے حق کا علی علی
عبادتوں کا سکھائے انسانوں کو سلیقہ علی علی

*3*
Khuda bhi khush hai nabi bhi khush hai'n" hai aamad e murtuza ali
Ye dono'n aalam ye saari neymat hai jiska sadqa ali ali
خدابھی خوش ہےنبی بھی خوش ہیں ہے آمدِمرتظیٰ علی
یہ دونوں عالم یہ ساری نعمت ہےجسکاصدقہ علی علی

*4*
Hai'n noor e wahid ke ye do tukde ali hai'n ik ik hai'n mustafa
Hai ek imraan ka bhatija hai ek beta ali ali
ہے نورِ واحدکےیہ دو ٹکڑے علی ہیں اک اک ہیں مصطفیٰ
ہےایک عمران کا بھتیجا ہے ایک بیٹا علی علی

*5*
Ke nazd e kaaba jo aye lene ali ko paighamber e khuda
Ghadeer e khum se hi pehle kaaba pukara moula ali ali
کےنزدِ کعبہ جو آئے لینے علی کو پیغمبرِ خدا
غدیرِ خُم سے ہی پہلے کعبہ پکارا مولا علی علی

*6*
Jo rehmatul aalamee'n ho jisko khuda ne bakhsha ho ye sharaf
Zamaane bhar me usi nabi ka bane jo saaya ali ali
جو رحمت العالمیں ہو جسکو خدا نے بخشا ہو یہ شرف
زمانے بھر میں اُسی نبی کا بنے جو سایہ علی علی

*7*
Woh chand lamho'n mei'n aa gaye hai'n baray e imdaad e mustafa
Reza e haq se rasool e haq ne hai jab pukara ali ali
وہ چند لمہوں میں آگئے ہیں برائے امدادِ مصطفیٰ
رِضاءِ حق سے رسولِ حق نے ہے جب پکارا علی علی

*8*
Tamaam nabiyo'n ka ye sahaara hai do jaha'n ka ye paasbaa'n
Khuda ki azmat nabi ki hurmat sifaat e alaa ali ali
تمام نبیوں کا یہ سہارا ہے دو جہاں کا یہ پاسباں
خدا کی الفت نبی کی حرمت صفاتِ اعلیٰ علی علی

*9*
Larazta ho jism zard chhera ho khauf taari nigaah mei'n
Ke aesi haalat mei'n apne rab ko kare jo sajda ali ali
لرزتا ہو جسم زرد چہرا ہو خوف طاری نگاہ میں
کے ایسی حالت میں اپنے رب کو کرے جو سجدہ علی علی

*10*
Wohi wasi hai wohi ali hai wohi imaam e mubeen hai
Hamara rehbar hamara moula hamara aaqa ali ali
وہی وصی ہے وہی علی ہے وہی امامِ مبین ہے
ہمارا رہبر  ہمارا مولا  ہمارا آقا علی علی

*11* *TAZMEEN*
Ke aaj bhi aye zamaane walo'n ali ki ulfat mei'n ba-khuda
Sunati hai muskura ke naghme jidaar e kaba ali ali
کے آج بھی ائے زمانے والوں علی کی الفت میں باخدا
سناتی ہے مسکرا کے نغمیں جدارِ کعبہ علی علی

*12* *MAKHTA*
Hoo'n mai'n bhi kaifi ali ka aashiq ali ki ulfat hai qalb mei'n
Labo'n pe mere qasam khuda ki hai bas qaseeda ali ali
ہوں میں بھی کیفی علی کا عاشق علی کی الفت ہے قلب میں
لبوں پے میرے قسم خدا کی ہے بس قصیدہ علی علی

Kaifi kalkatwi.....✍🏻
کیفی کلکتوی

Tarhi Misra: Yeh mehfil baraaye imaam-e-Taqi(as) hai

[20/03/2018]
: *بزم شعراء*

🌹 *BAZM-E-SHOARA* 🌹
  
     SalamunAlaikum.

*MISRA BARA E QATA*  

              👇👇👇👇

*Yeh mehfil baraaye imaam-e-taqi hai*

Qafiya: 👉 *Imaame*
Radeef : 👉 *Taqi hai*

*faoolun faoolun faoolun faoolun*

Misra by👉🏻  *Janab Chaman alipuri sahab*

Pesh karda MISRE par shoara hazraat ke qata aur kalaam peshe khidmat hai

1. Janab Navshad Bijani Sb: 🌹🌹🌹🌹🌹

Adab se yaha'n aake hai baythta woh.

Jo qalbo jigar se ghulaam-e-taqi hai.

Yaha'n par hai jalvanuma panjetan bhi.

Yeh mehfil baraaye imaam-e-taqi hai.

*✍Navshad Bijani*
🗒 *20 / 03 / 2018*




2. Janab Kaifi Kalkatwi Sb: 🌹 *BISMILLAH* 🌹

*Wiladat ki khushboo se mehki fiza hai*
*Ghulamo'n pa ye bhi inaam e taqi hai*
*Ke hai sarparasti imaam e zama'n ki*
*Ye mehfil baraay e imaam e taqi hai*

Kaifi kalkatwi....✍🏻



3. Janab Chaman Rahmati Sb 2:
Qhasiday Chaman may sunati hain kaliyaa'n,,
Parindoun ke lab per bhi naam-e Taqi hai..

Musalsal yaha'n Rehmat'oun ki hai Barish,,
*Yeh Mehfil bara-e _imam-e_  Taqi hai..*

قصیدے  چمن  میں سناتی ہیں کلیاں

پرندوں  کے لب پر  بھی نام_ تقی ہے

مُسلسل  یہاں  رحمتوں کی ہے بارش

یہ  محفل  برائے  *امام_*  تقی ہے

💐💐💐💐💐💐💐💐💐

iltemas-e-dua o islaah...
🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏



4. Janab Zeeshan Aazmi Sb: زباں    پر     قصیدہ     بہ   نامِ تقی ہے
کہ ہاتھوں میں میرے بھی جامِ تقی ہے

یہ    جشنِ ولادت  میں    آقا  کے میرے
ہر     اک     فرد دیکھو     غلامِ  تقی ہے

یہاں     با وضو     آپ    تشریف  لائیں
یہ      محفل     برائے      امامِ تقی   ہے

بلا کیوں     نہ ظاہر ہو تقوی عمل میں
دل و جاں     میں  میرے کلامِ تقی ہے

ہمارے     لئے     یہ    یقیناً اے  ذیشان
رجب     کی     ہراک شام شامِ تقی ہے

✍ ذیشان آعظمی

5. Janab Arshad Sirsivi Sb: Salamun alekum
Baraye islah

Bayaz e musarrat pe naam e taqi hai
Ye mehfil baraye imam e taqi hai

Mohammad ke jaisa hai kirdaar inka
Zamane yahi ahtesham e taqi hai


6. Janab Ghazi Abbas Sb: *Bismillah hirrehmaan nirraheem*

*Ye mehfil baraaye imam e taqi hai*

Na labb par faqat merey naam e taqi hai
Merey dil mey bhi Ehteraam e taqi hai

Ataa mey baqaa mey jinaa' mey jahaa' mey
Ali ke hi jaisa maqaam e taqi hai

Na aagey sitamgar ke jhuknaa aye shiyyo
Tumhaarey liye ye payaam e taqi hai

Sarr apna jhukaakar liyo naam inka
Yehii asl mey Ehteraam e taqi hai

Farishto'n ka saalaar jibreel hai par
Haqeeqat mey wo to Gulaam e taqi hai

Sarr e farsh e mehfil piyoo jald aakar
Ke kausar se sheeree'n ye jaam e taqi hai

Meri fikr kii hai ye meraaj logo
Likhii manqabat Jo Ba naam e taqi hai

imam e zamaana ke soorat mey ab bhi
Zamaaney mey khaayam Nizaam e taqi hai

Hai shaamil yahaa aaj aal e mohammad
*Ye mehfil baraaye imam e taqi hai*

Dua fatema deyrahii hai musalsal
Ke *"GAAZI"* ke labb par kalaam e taqi hai

-Az Qalam e *"GAAZI"*
20/03/18.


7. Janab Zia Haidar sb: Qata:
🌹🌹🌹🌹🌹
Ye shams o qamar me jo baaqi zia hai,
Nahi kuchh siwa ye nizaam e Taqi hai.
KaseedaH sunaane ko ye sab haiN aayeN,
Ye mahfil bara e imaam e Taqi hai.
🌹🌹🌹🌹🌹
✍🏻Zia Haidar
21.03.2018

8. Janab Hur Karbalayi Sb: 🌹﷽🌹

*ضروری بہت احترام تقی ہے*
*پیمبر کا ناٸب امام تقی ہے*

*دلوں میں تمنّاۓ جنّت اُٹھے جو*
*چلاجا جہاں پہ مقام تقی ہے*

*کہا دل نے فوراً جو پہنچا میں در پر*
*زمیں پر نہیں اب غلام تقی ہے*

*کہو نکتہ چینوں سے خاموش بیٹھیں*
*یہ محفل براۓ امام تقی ہے*

حر کربلاٸی جلالپوری

9. Janab Altaf Maroofi Sb: 🌹*TAR'HI KALAAM*🌹

فی البدیہہ کچھ ٹوٹے ہوئے مصرعے حاضر ہیں

Sitamgar sabhal k Hosaam e Taqi hai

Ye ghaibat nahi hai neyaam e Taqi hai
🌹
Khelaf e shareeyat na ek harf kahna

Nezam e ilaahi Nezaam e Taqi hai
🌹
Ay Altaf Kar Zohd o Taqwa ki bateN

Ye Mahfil bara e imam e Taqi hai

*Altaf Haidari Maroofi*

10.  Maulana Hasan Raza Sb: *کچھ ایسا بیان امام تقی ہے*
*پئے دشمن دیں حسام تقی ہے*

*علی کا جو طرز تکلم تھا لوگو*
*بعینہ وہ طرز کلام تقی ہے*

*اسی سے تو دشمن ہراساں ہے اب تک*
*کہ ملک  رضا (ع) (ایران) میں نظام تقی ہے*

*مزہ تو جب آئے کہ یہ دل میں اترے*
*ہمارے لبوں پہ جو نام تقی ہے*

*یہاں بھیک تقوے کی سب کو ملے گی*
*یہ محفل برائے امام تقی ہے*

*حلال محمد حلال تقی ہے*
*حرام محمد حرام تقی ہے*

*اسی کو تو کہتے ہیں زہرا کا یوسف*
*جو غیبت میں ماہ تمام تقی ہے*

*تقی کا جو رکھتا ہے تقوی نظر میں*
*اسی کے لیئے تو سلام تقی ہے*

*ہو تقوے سے وہ دور ممکن نہیں ہے*
*جو سچا غلام امام تقی ہے*

11. Janab kashif sitapuri sb: *🌷Ye Mahfil barae Imam e Taqi hai🌷*

🌹 Chale aaye lene ko bosa Malayek
Likha maine Kaghaz pe Naam e Taqi hai.

🌹Shanshah Sab Inke Dar ke bhikhari
Wahi hai Ghani Jo Ghulam e Taqi hai

🌹Chala aaya Kashif bhi Karne ebadat
Ye Mahfil baraye Imam e Taqi hai.

*✍🏻Kashif Sitapuri*

12. Janab Hasnain Maroofi Sb: 🌹🌹🌹786🌹🌹🌹
محمد کی طرح نظام تقی ہے

بنو   متّقی  یہ  کلام تقی ہے

ادب سے یہاں اپنے سر کو جھکا دو

یہ   محفل  برا ئے  امام  تقی ہے

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
حسنین معروفی
🌹🌹🌹786🌹🌹🌹

mohammad ki tarh nizaam e taqi hai

bano muttaqi ye kalaam e taqi hai

adab se yehaa.n apne sar ko jhuka do

ye   mehfil baraa e  imaam e taqi hai

🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Hasnain maroofi



13. Janab Rizwan Karbalayi Sb: 🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺
Bismlllah hirrahma nirrahim
🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺
Hai jannat SE tashreef fARMA Mohammad

Ye mehfil baraye imame taqi hai

Nahi koi mujse bada is jaha me

Mere lab PE rizwan naame Taki hai


14. Janab Sohail Zaidi Sb: *_zamane me jo bhi ghulaam e taqi hai_*
*_yeh jannat unhi ko inaam e taqi hai_*
*_riza (as) ka hai beta hai jawwad bhi tu_*
*_zamane se aala maqaame taqi hai_*

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

15. Janab Taqi Kazmi Sb: Salamun alye kum .
🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺
1.Taqi mere lab pr kalaam e taqi.
Meri Zindagi bas bnaam e taqi hai.
2.Jhujata hai sar uske aage zamana
Zamane me Jo bhi ghulam e taqi hai.
Yhan pak hokr wuzu kr ke aana.
Ye mehfil baraye imam e taqi.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Taqi kazmi.

16. Janab Shaker Sayyadi Sb: KALAAM E SAYYADI ✍🏻
🌹🌹🌹🌹🌹

SAHI NASL WAALA GHULAAM E TAQI HAI,,,,
MERI DHADKANO ME PAYAAM E TAQI HAI,,,,,
TAQI KA SAFEENA SAMAJH KAR TUM AAWO,,,,
YE MEHFIL BARAYE IMAM E TAQI HAI,,,,,

🌹🌹🌹🌹🌹

SHAKER SAYYADI  ✍🏻