Thursday 15 September 2016

Tarhi Misra: HUSAIN(as) KO THA BADA ETBAAR MUSLIM PAR.

Tarhi Misra: HUSAIN(as) KO THA BADA ETBAAR MUSLIM PAR.

Misra By: Maulana Mohammed Reza Maroofi sahab

Tarikh: September 2016

1
Janab Zeeshan Azmi sahab.

1. Durood e paak padho be shumaar Muslim par
Salaam karta hai parwardigar Muslim par

2. Khuda ke di'n ki hifazat ko shah ne bheja tha
Hussain ko tha bahut itebaar Muslim par

3. ZabaaN daraz tha ibne ziyaad kufe ka
Chalaya teer e sitam baar baar Muslim par

4. Abhi to sarhade kufa me aap pahunche the

Pahaad, makr ke toote hazaar muslim par

5. Salaam pher ke pichey nazar ki jaise hi
Huwe fareb ke dar aashkar muslim par

6. Udoo ne jang me mara fareb de de kar
Raha na jab ke koi akhtiyar Muslim par

7. Luta di jaan bhi bets bhi deene haq ke liye
Hamare jaanein ho ya rab nisaar Muslim par

8. Qalam bhi rota hai ZEESHAN marsiya kah kar
Likhun mai kaise sitamgar ka waar Muslim par

*حسین کو تھا بہت اعتبار مسلم پر*

درودِ پاک پڑھو بے شمار مسلم پر
سلام کرتا ہے پروردگار مسلم پر

خدا کے دیں کی حفاظت کو شہ نے بھیجا تھا
حسین کو تھا بہت اعتبار مسلم پر

زباں دراز تھا ابنِ زیاد کوفہ کا
چلایا تیرِ ستم بار بار مسلم پر

ابھی تو سرحدِ کوفہ میں آپ پہوچے تھے
پہاڑ مکر کے ٹوٹے ہزار مسلم پر

سلام پھیر کے پیچھے نظر کی جیسے ہی
ہوئے فریب کے در آشکار مسلم پر

عدو نے جنگ میں مارا فریب دے دے کر
رہا نہ جب کے کوئی اختیار مسلم پر

لٹا دی جان بھی بیٹے بھی دینِ حق کے لئے
ہماری جانیں ہو یا رب نثار مسلم پر

قلم بھی روتا ہے ذیشان مرثیہ کہ کر
لکھوں میں کیسے ستمگر کا وار مسلم پر



2
Sadiqali Bijani (Navshad).

Husain ko tha bada etebaar muslim par.
The jaan o dil se woh khud bhi nisaar muslim par.

Shaheed ho gae koofe me yeh khabar sunkar.
Husain roe the zaaroqataar muslim par.

The zulm ayse ke girya karegi hashr talak.
Nabi ki laadli zere mazaar muslim par.

Suna jo ahle haram ne ke chal base muslim.
To roe khayme me be-ikhteyaar muslim par.

Adu ne dhae sitam unpe, dekhkar jisko.
Malaaeka bhi huve ashkbaar muslim par.

Gira ke dhokhe se unko nasheb ke nadar.
Adu ne fenke the patthar hazaar muslim par.

Suni watan me kabar jia ghadi yeh sughra ne.
Bahut woh roi gharibuddayaar muslim par.

Ghame husain me roti hai jab meri aankhe'n.
To dil bhi hota hai mera figaar muslim par.

Rahegi baaki ye navshad jab talak dunya.
Karegi girya woh laylo bahaar muslim par.

Saturday 10 September 2016

Tarhi Misra: ZAKHMO SE CHOOR CHOOR KALEJA TAQI KA HAI.

Tarhi Misra: ZAKHMO SE CHOOR CHOOR KALEJA TAQI KA HAI.

Misra By: Janab Altaf Haidari Maroofi sahab

Tarikh: September 2016

1
Sadiqali Bijani (Navshad)

1
Samjaau'n kayse aap ko kya kya taqi ka hai.
Makka taqi ka hai to madeena taqi ka hai.

2
Dono jaha'n taqi ke hai'n kaba taqi ka hai.
Jannat taqi ki arshe moalla taqi ka hai.

3
Shamsho qamar ko milti rahe jis se roshni.
Labrez aysa noor se chehra taqi ka hai.

4
Majdhaar ka na khauf na toofa'n ka dar hame.
Dube kabhi na aisa safeena taqi ka hai.

5
Hasil muje huva hai sab inke tufaol me.
Arzo sama ka saara khazana taqi ka ha

6
Navshad usme aaj bhi rehta hai ghotazan.
Behta huva voh ilm ka darya taqi ka hai.

        🌴🌴🌴🌴🌴

7
Zehre dagha se qalb shikasta taqi ka hai.
Zakhmo se choor choor kaleja taqi ka hai.

8
Ja'n leva zehr se ab kamzor jism hai.
Darde badan se haal bhi khasta taqi ka hai.

9
Rote hai haadi sar se amaama utaar kar.
Ab sar se unke uth gaya saaya taqi ka hai.

10
Rone ka shor uthta hai bayte rasool se.
Ghar se janaza aaj nikalta taqi ka hai.

11
Navshad ahlebayte nabi gham se hai nidhaal.
Maatam me mubtela huva kumba taqi ka hai.

2
Janab Zeeshan Azmi sahab.

1. Kitna buland martaba maula taqi ka hai
Waqif faqat wahi hai jo shia taqi ka hai

2. Kamsin imam jaan ke chedo na tabsera
Ilm o hunar hai jitne wo sadqah taqi ka hai

3. Sharbat pilaya zahr e dagha ka la'een ne
Zakhmo se choor choor kaleja taqi ka hai.

4. Shahid hai asaman khuda bhi zamin bhi
Be misl is jahaan me sajdaa taqi ka hai

5. Chaudah khuda ke bande Muhammad hain sab ke sab
Jaisa Ali ka waisa hi shewa taqi ka hai

6. Ek dosre se inke nahi raabte juda
Pahla ho ya ho aakhari rishta taqi ka hai

7. Deene Nabi bachaaunga shabbeer ki tarah
Parwardigaar tujhse yeh w'ada taqi ka hai

8. Zeeshan deene haq ne  ye sikhla diya hame
Manzil khuda k pas hai rasta taqi ka hai

Friday 2 September 2016

Tarhi Misra: Mujhe kyu gham ho jab khaak e shifa meri lahad me hai.

Tarhi Misra:  Mujhe kyu gham ho jab khaak e shifa meri lahad me hai.

Misra By:  Janab Sadiq Ali Naushad sahab

Tarikh: September 2016



1
Janab Syed Ali Abbas Naqvi fasi sahab.

Yaqeenan aamad e shahe huda meri lahad me hai.

Lo phir to taay hua ye bhi zia meri lahad me hai.

Wo dar auron ko hoga bichoon ka saanp ka lekin.

Mujhe kyu ghum ho jab khaak e shifa meri lahad me hai.





2
Janab Zeeshan Azmi sahab.

1. Hayat e daaemi ki ibteda meri lahad me hai
Qaza ke baad mera ghar naya meri lahad me hai

2. Wilayat hasr me kaam aayegi farmaane maula hai
Mere aamaal naame ki jaza meri lahad me hai

3. Musalma'n hi mara to theek hai mere liye warna
Azaab e qabr ki lakho'n balaa meri lahad me hai

4.  Tilavat ki badaulat jagmaga uththi meri turbat
Mere quran padhne ki jaza meri lahad me hain

5. Ibadat umr bhar maine kiya rab ki to darr kaisa
Namazi hoo Hussaini hoon khuda meri lahad me hai

6. Farishte qabr me aayenge main be kauf kah dunga
Muje kyu gham ho jab khaake shifa meri lahad me hai

7. Fishaar e qabr se bachna tumhara ghair mumkin hai
Saza teri lahad me hain Jaza meri lahad me hai

8. Tilawat ka sila qura'n ki hai zeeshan kis darja
Ujala noor ka beinteha meri lahad me hai






3
Hanab Jabir vakil sahab.

Naa koi sakhtiyaaN hai na jafaa meri lahad me hai,
Khuda ka Shukr ke mushkil kusha meri lahad me hai.

Sajaa ke parchame abbas me shabbir ko roya,
Sila ye milgaya ke  ba-wafa meri lahad me hai.

Mujhe ehsaas e jannat, Shah(as) ki turbat pe hota hai,
Mujhe kyu gam ho jab khake shifa meri lahad me hai.

Me lanat krta hu aur khun ka matam bhi karta hu
YaqeeN mujhko hai ke iski jaza meri lahad me hai.






4
Janab Hasnaib Maroofi Sahab.

Mai naaza,n hu,n sheh e dee,n ki aza meri lahed me hai

Mujhe keya ghum ho jab khaake shifa meri lahed me hai

Fada kiu,n kar na hoga husn e yusuf husn par mere

Pay e nusrat shabeeh e mustafa meri lahed me hai







5
Janab Kausar Rizvi Sitapuri sahab.

1🌷__Ghham e shabbir ishq e murtaza meri lahad me hai

Khhoda ka shukrhai sab kuchh diya meri lahad me hai

2🌷__Jo raoshan hubbe haidar ka dia meri lahad me hai

Charaaghhaa,n kyo,n malak ab kr raha meri lahad me hai.

3🌷__Dilaaega nijaat aa kr farishto,n ke sawaalo,n se

Mujhe kya fikr jab mushkil kusha meri lahad me hai

4🌷__Husain aae hasan aae butul aaee,n Ali aae

Na puchho noor ka ik silsila meri lahad me hai

5🌷__Hamesha majlis o matam me mai sarshaar rahta tha

Tabhi dekho bichha farsh e aza meri lahad me hai

6🌷__Nishaa,n matam ke seene pr, mali khhak e shefa munh pr

Azakhhana saja ba qaaeda meri lahad me hai

7🌷__labo,n pr naoha o shewan , the palko,n pr saje aansoo   

Malak dekha kiya jab tk raha meri lahad me hai

8🌷__Qadam bosi karu,n maola ki mai, gar tum chale jaao

Farishto ab tumhara kaam kya meri lahad me hai

9🌷__Khhoda ka shukr baad e marg mil jaaunga mai is me

Mujhe kyo,n  ghham ho jab khhak e shefa meri lahad me hai

                                         
10🌷__Hawaa e kufr bhi jis ko bujha paaee na duniya me

Ghham e shabbir ka raoshan dia meri lahad me hai

11🌷_Rahunga shakl me ashaar ki Kausar sada zinda

Sila midhat ka ,zahra ki doaa meri lahad me hai


6
Janab Eram Mehdi sahab.

Gham e sibt e payambar ka sila meri lahed me hai
Sawab e Midhat e sher e khuda meri lahed me hai

_____________________________________________

Fishare Qabr ka tarekiyon ka aur mashar ka
Mujhe kiya gham ho jab khak e shifa meri lahed me hai

_____________________________________________

Farisho aao farsh e majlis e sarwar bichate hain
ba fazle rab jagha beinteha meri lahed me hai

_____________________________________________

paye shirkat jina se agaye sare jina wale
suna jb jashn e shah e la fata meri lahed me

_____________________________________________

Pharira Parchm e Abbas ka dunay me chooma tha
mila ye ajr jannat ki hawa mere lahed me hai
_____________________________________________

Ali ke laal ka matam eram hargiz na chootega
khuda ka shukr hai badr ul aza meri lahed me hai





7
Sadiqali Bijani Navshad

1
Daricha baaghe jannat ka khula meri lahad me hai.
Hamesha khuld ki taaza hawa meri lahad me hai.

2
Khayaabane iram ka ik sama meri lahad me hai.
Har ik ja rahmate rab ki ghataa meri lahad me hai.

3
Maye hubbe ali ka mayqada meri lahad me hai.
Baraae maykashi jaame wila meri lahad me hai.

4
Malak rahmat ka ba fazle khuda meri lahad me hai.
Mai sheh ka maatmi hu, mustafa meri lahad me hai.

Qata band 5/6

Ali o faatema, hasnain o aabid, baaqero saadiq.
Harek shaahe hoda pe ghamzada meri lahad me hai.

Raza o kazim o hadi, taqi o askari hai'n or
Imaame waqt bhi mehve buka meri lahad me hai.

7
Ghame sheh me bahaae the jo maine ashk dunya me.
Liye roomaal me woh faatema meri lahad me hai.

8
Malaaik takhte yaqooto jamurrad  aae hain le kar.
Unhe maaloom hai'n aale aba meri lahad me hai.

9
Azaadaare shahe karbal ko baade maut marqad me.
Mila karta hai woh har ik sila meri lahad me hai.

10
Farishto'n! hoor o gilmaane iram ko leke aajana.
Ke in shab majlise shaahe hoda meri lahad me hai.

11
Malaaik meri mayyat ko hai'n laae karbala Navshad.
Mujhe kyu ghum ho jab khaak e shifa meri lahad me hai.








8
Janab Hasan Utrolvi sahab.

Ajab se noor ki phaili ziya meri lahad me hay...
Gham e sibt e payambar ka diya meri lahad me hay...

Farishtey ehataraman saf banaye aj bethey hain...
Yu'n lagta hay dua e sayyada(s.a) meri lahad me hay...






9
Janab Hasanraza Hafiz Sahab.

ali se ishq krne ki jaza meri lahed me h
falak k chand taro si zeya meri lahed me h

kafan b krbla ka khaak b krbo bla ki h
mai kah skta hu puri krbla meri lahed me h

علی سے عشق کرنے کی جزا میری لحد میں ہے
فلک کے چاند تاروں سی ضیا میری لحد میں ہے
کفن بهی کربلا کا خاک بهی کرب و بلا کی ہے
میں کہہ سکتا ہوں پوری کربلا میری لحد میں ہےm