Friday 27 October 2017

Tarhi misra: Khoon sajjad ki aankho'n se rava'n shaam me hai

*MISRA BARA E SALAAM*  

              👇👇👇👇

*Khoon sajjad ki aankho'n se rava'n shaam me hai*

Qafiya: 👉 *rava'n*
Radeef : 👉 *shaam me hai*

*خون  سجّاد  کی  آنکھوں  سے   رواں   شام  میں  ہے*

Misra by👉🏻  *Janab chaman alipuri sahab.*

Pesh karda MISRE par ek salaam ya kam se kam ek qat'aa tahreer farmaayen.

Waqt:👉🏼 Aaj se lekar Thirsday (shabe jum'a) tak.

http://www.bazmeshaura.blogspot.in

1. Janab Kaifi Kalkatvi sahab
*BISMILLAH*

*Khoon sajjad ki ankho'n se rawa'n shaam mei'n hai*
*Karbala mei'n na mili aur na amaa'n shaam mei'n hai*

*Sath ghazi ke chala tha jo madine se kabhi*
*Qafila shah e zaman ka woh kaha'n sham mei'n hai*

*Jhuk gayi jiski zaeefi se kamar haay e yaha'n*
*Sar jhukaye woh khada aesa jawa'n shaam mei'n hai*

*Karbala mei'n jo lagaayi thi sitamgaro'n ne*
*Aag to bujh gayi uttha" jo dhuwa'n shaam mei'n hai*

*Us taraf dekhta jata hai sar e shah e zaman*
*Sar burida ali Akbar ka jaha'n shaam mei'n hai*

*De jagha ghar mei'n yateemo'n ko aseero'n ko koyi*
*Haaye ghurbat na koyi aesa maka'n shaam mei'n hai*

*Jaane kis tarha sakina ko rasan bandhi gayi*
*Ab bhi baazo e sakina pe nisha'n sham mei'n hai*

*Kyun na kaifi teri ankho'n se bahe ashk e aza*
*Aaj bhi girya kuna'n shah e zama'n sham mei'n hai*

2. Aliabbas fasih sahab

Aaj bhi dekho bada karb aaya'n shaam me hai.

Ek yateema ki fiza'on me fugaa'n shaam me hai

Qalb e momin ka suko'n karbola aur shae ka.

Koi puche hai kaha'n kahdo waha'n shaam me hai.

3. Janab Abbas sahab

Hashr barpa hai qayamat ka sama'n shaam me hai
Be rida dukhtar e khatoon e jina'n shaam me hai

Jisko suraj ne bhi dekha na kabhi nange sar
Haye be parda wahi mehwe fuga'n shaam me hai

4. Janab Chaman Rehmati sahab

Khoon  Sajjad  ki  aankh'oun  se  rava'n   Shaam  may  hai..
Dard jo Dil may hai  Chehray se aayaa'n Shaam may hai..

Taziyaanay jo lagatay hain laayee'n Aabid per,,
Hoosh Beemaar ko uss waqt kahaa'n Shaam may hai..

Gir pada qaak pe Abbas ka sar naizay se,,
Rona Zainab ka  qhayamat ka samaa'n Shaam may hai..

Sar e Akber ki taraf dekh kay Laila ne kaha,,
Teri Qurbani se Islaam jawaa'n  Shaam may hai..

Shabb-e-Aashoor ke manzer ko na bholay Aabid,,
Yaad jaltay hove qhaimoun ka dhuvaa'n Shaam may hai..

5. Janab  Mukhtar Ali sahab

*Zulm sajjad pe ha'n kitne giraa'n sham me hai,*
*Ek bimaar pe ye kaisa samaa'n sham me hai..*

*Dekh ke baap ka sar nok pe neza ki yu'n,*
*khoon sajjad ki aankho'n se rava'n sham me hai....*

*Jab Bulaaya gaya balve me nabizaadi ko,*
*Ek qayamat si ghadi haye ayaa'n sham me hai..*

6. Janab Naushad Bijani sahab

Apni gardan ko jhukaye huve ghayyor imaam.
Thaam ke apna jigar nawha kuna'n shaam me hai.

Dar badar ehle haram ko hai firate aada.
Khoon sajjad ki aankho'n se rava'n shaam me hai.

Wassalaam

Monday 9 October 2017

Tarhi misra: Falak pe chand namoodaar hai Moharram ka


بزم شعراء

◾ *BAZM-E-SHOARA* ◾
  
     SalamunAlaikum.

*MISRA BARA E NAWHA*  

              👇👇👇👇

*Falak pe chand namoodaar hai Moharram ka*

Qafiya: 👉 *Moharram*

Radeef : 👉 *Ka*

Misra by👉🏻  *Janab Altaf Maroofi sahab.*

http://www.bazmeshaura.blogspot.in

1. Janab Taqi kazmi sahab

Bichao farshe aza,n dor hai safe ghum ka.
Ada na hoga kabhi hamse haq ye matam ka.

1.khulus hona zaruri majlison ke liye.
Rumal zhara ka milta hai aansuon ke liye.
Krenge kaam ye zakhmo pe sheh ke marhm ka.

Falaq pe......

2.na lab pe koi tabassum ki baat bhi aaye.
Khyaal rakhna ke honto pe na hasi aaye.
Imam qatl hua hai ye sare aalam ka.

Falaq pe.....

3.aza,n ke farsh pe aati hai fatema Zahra.
Wuzu bagair na farshe husin pr aana.
Khyaal rakhna hai hmko hi is safe ghum ka.

Falaq pe.....

4.uthao parcham e abbas ba tharat tum.
Na bhool Jana jri ki kabhi shuja at tum.
Ali ke baad nighe baa,n yhi hai parcham ka.

5.ali ke lal ke maqsad pe jaan de denge.
Jo aanch aayegi matam pe jaan de denge.
Bnana hoga ye kirdaar apna misam ka.

Falaq pe.....

6.Rasool Zahra ali or Hasan ko do pursa.
Husain dasht e byan ba,n me aaj mara gya.
Falaq pe chand namudaar hai mohrram ka.

Falaq pe....

7.taqi nikalte hai gohar jo meri aankho se.
Broz e hasr bht mere kaam aayenge.
Ilaaj hai gham e shabbir har mere gham ka.

2. Janab Kumail Nagri sahab

Falak pe chaand namoodaar hai moharram ka.
Husainiio'n ke gharo'n me hai shaur matam ka.

🏴

Buland hazrate abbas ne kiya aise.
Pharaira aaj bhi lehra raha hai parcham ka.

🏴

Bichavu'n farshe aza zalimo'n ke halqe me.
ilaahi mujh ko ataa kar kalaija meesam ka.

🏴

Hamaare ashk ko rumaal me sajati hai.
Khayaal fatema rakhti hai chashme pur nam ka.

🏴

Gale lagaa ke ye zainab se roke bole husain.
Tumhara bhayi hai mehmaan bass kisi dam ka.

🏴

Kaha husain ne ab qatm hai safar mera.
Hilaale maahe moharram falak pe hai cham ka.

🏴

Lipat ke bhayi se zainab ye roke kehne lagi.
Maheena aagaya bhayya judayi aur gham ka.

🏴

Nazar na aaye kahi'n usko be ridaa zainab.
Ye ehtiyaat hai naize pe ek sare kham ka.

🏴

*Jo qadr rahbare islaam ka nahi karta*☝🏻
*Samajhlo uska hai eimaan sirf dirham ka.*

🏴

*Kumail* fatema zahra ne ki hai aisi ataa.
Raha na shikwa'h mujhe umr bhar kabhi kam ka.

3. Janab Anees Abr sahab

Har ek samt fazaon me hai sama gam ka,
*Falak pe chaand namudaar hai muharram ka..*

Jab inke sadqe me rab ne banaya hai kausar,
Be aab kyu hai ye qunba Rasool e akram(saw) ka..

Hai aankhe phool azadaar e shah e karbal ki,
Gam e Hussain(as) ka aansoo hai qatra shabnam ka..

Kaho Sageer(as) ne ragdi na ediyaaN warna,
Nikalta karbobala me bhi chashma zam zam ka..

Koi jhuka nahi sakta kabhi ise Abbas(as),
Baland aaj bhi qad hai tumhaare parcham ka..

Do raaste hi hai dunya me aadmi ke liye,
Hai eyk karbobala ka or ek jahannam ka.

Hamari aankhe hai bechain Sheh(as) pe rone ko,
Hamare hathoN ko hai intezaar matam ka..

Jigar ka zakhm abhi tak bhara nahi Sheh(as) ka,
Mutaleba hai har ek matami se marham ka..

Ye jiski laash padi hai dahekte sehra me,
Anees Abr ye maula hai pure alam ka..

4. Janab Kaifi kalkatvi sahab

*Jahaa'n mei,n ho gaya aaghaaz sheh ke matam ka*
*Falak pe chand namudaar hai muharram ka*

*Haa'n ab qareeb hai'n shabbir qatl hone ko*
*Hai surkh khoo'n sa har ik baam o dar do aalam ka*

*Kalejaa thaam ke roti hai maa koyi dekho*
*Laga hai qalb pe sadma hussain ke gham ka*

*Barehna paa jo julooso'n mei'n aa gaye bachche*
*Ye maujiza hi hai abbas tere parcham ka*

*Chala jo aankho'n se rumaal e fatehma ki taraf*
*Karega kaam ye bint e nabi pe marham ka*

*Dua e fatehma zehra hai bas yehi kaifi*
*Azeem ajr milega haa'n chashm e purnam ka*

5. Janab Mohsin Banarasi sahab

*"फ़लक पे चाँद नमूदार है मोहर्रम का...*
*ज़मीनों अर्श पे बरपा है शोर मातम का.!!*

*"जो चाहा दिल ने तो फर्शे अज़ा बिछाते है...*
*"नही है करते कभी इन्तेज़ार मौसम का.!!*

*"गिरा जो मजलिसे शब्बीर में है आँखों से...*
*"बुतूल लेती हैं अश्को से काम मरहम का.!!*

*"दुआ जो करती सकीना तो मोजिज़ा होता...*
*"निकलता खैमे के अंदर से आब ज़म-ज़म का.!!*

*"सितम का खौफ़ हो दिल में ये हो नही सकता...*
*"है हम पे आज भी साया जरी के परचम का.!!*

*"ज़बान काट दो ज़िक्रे अली में दो फाँसी...*
*"ये जज़्बा बोल रहा है लहू में मीसम का.!!*

*"उन्हें तो खुल्द है खुद चल के आ गयी लेने...*
*"निशान सीनों पे जिसके दिखा है मातम का.!!*

*"फ़लक भी खून के आँसू है रो रहा मोहसिन...*
*"नबी के कुन्बे पा टूटा पहाड़ है गम का.!!*

6. Janab Ghaazi sahab

Ye dil ko hogaya andaaz ab moharram ka
Sunaayi deti hai Aawaaz sheh ke maatam ka

Har eak haath tadaptaa rahaa Alam leney
Har eak seeney ko Tha intezaar maatam ka

Lahoo bahaayengey aankho se aakey ahley aza
*Falak pey chaand namoodaar hai moharram ka*

Jahaan waalo suno bhook o pyaas ka kunba
Ujadgaya labb e daryaa rasool e Akram ka

Zaraa si khaulta paani sahii pilaado inhey
Nahii hai pyaaso ko darkaar aab zamm zamm ka

Kahaa Husain ney laash e pisar pey aye beta
Bayaan kaisey karu maa se terey aalam ka ?

Lagaao pusht pey seeney pey sarr pey tum qanjar
Karengey kaam yehii fatema ko marham ka

Kataakey haath labb e nehr sogaye gaazi
Kamar ka shaah se poochey na haadsa qamm ka

Kamar ko thaamkey zehra hai farsh e majlis par
Aye *"GAAZI"* aankh se daryaa bahaao zamm zamm ka

7. Janab  Zeeshan Syed sahab

فلک پہ چاند نمودار ہے محرم کا
زمیں پہ شور ہے برپا حسین کے غم کا

کٹا کے ہاتھوں کو عبّاس نے کیا اونچا
یہ قلب کیوں نہ کرے احترام پرچم کا

یزید قتل نہ کر تین دن کے پیاسے کو
حسین لختِ جگر ہے رسولِ اعظم کا

خدا کی راہ میں سرور نے جو شہادت دی
رکھےگا یاد وہ ہر فرد نسلِ آدم کا

اُبھرتا یوں ہی نہیں داغ بے سبب کوئی
نشاں ہے چاند کے سینے پہ شہ کے ماتم کا

دلوں پہ جنّ و بشر کے لکھا ہے یہ فقرہ
حسین ہادی ہے ذیشان سارے عالم کا
फलक पर चांद नमूदार है मोहर्रम का
ज़मी पर शोर है बरपा हुसैन के ग़म का

कटा के हाथों को अब्बास ने किया ऊंचा
यह क़ल्ब क्यों न करें एहतराम परचम का

यज़ीद क़त्ल न कर तीन दिन के प्यासे को
हुसैन लख्ते जिगर है रसूल ए आज़म का

खुदा की राह में सरवर ने शहादत दी
रखेगा याद वो हर फर्द नस्ले आदम का

उभरता यूं ही नहीं दाग़ बेसबब कोई
निशा है चांद के सीने पे शह के मातम का

दिलों पर जिन्नो बशर के लिखा है यह फिक़रा
हुसैन हादी है ज़ीशान सारे आलम का

8. Janab Raheman ali sahab

*Arsh se farsh per aane laga qaflane karbobala*
*Falak pe chand namoodar he moharram ka*
*Bhul ke khusiyan apni doob jao ghame shabbir me*
*Aagaya he maHina binte zehra ke matam ka*

9.  Janab Azam Maroofi  sahab

falak pe chaand namudaar h moharram ka......
😭😭
samaa'n hai arsho zamee'n pr Husain k gham ka...
😭😭😭😭😭
sitam sakeena-o-asghar pe dhaye jayenge
😭😭
ye soch soch k phat'ta hai qalb Azam ka..

10. Janab AliAbbas FASIH sahab

Na kyun sha'ghab ho jahan me hussain ke ghum ka.
Falak pe chand nazar aagaya moharram ka.

Bala ke dasht me pyasa issi mahine me.
Nawasa qatl hua hai rasool e akram ka.

11.
  Lo intezaar huwa khatm
gham ke mosam ka
   Falak pa chand namudaar hai Moharram ka

Lagaye jaye,nge Fatwe hazaar bid,at ke
   Mager rukega na matam Shaheed e Azam ka

Wassalaam.