Thursday 30 June 2016

Tarhi Misra: BINE MULJIM NE HAIDAR PAR KIYA HAI WAAR SAJDE ME.

Tarhi Misra: BINE MULJIM NE HAIDAR PAR KIYA HAI WAAR SAJDE ME.

Misra By: Janab Sadiq Ali Naushad Sahab

Taarikh: June 2016

1
Jabab Anees Abr sahab.

Sar e aqdas pe jab aakar lagi talwaar sajde me,
Tadap kar reh gaye tab Hydar e karraar sajde me...

Madine me munadi ye sada deta raha rokar,
Ae logoN qatl hote hai Shah e Abraar sajde me...

Ye sunkar Turbat e Zahra(sa) larazti reh gayi ta dair,
Bine Muljim(la) ne Hyder(as) par kiya hai waar sajde me...

Namaaze ro rahi hai dekhkar ye haal masjid me,
Hai zakhmi janashin e Ahmed e Mukhtaar sajde me...

Sada FUZTO BE RABBI ki jo goonji to huwa mehsoos,
Simat aya ho jaise poora ye sansaar sajde me...

Thi kisme taab ke shere e khuda se jung me ladta,
Huwa hai qatl Ahmed(as) ka alambardaar sajde me...

Chalakar teg zaalim ne Ali(as) ke farq e athar par,
Sutoon e adl ko bhi kar diya mismaar sajde me...

Sitam ki teg se do neem sir hai haaye abru tak,
Ali pe waqt aya hai bada dushwaar sajde me...

Ruku me banda e ma'bood ko dekar zakaat apni,
Ali(as) ne kar liye ma'bood ke deedaar sajde me...

Ali(as) ka chahnewala bhi kaise benamaazi ho,
Huwa hai qatl jabke shioN ka sardar sajde me...

Ali(as) zakhmi huwe hai Abr jab sajde ki halat me,
Mera dil keh raha hai me likhu ashaar sajde me...

2
Janab Hasanraza Hafiz Sahab.

bine muljim ne ye kaisa kiya h waar sajde me
lahu se ho gaye tar haidr e karrar sajde me

ye sunkar shbbaro shbbeer masjid ki tarf daude
huye zakhmi hamare walid e gmkhaar sjde me

ye manzar dekh ke dil fat gaya arzo sama ka bi
zaher aalod haidr ko lagi talwar sjde me

tadp kar zainbo kulsoom roti aor kahti h
mere baba pe kisne kr diya h war sjde me

bine muljim bata tera ali ne kya bigada tha
ali to kar rahe the ta ate gaffar sjde me

lagai zarb aisi farq aqdas pr sitamgar ne
tadap ke rah gaya ek be kaso lachar sjde me

nbi girya kuna aor fatma gash me h ye sunkar
bine muljim ne haidr pr kiya h waar sjde me

tadp kar bhar rhe h khaak haidr apne zakhmo me
bada mushkil kusha pe waqt h dushwar sjde me

musalla masjid o mehrabo mimbar h sabi girya'n
gaya mara wasiye ahmde mukhatr sjde me

ali ne  fuz to rabbe kaba kah ke hmko batlaya
milega kamyabi ka faqat meyar

sada waqte sahr jibreel dete the ye ro ro kar
raza rukn e hedayt ho gaya mismar sjde me.

بن ملجم نے یہ کیسا کیا ہے وار سجدے میں
لہو سے ہو گئے تر حیدر کرار سجدے میں

یہ سنکر شبر و شبیر مسجد کی طرف دوڑے
ہوئے زخمی ہمارے والد غمخوار سجدے میں

یہ منظر دیکه کے دل پهٹ گیا ارض و سما کا بهی
زہر آلود حیدر کو لگی تلوار سجدے میں

تڑپ کر زینب و کلثوم روتی اور کہتی ہیں
مرے بابا پہ کس نے کر دیا ہے وار سجدے میں

بن ملجم بتا تیرا علی نے کیا بگاڑا تها
علی تو کر رہے تهے طاعت غفار سجدے میں

لگائ ضرب ایسی فرق اقدس پر ستمگر نے
تڑپ کے رہ گیا اک بیکس و لاچار سجدے میں

نبی گریہ کناں اور فاطمہ ہیں غش میں یہ سنکر
بن ملجم نے حیدر پر کیا ہے وار سجدے میں

تڑپ کر بهر رہے ہیں خاک حیدر اپنے زخموں میں
بڑا مشکل کشا پہ وقت ہے دشوار سجدے میں

مصلی مسجدو محراب و منبر ہیں سبهی گریاں
گیا مارا وصی احمد مختار سجدے میں

علی نے فزت رب کعبہ کہ کے ہمکو بتلایا
ملےگا کامیابی کا فقط معیار سجدے میں

صدا وقت سحر جبریل دیتے تهے یہ رو رو کر
رضا رکن ہدایت ہو گیا مسمار سجدے میں

3
Maulana Ghafir Rizvi Sahab.

Anokha rakh diya khaliq ne ye meyaar sajdey me.
bulandi par mila wo jo jhuka har baar sajdey me.

Shaqi ibn e shaqi ki tegh us aalam me uth'thi thi.
Ali, maabud se karte the jab guftaar sajdey me.

Flak larza zamee'n ka'npi sada Jibreel ki goo'nji.
hue hai'n aaj arkaan e huda mismaar sajdey me.

Lahu me tar amama dekh kar Hasnain kehte they.
Hai paigham e yatimi maz'har e asraar sajdey me.

Ibadat ka haqiqi husn hasil ho gaya mujh ko.
Qasam kha kar ye bole Haidar e kar'raar sajdey me.

Yahi "fuzto w'rabbe kaba" ki tashreeh hoti hai.
Zah e qismat lagi hai farq par talwaar sajdey me.

Yatimi ki sada Zainab ke kaano'n se jo takraayi.
Laga esa: qayamat aa gayi sou baar sajdey me.

Lahu mehraab se ubla Musal'la khoo'n se tar *GHAFIR*.
Bin e Muljim ne Haider par kiya hai waar sajde me.

انوکھا رکھ دیا خالق نے یہ معیار سجدے میں
بلندی پر ملا وہ جو جھکا ہر بار سجدے میں

شقی ابنِ شقی کی تیغ اس عالم میں اٹّھی تھی
علی، معبود سے کرتے تھے جب گفتار سجدے میں

فلک لرزا، زمیں کانپی، صدا جبریل کی گونجی
ہوئے ہیں آج ارکانِ ہدیٰ مسمار سجدے میں

لہو میں تر عمامہ دیکھ کر حسنین کہتے تھے
ہے پیغامِ یتیمی، مظہرِ اسرار سجدے میں

عبادت کا حقیقی حُسن حاصل ہوگیا مجھ کو
قسم کھاکر یہ بولے حیدرِ کرار سجدے میں

یہی "فُزتُ وَ رَبِّ کَعبَہ" کی تشریح ہوتی ہے
زہے قسمت، لگی ہے فرق پر تلوار سجدے میں

یتیمی کی صدا زینب کے کانوں سے جو ٹکرائی
لگا ایسا: قیامت آگئی سو بار سجدے میں

لہو محراب سے ابلا، مصلّیٰ خوں سے تر *غافر*
بنِ ملجم نے حیدر پر کیا ہے وار سجدے میں

4
Janab Zeeshan Azmi sahab.

🌹1. Mere maula ko zalim ki lagi talwaar sajde me
Laho bahta raha logo sare rukhsaar sajde me

🌹2. Karenge majliso matam ali ke chahne wale
Huwe hain qatl maula bekaso lachaar sajde me

🌹3. Bilak kar kiyo nahi royenge aale mustufa logo
Abu talib ke bete par huwi yalgaar sajde me

🌹4. Namaz e fajr ka manzar ye dekha hy musalmaN ne
Bine muljim ne Haidar par kiya hai waar sajde me

🌹5. Yateema ho gayee hy zainab o kulthoom ramazaN me
Ali ka khoon se ranggeen hy dastaar sajde me

🌹6. Saro ko peet te hain shabbar o shabbir yeh kah kar
Huwe zakhmi dagha se hydar e qarrar sajde me

🌹7. Zamane ko bata kar raaz apni kaamyabi ka
Ali karte rahe Allah ka deedar sajde me

🌹8. Khuda ki marefat hogi tumhe zeeshan pal bhar me
Agar dil se karo zikre khuda ek baar sajde me.

5
Maulana Raza Maroofi Sahab.

1. Khuda se ye kiya karta hu'n main izhar sajde me

Ki maot Aaye mujhe aiy khaliq e ghaffar sajde me

2. Hai sajde ko jaha'n me inferadi haisiyat hasil

Khuda ne hai'n rakhe makhsoos kuch Aasar sajde me

3. Kisi ke waste bhi juz khuda jayez nahi'n sajda

Khuda jane neha'n hai'n kaon se asrar sajde me

4. Khataye'n bakhah de ga khaliq e arz o sama sari

Gunaho'n ka agar kar le koi eqrar sajde me

5. Khila kar mehmano'n se ye ibeahim kahte the

Jabi'n ko rakh do tum apni faqat ek bar sajde me

6. Khuda ne nemat e ishqe ali mujh ko ata ki hai

Usi ka shukr karta hu'n ada har bar sajde me

7. Wasi e mustafa ka zikr hai is waste dekho

Gire jate hai'n kaghaz par mere ash'ar sajde me

8. Ali ne sar pe zarbat khake batlaya zamane ko

Hai muzmar kamyabi ka meri me'yar sajde me

9. Haqiqat hai imam e waqt jab sajde me jata hai

To us ke sath Aajata hai kul sansar sajde me

10. Elahi khair ho unniswi'n ki subhe sadiq hai

Jabi'n rakhkhe hue hai'n haidar e karrar sajde me

11. Laraz uththi nabi ki qabr zahra bhi tadap uththi'n

Lagi haidar ke sar par jis ghadi talwar sajde me

12. Khuda ka deen bhi keu'n siskiya'n le le ke rota hai

Bhala zakhmi hua ye kaon sa dindar sajde me ?

13. Asar talwar ke is war ka dunya ne dekha tha

Tadapta tha wasi e ahmad e mukhtar sajde me

Tazmeen

14. Kaha'n himmat thi hamlawar jo hota Aam halat me

Bin e muljim ne haidar par kiya hai war sajde me

15. Yatim o benawa'n , bekas yahi kah kar tadapte hai'n

Hua zakhmi hamara munis o ghamkhwar sajde me

16. Tadap kar hath me lekar alam abbas kahte hai'n

Hai kho'n me tar batar di'n ka alambardar sajde me

17. Raza mehrab e haq me khoon Aalooda tadapta hai

Elahi qafele ka qafela salar sajde me

خدا سے یہ کیا کرتا ہوں میں اظہار سجدے میں

کہ موت آئے مجھے اے خالقِ غفار سجدے میں

ہے سجدے کو جہاں میں انفرادی حیثیت حاصل

خدا نے ہیں رکھے مخصوص کچھ آثار سجدے میں

کسی کے واسطے بھی جز خدا جائز نہیں سجدہ

خدا جانے نہاں ہیں کون سے ےاسرار سجدے میں

خطائیں بخش دے گا خالق ارض و سما ساری

گناہوں کا اگر کرلے کوئی اقرار سجدے میں

کھلا کر مہمانوں سے یہ ابراہیم کہتے تھے

جبیں کو رکھ دو تم اپنی فقط اک بار سجدے میں

خدا نے نعمت عشق علی مجھ کو عطا کی ہے

اسی کا شکر کرتا ہوں ادا ہر بار سجدے میں

وصی مصطفیٰ کا ذکر ہے اس واسطے دیکھو

گرے جاتے ہیں کاغذ پر مرے اشعار سجدے میں

علی نے سر پہ ضربت کھاکے بتلایا زمانے کو

ہے مضمر کامیابی کا مری معیار سجدے میں

حقیقت ہے امام وقت جب سجدے میں جاتا ہے

تو اس کے ساتھ آجاتا ہے کل سنسار سجدے میں

الٰہی خیر ہو انیسویں کی صبح صادق ہے

جبیں رکھے ہوئے ہیں حیدر کرار سجدے میں

لرز اٹھی نبی کی قبر زہرا بھی تڑپ اٹھیں

لگی حیدر کے سر پہ جس گھڑی تلوار سجدے میں

خدا کا دین بھی کیوں سسکیاں لے لے کے روتا ہے

بھلا زخمی ہوا یہ کون سا دیندار سجدے میں

اثر تلوار کے اس وار کا دیکھا تھا دنیا نے

تڑپتا تھا وصی احمد مختار سجدے میں

کہاں ہمت تھی حلمہ ور جو ہوتا عام حالت میں

بنِ ملجم نے حیدر پر کیا ہے وار سجدے میں

یتیم و بے نوا بیکس یہی کہہ کر تڑپتے ہیں

ہوا زخمی ہمارا مونس و غمخوار سجدے میں

تڑپ کر ہاتھ میں لے کر علم عباس کہتے ہیں

ہے خوں میں تر بتر دیں کا علمبردار سجدے میں

رضا محراب حق میں خون آلودہ تڑپتا ہے

الٰہی قافلے کا قافلہ سالار سجدے میں

6
Janab Hasnain Marufi Sahab

Jabee,n rakhni thi hum ko is liye darkaar sajde me

Khuda se qurb ka ho raasta humwaar sajde me

😭
kiya hai jas tarah se haidare karraar ne apna

Ada kar hi nahi sakta koyi kirdaar sajde me

😭
tadap kar kah rahi hai,n maadare abbas zainab se

Bin e muljim ne haidar par kiya hai waar sajde me

😭
Amaama khoon me dooba hoa hai sher e daawar ka

Musalla masjid e kofa ka hai khoo,nbaar sajde me

😭
Malak sar peet te hai,n khaana e kaaba bhi rota hai

Lagi hai haidar e karraar ko talwaar sajde me

😭
Tadap kar fatema zahra lahed me bain karti hai,n

Musibat ka ali par hai gira kuhsaar sajde me

😭
tasauwwar kijye maula ki keya haalat hoyi hogi

Badhi jab khoon ke jaryaan ki raftaar sajde me

😭
zameen o aasma,n rote hai,n jab hasnain rote hai,n

Loho me tar ba tar hai,n haidar e karraar sajde me

7
Janab Eram Mehdi sahab.

Hue majrooh jaane Ahmad e Mukhtaar sajde me!!!!!!!
Utar ayi jabeen e paak tak talwaar sajde me !!!!!!!!!!!!!!
kaleje phat rahe hain Mominon ke dekh kar manzar!!
Bin e muljim ne Haider pr kiya hai waar sajde me!!!!!!

8
Janab Ahmed Abbas sahab.

Tadpta h qaseemul jannat e wannar sajde m
Lahoo m aaj doobe haidre krrar sajde m

ye sunte he dahade mar kar rone lagi zainab
Bine muljim ne haider pr kiya hai waar sajde m

Ye kysi zarb zalim n lgai  ek nmazi pr
Lahoo se tar ali ki ho gyi dastaar

jo shab me rotiya taqseem krta tha greebo ko
zahr alood usko lag gyi talwaar sajde m

Fira ankho m fir unniswi ramzaan ka manzar
Tahe khanjar dikhe mujhko shahe abrar  sajde m
            

9
Janab Hasan Utrolvi sahab.

Namaz e fazr mai'n hay haider e karrar sajde mein...
Kia mushkilkusha ne maut ka deedar sajdey me...

Nahii'n auqaat thi jo murtaza ke ro baroo aata...
Bin e mulzim ne haider pe kiya hay waar sajde me...

Khuda se guftugu krne mussale par jo aata hu...
Ali ko yaad krta hu hazaro'n baar sajdey me...

10
Janab Mohammad Govani sahab.

Ali sajde meN hote the kuchh aisi shaan se mashgool,

Ke jaise karte hoN ma'abood ka deedaar sajde meN,

Ganeemat jaani qaatil ne bhi is tarze ibaadat ko,

Bin.e Muljim ne Haider* par kiya hai waar sajde meN...!

11
Janab Hamza Behlool sahab.

Nabi ke dee'n ki dhaa di zulm ne deewaar sajde me
Bine mulzim ne haidar par kiya hai waar sajde me

Jidaare masjide kufa hai karti khoon ka matam
Hai zakhmi jaanashine ahemade mukhtar sajde me

Qadam mehraab me bhi murtaza ke ladkhadate hai.
Khuda ka aaj karna hai use deedaar sajde me

Larazte hai zamino aasma.n arshe mo'alla bhi
Ghareebo.n ke huve zakhmi alambardaar sajde me

Kiya shaminda zalim ne sabhi avlaade aadam ko
Khuda ke gar hua hai qatl paheli baar sajde me

Voh gham angez manzar yaad aata hai to rota hu.
Ali ka uth raha tha Sar giri talwaar sajde me

Sada yeh aasmaa'n me is tarah jibreel dete the.
Huve hai qatl logo haidare karrar sajde me.

Ali ne fusto be rabbi kaha hai is liye bahelol
Khuda ka hota hai bando ko yu deedaar sajde me

12
Janab Alisubhan Zaidi sahab.

شہادت پاگئے ہیں حیدر کرارسجدےمیں                                                                                                    دکھا یا ہے زمانے کو عجب ایثار سجدے میں

خدا کے جلووں میں گم ہیں جنابِ فاتحِ خیبر
"بنِ ملجم نے حیدر پر کیا ہے وارسجدےمیں"                                                                                                            

زمیں تڑپی فلک کانپا قیامت خیز منظر تھا                                                              
چلایا جب لعیں نے خنجرِ خونخوار سجدے میں                                                                                                                      

عبادت بھی شہادت بھی کہ اپنے رب کی قربت بھی                                          
وصیء مصطفی ٰ اس کا بنے اظہار  سجدے میں                                                         
علیِ مرتضی، مشکل کشا، شیرِ خدا ہے جو                                         اذیت سے مصیبت سے ہوا دوچار سجدے میں                                                       

انہیں معلوم تھا اللہ کی مرضی اسی میں ہے                                                      
خدا کےواسطے مولا ہوئے تیار ّ سجدے میں                                                                 

علی نے مرضیء مالک پہ اپنی جاں فدا کردی                                                                عبادت کے لیے سر تھا "شہادت وار سجدے" میں                                                           

کوئی الہام ہوجائے قلم *سبحان*اٹھائے جب                                                        خدایا شکر میں ہو سر مرا ہر بار سجدے میں                                                        

13
Janab Sadiqali Bijani (Navshad) sahab

Ali jab rab se karte ishq ka izhaar sajde me.
Na haael darmya'n hoti koi deevaar sajde me.

Khuda se jod te yu'n apne dil ke taar sajde me.
Nazar aate hamesha laaghro beemaar sajde me.

Raha hai umr bhar haidar ka yeh meyaar sajde me.
Na hoga dard chaahe to nikalo khaar sajde me.

Simat aate hisaare aalme anwaar sajde me.
Woh kar lete hai'n pal me arsh ki had paar sajde me.

Musalle ko woh maydaane wigha me bhi bichha dete.
Nahi tha khauf teero'n ki ho gar bochhaar sajde me.

Nahi tha dard ka ehsaas kheecha jism se jab teer.
Na dunya ka kabhi rakhte the dil par baar sajde me.

Aza'n sunte hi bas haidar ka chehra zard ho jaata.
Zaeefi ka khuda se karte woh iqraar sajde me.

Ali ki is adaae bandgi ka dhoondh kar mauka
Bine muljim ne haidar pe kiya hai waar sajde me.

              🌴🌴🌴

Yaha zalim ki haydar pe chali talwaar sajde me.
Binae arsh wa'n hokar giri mismaar sajde me.

Ali ko tegh aisi zehr aalooda lagi sa per.
Ali ka baaki rah paana huva dushwaar sajde me.

Zameeno aasmaa me yeh sada jibreel ki goonji.
Huva zakhmi ay logo deen ka sardaar sajde me.

Bahaaro'n me anadil ne kiye ro ro ke yeh nawhe.
Khizaao'n ne hai loota deen ka gulzaar sajde me.

Malak ke saath saare mbiya kehte the yeh ro kar.
Ke khaaro'n ne hai ronda aaj ek gulbaar sajde me.

Labe jinnat se sunte the koofe vaale ye nawha.
Ali ko kisne puhchaae hai'n yeh aazaar sajde me.

Gale ko dekh kar sookha bahae ashk khanjar ne.
Huvi jab shaahedee'n pe shimr ki yalghaar sajde me.

Kai din ka tha pyaasa push bhi kodo'n se thi zakhmi
Magar shukre khuda karta raha beemaar sajde me.

Kiya karti thi saaya uspe hardam zainabo kulsoom.
Ke jukta dhoop me jab qaafle saalar sajde me.

Ali ka vaasta deta hu ya rab bakh'sh de usko
Kare *Navshad* roke jab bhi istighfaar sajde me.

14
Janab Najaf Masoom Marufi Sahab.

1.chali jis dam bine muljim teri talwaar sajde me
Lahu me tar howe haiN haidare karrar sajde me

2. Mosalli masjide kofa ke haiN girya kunaN saare
Waqaare khanye kaaba howa mismaar sajde me

3. Lipat ke ro rahi hai pawoN se shabbir ki dukhtar
Ishaara kar raha hai kar ke sar rahwaar sajde me

4. Falak rone laga kuhraam hai kofe ki galiyoN me
Bine muljim ne haidar pe kiya hai waar sajde me

5. Howa hai rabbe akbar ka saheeh deedar sajde me
Khuda wahdat ka karte haiN teri iqraar sajde me

6. Nishane bughzo ghaddari chhipane keliye logoN
HaiN hamraahe mohd deen ke ghaddar sajde me

7. YaqeeN na ho to aake dekh lo mehraabe masjid me
Mohd ko nawase se hai kitna pyaar sajde me

8. Mobarak hai mahina is mahine me Najaf uththo
Khuda ke ghar me jake karlo istaghfaar sajde me

15
Syeda mehak raza kazmi saheba.

جبیں رکھتا ہے جب بھی حیدر کرار سجدے میں
خدا کے نفس کا دکھتا ہے پھر کردار سجدے میں

محافظ دینِ احمد کا جو تھا زخمی ہوا ایسے
لہو میں غرق ہے فرقِ شہ ابرار سجدے میں

لگائ ایسی ضربت کہ تڑپ کر رہ گئے مولا
بن ملجم نے حیدر پر کیا ہے وار سجدے میں

جگر تھامے ہوے حسنین ع  ہیں بابا کی حالت پر
تڑپتا ہے وصی احمد مختار سجدے میں ہے

فلک روتا ہے سن کر زینب و کلثوم کے نالے
جہاں سے آج اٹھا دین کا سردار سجدے میں

بن ملجم کی ضربت نے کیا ہے کچھ اثر ایسا
مصلی پر گرا ہے حیدرِ کرار سجدے میں

لہو روتے ہوئے عباس بھی آے ہیں مسجد میں
سنا جیسے ہی حیدر پر ہوا ہے وار سجدے میں

لحد میں فاطمہ زھرا جگر تھامے تڑپتی ہیں
مہک زخمی ہوا ہے سید و سردار سجدے میں

16.
Janab Altaf Haidari Maroofi Sahab

Payambar ka gaya jis dam qaraabat daar sajde me.

Kiya sajdo'n ne shukre haq ada sau bar sajde me
🌕
Khudaayi naaz karti h farishte wajd karte hain

Chale jate hain jis dam Haidar e Karrar sajde me
🌑
Magar Unneeswi'n Ramza'n
Namaz e sub'h ke maabain

Bine muljim ne Haidar pe kiya hai waar sajde me
🌑
Husain o Murtaza pr khoon kyo'n Altaf na Roye

inhi do zaat pr dekhi gayi talwaar sajde me

Wassalaam
Ilatemas e Dua
-Anees Abr'

Tarhi Misra: MARZI E MA'BOOD KA MEHWAR HASAN(as)

Tarhi Misra:  MARZI E MA'BOOD KA MEHWAR HASAN(as)

Misra By: Maulana Ghafir Rizvi sahab.

Taarikh: June 2016



1
Maulana Ghafir Rizvi sahab.

🌹
Waris e akhlaq e paighamber Hasan.
Deen e haq ke wastey zaivar Hasan.
🌹
Fikr ki parwaz tooba se mile.
Ho'n ataa Jibreel ke shehpar Hasan.
🌹
Khudbakhud baagho'n me kalyaa'n khil uthe'n.
muskura ke dekhe'n jo yeksar Hasan.
🌹
Mash'rab e naab e taman'na hai yahi.
Har ghadi naghma saje lab par "Hasan".
🌹
Yu'n sana qur'aan si lagne lagi.
hai kitaab e paak ka paikar Hasan.
🌹
Sul'h me ak'kas e ausaf e Nabi.
Jung me hai'n hoo b'hoo Haider, Hasan.
🌹
Ka'np kar reh jaaey maidan e jamal.
gheyz me dikhlaey'n jo tewar Hasan.
🌹
Sarfarazi ki taman'na hai mujhe.
Yu'n jhukaya tere darr pe sar Hasan.
🌹
Is ke dastarkhan se esa laga.
Wasf e rahmat ka bana maz'har, Hasan.
🌹
mukhtasar alfaaz me *GHAFIR* likho.
Marzi e mabood ka mehwar Hasan.


وارثِ اخلاقِ پیمغمبر حسن
دینِ حق کے واسطے زیور حسن
🌹
فکر کی پرواز طوبیٰ سے ملے
ہوں عطا جبریل کے شہپر حسن
🌹
خود بخود باغوں میں کلیاں کھل اٹَھیں
مسکراکے دیکھیں جو یکسر حسن
🌹
مشربِ نابِ تمنّا ہے یہی
ہر گھڑی نغمہ سجے لب پر "حسن"
🌹
یوں ثنا قرآن سی لگنے لگی
ہے کتابِ پاک کا پیکر حسن
🌹
صلح میں عکّاسِ اوصافِ نبی
جنگ میں ہیں ہوبہو حیدر، حسن
🌹
کانپ کر رہ جائے میدانِ جمل
غیظ میں دکھلائیں جو تیور حسن
🌹
سرفرازی کی تمنّا ہے مجھے
یوں جھکایا تیرے در پہ سر حسن
🌹
اس کے دسترخوان سے ایسا لگا
وصفِ رحمت کا بنا مظہر، حسن
🌹
مختصر الفاظ میں *غافر* لکھو
مرضیِ معبود کا محور حسن







2
Sadiqali Bijani Navshad.

Arsh par hai aap ka daftar hasan.
Har malak hai aap ka naukar hasan

salabeelo kavsaro tasmeem sab.
aap ke kadmo'n ki hai thokar hasan.

hooro gillmaano malaaik raat din.
banke khaadim hain tere dar par hasan.

yu'n to sardaare malak jibreel hai.
Hai magar woh aap ka naukar hasan.

aap ke rauze ki galiya'n bil yaqee'n.
khuld ke aywaa'n se hain badh kar hasan.

zarre zarre tere dar ki khaak ke.
khuld ke mehlo'n se hai'n behtar hasan.

Faatehe khaybar ke waris aap hain
Aap hai'n tasveere payghambar hasan.

haamile ilme ladunni hain hasan.
Marzie maabood ka mehwar hasan.

ho'n malaaik ya ke ho'n jinno bashar.
do jaha'n ke aap hain rehbar hasan

Sulh kar ke dushmanaane deen ko.
Kar gaya ek pal me khaakistar hasan.

Gham na kar navshad, aaenge zaroor.
Banke haami qabr ke andar hasan.







3
Maulana Raza Maroofi Sahab.

🌹Sulh me hai'n misl e paighambar hasan

Jang ke maida'n me hai'n haidar hasan

🌹15 sha'ban ko zahra ke ghar

Ban ke Aaye mani e kaosar hasan

🌹Khud hedayat ko bhi jis pe rashk ho

Aise rah e haq ke hai'n rahbar hasan

🌹Khud sakhawat ne dahan chooma mera

Aa gaya ju'n hi mere lab par hasan

🌹Sirat o kirdar padh kar dekh lo

Kul sefat e rab ke hain mazhar hasan

🌹Keya kare'n kaise sajae'n bam o dar

Aane wale hai'n hamare ghar hasan

🌹Aasman e madh par parwaz ko

Ho ata mujh ko bhi bal o par hasan

🌹Rad nahi'n hoti jaha'n koi dua

Ha'n ijabat ka wahi hain dar hasan

🌹Badeshaho'n ko sada dete hai'n bheek

Aap ki dahliZ ke naokar hasan

🌹Eik 13 sal ka kamsin jawa'n

Karbala me Aagaya bankar hasan

🌹Kuch na ho is ki ejazat ke bina

Marzi e mabood ka mahwar hasan

🌹Dil ki khwahish hai ki ja'n de de raza

Aap ke qadmo'n me rakh kar sar hasan.

       

صلح میں ہیں مثل پیغمبر حسن

جنگ کے میداں میں ہیں حیدر حسن

پندرہ رمضان کو زہرا کے گھر

بن کے آئے معنی کوثر حسن

خود ہدایت کو بھی جس پہ رشک ہو

ایسے راہِ حق کے ہیں رہبر حسن

خود سخاوت نے دہن چوما مرا

آگیا جوں ہی میرے لب پر حسن

سیرت و کردار پڑھ کر دیکھ لو

کل صفات رب کے ہیں مظہر حسن

کیا کریں کیسے سجائیں بام و در

آنے والے ہیں ہمارے گھر حسن

آسمان مدح پر پرواز کو

ہو عطا مجھ کو بھی بال و پر حسن

رد نہیں ہوتی جہاں کوئی دعا

ہاں اجابت کا وہی ہیں در حسن

بادشاہوں کو سدا دیتے ہیں بھیک

آپ کی دہلیز کے نوکر حسن

ایک تیرہ سال کا کمسن جواں

کربلا میں آگیا بن کر حسن

کچھ نہ ہو اس کی اجازت کے بنا

مرضی معبود کا محور حسن

دل کی خواہش ہے کہ جاں دے دے رضا

آپ کے قدموں میں رکھ کر سر حسن








4
Janab Haanain Marufi Sahab.

🌹
mustafa hai,n fatema haidar hasan

Khuld se behtar hai tera ghar hasan

🌹
Is qadar naaza,n qalam hai haath me

Likh ke tera naam kaaghaz par hasan
🌹

is se badh kar aur keya ho martaba

Faatema zahra ka hai dilbar hasan
🌹

eid   saar e ambiya   ki ho  gayi 

Aa gaye jab pushte  sarwar par hasan
🌹

Be zuba,n ko bhi zuba,n mil jaaye gi

Le le,n haatho,n pe agar paththar hasan
🌹

jur,ato himmat ke  haidar raahbar

Sabr ki doniya ke paighambar hasan
🌹

aaye e balligh ka chehra hai,n ali

Soraye rahmaan ka tewar  hasan
🌹

keya likhe hasnain us ki maarefat

Marziye maabood ka mehwar hasan









5
Janab Hasanraza Hafiz Sahab.

marziye mabood ka mahwar hasn
aur khuda ke din ka johar hasn
☄☄☄☄☄
fikr pahochi mnzile meraj par
maine bas likhkha tha kagaz par hasn

☄☄☄☄☄
husn yusuf hota hai jis pr nesar
hai ali ka wo mahe anwar hasn
☄☄☄☄☄
apki ane ki sunte hi khabar
zulm ko ane laga chakkr hasn
☄☄☄☄☄
ankh kholi apne aor band gaya
zalimo ka boriya bistar hasn
☄☄☄☄☄
lmhe bhar me mard se aurt bne
mard ko aurt jo kah de gr hasn
☄☄☄☄☄
kyo na har ek shai pe rkhkhe ikhteyar
jab sefate rab ke hai mazhar hasn
☄☄☄☄☄
saltant ka puchiye unse maza
apke dar ka hai jo naukar hasn
☄☄☄☄☄
kam se kam wo hakim e daura'n hua
jo b aya apke dar par hasn
☄☄☄☄☄
ap hi ki sulh ka ye faiz h
haq jo chalta h utha k sar hasn
☄☄☄☄☄
ye qalm jo apke hatho me h
zulm ki gardan pe h khanjar hasn

suraye kausr raza kahne laga
hai'n jawbe tanaye abtar hasn

مرضی معبود کا محور حسن
اور خدا کے دین کا جوہر حسن

فکر پہونچی منزل معراج پر
میں نے بس لکها تها کاغذ پر حسن

حسن یوسف ہوتا ہے جس پر نثار
ہے علی کا وہ مہ انور حسن

آپکے آنے کی سنتے ہی خبر
ظلم کو آنے لگا چکر حسن

آنکه کهولی آپ نے اور بنده گیا
ظالموں کا بوریا بستر حسن

لمحے بهر میں مرد سے عورت بنے
مرد کو عورت جو کہ دیں گر حسن

کیوں نہ ہر اک شی پہ رکهیں اختیار
جب صفات رب کے ہیں مظہر حسن

سلطنت کا پوچهئے ان سے مزہ
اپکے در کے ہیں جو نوکر حسن

کم سے کم وہ حاکم دوراں ہوا
جو بهی آیا اپکے در پر حسن

آپ ہی کی صلح کا یہ فیص ہے
حق جو چلتا ہے اٹها کے سر حسن

یہ قلم جو آپکے ہاتهوں میں ہے
ظلم کی گردن پہ ہے خنجر حسن

سورہ کوثر رضا کہنے لگا
ہیں جواب طعنہ ابتر حسن









6
Janab Zeeshan Azmi sahab

🌹Karte hy khairat maal o zar Hasan (as)
Hy sabhi ke monis o Yawar Hasan (as)

🌹Khush ho momin neemae ramazan me
aagaye hy fatema ke ghar Hasan(as)

🌹Chaudavi ka chand bhi kahne laga
marhaba tera rukhe anwar Hasan(as)

🌹Mahe ramaza me wiladat bhi huwi
aur huwe faaez imamat par Hasan(as)

🌹Karne ko aale umayya be naqab
Aayen ibne fatahe khaibar Hasan (as)

🌹 Sulha kar ke dushmane islam se
Karbala ek kar chuke hy sar Hasan(as)

🌹Dekhiye ghar ghar razab ke maah me
aaj bhi baqi tera langar Hasan(as)

🌹Maine dekha hikmat o akhlaaq me
Hobahoo lagte hain paigamber Hasan(as)

🌹Bil yaqee'n to hi hy farzande Nabi(saw)
karta hy zahir tera jouhar Hasan(as)

🌹 Hy khulasa manqabat ka bas yahi
Marziy e ma'abood ka mahwar Hasan(as)

🌹Manzilo ki fikr kya zeeshan ko
Jab talak hy saath me rahbar Hasan(as)




7
Janab Anees Abr' Sahab.

Marzi e mabood ka mehwar Hasan(as),
Aasamaan e amn ka akhtar Hasan(as)...

Baithe rehte hai tere dar par Hasan(as),
Hai malaik sab tere naukar Hasan(as)...

Karte karte raah e midhat me safar,
Thak gaye hai fikr ke lashkar Hasan(as)...

Kyu daru me gardishe e ayyaam se,
MushkiloN me hai mere yawar Hasan(as)...

Teri ulfat ka asar hai bil yaqeeN,
Amn se rehta hai mera ghar Hasan(as)...

Tera khama kam nahi talwaar se,
Tu shuja hai waris e Hyder(as) Hasan(as)...

Sura e Kausar ka tu misdak hai,
Hogaye dushman tere abtar Hasan(as)...

Ye ata e khaas mujhpar Abr hai,
Rab ne likhkha hai mere dil par Hasan(as)...






8
Hanab Najaf Masoom Marufi Sahab.

☄Nazishe kirdare paighambar Hasan
Noor ki dunya ke haiN paikar Hasan

☄Arjomande fatahe khaibar Hasan
Fatema zahra ke haiN dilbar Hasan

☄Jaam kausar ka pilayeNge hameN
Aap hi haiN malike kausar Hasan

☄Jhuk gaya kaaba salami keliye
Khanaye kaaba se haiN athar Hasan

☄Sulh karna hukme rab tha isliye
Na dekhaye tegh ke jauhar Hasan

☄Ho ke mas gahwaraye shabbir se
Mil gaye firtus ko balo par Hasan

☄Aaye haiN poshake jannat khuld se
Leke rizwaN aap ke dar par Hasan

☄De diya mabood ne sab kuch inheN
Marziye mabood ka mahwer Hasan

☄Hil gayi bunyade batil ai NAJAF
JoNhi boli aapki khwahar Hasan






9
Janab Sharif Rizvi Sahab

نام آیا جب تِرا لب پر حسن
دل پے دشمن کے چلا خنجر حسن

ہو مبارک مومنوں خوشیاں تمہیں
آگئے ہیں جانِ پیغمبر حسن

کیوں نہ جنت سے چلا آئے لباس
مرضئ معبود کا محور حسن

راکبِ دوشِ نبی بھی تو ہوا
سینئہ احمد تِرا بستر حسن

کچھ کا رہبر ہے پسر سفیان کا
شکر ہم سب کے ہوئے رہبر حسن

فیض دسترخوان کا ہے آپکے
نعمتوں سے پُر ہے میرا گھر حسن

ہیں محمد سب کے سب شارف اگر
یوں کہو پھر شافعِ محشر حسن






10
Syeda mehak raza kazmi saheba.

: امن کی دنیا  کا ہے گوہر حسن ع
مصطفی کے دین کا جوہر حسن ع

باپ نے مرضی خریدی ہے تو پھر
مرضی معبود کا محور حسن ع

کاٹ کر رکھ دے جو باطل کا غرور
ہے قلم بھی آپکا خنجر حسن ع

حیدرِ کرار ع کا دلبر ہے یہ
فاطمہ ع کا ہے مہ انور حسن ع

آپ کے در پر ہیں آتے مانگنے
عرش والے آپ کے نوکر حسن ع

جانشینِ حیدرِ کرار ع ہیں
ہو بہو ہیں مثل پیغمبر ص حسن ع

بس دعا کرتی رہے ہر دم مہک
یوں عطا جاری رکھیں مجھ پر حسن ع

از قلم :سیدہ مہک رضا کاظمی











11
Janab Hamza Behlool sahab.

Ab koi kya tujse ho badh kar hasan

Tujme aata he nazar haider Hasan

Fatema zahra ka hai gauhar Hasan

Marziye mabood ka mahevar hasan

Bas yahi qafi he azmat ke liye

Aapka naka he paygmber hasan

Ham shiane haidere karrar ke

Murtaza ke baad he rehbar hasan

Dhoop me he aaj turbat aapki

Dekhna mushkil he ye manzar Hasan

Farsh ki kya baat ho khud arsh par

Aapka mash'hoor he langar Hasan

Maang leta tumse bhi fitrus agar

Tab bhi usko milte Baalo par hasan

Uske aage sar jukata he jaha'n

Dar pe tere jukta he jo sar hasan

Ilteja he aapse behlol ki

Sher uske or ho behtar hasan







12
Janab Eram Rizvi sahab.

*Saheb e Ausaaf e paighambar hasan*
*Marzi e mabood ka mahwar hasan*

*Kalmilul imaaan hai dada tera*
*Markaz e islaam tera ghar hasan*

*teri ma,n hai do jahan ki maleka*
*Baap tera fatah e khaibar hasan*

*Jo teri dahleez par jhukte nahi*
*Thokaren kahte hain wo dar dar hasan*

*Sulh ka hai waqt, ya hai jung ka*
*Kaun jane aapse behtar hasan*

*Darj hain siffeen ki tareeq me*
*Aap ki talwar ke jauhar hasan*

*Dekh ke karbal me yaad ayi teri*
*Qasim e naushah ke tewar hasan*

*Ham hain dewane tere sibte rasool*
*Naam japte hain tera din bhar hasan*

*Aab e kauser se piyenge khuld me*
*Aapke pairon ko hm dhokar hasan*

*Aaj  hai youm e wiladat aapka*
*Tazkira hai aapka ka ghar ghar hasan*

*Jhoomta hai khanaye kaba eram*
*Wajd me hai gumbade akhzar hasan*

Wassalaam
Iltemas e Dua
Anees Abr

Friday 17 June 2016

TARHI MISRA:    JANAZA UTH RAHA HAI  MAADRE UMME ABEEHA KA.

TARHI MISRA:    JANAZA UTH RAHA HAI  MAADRE UMME ABEEHA KA.

MISRA BY: JANAB ALTAF HAIDARI MAROOFI SAHAB

TARIKH: JUNE 2016

1
Maulana Ghafir Rizvi Sahab

Azadaro'n ki aa'nkho'n me bhara hai gham Khadija ka.
Janaza leke kaa'ndho'n par chaley hai'n umme Zahra ka.

Tapak kar aa'nkh se aa'nsu ne yu'n roodaad e gham likh'khi.
Kaleja aa gaya hai mun'h ko  ehsaas e taman'na ka.

Na kyo'nkar ashk ki barsaat ho chashm e payamber se.
Gham e hijraa'n muqaddar ban gaya Hazrat ki dunya ka.

Nabi bhi hai'n barehna paa, barehna sar janazey me.
Tasawwur me isi se aa gaya rutba Khadija ka.

Bilakti reh gaei *GHAFIR HASAN!* Masoom si bach'chi.
Janaza uth raha hai maadar e um'me abiha ka.


عزاداروں کی آنکھوں میں بھرا ہے غم خدیجہ کا
جنازہ لیکے کاندھوں پر چلے ہیں امِّ زہرا کا

ٹپک کر آنکھ سے آنسو نے یوں رودادِ غم لکّھی
کلیجہ آگیا ہے منھ کو احساسِ تمنّا کا

نہ کیونکر اشک کی برسات ہو چشمِ پیمبر سے
غمِ ہجراں مقدّر بن گیا حضرت کی دنیا کا

نبی بھی ہیں برہنہ پا برہنہ سر جنازے میں
تصور میں اسی سے آگیا رتبہ خدیجہ کا

بلکتی رہ گئی *غافرحسن!* معصوم سی بچی
جنازہ اٹھ رہا ہے مادرِ امِّ ابیھا کا




2
Janab iram rizvi sahab.

Mahe Ramzaan ki daswin qayamat leke ayi hai
Jahan me aaj matam hai bapa bibi khadija ka
Pacharen kha rahin hain ma ke gham me Fatima Zahra 
Janaza uth raha hai madar e Umme Abiha ka

3
Janab Anees Abr Sahab.

JahaaN magmoom hai sara, bapa hai shor girya ka,
Janaza uth raha hai Madar e umm e Abiha ka...

Sutoon e arsh larzaaN hai, malak masroof e matam hai,
Qayamat ka sama hai, haal hai behaal dunya ka...

Chhupaaye muh ko nanhe hath se roti hai Masuma(sa),
Mohammad kis tarah dekhe tadapna aaj Zehra(sa) ka..

HazaroN haif dunya se chali hai mohsina deeN ki,
Firaaq e jaaN se khuNgashta jigar hai shaahe batha ka..

Qalam gash khaake girta hai sar e qirtaas par rokar,
Masaeb ka samandar Abr hai nauha khadija ka...



4
Janab Hasnain Marufi Sahab.

Wasiyet fatema zahra se yu,n karna khadija ka

Kalaija phat raha hai dekh kar shaahe madina ka

Falak khoo,n ro raha hai farshe gaiti bhi tadapti hai

Janaaza uth raha hai maadar e umme abiha ka


5
Hanab Zeeshan azmi sahab

🌹Baya'n kya ho zuba'n se martaba bibi khadija ka
salaam inke liye aata raha allah ta'alaa ka

🌹Nabi kije ziyarat aakheri bibi khadija ki
Janaza uth raha hai maadar e umme abeeha ka

🌹Kafan khaliq ne bheja tha nabi ki zauja ki khatir
Zamaana dekh aala martaba aisa khadija ka

🌹Judai maa ki beti se bada hy dard ka manzar
Utha saya jo madar ka hazee'n tha qalb zahra ka

🌹Nabi ke wasate zeeshan aamul hizn kiyo na ho
Jaha'n se jab utha saya abutalib ka zauja ka

🌹بیاں کیا ہو زباں سے مرتبہ بی بی خدیجہ کا
سلام ان کے لئے آتا رہا اللہ تعالی کا

🌹نبی کیجے زیارت آخری بی بی خدیجہ کی
جنازہ اٹھ رہا یے مادرِ امّمِ ابیہا کا

🌹کفن خالق نے بھیجا تھا نبی کی زوجہ کی خاطر
زمانہ دیکھ اعلی مرتبہ ایسا خدیجہ کا

🌹جدائی ماں کی بیٹی سے بڑا ہے درد کا منظر
اٹھا سایہ جو مادر کا حزیں تھا قلب زہرا کا

🌹نبی کے واسطے ذیشان عام الحزن کیوں نہ ہو
جہاں سے جب اٹھا سایہ ابوطالب کا زوجہ کا



6
Janab Sadiqali Bijani (Navshad) Sahab

Safar jisdam huva is daare faani se khadeja ka.

Ghamo'n se ho gaya chhalni jigar us waqt zehra ka.

--

Huve mashghool maatam me bani haashim ke ghar waale.

Janaza uth raha hai maadre umme abia ka..

--

Dare khaima pe ek ma muntazir thi apne bete ki.

Na aaya lautkar Navshad akbar umme laila ka



7
Janab Altaf Haidari Maroofi Sahab.

Kaleja para para ho gaya yaseen o taaha ka

Efaaqa ghash ke aalam se nahi hota hai Zahra ka

Jena se aake ay Mariyam tasalli do dilasa do

Janaza uth raha hai maadar e Umme Abeeha ka




8
Najaf Masoom Marufi Sahab.

😭likhoN kis tarh se nauha bhala maiN umme zahra ka
Jigar hai khoon aaloda abhi tak shahe makka ka

😭nechhawar kardi raahe haq me apni daulato shuhrat
Karam islaam bhulega bhala kaise khajeeda ka

😭madeena sog me duba , haiN gham me ahmade mursal
Janaza uth raha hai madare umme abiha ka

😭ali ne isliye karke ta'aaruf maaN se batlaya
Zamana jaan le kitna bada hai rutba mata ka

😭ZameeN par shore matam hai falak wale bhi rote haiN
Janaza dekhke sarkare do aalam ki zauja ka

😭Padi haiN fatima gash me to ahmad pa payada haiN
Janaza uth raha hai madre umme abeeha ka

😭Khajeeda ne diya hai maal imraaN ne lahu dekar
Kiya hai dahr me gulshan hara rabbe ta'aala ka

Wassalaam
-
Iltemase Dua
Anees Abr

Tuesday 14 June 2016

Misra e Tarah: Mezba'n hai rouzadaro'n ka khuda ramzaan me

Misra e Tarah: Mezba'n hai rouzadaro'n ka khuda ramzaan me

Misra By: Janab SadiqAli Naushad Sahab.

Tarikh: June 2016


1.
Maulana Ghafir Rizvi sahab

Is tarah rehmat ka darr waa ho gaya ramzaan me.
hath'kadi bedi me Shaita'n bhi mila ramzaan me.
🌹
Rehmato'n ka Shaamyana barkato'n ki hai qanaat.
Rabb ka darbaar e adalat yu'n saja ramzaan me.
🌹
Jitna mumkin ho karo rabb se dua ramzaan me.
Gher mumkin hai ke radd ho ilteja ramzaan me.
🌹
Ese kuch sehraa e esyaan e taman'na se bacho.
Hur bhi gar dekhe to ho hairat zada ramzaan me.
🌹
Hai qasam Hur ki haqiqi Hur wohi kehlaeyga.
Nafs ke chungal se jo bhi Hur hua ramzaan me.
🌹
Khwab e ghaflat se utho gar kamyabi chahiey.
Arsh se aayi munadi ki nida ramzan me.
🌹
Me tha masruf e munajat o dua waqt e sahar.
Yu'n laga jese mujhe rabb mil gaya ramzaan me.
🌹
Le ke aaya tha wo qismat kis qadar paak o nafees.
Jo yaha'n se chal basa daar e baqa ramzaan me.
🌹
Is se badh kar azmat e ramzaan kya kije raqam.
Ho gayi nazil kitab e kibriya ramzaan me.
🌹
Kam se kam GHAFIR rakho rouzey isi ko soch kar.
Mezba'n hai rouzadaro'n ka khuda ramzaan me.
🌹
اس طرح رحمت کا در وا ہو گیا رمضان میں
ہتھکڑی بیڑی میں شیطاں بھی ملا رمضان میں
🌹
رحمتوں کا شامیانہ، برکتوں کی ہے قنات
رب کا دربارِ عدالت یوں سجا رمضان میں
🌹
جتنا ممکن ہو کرو رب سے دعا رمضان میں
غیر ممکن ہے کہ رد ہو التجا رمضان میں
🌹
ایسے کچھ صحرائے عصیانِ تمنّا سے بچو
حر بھی گر دیکھے تو ہو حیرت زدہ رمضان میں
🌹
ہے قسم حر کی حقیقی حر وہی کہلائے گا
نفس کے چنگل سے جو بھی حر ہوا رمضان میں
🌹
خوابِ غفلت سے اٹھو گر کامیابی چاہئے
عرش سے آئی منادی کی ندا رمضان میں
🌹
میں تھا مصروف مناجات و دعا وقتِ سحر
یوں لگا جیسے مجھے رب مل گیا رمضان میں
🌹
لے کے آیا تھا وہ قسمت کس قدر پاک و نفیس
جو یہاں سے چل بسا دارِ بقا رمضان میں
🌹
اس سے بڑھ کر عظمت رمضان کیا کیجے رقم
ہوگئی نازل کتابِ کبریا رمضان میں
🌹
کم سے کم غافر، رکھو روزے اسی کو سوچ کر
میزباں ہے روزہ داروں کا خدا رمضان میں
🌹



2.
Janab Hasan Raza Sahab

is qadar ne rab ne mere mujhko diya ramzan me
rahmato ka mai sulaima'n ho gaya ramzan me

maine pucha rab se meri kab khata hogi mo aaf
aai ye awaz mere dar pe aa ramzan me

ha ise kahte h sone pe sohaga dekh lo
fatma ki god me h mujtaba rmzan me

shukr ke sajde faqt ye soch kar krte rho
rahnuma hmko mila h dosra ramzan  me

faqa kash logo ki halat ka hme ehsas ho
rab ne wajib isliye roza kiya ramzan me

mai gunaho ke maraz me ho gaya tha mubtala
mujhko aakhir mil gai is se shefa ramzaan me

jisko dekho wo hai msroof e telwat aor dua
har tarf manzar h kitna khushnuma ramzan me

allh allh is mahine ki fazeelat ka urooj
sans b lena ebadat ho gaya ramzan me

bat to jab hai ke har ek mah me aati rahe
jaise aati h gunaho se haya ramzaan me

roze daro ka ab is se bad k   kya hoga sharaf
mezaba h rozedaro ka khuda ramzaan me

waaqai pucho to uski hi faqat hoti h Eid
jiko milti h Raza rab ki raza ramzan me
اس قدر رب نے مرے مجهکو دیا رمضان میں
رحمتوں کا میں سلیماں ہو گیا رمضان میں

میں نے پوچها رب سے میری کب خطا ہوگی معاف
آئ یہ آواز میرے در پہ آ رمضان میں

ہاں اسے کہتے ہیں سونے پہ سہاگہ دیکه لو
فاطمہ کی گود میں ہیں مجتبی رمضان میں

شکر کے سجدے کے فقط یہ سوچ کر کرتے رہو
رہنما ہمکو ملا ہے دوسرا رمضان میں

فاقہ کش لوگوں کی حالت کا ہمیں احساس ہو
رب نے واجب اس لئے روزہ کیا رمضان میں

میں گناہوں کے مرض میں ہو گیا تها مبتلا
مجهکو آخر مل گئ اس سے شفا رمضان میں

جسکو دیکهو وہ ہے مصروف تلاوت اور دعا
ہر طرف منظر ہے کتنا خوشنما رمضان میں

الله الله اس مہینے کی فضیلت کا عروج
سانس بهی لینا عبادت ہو گیا رمضان میں

بات تو جب ہےکہ ہر اک ماہ میں آتی رہے
جیسے آتی ہے گناہوں سے حیا رمصان میں

روزہ داروں کا اب اس سے بڑه کے کیا ہوگا شرف
میزباں ہے روزہ داروں کا خدا رمضان میں

واقعی پوچهو تو ہوتی ہے فقط اسکی ہی عید
جسکو ملتی ہے رضا رب کی رضا رمضان میں

3.
Janab Zeeshan Aazmi Sahab

🌹1. Kya karam bando pe Rab ne kar diya ramazan me
Roze awwal qaid shaita'n ko kiya ramzaan me

🌹2. Marhaba kaisa sharaf hum ko mila hy dekhiye
Mezbaa hai rozadaro ka khuda ramzaan me

🌹3. Aayate quran ki padh yeh ghanimat jaan kar
Mauqa khaliq ne tilawat ka diya ramazan me

🌹4. Sal bhar achchi sahat rahti hai meri dosto
Roza rakhta hu to milti hai shifa ramzan me

🌹5. Yeh ibadat, mushkiley sab door kardegi teri
waqt-e-ifatari khuda se kar dua ramazan me

🌹6. Apne maula ki wiladat ho mubarak momino
Fatima ke ghar me aaye mujtaba ramazan me

🌹7. Neema-e-ramazan hai aur lab pe mere ya hasan
Rozadaro shab me ho jashn-e-wila ramazan me

🌹8. Barkato ka hy mahina kuch utha le faida
Kam se kam sote muqaddar ko jagaa  ramazan me

🌹9. Ibne muljim ne lagaya zarb maula ko mere
Ho gaye rukhsat jaha'n se murtuza (as) ramzan me

🌹10. Hai hazaro shab se bahter qadr ki shab momino
Likhte hy har ek malak qadro qaza ramazan me

🌹11. Chahe jab so jaao wo bhi hai ibadat me shumar
Aisa mauqa rozadaro ko mila ramazan me

🌹12. Inquilab iran me ba name yaum-e-quds ke
Alvidaee jum'a  se qayam huwa ramazan me

🌹13. Mutaqqi ban jayega pahle hi eidul fitr ke
Eidi gar zeeshan ko dede khuda ramzaan me
١. کیا کرم بندوں پہ رب نے کر دیا رمضان میں
روزِ اوّل قید شیطاں کو کیا رمضان میں

٢. مرحبا کیسا شرف ہم  کو ملا ہے دیکھئے
میزباں ہے روزہ داروں کا خدا رمضان میں

٣.آیتِ قرآن کی پڑھ یہ غنیمت جان کر
موقع خالق نے تلاوت کا دیا رمضان میں

٤. سال بھر اچھی صحت رہتی ہے میری دوستو
روزہ رکھتا ہوں تو ملتی یے شفا رمضان میں

٥. یہ عبادت مشکلیں سب دور کردیگی تیری
وقتِ افطاری خدا سے کر دعا رمضان میں

٦. اپنے مولا کی ولادت ہو مبارک مومنوں
فاطمہ کے گھر میں آئیں ہیں مجتبی رمضان میں

٧. نیمئے رمضان  ہے اور لب پر میرے یا حسن
روزہ داروں شب میں ہو جشنِ ولا رمضان میں

٨. برکتوں کا مہینہ ہے کچھ اُٹھا لے فائدہ
کم سے کم سوتے مقدّر کو جگا رمضان میں

٩. ابنِ ملجم نے لگایا ضرب مولا کو میرے
ہو گئے رخصت جہاں سے مرتضی رمضان میں

١٠. ہے ہزاروں شب سے بہتر قدر کی شب مومنوں
لکھتے ہیں ہر اک ملک قدروقضا رمضان میں

١١. چاہے جب سو جاؤ وہ بھی ہے عبادت میں شمار
ایسا موقع روزہ داروں کو ملا رمضان میں

١٢. انقلاب ایران میں بہ نامِ یومِ قدس کے
الوداعی جمعہ سے قائم ہوا رمضان میں

١٣. متّقی بن جائگا پہلے ہی عیدالفطر کے
عیدی گر ذیشان کو دیدے خدا رمضان میں

4.
Janab Ahmed Abbas Sahab

Ae musalma paoge tm sb jaza ramzaan m
Gar amal ko nek tum lae baja ramzaan m

Is mahine ki fazilat m y bs ahmad kaho
Mezba,n hai rozadaro ka khuda ramzaan m


5.
Janab Anees Abr Sahab

Baksh deta hai hamari har khata Ramzaan me,
Rehmat e mabood ki hai inteha Ramzaan me...

Is mahine ki fazilat Abr kaise ho bayaaN,
MezbaaN hai rozedaaroN ka khuda Ramzaan me..


6.
Janab Hasnain Maroofi Sahab

Khol do dil ke dareeche paak kar lo zehn o dil

Aa raha hai rahmato,n ka qaafila ramzaan me

Surkhoru ho jaye,n ge sab mehma,n is maah me

Mezba,n hai rozadaaro,n ka khuda ramzaan me


7.
Janab Sharif Rizvi Sahab

Kya batau ham ko kya rab ne diya ramzan me
Bakhshisho'n ka raasta ham pe khula ramzan me

Maa'ng le khaliq se apne jo bhi dil me hai tere
Rad khuda karta nahi koi dua ramzan me

Jo nahi rakhte hain roze waasta unse nahi
Mezba'n hai rozedaaro ka khuda ramzan me

Eid uski h faqat khushiya manaye bas wahi
Jisne shaarif ki na ho koi khata ramzan me


8.
Syeda Mehak Raza Kazmi Sahiba

دے رہا ہے یہ ندا خود کبریا رمضان میں
رحمتوں کا در کیا ہے میں نے وا رمضان میں

روزہ داروں کے لیے یوں کھول دیتا ہوں میں در
خود بخود جنت کی آتی ہے ہوا رمضان میں

اس سے بڑھ کر اور کیا ہو گا شرف ہمکو عطا
میزباں ہے روزہ داروں کا خدا رمضان میں

عظمتِ ماہِ مبارک کیا کرے کوئ بیاں
خود کلامِ کبریا نازل ہوا رمضان میں

اصل میں ہے بھوک کا اور پیاس کا مطلب یہی
ہر بشر کو یاد آے کربلا رمضان میں

مر ھی جائے بھوک سے تشنہ لبی سے ھر بشر.
گر کرے نہ صبر سبکو رب عطا رمضان میں

کر رہی ہوں یہ خدا سے التجا رمضان میں
دیکھ آؤں میں بھی جاکے کربلا رمضان میں

جو بھی مانگوں میں مہک وہ بخش دیتا ہے خدا
در نہیں ہوتی میری کوئ دعا رمضان میں


9.
Janab Masoom Najaf Maroofi Sahab

🌹Kar ataa taufeeq mujh pe ye khuda ramzaan meN
Ho na paye eik bhi rooza qazaa ramzaan meN

🌹Qalbe paighambar pe utra rab ka qur'aane majeed
Ho gaya pura kalaame kibriya ramzaan meN

🌹Had se zyada khush huwa karta hai rabbe do jahaN
NaujawaN karta rooza jab adaa ramzaan meN

🌹Jism ki karlo adaa is maah meN apni zakaat
Baabe barkat khul gaya is saal ka ramzaan meN

🌹Rakh ke rooza le lo barkat ka zakheera dostoN
Khool deta hai dare barkat khuda ramzaan meN

🌹Pahla aaya hai rajab me teesara shabaan me
Aa gaya rahbar hamara dosara ramzaan meN

🌹Saari makhlooqe khuda Se isliye afzal haiN hum
MezabaaN hai khaliqe arzo samaa ramzaan meN

🌹Is se bad ke kya karam ho rab ka hum pe dostoN
Band rakhta hai dare dozakh khuda ramzaan meN

🌹Eik ya do chaar kya pure mahine keliye
MezabaaN hai roozadaroN ka khuda ramzaan meN

🌹Rahmato barkaat ka hai ye mahina ai NAJAF
Ghaib se hogi khuda ki har ataa ramzaan meN

Wassalaam.
Iltemas e Dua
Anees Abr