Sunday 30 April 2017

Tarhi Misra: Ja rahe hai karbalaa sarwar madeena chhor kar

TARHI MISRA: Ja rahe hai karbalaa sarwar madeena chhor kar

Misra by Janab Navshad Bijani Sahab
26/04/2017

1
Janab Zia sahab.

Turbat e zahra pa tha ye bibi sughra ka baya'n.
Ja raheN haiN karbala baba madina chhor kar.
Karti huN israar ye ki le chaleN wo mujhko bhi,
Dadi kahiye to zara jaayeN na tanha chhor kar.





2
Janab Shahid mirza sahab.

Maa ki Turbath aur wo Nana ka Rouza chhorker🔹
Raahe Haq mein Shahedee'n Beti ko tanha chhorker🔹
Ghar lutane Sar katane deen par Shahid kaho🔹
Jaa rahe hai Karbala Sarwar Madina chhorker🔹



3
Janab Kumail Nagri sahab

Ghar me beti fatema sughra ko *tanha* chod kar.
Jarahe hai karbala sarwar *madina* chod kar.

⚫⚫

Wada e tifli nibha ne keliye haidar ka laal.
Jaraha hai marqade zahra ko *tanha* chod kar.

⚫⚫

Apne sine se laga kar boli sughra ay bahen.
Jarahi ho tum bhi kiya, hum ko *sakina* chod kar.

⚫⚫

Boli sughra haif hai bhayya ali akbar mere.
Jarahe ho meri aankho'n me *andhera* chod kar.

⚫⚫

Bole akbar ay bahen lene mai wapas aavunga.
Jaraha hu'n mai magar *wada* ye mera chod kar.

⚫⚫

Aan kar sughra ye boli mai karungi intezaar.
Jaa rahe ho tum mere dil me *tamanna* chod kar.

⚫⚫

Aap ki furqat me baba zindagi to maut hai.
Jaa rahe ho goya beti ka *janaza'h* chod kar.

⚫⚫

Dil shikasta ko ghadi bhar to saku'n mil jaayega.
Jaao par bhayya ali asghar ko *baba* Chod kar.

⚫⚫

Choom kar mathe ko asghar ke ye sughra ne kaha.
Kiya chale jawoge aankho'n me ye *chehra'h* chod kar.

⚫⚫

Hogaya mahshar bapa usdam madine me *kumail*
Jaa rahe The haa'h jab nana ka *rauza* chod kar.


4
Janab Kaifi sahab.

*Ja rahe hain karbalaa sarwar madeena chhor kar*
*Ik shama qabr e payamber par hain jalta chhorh kar*

*Rukhsat e aakhir ko aaya hai hussain ibn e ali*
*Dar pe rauze ke tumhare apna kunba chhorh kar*

*Qabr e zehra tharthara utthi qayamat aa gai*
*Jab suna jata hai beta maa'n ko tanha chhorh kar*

*Amma rauze par tumhare ho chiragha is liye*
*Ja raha hoon ghar mei'n ik bimaar chehra chhorh kar*

*Fatehma zehra ki turbat se sada aane lagi*
*Hamsafar hai maa'n teri baba ka saaya chhorh kar*

*Kehti hai'n ummul-bani abbas ko" shabbir se*
*Ek lamha bhi juda hona na beta chhorh kar*

*Dasht mein so jaonga amma main asghar ko liye*
*Qaid mein bali sakina ko akelaa chhorh kar*

*Daman e shabbir thame bachchi hai ik nauha gar*
*Kyun chale ho janib e maqtal aye baba chhorh kar*

*Majlis e shabbir ki khatir woh dekho ghar mere*
*Aagaye'n zehra bhi kaifi apna rauza chhorh kar*





5
Janab Navshad Bijani Sahab,

Ja raha hai qabr naana ki navaasa chhor kar.
Khaak karbal ki baraaye umme salma chhor kar.

Lakhte dil lakhte jigar sughra ko tanha chhor kar.
Ja rahe hai karbala sarwar madeena chhor kar.

Ghutniyo ke bal husain aae hai ma ki qabr tak
Kis tarah uth paaenge ab qabre zehra chhor kar.

Qabre maadar se lipat kar ro ke kehte the husain.
Karbala jaata hu tera aasataana chhor kar.

Roze aashura tu amma aana maqtal me zaroor.
God me sar lena mera apna roza chhod kar.

BHaai ko bhi saath laana karbala ke dasht me.
Qatl hojaaunga mai qaasim ka laasha chhor kar.

Saaf maqtal ki zamee'n tu aake kar dena zaroor.
Mai kataaunga jaha'n sar apna, dunya chhor kar.

Karna saaya apne baalo'n se tu meri laash par
Dhoop me aada mera jaaenge laasha chhor kar

Teen din ki pyaas se sookha gala hoga mera.
Paani tu amma na peena mujko pyaasa chhor kar.

Khayme jab jal jaae or chhin jaae zainab ki rida.
Kehna baaba se woh aaye apna roza chhod kar.

Berida le jaaenge zainab ko aada shaam tak.
Dena tu pursa use tab mera laasha chhor kar.

Qabr se aai sada zehra ki ay pyaare husain.
Kis tarah rah paaungi mai tuj ko tanha chhor kar.

Tu jaha'n hoga vaha'n yeh teri ma aajaayehi.
Saath tere mai bhi aaungi madeena chhor kar.

God me meri katega sar tera tu dekhna.
Chayn se kaise rahu mai tujko tanha chhor kar.

Saath mai zainab ke bhi jaaungi mere laadle.
Dhoop me chalti rahungi mai bhi saaya chhor kar.

Ay mere pyare safar islaam ki khaatir karo.
Ab basaalo karbala tum shehre tuba chhor kar.

Alweda navshad maadar se kaha shabbeer ne.
Rote rote aagae ghar qabre zehra chhor kar.

Wednesday 26 April 2017

Tarhi Misra: Hai Kalame Kibriya me'n Tazkira Meraj ka.

مصرعہ بزم شعراء

🌺 *BAZM-E-SHOARA* 🌺
  
MISRA BARAE QATA 

              👇👇👇👇

Hai Kalame Kibriya me'n Tazkira Meraj ka.

Qhafiya: 👉  Tazkera
Radeef : 👉 Meraaj ka

Misra by👉🏻  Janab Kashif sitapuri sahab

Diye gaye tarhi misre par shoara hazraat ke kalaam...

1.Janab Fasih sb:

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Hai kalam e kibriya me tazkira meraj ka.

Padh ke ab to samjhe duniya waqiya meraj ka.

        .................

Marhaba sad Marhaba ya mustafa aayi nida.

Jab safar sarkar ko dar pesh tha meraj ka.

         ..............

Ya baata do Haath chooma tha nabi ne kiska phir.

Ya to kahdo jism waala tha khuda meraj ka.

           .........

Rauza e aqdas pa apne humko bhi bulwaiye.

Aay habeeb e kibriya hai wasta meraj ka.



2.Janab Arshad sb:

Azmate Zahara aya'n karni thi har makhlooq par

Mashgala kuch bhi nahi iske siwa meraj ka

Tohfa e Zahara nabi ko milna tha allah se

Is liye to pesh aaya waqiya meraj ka

3.Janab Naushad sb:

Farq jo samja nahi rooho badan ke darmya'n.

Woh bhala samjega kaise waaqea meraaj ka.

Saaf lafzo me likha hai khool kar tum dekh lo.

Hai kitabe kibrya me tazkera meraaz ka.

4.Janab Zia haidar sb:

KyuN nusairi na kahe Ali ko wo apna Khuda,
Hai kalaame kibriya me tazkira meraaj ka.
Hai gunaah itna hi uska ki use Haidar ka,
Sajdaye khaliq na dikha sab dikha meraaj ka.

5.Janab Kausar sb:

Jo samajh paae na ab tak waaqeaa meraaj ka

Wo bhala samjhenge kaise faaslaa meraaj ka

Aql ke andho bhala kaise dikhaai de tumhe

Hai kalaam,e kibriya me tazkera meraaj ka

6.Janab Hasnain maroofi sb:

Murtaza likhhu,n ya likhhu,n mustafa meraaj ka

Ya ki likhhu,n deene haq me maarqa meraaj ka

Lam ya lid ke haath bhi parde se baaher aa gaye

Ye mohammad ka hai ya phir mujaza meraaj ka

Khilqate aadam zameene farsh tak mehdood hai

Aamade zahra hai lekin martaba meraaj ka

kiu,n na ay hasnain is ka zikr aaye ba raha

Hai kalaame kibriya me tazkira meraaj ka

7.Janab Kaifi kalkkatawi sb:

*Raaz khola hai khuda ne kar ke meraj e nabi*
*Martaba alaa bohat hai ba khuda meraj ka*

*Kis tarha jhut laoge tum ayatei'n quraan ki*
*Hai kalaam e kibriya mei'n tazkira meraj ka*

8.Janab Kumail sb:

Kholkar quraan dekho martaba meraaj ka.

Hai kalaame kibriya me tazkera meraaj ka.

Tha nuzule noore zahra ke liye ye ehteraam.

Bas yahi hai dar haqeeqat falsafa meraaj ka.

24/04/2017

Monday 24 April 2017

Shaheed Hogaye Kazim(as) Reza(as) yateem huwe

Tarhi Misra: Shaheed Hogaye Kazim(as) Reza(as) yateem huwe

Misra By: Janab Altaf Haidari Maroofi Sahab

Tarikh: April 2017



1.
Janab Kaifi Kalkatvi Sahab

Har ek soo hai ye charcha hai gham do alam mein
Hain woh jo waris e sher e khuda yateem huve

Falak pe girya kunaa'n hain hasan hussain o ali
Shaheed ho gaye kazim raza yateem huve


2.
Janab Zain Rizvi sahab

Ali ki jaan dil e mustafa yateem huye
Sitam hai waris e shaahe huda yateem huye

Phir ek baar dil e Fatima dukhaya gya
Shaheed ho gaye kazim raza yateem huye


3.
Janab Kumail Nagri Sahab

Fiza me gunji ye gham ki sada yateem huye
Sar apna pito waliye khuda yateem huye

Kiya hai zahre hilahill ne para'h para'h jigar
Shaheed hogaye kazim raza yateem huve


4.
Janab Naushad Bijani Sahab

Imaame waqt pe toota hai aasma'n gham ka.
Musibato ki huvi ibteda yateem huve.

Kaha yeh peet ke sar apna ehle imaa'n ne
Shaherd ho gae kazim raza yateem huve.


5.
Janab Faizul Hassnain sahab

Jaha'a me Waris e Karbobala Yateem hue,
Zameen royi Wali e Khuda Yateem hue,

Jafaa ye Zehre Halahal se ki hai zaalim ne,
Shaheed ho gaye Kazim, Raza Yateem hue..

Wassalaam.