Wednesday 20 September 2017

Tarhi Misra: Mubahela nahi ho sakta Fatema(sa) ke bagair.

بزم شعراء

🌺 *BAZM-E-SHOARA* 🌺
     

*MISRA BARA E QATA*

*Mubahela nahi ho sakta Fatema(sa) ke bagair.*

Qafiya: 👉 *Fatema*

Radeef : 👉 *Ke baghayr**

Misra by👉🏻  *Janab Anees abr kanodari sahab.*



1. Janab Naushad Bijani sahab

*Na koi fat'h kabhi hota jang ka mayda'n.*

*Nabi o shabbar o shabbeer o murtaza ke bhaghayr.*

*Hai baddua ki zaroorat isi liye navshad.*

*Mubahela nahi ho sakta fatema ke baghayr.*

2. Janab Anees Abr

Isi ke dam se hai islaam ki ragoN me hayaat,
Baqa e deen nahi binte Mustufa(saw) ke bagair,

_'Nisa ana'_ ki jagah koi le nahi sakta,
*Mubahela nahi ho sakta Fatema(sa) ke bagair*

3. Janab Taqi kazmi Karblyi sahab

1.Wujud pati na duniya kabhi khuda ke bager.
Na Dee,n ko milta shara bhi mustafa ke bager.

2.Ali ko is liye maula bna diya khum me.
Na deen hota mukammal bhi Murtaza ke bager.

3.ali nabi ki bhi khilqat he ishq e zahra me.
Ye kayenaat nahi kuch bhi sayadda ke bager.

4.ali ke lal ne apni hayaat di isko.
ye deen sans bhi leta na karbala ke bager.

5.namaz e shab me dua mang kr ali ne kha.
jari mila nhi karta kabhi dua ke bager.

6.zamane bhar ke ye mufti mujhe btayen zra.
qur aan kaise mukammal ho hal ata ke bager.

7.teri rida ka hai saya bhi khanye rab pr.
Haram khuda ka hai tanha Teri rida ke bagair.

8.bta gyi hai zamane ko binte paigambar.
Ke kuch nhi hai ye ourat taqi hya ke bagair.

Nabi ne sath me lekar ye sayadda ko kha.
Mubahela nhi ho sakta fatema ke bger.

4. Mohtarma Ayat Irani saheba

*Hasan Husain kabhi shahe la fata KE bagair*

*MUBAHELA nahi ho sakta fatema KE bagair*

*Mubahele KE liye panjetan chale ghar se*

*Thi aisi Jang Jo Fatha ki bad Dua KE bagair*

5. Janab Kaifi kalkatvi sahab

*Riza e khaliq e akbar ke mustafa ke baghair*
*Hasan Hussain ke moula e murtaza ke baghair*

*Muqable pa chala aaye koyi bhi Kaifi*
*Mubahela nahi ho sakta fatehma ke baghair*

6. Janab AliAbbas FASIH sahab

Adhura jaise hai imaan murtaza ke baghair.

Hai waisi chadar e tatheer raazia ke baghair.

Habeeb e lamyazali ne bata diya sabko.

Mubahela nahi ho sakta fatema ke baghair.

7. Janab Aadil abid sahab

GHADEER E KHUM ME YE BATLA DIYA HAI AHMED NE

KHUDA KA DEEÑ BHI ADHURA HAI MURTUZA KE BAGHAIR

YE BAAT AZMAT E BINTE NABI KO KAAFI HAI

MUBAHELA NAHI HO SAKTA FATEMA KE BAGHAIR

8. Janab Jalal Rizvi sahab

Abas hai sajda e haq ishqe murtaza ke baghair
Namaz kuch bhi nahi aale mustafa ke baghair

Tawaf e kaba ghame shahe karbala ke baghair
Khuda ko dhoondhne nikla hai murtaza ke baghair

Nigah e fatima me qabil e qubool nahi
Aza e shahe huda sajda e khuda ke baghair

Hai uska ka dawa kaneez e batool hone ka
Jo ghoomti hai moharram me bhi rida ke baghair

Ghame husain me rokar bhi kuch nahi paya
Bashar ne marfate shahe la_fata ke baghair

Lehad me noor ki hasrat iram ka dil me khayal
Ye sab khayal hain tehzeeb e karbala ke baghair

Ghilaf e khana e kaba ka zikr kaise karun
Shareeq e kaar e shahe dee'n teri rida ke baghair

Daleel azmate Zahara me ye hi kaafi hai
Mubahila nahi hi sakta fatima ke baghair

Qalam me taab kaha'n hai jo ek harf likhe
Ali ke huqm baghair izne fatima ke baghair


9. Janab Muntazir Merchant sahab

Na fatha milti nasaara pe phir Vega ke bagayr
Nabi mubahela karte jo faatema ke bagayr

Butul se hai agar BUGZ haafizo.n tum Ko
To rat te  kyo.n nahi quraaan hal ata ke bagayr

Wo Farsh se to utthe par na arsh tak pohche
Ada Jo Sajde huve khaaq e Karbala ke bagayr

Wo Zinda logo.n me harghiz shumaar ho na sake
Huve Jo payda butul aap ki doa ke bagayr

Shafaa'ate.n to Nabi hi karenge mehshar me
Magar ye faysle.n honge Na Sayyeda ke bagayr

Nishhane par hi tha jo parda shaami Lashkar ke
Bacha ke laayee.n he zaynab use reda ke bagayr

Gar apna beta kaha he butool ne us Ko
Bataaya ji ke jari ne bhi fir khata ke bagayr

Khuda ko khud bhi muhabbat he is qadar us se
Banaayee us ne Na Jannat BHI Karbala ke bagayr

Faraaz e daar pe harghiz mara nahi misam
Wo mar hi jaata Magar madh e Murtaza ke bagayr

Gham e imaam se waaqif tha is qadar Mukhtar
Na chain aaya use qatl e hurmula ke bagayr

Unhi ke dar ka bhikhaari hu *"muntazir"* me bhi
Ata Jo karte he sayeel Ki ilteja ke bagayr

📫  BAZME SHOARA

15/09/2017

Friday 15 September 2017

Deene rasool ho gaya kaamil ghadeer me

بزم شعراء

🌹 *BAZM-E-SHOARA* 🌹
  
     SalamunAlaikum.

*MISRA BARA E MANQABAT*  

              👇👇👇👇

*Deene rasool ho gaya kaamil ghadeer me.*

Qafiya: 👉 *Kaamil*

Radeef : 👉 *Ghadeer me*

Misra by👉🏻  *Navshad Bijani.*

Tarikh: 03/09/2017

1. Janab Rizvan Bijani sahab
Marziye kirdigaar Hai shamil gadeer me

Saawan Karam ka barsa Hai jilmil gadeer me

Jibreel bole deke Ali ko mubaraki

Deene Khuda ko mil gyi manzil gadeer me

Shouke alam ka zakhm Tha uspar nabi ka waar

Munkir ki or badh gayi mushkil gadeer me

Maida se bhagne ka na mouka Mila unhe

Bilkul buri tara'h fase Buzdil gaeeer me

Bugze Ali ki aag me sajdo KE sath sath

Hasid ka hajj bhi ho gya batil gadeer me

Ban Kar qaza adu e imamat KE waste

Barsa Hai sang misle ababil gadeer me

Tufaan me sakifa KE tha ghir Chula magar

Paya safeene Deen ne sahil gadeer me

Mimbur se ho rahi Hai khitabat rasool ki

Kya khoob Hai saji Hui mehfil gadeer me

Jo mubtala the BUGZO adawat KE marz me

Lagti thi unko dhoop bhi qatil gadeer me

Armaan kufro shirq KE aasu me beh Gaye

Deene rasool ho gya kamil gadeer me

"Rizwan"kis zaba'n se musalma kahu unhe

Jo bhi Ali se ho gye gafil gadeer me

2. Janab Ghaazi Hyderabadi sahab:

Diye Gaye misrey par NAACHEEZ ki nazraana e aqeedat bataur e islaah

Noor e wilaa se hogaye gaafil ghadeer mey
qudd baandhlii yuu tauq o salaasil ghadeer mey

Har ek ke dil mey rehti kahaa ulfat e Ali
Har eak kaisey howeyga shaamil ghadeer mey

Hyder ko lekey haatho pey kehney lagey nabi
Hai koi inka madde muqaabil ghadeer mey ???

Hyder ko Jab rasool ney maula e kul kahaa
Haatho ko maltey rehgaye buzdil ghadeer mey

Jaam e wilaa rasool ke haatho se dekhiye
Maulaayiyo ko hogaya haasil ghadeer mey

Kul ambiya ke haath mey kausain ko rakh kar
Jibreel lekey hogaye shaamil ghadeer mey

Sarr par Ali ke taaj e wilaayat ko dekhkar
Dushman ke dil pey padgayi mushkil ghadeer mey

Has haskey koi jashn manaatey rahey wahaa
Chup chupkey rotey Hai koi jaahil ghadeer mey

Zaahir to muskuraadiye par dil mey sheikh ke
Behney lagaa Hai ashqo ka saahil ghadeer mey

Man kunto bass rasool ko kehney ki deyr thi
Aayat wilaa ki hogayi naazil ghadeer mey

Aye aayah e balligh terey naazil ke saath saath
*Deen e rasool hogaya kaamil ghadeer mey*

*"GAAZI"* terey naseeb ki meraaj Hai yehii
Tuu bhi sajaayega kabhi mehfil ghadeer mey

3. Janab Arshad jalal sahab

Masroof e jashan e eid hain aaqil ghadeer me
🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿
Deen e rasool ho gaya kamil ghadeer me

💐💐💐💐💐💐💐💐💐💐💐

Ailan e taj poshi e maula ali ke baad
🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿🌿
Raazi hua hai rabbe muzammil ghadeer me
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

4. Janab  Kaifi kalkatvi sahab

*Mimber saja lo saj gayi mehfil ghadeer me*
*Dhadke ga haajiyo'n ka bhi ab dil ghadeer me*

*Jis ko nabi banayenge apna wasi wali*
*Haider ke aur kaun hai qabil ghadeer me*

*Khutba nabi ka sunne ki khaatir aye dosto'n*
*Saari khudayi ho gayi shamil ghadeer me*

*Sun kar sana e haque ba zaban e rasool e haque*
*Haaye machal ke reh gaya har dil ghadeer me*

*Dast e ali pe" qumbar o salman e farsi*
*Kar ke bayat lo ho gaye aaqil ghadeer me*

*Aazaab banke munkir e moula pe sath sath*
*Patthar falak se ho gaya nazil ghadeer me*

*Patthar girega sir pe jo bhagenge shaikh ji*
*Kyun kar kahei'n kya ho gayi mushkil ghadeer me*

*Dast e ali ko thama hai dast e nabi ne you'n*
*Deen e rasool ho gaya kamil ghadeer me*

*Uska qasam khuda ki muqaddar chamak uthha*
*Woh shakhs jo bhi ho gaya dakhil ghadeer me*

*Chalti hai jiske waaste apni ye dhadkane*
*Kaifi huyi wilaa wohi haasil ghadeer me*

5. Janab Zeeshan Syed sahab

खालिक़ की रहमतें हुईं नाज़िल ग़दीर मे
दीने ईलाही हो गया कामिल ग़दीर मे

आयत कभी न आयेगी फिर इस के बाद मे
कुरआन की थी आखिरी मनज़िल ग़दीर मे

बादे नबी मुक़ामे खिलाफत के वास्ते
शेरे खुदा अली ही था क़ाबिल ग़दीर मे

गरमी शबाब पर थी के मौला बने अली
ताके कोई भी न रहे ग़फिल ग़दीर मे

खुतबा नबी का सुनने इमामत की शान मे
इंसान, जिन, मलक हुए शामिल ग़दीर मे

अपना खलीफा क्यों न बनाते रसूले हक़
मौला अली सा कौन था आदिल ग़दीर मे

बुग़ज़े अली मे मांगा खुदा से अज़ाब को
हारिस बना है खुद का ही क़ातिल ग़दीर मे

अल्लाह के रसूल ना अब फिक्र कीजिए
उम्मत की दूर हो गई मुश्किल ग़दीर मे

मौक़ा अगर मिलेगा मुझे इंतेज़ाम का
ज़ीशान मैं सजाऊंगा महफिल ग़दीर मे

خالق کی رحمتیں ہوئیں نازل غدیر میں
دینِ الہی ہو گیا کامل غدیر میں

آیت کبھی نہ آئیگی پھر اس کے بعد میں
قرآن کی تھی آخری منزل غدیر میں

بعدِ نبی مقامِ خلافت کے واسطے
شیرِ خدا علی ہی تھا قابل غدیر میں

گرمی شباب پر تھی کہ مولا بنے علی
تاکہ کوئی بھی نہ رہے غافل غدیر میں

خطبہ نبی کا سن نے امامت کی شان میں
انسان، جن، ملک ہوئے شامل غدیر میں

اپنا خلیفہ کیوں نہ بناتے رسولِ حق
مولا علی سا کون تھا عادل غدیر میں

بغض علی میں مانگا خدا سے عذاب کو
حارث بنا ہے خود کا ہی قاتل غدیر میں

اللہ کے رسول نہ اب فکر کیجئے
اُمّت کی دور ہو گئ مشکل غدیر میں

موقع اگر ملے گا مجھے انتظام کا
ذیشان میں سجاؤں نگا محفل غدیر میں

6. Janab Taqi kazmi karbalayi sahab

1.Hal ho gyi hai deen ki mushkil ghadeer me.
Pahla imam ho gya hasil ghadeer me.

2.jo bewa koof the wahi aakar mukar gye.
Imaan le ke aagye aaqil ghadeer me.

3.haris ki nasl bhi na bhula pyegi use.
patthar hua tha ak jo nazil ghadeer me.

4.asa jhan me phir na dubara hua kabhi.
Bakkhin pukar uttha lo batil ghadeer me.

5.haider ko kayenaat ka maula bna Diya.
Puri hui rasool ki manzil ghadeer me.

6.krte nhi yaqeen wo ahmad ki bat pr.
Haaji Hain kis tarha ke ye shamil ghadeer me.

7.sar pr kadakti dhoop thi jalti hui zami,n.
Phir bhi saji hui thi ye mafil ghadeer me.

8.qur aa,n buland ho gya qur aa,n ke hath pr.
Deen e rasool ho gya kaamil ghadeer me.

Ye dekh ke bhi laye na imaan ae taqi.
Na jane kaise kaise the jahil ghadeer me.

7. Janab Mansoor raza Jafri sahab

  Jab muddaye dil huwa hasil ghadeer me
  Ki mun,aqid rasool ne Mahfil ghadeer me
🌹
  Akmalto ki sanad huyee nazil ghadeer me
    Deene rasool ho gaya kamil ghadeer me
🌹
  Karwate hi Ali ki wilayat ka aiteraaf
  Deene rasool ho gaya kamil ghadeer me
🌹
  Imaan taza hota h zikre ghadeer se
   Momin ka kyu,n laga na rahe dil ghadeer me
🌹
  Palaan e shutr le ke rasool e kareem ne
ker di siwa bhagodo,n ki mushkil ghadeer me
🌹
  Shaitaan apne aap se mayoos ho gaya
  Halet thi uski deed ke qabil ghadeer me
🌹
  Sadyo,n se deen mahwey safer tha zahe karam
Aaqhir usey bhi mil gayi manzil ghadeer me
🌹
  Hai munkirey wila e ali laiqey saza
  Babe azaab e sangg h shamil ghadeer me
🌹
  Mansoor shan e Haider e karrar dekh kr
  Utra huwa tha cheraye batil ghadeer me
   🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
 

8. Janab AliAbbas FASIH sahab

Shiyo'n ghar hai idd ki mehfil ghadeer me.
Aur dushman e ali ke jale dil ghadeer me.

Elaan e janasheeni e hyder ke hote hi.
Deen e rasool ho gaya kamil ghadeer me.

9. Janab Manzoor sahab

जश्ने विला की सज गयी महफ़िल ग़दीर मे
आशिक़ अली के सब हुए शामिल ग़दीर मे

ख़ुशियों  से  झूम उठे हैं रिन्दाने बूतुराब
जामे विला जो हो गया हासिल ग़दीर मे

देखा जो आफ़ताब के हाथों पे माहताब
अहले विला का झूम उठा दिल ग़दीर मे

मनकुन्तो की सदा पे दी क़ुदरत ने गवाही
दीने  रसूल  हो  गया  कामिल  ग़दीर  मे

कामिल क़ुरआन भी हुआ दीने ख़ुदा के साथ
आयत  जो  आख़िरी  हुई  नाज़िल  ग़दीर  मे

जलता था जिस्म मुनकिरे हैदर का धूप से
बुग़्ज़ ए अली मे जलता रहा दिल ग़दीर मे

हरगिज़ न फंसेगा ये सकीफ़ा के भंवर मे
दीं का सफ़ीना पा  गया  साहिल ग़दीर मे

एै  शैख़  भटकता है भला क्यूं  इधर  उधर
जब ख़ुद ख़ुदा ने बख़्शी है मंज़िल ग़दीर मे

पीकर विला की मय जो की मदहा तो यूं लगा
मन्ज़ूर   फ़िक्र   हो   गयी   दाख़िल  ग़दीर  मे

10. Janab Mohsin banarasi sahab

*🌹"Roshan hai aake ho gaya har dil gadeer me...*
*Hubbe ali ki thi saji mahfil gadeer me...*

*🌹"Is baat se hi soch lo azmat gadeer ki...*
*Nemat tamam rab ne ki nazil gadeer me...*

*🌹"Huro malak ho ya ho rasulaane ma sabak...*
*Dekho sab aake ho gaye shamil gadeer me...*

*🌹"Ailaan e mujtaba se aur suraj ki maar se...*
*Do tarfa aise jal gaye bujhdil gadeer me...*

*🌹"Sun ke rasool e haq ki jo baate mukar gaye...*
*"Aaye the aise-aise bhi jahil gadeer me...*

*🌹"Gungi hai jab gadeer me man qunto ki sada...*
*"Be maot sun ke mar gaye bujdil gadeer me...*

*🌹"Maula banunga aaj mai armaan tha yahi...*
*Seeno me le ke aaye the kaahil gadeer me...*

*🌹"Maidaan e khum se mil gaye maula ali hume...*
*"Munkir ko saare mil gayi mushkil gadeer me...*

*🌹"Man qunto ki sadao'n se hota hai ye ayaa'n...*
*Deen e rasul ho gaya kamil gadeer me...*

*🌹"Mohsin wo ja rahe hai aur dekho urooj par...*
*"Ek baar dil se jo huaa dakhil gadeer me...*

11. Janab Eram Mehdi sahab

hathon ko mal ke reh gaya batil Ghadeer me
Deen-e rasool ho gaya kaamil Ghadeer me

lo fakhr-e nooh manzil-e maqsood agyi
kashti ko aaj mil gaya sahil Ghadeer me

Aisa chadha khumaar wila ki sharaab ka
zalim rahe na zulm ke qabil Ghadeer me

aansu baha rahe hain kanare khade hue
kufr o nifaq o shirk ke hamil Ghadeer me

Haider ko jab qareeb bulaya Rasool ne
teenon munafiqon ke jale dil Ghadeer me

kehta hai cheekh cheekh ke bakhkhin laka Ali
dekho ye kon a gaya jahil Ghadeer me

rehmat baras rahi hai wila ki zameen pr
fakh ho raha hai cheraye batil Ghadeer me

Shamm-e wila ke noor me doobi hai kayinaat
mawe tawaf-e shauq hain bismil Ghadeer me

Qambar Bilal Burzar o Salmaa-e farsi
aye hain door door se aaqil Ghadeer me

naam-e Ali pe shaikh agar eteraaz hai
laao koyi  Ali ke maqabil Ghadeer me

lo Murtaza ke ishq ka jaam-e wila pio
ho jao shaikh aaj se shamil Ghadeer me

Sahray-e khum ko dekh ke likhna pada Eram
Karbobala ka rang hai shamil Ghadeer me

12. Janab Masoom Najaf Maroofi saHab

1. Illa Ali nahiN koi Hamil ghadeer me
Maulayiyat ke bojh ke qabil ghadeer me

2. Jashne ghadeere khum ki yahaN bazm hai saji
Mahsoos kar raha hooN mai mahfil ghadeer me

3. Man kunto sun ke chehre ki rangat badal gayi
Kambakht aise ho gaye shamil ghadeer me

4. Tarikh hai ghawaah aduwe Ali ke sar
Paththar huwa hai arsh se nazil ghadeer me

5. Maidan se jo bhage the parcham ko chhod ke
Maula baneNge kaise wah buzdil ghadeer me

6. Ab fayeda nahiN hai saqeefa saja ke shekh
Deene Rasool ho gaya kamil ghadeer me

7. Jaame walaye hubbe Ali pee raha hooN mai
Jalta hai KyuN ai shekh tera dil ghadeer me

8. Bakhkhin ki har taraf se sadayeN huyi buland
Haidar sa dosra nahiN aaqil ghadeer me

9. Dozakh me kisko jana hai aur khuld me kise
Tai hajiyuN ko karni manzil ghadeer me

10. Hur ki tarah Najaf teri qismat sanwar gayi
To sher likh ke ho gaya dakhil ghadeer me

13. Ayat Irani saheba

Maidane khum me dekh ke moula ko jalwagar

Jinno malaq bhi ho gye shamil gadeer me

Mankunto ki sada Jo Hui dasht me baland

Deene rasool ho gya kamil gadeer me

14. Janab Faizul Hassnain sahab

Kashti e Dee'n ko mil gaya Saahil Ghadeer me,
Deen e Rasool ho gaya Kaamil Ghadeer me,

Hukme Khuda jo ho gaya Naazil Ghadeer me,
Zaair Haram ke ho gaye Daakhil Ghadeer me,

Aagaz Rab ne kar diya Aayat ko bhej kar,
Phir saj gayi hai Haideri Mehfil Ghadeer me,

Ilmo Amal ki baat kahi Mustafa ne Jab,
Gash kha ke girtey jatey they Jaahil Ghadeer me,

Zeir e Qadam Ali ke ye Paalaaney boli ham,
Shukre Khuda hai ho gaye Shaamil Ghadeer me,

Paikar khuda ke Dee'n ka adhura tha isliye,
Mursal ne usmey rakhkha hai ab Dil Ghadeer me,

Kuchh is tarha Nabi ne Fahaaza Ali kaha,
Haider pe Rashq kartey hai Buzdil Ghadeer me,

Kehta hai Cheekh maar ke Shaitaan Al-Ama'n,
Aayi hai mujh pe kaisi ye Mushkil Ghadeer me,

Faizul, Jina se dekhney Manzar Ghadeer ka,
Hawwa ke saath aaye hai Haabil Ghadeer me..

15. Janab Anees Abr sahab

Maqsad rasool(saw) ka huwa haasil ghadeer me,
Nemat khuda ki hogayi kaamil ghadeer me..

Rab ke azaab me huwa wo shakhs mubtela,
Jo bhi utha Ali(as) ke muqabil ghadeer me..

Ayat me rab ne bhejdi _Akmalto_*(1) ki sanad,
*Deen e Rasool(saw) hogaya kaamil ghadeer me..*

_Mankunto_*(2) ki sada mere andar hai aaj bhi,
Zarre ki shaql me bhi tha shamil ghadeer me..

Padhte the shaan e maula me ashaar o manqabat,
Josh e wila me mast anadil ghadeer me,

Barsaat ki tarah se ye Aayaat e kirdigaar,
Nafse khuda pe hoti thi naazil ghadeer me..

Ho jayega zahoor imam e zamaaN(atfs) ka jab,
Hogi ghadeer eid ki mehfil ghadeer me..

Ragdi zameen e garm pe ro roke apni naak,
Maayus haq se hogaya baatil ghadeer me..

Me wadiyoN me ishq ki bikhra huwa hu *Abr*,
Karbobala me rooh hai aur dil ghadeer me..

16. Janab kumail nagri sahab

Haq ki saji hai noor ki mehfil ghadeer me.
Chehra chupa ke rota hai batil ghadeer me.

🌹

Khush ambiya hai'n aaya e balligh hai mutmain.
Deene rasool hogaya kamil ghadeer me.

🌹

Elaane haq se hasrate'n dam todne lagi'n.
Lagta nahi janaab ka ab dil ghadeer me.

🌹

Maula mila khuda mila jannat bhi mil gayi.
Pucho na hum hum se kiya huwa hasil ghadeer me.

🌹

Batla raha hai aaya e balligh ka ye mizaaj.
Lehja khuda ka hogaya shamil ghadeer me.

🌹

Mimbar pe ye ali o Mohammad nahi faqat.
islaam ke dhadakte hai do(❤❤) dil ghadeer me.

🌹

Jannat me jisko jaana hai hojaaye wo sawaar.
Kashtiye dee'n ne paliya sahil ghadeer me.

🌹

Lekar naseeb rote hai'n apna wo ghaar me.
Hasrat liye jo aaye the buzzdil ghadeer me .

🌹

Har dushmane ali ko jalaane ke waaste.
Sahra ki dhoop bangayi qatil ghadeer me.

🌹

Sarkaare ambiya o ali haq ke saath saath.
Kabe ki raushni huyi daakhil ghadeer me.

🌹

Batil me aur haq me na pehchaan kar sake.
Jaane kahaa'n se aagaye jahil ghadeer me.

🌹

Barish ki tarha dekhiye quraa'n ki aayare'n.
Shere khuda pe hoti'n hai'n nazil ghadeer me.

🌹

Jo arze karbala pe bahattar nujoom hai'n.
Arshe baree'n se wo huye nazil ghadeer me.

🌹

Aaye manaa ne jashn jo maula ka ay *kumail*
Goya wo aaj hogaye shamil ghadeer me.

17. Janab Ghaazi Hyderabadi sahab

*Deen e rasool hogaya kaamil ghadeer mey*

Ustaad e mohtaram ke islaah ke baad haazir e qidmat Hai islaah shudaa kalaam bataur e islaah

Noor e wilaa se hogaye gaafil ghadeer mey
qudd baandhliya tauq e salaasil ghadeer mey

Har ek ke dil mey hota kahaa Hai Ali ka ishq
Har eak kaisey howeyga shaamil ghadeer mey

Hyder ko lekey haatho pey kehney lagey nabi
Hai koi inka madde muqaabil ghadeer mey ???

Hyder ko Jab rasool ney maula e kul kahaa
Haatho ko maltey rehgaye buzdil ghadeer mey

Jaam e wilaa rasool ke haatho se dekhiye
Maulaayiyo ko hogaya haasil ghadeer mey

Kul ambiya ke haath mey kausain ko deykar
Jibreel lekey hogaye shaamil ghadeer mey

Sarr par Ali ke taaj e wilaayat ko dekhkar
Dushman ke dil pey padgayi mushkil ghadeer mey

Has haskey koi jashn manaata rahaa yahaa
Chup chupkey koi roya hai jaahil ghadeer mey

Zaahir to muskuraaney lagey sheikh ji magar
Andar se qoon roney lagaa dil ghadeer mey

Man kunto bass rasool ko kehney ki deyr thi
Aayat wilaa ki hogayi naazil ghadeer mey

Tera nuzool jab huwa aye Aayah e balligh
*Deen e rasool hogaya kaamil ghadeer mey*

*"GAAZI"* terey naseeb ki meraaj Hai yehii
Tuu bhi sajaayega kabhi mehfil ghadeer mey

نورِ وِلاء سے ہو گئے غافل غدیر میں
خود باندھ لی یوں طوق و سلاسل غدیر میں

ہر اک کے دل میں رہتی کہاں الفتِ علی (ع)
ہر ایک کیسے ہو ئے گا شامل غدیر میں

حیدر (ع) کو لے کے ہاتھوں پہ کہنے لگے نبی (ص)
ہے کوئی ان کا مدِ مقابل غدیر میں؟؟

حیدر (ع) کو جب رسول (ص) نے مولائے کل کہا
ہاتھوں کو ملتے رہ گئے بزدل غدیر میں

جامِ ولاء رسول (ص) کے ہاتھوں سے دیکھیئے
مولائیوں کو ہوگیا حاصل غدیر میں

کُل انبیاء کے ہاتھ میں کوثین کو دیکر
جبرئیل لے کے ہو گیے شامل غدیر میں

سر پر علی (ع) کے تاجِ ولایت کو دیکھ کر
دشمن کے دل پہ پڑھ گئی مشکل غدیر میں

ہنس ہنس کے کوئی جشن مناتا رہا یہاں
چھپ چھپ کے کوئی رویا ہیں جاہل غدیر میں

ظاہر تو مسکرانے لگے شیخ جی مگر
اندر سے خون رونے لگا دل غدیر میں

مَن کُنتُ بس رسول (ص) کو کہنے کی دیر تھی
آیت ولاء کی ہو گئی نازل غدیر میں

تیرا نزول جب ھوا اے آیاء بّلغ
دینِ رسول (ص) ہو گیا کامل غدیر میں

"غازی" تیرے نصیب کی معراج ہے یہی
تُو بھی سجائے گا کبھی محفل غدیر میں

18. Janab Navshad Bijani sahab

Allah ki kitaab ka haamil ghadeer me.
Karne chala hai deen ko kaamil ghadeer me.

Makke se haajiyo'n ka liye kafela nabi.
Hote hai aala shaan se daakhil ghadeer me.

Payghaame rab liye huve jibreel arsh se.
*Balligh* ke saath ho gaye naazil ghadeer me.

Ehmad ne haajiyo'n me yeh elaan kar diya.
Hogi ali ke zikr ki mehfil ghadeer me.

Mimbar banaaya oonto'n ke paalaan se waha'n.
Tab ambiya bhi ho gaye shaamil ghadeer me.

Mimbar pe leke aaye ali ko rasoor or.
Dusman ka band hone laga dil ghadeer me.

Noore aliyo noore nabi yu'n the zaufisha'n.
Jayse ki noor ki ho salaasil ghadeer me.

Daste nabi me daste ali jab huva buland.
Har ik malak ka jhoom utha dil ghader me.

Mimbar se goonjne lagi man kunto ki sada.
Or phool barse khuld se jilmil ghadeer me

Aakar nabi se aayte takmiil ne kaha.
Deene rasool ho gaya kaamil ghadeer me.

Ahle wila ali ali kehke yu'n jhoom uthe.
Jaise ho naghma rez anaadil ghadeer me.

Jiske dile kaseef me tha bughze buturaab.
Peete rahe woh zehre hilahil ghadeer me.

Ahle wila to peete the hubbe ali ke jaam.
Jalte the khaake dushman fil-fil ghadeer me.

Navshaad raahe haq se na bhatkega woh kabhi.
Taareekh padke hoga jo daakhil ghadeer me.

19. Janab Kumail Zahoor sahab

عمرانیت کو  جب ملا ساحل غدیر
سفیاں مزاج ھو گئے بایطل غدیرمیں۔

میرا ھے یہ عقیدہء کامل غدیر میں
میں بھی وہیں تھا بزم میں شامل غدیرمیں۔

نشّہ چڑھا ہے ایسا ولا کی شراب کا
بہلول پی کہ ھو گیا عاقل غدیرمیں۔

اکملت لکم دین کی آیت گواہ ہے۔
دین رسول ہو گیا کامل غدیرمیں۔

مولا کو چھوڑا حیواں کو رھبر بنا لیا
آئے تھے ایسے ایسے بھی جاہل غدیرمیں۔

مولائیوں کو مولا سے مولا ملا ظھور
اور منکروں کو کیا ھوا حاصل غدیر میں۔
I'll