Tuesday 28 February 2017

Tarhi Misra - SITAMGARO NE GURAAYA MAZAAR ZEHRA KA.

Tarhi Misra - SITAMGARO NE GURAAYA MAZAAR ZEHRA KA.

Tarikh - 21/2/2017

Misra by Chaman alipuri sahab.

1. Janab Sadiq Ali Navshad Bijani Sahab

Adu hai aaj bhi na-paaedaar zehra ka.
Mita na paaya woh ab tak weqaar zehra ka.

2
Julaaya joola kisi ne koi bana darzi.
Harek malak hai ita'at guzaar zehra ka.

3
Fidaq ko chheen ne vaale jalenge dozakh me.
Bahisht-o-khuld pe hai ikhteyaar zehra ka.

4
Bata rahi hai zamaane ko aayate tat'heer.
Tahaarato'n ne kiya hai hesaar zehra ka.

5
Taveel ehmad-e-mursal ka ho gaya sajda.
Huva jo pusht pe beta savaar zehra ka.

6
Bayan kai se karu izteraar zehra ka.
Nabi ke baad hai dil bekaraar zehra ka.

7
Adu ne jalta huva dar giraya pehlu par.
Kaleja jis se huva taar taar zehra ka.

8
Khiza'n se chalti huvi zulm ki havaao'n ne.
Bujha diya hai charaaghe bahaar zehra ka.

9
Hai baade mout bhi ujda dayaar zehra ka.
Sitamgaro ne giraaya mazaar zehra ka.

10
Duaae'n karta hai navshad ho zuhoore imaam.
To paae chain dile bekaraar zehra ka.








2. Janab Anees abr Sahab

Madeene waalo kyu dete nahi ho tum pursa,
Kya koi zinda nahi gam-gusaar Zahra(sa) ka..

Ye din bhi koi qayamat se kam nahi jisme,
Sitamgaron ne giraya mazaar Zahra(sa) ka..









3. Janab eram mehdi sahab.

Yazeed e waqt ki midhat se baaz a jao
Jigar na pash karo bar bar Zehra ka
Qalam me dam ho to aoo hamare sath likho
Sitamgaron ne giraya mazar Zehra ka










4. Janab Zia haidar sahab.

Ali ke bugHz me ahmad ko bhi ye bhool gaye,
SitamgaroN ne giraya mazaaar zahra ka.
Magar khabar na thi shayed unhe yuN jalwe ka,
JahaaN me baaki rahega waqaar zahra ka.








5. Janab Kumail Nagri sahab.

(1)Samajh na paaya zamaana veqaar zahra ka.
Kiya hai tukde jigar baar baar zahra ka.

(2)giraa hai koohe musibat ay baba jaa'n hum par.
Ye noha lab pe tha lail o nihaar zahra ka.

(3)nabi ke rauze pa roti thi jaake shaam o sahar.
Raha na koyi bhi jab gham gusaar zahra ka.

(4)abul hasan ke gale me hai reesmaane sitam.
Ye dekh kar huwa dil taar taar zahra ka.

(5)shaheed hogaye mohsin shikasta pahelu me.
Ghamo alam se huwa dil fegaar zahra ka.

(6)za'eefa hogayi athaarah(18)saal ke sin me.
Musibato'n ne kiya you'n hisaar zahra ka.

(7)asaa ko thaam ke chalti hai naw jawaani me.
Ajeeb haal hai parwardigaar zahra ka.

(8)sitam uthaa ke jahaa'n se guzar gayi dukhiya.
Ali ka ghar hai bana sogwaar zahra ka.

(9)Lahed me jaake bhi aaraam se na so paayi.
Sitamgaro'n ne hai dhaaya mazaar zahra ka.

(10)jo majlise sahe waala me aagaya hai *KUMAIL*
Wahi hai asl itaa'at guzaar zahra ka.







6. Janab imdadhusain sahab.

Zara kheyal na aaya nabi ki beti ka

Yazidiyo ne giraya mazaar zahera ka

Qasam khuda ki jo zehra ka agaya beta

Sitam chuka,ye ga baqi udhaar zehra ka.