Friday 7 October 2016

Misra: ZINDAGI LAAYI HAI HAMKO FIR MOHARRAM KE QAREEB

Misra: ZINDAGI LAAYI HAI HAMKO FIR MOHARRAM KE QAREEB

Misra By: Janab Altaf Haidari Maroofi

Tarikh: October 2016


1.
Janab Hasan Utraulvi Sahab

Faslafa aisa zamane me kaha'n dekha gaya...
Meri har khushiya'n aya'n hai'n bas isi gham ke Qareeb...

Shahzadi aapke mashkoor hai'n ham matami...
Zindagi layi hay humko phir muharram ke Qareeb...

2.
Janab Kumail Nagri sahab

Le chalo mujhko khudara aaqri dam ke qareeb.
Hazrate abbas ka lehrata parcham ke qareeb.

Bai'ate fasiq ko thokra kar shahe mazloom be.
Karliya qasde safar garmi ke mosam ke qareeb.

Jo asar karbobala ki qaak me payi gayi.
Hai kaha'n taseer itni aabe zam zam ke qareeb.

Ashk ankho'n se nikalne ki faqat taqeer this.
Agayi rumaale zehra chashme purnam ke qareeb.

Bola hur shabbir ke qadmo'n me jannat hai meri.
Ab nahi rahpavunga deenaro dirham ke qareeb.

Chaddh gaye suli pe zikre murtaza karte huge.
Maut aayegi kaha'n maulayi meesum ke qareeb.

Ranj sare chod kar aaya hu'n ay zahra ke laal.
Gham koyi acha nahi lagta tere gham ke qareeb.

Qaid khane me bhi the ahele haram be sayeba'n.
Dhoop me guzra hai din aur raat shabnam ke qareeb.

Ghurbate shabbir par ji bhar ke girya kigiye.
Zindagi layi hai humko phir moharram ke qareeb.

Aabe kausar se bujhe gi piyaas bass meri kumail.
Kiyu'n mai javu'n jaam lekar aabe zam zam ke qareeb.

3.
Janab Anees Abr sahab

Shukr hai ham aagaye hai Sheh(as) ke matam ke qareeb,
Zindagi laayi hai hamko fir Muharram ke qareeb..

Faasla romaal e Zahra(sa) aur ashqoN me nahi,
Sayyeda(sa) rehti hai hardam chashm e pur-nam ke qareeb..

Maar dalega hame ek din ye do tarfa mizaaj,
Ma'siyat karni bhi hai, rehna hai parcham ke qareeb...

Hai hamari zindagi ka ma-asal itna Hussain(as),
Door rehte hai khushi se aur tere gam ke qareeb....

Ye jahaaN chahe nikaale chashma edi maarkar,
Shaan Asgar(as) ki nahi ke jaaye Zam Zam ke qareeb...

Murtuza(as) ek baab se kyukar na khole dasioN baab,
Jab kiran sat-rang ho jaati hai shabnam ke qareeb..

Majlis e Shabbir(as) me jo Abr aansoo beh gaye,
Fakhr karke jaa rahe haiN Fakhr e Maryam(as) ke qareeb..

4.
Janab Kaifi Kalkatvi sahab

You'n to rehte hain  sada hum sheh tere  gham ke qareeb
Zindagi laayi hai humko phir muharram ke qareeb

Ae  azadaar e hussaini  naaz qismat par karo
Ye ata  e syeda hai' ho jo  matam ke qareeb

Nusrat e shaah e huda ko aaj bhi kis shauq se
Bachche chalte hain alam thaame hue bam ke qareeb

Dukhtar e sarwar se ghazi ki mohabbat dekhiye
Aaj bhi har aan  mashqiza hai parcham ke qareeb

Aa gaya hoon ba adab main parcham e ghazi tale
Zakhm khud le jaega ab mujh ko marham ke qareeb

Ediyaa'n apni ragadte gar Jo asghar dasht mein
Ta abad koi na jata aab e zam zam ke qareeb

Misl e misam hum bhi kaifi shaan e ahlebait mein
Denge lafzo'n ko rawani akhri dam ke qareeb

5.
Janab Zia Haider sahab

Sogh me dooba hai dil aankhein hain purnam ke kareeb,
Zindagi layi hai humko fir moharram ke kareeb.

Maatame sarwar ko kahte jo bhi bid'at hai yahan,
Unke hi hain badh rahe kadam jahannam ke Kareeb.

Jab musibat me kabhi hum nikle majlis ke liye,
Bhool jate hain har ek gham majlise gham ke Kareeb.

Deeware kaaba kyun na fatti fatima ke aan par,
Fakhre mariyam ka hai rutba na ki mariyam ke Kareeb.

Jinke jismo me hai bahta khoone na haqqe wela,
Aa nahi sakte kabhi wo farshe maatam ke Kareeb.

Haan yaqinan unko bhi jo hain bilkul laa davaa,
Paas aate hi shifa milti hai parcham ke Kareeb.

Poochhte hain maarte hain aur ali karte hain zinda,
Kyun nusairy na kahe khuda fir aalam ke Kareeb.

Door hota hai watan se jo maheeno saal din,
Laut aata hai watan ko fir moharram ke Kareeb.

Aa nahi pate kisi wajah ke chalte ghar ko jo,
Farsh majlis ka bichha kar hain shabo gham ke Kareeb.

Doobta hi jata hai jitna sana me ay zia,
Hota hi jata hai utna lafze meesum ke Kareeb.

6.
Janab Altaf Haidari Maroofi Sahab

100 dafa sooli chadhaao. Fenk do bam ke qareeb
Fir bhi paoge hme shabbeer k gham ke qareeb

Sirf ek ki maut pr hongi hazaaro'n majlise'n
Yani tum khud hi karoge ham ko matam k qareeb

7.
Janab Sadiq Ali Naushad sahab

1
Aalme arvaah hi se ham hain is gham ke qareeb.
Zindagi laayi hai hamko fir moharram ke qareeb.

2
Mil na paya farshe majlis se kahin behtar sukoo'n
Varna mai to khuld me tha farshe resham ke qareeb.

3
Ba-adab baytho aza ke farsh pe ehmad ke saath.
Fakhre isa fakhre moosa fahkre aadam ke qareeb.

4
Ehle baatil kaanpte hai meeri soorat dekh kar.
Jab raha karta hu mai ghaazi ke parcham ke qareeb.

5
Manzile meraj pr HUR ka moqaddar aagaya
Paao'n hain shabbeer ke hur ke sare kham ke qareeb.

6
Deke zahra ko dilasa huzne isa bhoolna
Kitna aala martaba hai sheh ka maryam ke qareeb.

7
Jab gire roomaale zehra me meri aankhon ke ashk
The ali us waqt meri deeda-e-nam ke qareeb.

8
Kab huva navshad batlaao ghame sarwar se door.
Batne maadar se hai woh shabbeer ke gham ke qareeb.

8.
Maulana Ghafir Rizvi Falak sahab


Ba wuzu hokar sada jata hu'n parcham ke qareeb.
Aar lagti hai kasafat mujh ko mehram ke qareeb.

Parcham e Abbas se kyo'nkar na haal e dil kahe.
Aashiq e dilbakhta aaya hai hamdam ke qareeb.

Khud hai darya me magar aa'nkho'n se aatish hai aya'n.
Koun esa mard hai jo aaye zaigham ke qareeb.

Jo alam ke saye se rehta hai har dam door door.
zindagi me hi wo rehta hai jahan'nam ke qareeb.

Hur ki becheni shab e aashoor kehti thi yahi.
Door hokar sam se me jau'nga shabnam ke qareeb.

Is qadar sangeen hai mazloom e do aalam ka gham.
Har gham e dunya subak lagta hai is gham ke qareeb.

Be tahasha karbala ki al'atash aati hai yad.
Jab poha'nchte hai'n kabhi hum chah e zamzam ke qareeb.

Goud me sheh ki gire ye keh ke ibn e Auseja.
Zakhm kha kar is tarah girte hain mar'ham ke qareeb.

Zikr e Sarwar ne mujhe meraj esi bakhsh di.
Khuld me hai bait mera bait e Meesam ke qareeb.

Kijiey koshish *Falak* haq'q e nawad'dat ho ada.
Phir hame taqdeer laayi hai mohar'ram ke qareeb.

باوضو ہوکر سدا جاتا ہوں پرچم کے قریب
عار لگتی ہے کثافت مجھ کو مِحرَم کے قریب

پرچمِ عباس سے کیوں کر نہ حالِ دل کہے
عاشقِ دلباختہ آیا ہے ہمدم کے قریب

خود ہے دریا میں مگر آنکھوں سے آتش ہے عیاں
کون ایسا مَرد ہے جو آئے ضیغم کے قریب

جو عَلَم کے سائے سے رہتا ہے ہر دم دور دور
زندگی میں ہی وہ رہتا ہے جہنم کے قریب

حر کی بے چینی شبِ عاشور کہتی تھی یہی
دور ہوکر سَم سے میں جاؤں گا شبنم کے قریب

اس قدر سنگین ہے مظلومِ دو عالم کا غم
ہر غمِ دنیا سبک لگتا ہے اس غم کے قریب

بے تحاشہ کربلا کی "العطش" آتی ہے یاد
جب پہنچتے ہیں کبھی ہم چاہِ زمزم کے قریب

گود میں شہ کی گرے یہ کہہ کے ابنِ عوسجہ
زخم کھا کر اس طرح گرتے ہیں مرہم کے قریب

ذکر سرور نے مجھے معراج ایسی بخش دی
خلد میں ہے بیت میرا بیتِ میثم کے قریب

کیجئے کوشش *فلک* حقِّ مودَّت ہو ادا
پھر ہمیں تقدیر لائی ہے مُحَرَّم کے قر

9.
Janab Zeeshan Azmi sahab

✴1. Aayate quran se sabit hai khatam ke qareeb
Farshe gham ajre risalat hi hai mun'am ke qareeb

✴2. Chand yu'n ubhra muharram ka falak par momino
Tashnagi phirti hai jaise  koi shabnam ke qareeb.

✴3. Kya muharram ka mahina aa gaya hai momino
Ya husaina ki sada goonji hai zam zam ke qareeb

✴4. Bol uththi muttahid ho ke yaha insaaniyat
Sheh ka aali martaba hai deen e aqwam ke qareeb

✴5. Aasma'n ho ya zamee'n ya ho koi bhi kahkasha
Hai ghame sarwar ibadat poore aalam ke qareeb

✴6. Maur ke sailab o toofa'n se bachakar ek saal
Zindagi laayi hai hamko fir moharram ke qareeb

✴7. Yeh huwa zeeshan sarwar ki shahadat ka asar
Har koi rahta hai majlis aur maatam ke qareeb

10.
Janab Chaman Rehmathi Sahab

*Zindagi layi hai hum ko phir Moharram ke qhareeb*
Hogaye hain aaj se phir Sheh ke Matam ke qhareeb..

Zindagi ki saari qhushiyaa'n uss ko hasil hogayi,,
Jo bhi aajaata hai Sheh ki majlis e ghum ke qhareeb..

Mouth qhud thak kar hai haari aagaye jab Ahle Baith,,
Qhanjar o Talwaar o Naizey  Teer aur Samm ke qhareeb..

Le chalo Baba mujhe maidaa'n may Asghar ne kaha,,
Ek haansi ke saamne lashkar hai wo kam ke qhareeb..

Sabr o Eesaar o Wafa Ulfath Shujath aur Qhulus,,
Miltay hain Kirdaar ye Ghazi ke Parcham ke qhareeb..

Pyaas Asghar ki hai yaad aayi bahaye Khoon tab,,
Jab kabhi Sajjad pahunchey aab e zam zam ke qhareeb..

Qhuld may majlis hai barpa aake baithi Fathema,,
Aasiyaa o Haajera  Hawwa o Maryaam ke qhareeb..

Majlis e Shabbir may meri dua hai ye Chaman,,
Majlis e Jannat may baithoun mai bhi Meesam ke qhareeb..