Wednesday 2 September 2015

DONO JAHA PE FARZ ITA'AT RAZA KI HAI. 02/09/2015

TARHI MISRA - DONO JAHA PE FARZ ITA'AT RAZA KI HAI.



1.

Jnab Mohammad Raza sahab ka kalaam.


🌹
Gulshan me rang phool me nikhat raza ki hai.
Dee'n par hai jo bahar enayat raza ki hai.
🌹
Kazim ke dar pe mangne walo'n ki hai qatar.
Aisa lage hai Aaj weladat raza ki hai.
🌹
Marzi e rab ke samne sar kham hai'n isliye.
Qaem hamare dil pe hokoomat raza ki hai.
🌹
Khama nikal na jaye adab ke hodood se.
Aie fikr hoshiyar ke midhat raza ki hai.
🌹
Rizwan e khuld Aap to datban hai'n faqat.
Allah ki bahisht reyasat raza ki hai.
🌹
Barah dari ka Aathwa'n dar hai mera imam.
Peshe khoda ajeeb fazilat raza ki hai.
🌹
Main in me martabe ko bhala keya baya'n kru'n.
Fikr o nazar se door haqiqat raza ki hai.
🌹
Ho keyun na sher in ke ishare pa ba hayat.
Marzi e kirdegar mashiyat raza ki hai.
🌹
Apno'n ki bat cchoriye ghairo'n pe hai karam.
Mashmoole khas o Aam karamat raza ki hai.
🌹
Quraa'n me hai jo mulke sulaiman ka baya'n.
Wo eik mukhtasar si reyasat raza ki hai.
🌹
Attas ho ke hurbuze akbar ke jasaliq.
Tari har eik shakhs pe hsibat raza ki hai.
🌹
gar ilm chahiye to chale Aao shahre qom.
Darbare fatema hai ijazat raza ki hai.
🌹
Debal ko dediya tan e athar ka ek lebas.
Ketni ajeeb shane sakhawat raza ki hai.
🌹
Shi'o'n ki na'n bachaye'n ge ban kar wali ahad.
Ketni khoda pasand seyasat raza ki hai.
🌹تضمین
Ha'n sahebane amr ki ye bhi hai'n eik fard.
Dono'n jaha'n pe farz ita'at raza ki hai.
🌹
Masoom ki hadis se sabit hai dosto !
Prwana e bahisht zeyarat raza ki hai.
🌹
Bazoo pe bandh kar meri ma'n ne ye di sada.
Ab hadesa na hoga zamanat raza ki hai.
🌹
Misle raza wo ghaib se Aajaye aie khoda.
Phir aie raza jaha'n ko zaroorat raza ki hai.🌹




2.

Janab Asghar Masoom Najaf sahab ka kalaam.

Dayish kyu'n dre'n bhala qurbat raza ki hai
Iraniyu'n ke sar pe shafqat raza ki hai

Shajra utha ke dekh lo inke soloob ka
Haidar ke misl qum me balaghat raza ki hai

Arshe baree'n pe aaj farishto'n me jashn hai
Wah isliye ki aaj weladat raza ki hai

Inke qareeb aa nahi'n sakta kabhi bhi rijs
Baite khuda se bar ke taharat raza ki hai

Qum me panah isliye milti hai dosto'n
Pure deyaare qum me hefazat raza ku hai

Machhli ki kul hayat hai paani pe mubhasir
Waise hi humko aaj zarurat raza ki hai

Insano jinno horoo malak sab hai'n mutmain
Dino'n jaha'n pe farz ataa'at raza hai

Dar pe raza ke isliye aate hai'n khuld se
Khulde bare'n se achchi zeyarat raza ki hai

Gul ilm ke jahan me jitne bhi hai'n khile
Rab ki qasam wah saari zara'at raza ki hai

Darse oloom milta hai qum se hame'n NAJAF
Ilmo shaa'uro fun pe hokumat raza ki hai



3.

Jaban Mazhar Masoom sahab ka kalaam.

Kis.tarha.se.likhu.n.mai.jo.azmat.raza.ki.hai
Qur.aa.n.ki.aayato.n.me.bhi.midhat.raza.ki.hai

Inke.dahan.me.khalike.akbar.ki.hai.zuba.n.
Bilkul.ali.ke.jaisi.khetabat.raza.ki.hai

Apne.watan.ko.chod.ke.fauran.nikal.pade
Jab.deen.ne.kaha.ki.zrurat.raza.ki.hai

Karti.hai.jiska.ruk.ke.qayamat.bhi.intezaar
Wo.bhi.kasam.khuda.ki.amamat.raza.ki.hai

Aulad.hai.rasool.ki.ye.bhi.amam.hai.n.
Dono.n.jaha.n.pe.farz.ata.at.raza.ki.hai

Iraniyo.n.ke.kyu.n.na.rahe.n.hausale.buland
Sina.sipar.bani.hui.taaqat.raza.ki.hai

Kyu.n.kar.na.inko.dekh.ke.aankhai.n.padhai.n.darood.
Surst.jo.hai.nabi.ki.wo.surat.raza.ki.hai

Ajaz.inka.dekh.ke.kahte.hai.n.jibrail
Maula.ali.ke.jaisi.karamat.raza.ki.hai

Rishta.amamato.n.ka.kahi.n.par.juda.nahi.n.
Zere.kesa.bhi.paak.jama.at.raza.ki.hai

Mddahe.ahle.bait.me.mera.jo.hai.shumar
Masoom.ye.karam.ye.anayat.raza.ki.hai







4.

Maulana Janab Ghafir Rizvi sahab ka kalaam.


🌹Mere labo'n pe aaj jo mid'hat Raza ki hai.
Apne ghulaam par ye inayat Raza ki hai.🌹

🌹Sharma raha hai chand, khajil chandni hui.
Kazim ke ghar me aaj wiladat Raza ki hai.🌹

🌹Jese Ali Najaf me, Khurasa'n me bhi Ali.
Yoo'n hi Najaf ki misl ziyarat Raza ki hai.🌹

🌹Mamoon dang rah gaya "apna sa munh liey".
Dekha, Ali ki misl, siyasat Raza ki hai.🌹

🌹Wo rouze eid ho ke wilayat ka mas'ala.
Mabood ki reza me rezayat Raza ki hai.🌹

🌹Kufro nifaqo shirk ka bister kiya hai goul.
Meezane adl fahmo ferasat Raza ki hai.🌹

🌹Qirtaas jhoomta hai wilayat ke joush me.
virde zabane Khaama jo mid'hat Raza ki hai🌹

🌹Qalee'n ka sher ahle jaha'n se ye keh gaya.
Bejaan cheez pe bhi hukumat Raza ki hai.🌹

🌹Khaaei unhone munh ki jo naza'n they ilm par.
nikhwat ka sar kuchalna hi aadat Raza ki hai.🌹

🌹Deybel ki khhake paa pe bhi sajda kare'n ge hum.
In ki taraf nigaahe inayat Raza ki hai.🌹

🌹Maaroof ne bataya hai toofan rouk kar.
Purnoor dil me sham'e mohabbat Raza ki hai.🌹

🌹GHAFIR! gawaah is pe atee'oo ka lafz hai.
Dono jaha'n pe farz ita'at Raza ki hai.🌹







5.

Navshad Bijani (Sadiqali) ka kalaam.


Hujjat harek bashar pe imaamat raza ki hai.
Dono jaha'n pe farz ita'at raza ki hai.

Khidmat me unki bhejie tohfa durood ka.
Qasre nabi me aaj wilaadat raza ki hai.

Aahoo pe rashq kar ke yeh sayyad ne kaha
Tere liye bhi mohre zamaanat raza ki hai.

Shamso qamar bhi bheek me lete hai raushni.
Labrez aysi noor se soorat raza ki hai.

Aale aba ka ishqe mere dil me hai maqee'n
Jisme sukoo'n pazir mohabbat raza ki hai.

Bistar hai sangrezo'n ka taqve ka hai libaas.
Ye rabbe zuljalaal se qurbat raza ki hai.


Shaahi mere imaam ke qadmo ki dhool hai.
Dunya va aakherat me hukumat raza ki hai.

Navshaad ko yaqeen hai marne ke baad bhi.
Turbat me uske vaaste qurbat raza ki hai







6.

Janab Altaf Marufi sahab ka kalaam.


Kaise ginaau'n kaun si neamat Reza ki hai.

Ye saari kaynat badaulat Reza ki hai

Bazme mala'eka me bhi hai inka tazkera

Ye farsh kya hai arsh pe shohrat Reza ki hai

inke karam se sara ajam bolne laga

Misle Rasool-e-paak karaamt Reza ki hai







7.

Janab Rijwan Bijabi sahab ka kalaam.


Chhai labo pe jiske bhi mid'hat Raza ki he

Be shaq ye Di gyi hui neamat Raza ki he

Khushbu n pa sakenge WO jannat to door he

Keh do moqassereen se jannat Raza ki he

Ab aa bhi jao Parda e gaibat se ya imam

Mazhab ko aaj fir se jaroorat Raza ki he

 Is dar se Khali hath koi kaise jaye jab

Mash'hoor do jaha me sakhawat Raza ki he

Be shaq ye koule ahmade mursal he dosto

Parwana e najaat ziyarat Raza ki he

Dakhil ho kaise sarhade iraan me'adu

Dil mo Jo unke har ghadi haibat Raza ki he

Dar asl inka hukm bhi he hukme LA sharik

Dono jaha pe farz ita'at Raza ki he

Raho me haadsaat ka  koi bhi dar nahi

Baju pe Maine bandhi Zamanat Raza ki he

Uspe Khuda ke fazlo karam ki he inteha

"Rizwan"jiske dil me mohabbat Raza ki he.






8.

Janab Kazim Maroofi sahab ka kalaam.


Jinno malako ins sabhi sajda rez hain
Dono jaha'n pe farz ita'at Raza ki hai
Aqle bashar hai dang' hain deede phate huwe
Shaho'n Ko Bheek De jo Wo Ghurbat  Raza ki hai.




9.

Janab Hasnain Haidari Maroofi sahab ka kalaam

Bazme sokhan me aaj qayaadat raza ki hai

Mehfil hai deene haq ki sadaarat raza ki hai
🌺
Keya poochhte ho uska muqaam aur martaba

Be misl do jahaan me azmat raza ki hai
🌺
Mausam khiza'n ke rang udaaye'n to kis tarah ?

Mash'had ki sar zameen me rangat raza ki hai
🌺
Khushbu jena ki is liye iraa'n se aati hai

Har phool har kali me sabaahat raza ki hai
🌺
Larza'n hai'n sun ke naam bhi iraa'n ka ahle shar

Zulmat kado'n ke shahr pa haibat raza ki hai
🌺
Dushman ka dar na koyi hawaadis ka khauf hai

Maa'n ki dua ke saath zamaanat raza ki hai
🌺
Mash'had ko jis ne ilm ka markaz bana diya

Tan'ha wo Kaynat me turbat raza ki hai
🌺
Jis ne zameer bech ke paaya h maal o zar

Us ki har aik saans pe laanat raza ki hai
🌺
Zahra ali rasool bhi Hasnain aaye hai'n

bazme wela me aaj nizaamat raza ki hai