Sunday 18 June 2017

Tarhi Misra: Hai dil me hamaare wila-e-hasan(as)

🌺 *BAZM-E-SHOARA* 🌺
  
     SalamunAlaikum.

*MISRA BARAE Manqabat*       

              👇👇👇👇

*Hai dil me hamaare wila-e-hasan*

Qhafiya: 👉 *wila*
Radeef : 👉 *-e-hasan* (a.s.)

Misra by👉🏻  *Janab Navshad Bijani sb*

1. Janab Manzoor sb.

मुझे बक्श क़ूवत खुदा ए हसन
मैं करने चला हूं  सना ए हसन

लगा दूसरा क़ुरआं नाज़िल हुआ है
जो  गोदी मे ज़हरा की आये हसन

हुई नूर की आसमानो से बारिश
है  फैली  जहां मे ज़िया ए हसन

हैं रौशन हमारी अंधेरों  मे राहें
है दिल मे हमारे विला ए हसन

ख़ुदा बक़्शे मुझको तौक़ीर इतनी
मैं बस चूम लूं ख़ाक ए पाये हसन

है मन्ज़ूर हसरत मरने से पहले
मुझे दर पे  अपने बुलाये हसन

2. Janab Anees Abr Sb.

Huwi aaj mujhpar ata e Hasan(as),
Labon par hai mere sana e Hasan(as)..

Qalam se jo talwaar ka kaam le,
Nahi hai koi ma siwa e Hasan(as)..

Hai meri fazilat isi baat me,
Kahe mujhko dunya gada e Hasan(as)..

Bada isse rutba na dekha koi,
Hai doshe Muhammad(saw) pe jaa e Hasan(as)..

Mohabbat hai sulh o amaaN se hame,
Hai dil me hamare wila e Hasan(as)..

Banaya hai rabne haseeN is qadar,
Likhu husn har-jaa ba-jaae Hasan(as)..

Jo marzi hai inki wo marzi e rab,
Ye louh o qalam hai bara e Hasan(as)..

Dil e Abr ki hai yahi ilteja,
Mujhe bhi madeena bulaaye Hasan(as)..

3. Janab Fasih Ali Abbas sb.
----------------------------
🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Hai jiske bhi dil me villa e hasan.

Karega wohi bas sana e hasan.

Jo hai kaar e raushan suno teg ke.

Asr wo qalam me dikhaye hasan.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

4. Janab Ali sayyed sb.

🌹Wiladat huwee aaj aayee hasan
Aaj hum muskaraye baraye hasan🌹

🌹Huwi fatah ek Karbala dekhiye
Uthake qalam jab chalaye hasan🌹

🌹Muqaddar us shaks ka sawar jae
Nigaah e mehshar jo muskuraye hasan🌹

🌹Hamesha hame dengi Dua'n Fatima s.a
Hai dil m hamarey Wila e hasan🌹

🌹Munawwar ho jae noor se qabr meri
Agar che khud tasreef laaye hasan🌹

🌹Hai tammana yehi dil m 'Ali' ki
Zindagi bhar karta rahu sana e Hasan🌹

5. Janab Arshad sirsivi sb.

  Lga jaise Qur'an hai quraan par
Sare doshe ahmad jo aaye hasan

Kalam ko bhi zarbe ali kar diya
Khirad wale dekhne adaye hasan

6. Janab Hasan Utraulvi Sb.

Dua jo bhi mangey baraye Hasan a.s ...
Dua uski har ek bar aaye Hasan a.s ...

Juda gul se hoti nahi nikhatei'n ...
Mein kerta rahunga sanaye Hasan a.s ...

Zamene me cha jaye tarikiya'n ...
Agar che na Suraj Ugaye Hasan ...

Taraddud me pad jaye Khud khizr a.s bhi ...
Na unko agar che padhaye Hasan ...

Hasan a.s teri juti ka sadqa mila ...
Tabhi sher padhke sunaye Hasan ...

7. Janab Raheman Ali sb.

Ho mid'hat bhala kis tarah ap ki

Hai kam zindagi bhi bara e Hasan

Yaqee'n hai k Bahre'n bhi seekhunga main

Hai darkar mujh ko dua e hasan

8. Janab Ghazi sb.

Karo aaj khulkey Sanaa e Hasan
Ye mehfil sajii Hai baraa e Hasan

Do baala Ali ki Qushi hogayi
Mohammad ke soorat mey aaye Hasan

Andhera huwa qatm, phailaa hai Noor
Lahad mey Merii jabse aaye Hasan

Sajaaya tha my mehfil e panjatan
Merey ghar mey tashreef laaye Hasan

Hai Ishq e nabi, ishq e Hyder ke saath
Hai dil mey hamaarey wilaa e Hasan

Tu maadey mey tabdeel hojaayega
Zabaa par agar Kun ko laaye Hasan

Tu aye maawiya bach nahi paayega
Agar teyg e Hyder chalaaye Hasan

Adoo, Jung e qasim pey kehney Lagey
Lo bhaago, jawaanii ke aaye hasan

Muqaddar Meri ab sawar jaayegi
Mujhey dekhkar muskuraaye hasan

Qudaa, kardey "GAAZI" pey itna Karam
Baqee'a mey usko bulaaye Hasan


9. Janab Zia Haidar sb.

🌹🌹🌹🌹🌹
1.
Hai mere laboN par sanaaye Hasan,
Ye kahte huve mushkuraaye Hasan.

2.
Kiya jab zameeno zamaaN ne sana,
Fir humse bhala kyuN bhulaaye Hasan.

3.
KyuN kar ho na qismat qaramat liye,
Hai jinke saroN par kisaaye Hasan.

4.
Mohammad Ali Fatma o Khuda,
Khush hai yaN sabhi amn laaye Hasan.

5.
Ye bole malak aur jinno bashar,
Hai dil me hamaare wilaaye Hasan.

6.
Ho jate nusairi Khuda ki kasam,
Gar hota na sajda Khudaaye Hasan.

7.
Ab wo kya karega bhala maaNg kar,
Wo jisko huva hai ataaye Hasan.

8.
Fir kyuN ho pareshaaN jahaaN me ZIA,
Jab wo ban gaya hai gadaaye Hasan.

10. Janab Kumail nagri sb.

Azal se hai hum bhi fidaye hasan.
Hai dil me hamare welaye hasan.

🌹

Mere ho'nt kaise na choome malak.
Labo'n par hai mere sanaye hasan.

🌹

Mujhe khauf mehshar ka hargiz nahi.
Meri zindagi hai baraye hasan.

🌹

Huwa aur raushan ye jahaa'n.
Jab aghoshe zahra me aaye  hasan.

🌹

Nabi leke aghosh me the khade.
Unhe'n dekhkar muskuraye hasan.

🌹

Ye murda jilaade ajab kuch nahi.
Jab ek mard ko zan banaye hasan.

🌹

*Kumail* aake bole farishte na darr.
Hai teri lahed me bhi aaye hasan.


11. Janab Zeeshan Aazmi sb.

Azal se hai lab par sanaaye Hasan
Hai dil me hamare vilaye Hasan

Hasan ki wiladat pe momin sabhi
chiraagaa'n kiye hain baraye Hasan

Sahabi ho, phir bhi ho sulh e Hasan
Munafiq ki pahchaa'n bataye Hasan

Bade achche akhlaq se shekh ko
Wazu ka tarika sikhaye Hasan

Dhani ilm o hikmat ka wo shakhs hai
Ataa ho jise khake paay e Hasan

Ye Zeeshan ke dil ka armaan hai
Ziyarat ko teri wo aaye Hasan

12. Janab Naushad Bijani sb.

Jo karta hai dil se sanaa-e-hasan.
To hoti hai us par ataa-e-hasan.

Hai noore mohammad ziya-e-hasan.
Loaabe nabi hai ghiza-e-hasan.

Hai husne hasan chaand se bhi hasee'n
Hai noore nabi me nahaaye hasan.

Hai inka amal seerate mustafa.
Hai deene nabi iqtedaa-e-hasan.

Woh hogi lazeez aabe kausar se gar.
Maye hubbe haidar pilaaye hasan.

Adu-e-hasan hai adu-e-khuda.
Khuda ki reza hai reza-e-hasan.

Hai laanat munafiq pe meri sada.
Hai dil me mohabbat bara-e-hasan.

Janaaza uthega jo navshaad ka.
To saath uske hogi dua-e-hasan


13. Janab kaifi kalkatwi sb.

*Hai kya" koyi kaise" bata e hasan*
*Hai noor e khudayi khuda e hasan*

*Sabaq amn ka jo sikhaye hamei'n*
*Nahi do jaha'n mei'n siwa e hasan*

*Ishara jo kar de zara ghaiz me*
*Falak bhi tere dar pe aa e hasan*

*Hain andaz e ahmed liye is tarha*
*Sitam ko qalam se jhuka e hasan*

*Muqaabil sada zulm ke kyun na ho*
*Hai dil me hamaare wila e hasan*

*Ali ki shuja'at liye dast mei'n*
*Sitam do jaha'n ka utha e hasan*

*Khuda jaan e kya manzilat inki hai*
*Kare koyi kaise sanaa e hasan*

*Jo khushboo jina ki hame baksh de*
*Woh gul karbala ka khila e hasan*

*Lo qasim ki surat me khud khuld se*
*Shah e dee'n ki nusrat ko aa e hasan*

*Haan rauz e ki tameer ke waste*
*Hamei'n bhi madeena bula e hasan*

*Hai kis me ye himmat mitaye use*
*Muqaddar jo kaifi bana e hasan*

Tuesday 13 June 2017

Tarhi Misra: Ye Deen-e-Nabi tera sana khwa'n hai Khadija(sa)

🌺 *BAZM-E-SHOARA* 🌺
  
     SalamunAlaikum.

*MISRA BARAE Manqabat*       

              👇👇👇👇

*Ye Deen-e-Nabi  tera  sana khwa'n hai Khadija(sa)*

*یہ  دین_نبی  تیرا  ثناخواں    ہے  خدیجہ*

Qhafiya: 👉*Sanaakhwa'n*
Radeef : 👉 *Hai khadeeja*

Misra by👉🏻  *Janab Chaman Abbas Alipuri sahab*

Diye gae tarhi misre par shoara hazraat ke kalaam aur qata......

1. Janab Zeeshan Aazmi sb

*Yeh deen e nabi tera sanakhaa'n hai khadija*

Daulat teri Nazro'n me to bithwaa'n hai khadija
Qayel tere ahsaan ki niswaa'n hai khadija

Manzil tere imaa'n ki khuda ko hi pata hai
Imaan tera pahla na daswaa'n hai khadija

Ahsan dilo jaa'n se kiya deen pe tu ne
Yeh deen e nabi tera sanakhaa'n hai khadija

Zeeshan qaseeda tera kiyo'nkar na likhega
Ahsaan tera dee'n pe farawaa'n hai khadija

دولت تری نظروں میں تو بِٹھواں ہے خدیجہ
قائل تری احسان کی نسواں ہے خدیجہ

منزل ترے ایماں کی خدا کو ہی پتا ہے
ایمان ترا پہلا نہ دسواں ہے خدیجہ

احسان دل و جاں سے کیا دین پہ تو نے
یہ دینِ نبی ترا ثناخواں ہے خدیجہ

ذیشان قصیدہ ترا کیوں کر نہ لکھیں گا
احسان ترا دیں پہ فراواں ہے خدیجہ

2. Janab Arshad sirsivi sb

Maanoos tere azm se Qur'an hai khadija
Ye deene nabi tera sana kha'n hai khadija

Kis shaan se islam pe qurba'n hai khadija
Ab tak tera maqrooz musalma'n hai khadija

Tareekh hai shahid hain ali mardo me awwal
Niswaniyat me pehli musalma'n hai khadija

Do zaate rahi'n mohsine islam e mohammad
Ek zaat teri dusri imra'n hai khadija

Deebacha e zahara teri aaghosh e muqaddas
Iman e mohammad tera ima'n hai khadija

Ham surat e zainab bhi sare dashte bala dekh
Is deen e payambar ki nigehbaa'n hai khadija

Wo zaat e muqaddas jise sab kehte hain zahara
Us umme abih ki bhi tu maa'n hai khadija

Faaqo me basar ki hai malika e arab ne
Kis darja mohammad pe mehrba'n hai khadija

Khilta hai jaha'n fatima zahara sa koi phool
Wo ismat o iffat ka gulista'n hai khadija

Ye tere charagho ki ziya o ka sila hai
Islam ka roshan jo shabista'n hai khadija

3. Janab Kumail nagri sb

Tahreere risalat ki   tu unwa'n hai khadeeja.
islaam mohammad hai to eimaa'n hai khadeeja

💐

Hai dil me mohammad ke samayi teri ulfat.
Paighambare islaam ki tu jaa'n hai khadeeja

💐

Tazeem teri kiyu'n na kare huro malaik.
Shehzadiye kaunain ki tu maa'n hai khadeeja.

💐

Thi zaheda aisi k saqawat me thi aala.
Hasil tujhe allah ka irfa'n hai khadeeja.

💐

Ehsaan ke saaye me tere sar ko jhookaye.
Ye deene nabi tera sana khwa'n hai khadeeja.

💐

Taeed mohammad ki agar ho to hai momkin.
Midhat teri karna nahi asaa'n hai khadeeja.

💐

Sarmaaya nichawar kiya sab raahe khuda me.
islaam pe tera bada ehsaa'n hai khdeeja.

💐

Aghosh me ismat ka jo ek phool liye hai.
imraa'n ke o aa'ngan ka gulista'n hai khadeeja

💐

Kaise na o le aayega hasnain ke kapde.
Naukar tere ghar walo'n ka rizwaa'n hai khadeeja

💐

Kirdaar tera dekh ke shada'n hai kudayi.
Paighambare islaam bhi naza'n hai khadeeja.

💐

4. Janab Altaf Maroofi sb

Maqrooz shahenshaah e Solaima'n hai Khadeeja

itna tera islam pe ehsa'n hai khadeeja
🌹
Daulat kada e fakhr e Rasoola'n hai khadeeja

har tar'h se ham palla e  Imara'n hai khadeeja
🌹
Sooraj bhi use dekh ke beena'iyaN kho de

itna tere Qadmo'n me cheraaga'n hai khadeeja
🌹
Wo Ahle saqeefa hain.
Jise chahe banaye'n

Altaf ghadeeri hun meri MaaN hai khadeeja

5. Janab Jabir Ali sb

Tune hi bachaya hai ise maal ke zariye
Is din e Nabi pe tera ehsaaN hai Khadija.

Ye saare musalamaa hai sana ko teri aajiz,
Yeh din e nabi tera sanakhwaaN hai Khadija.

6. Janab Naushad bijani sb

Qur'aa'n se tuje jaanna aasaa'n hai khadeeja
Ummat me teri shaan numaaya'n hai khadeeja.

Ghamgeen teri maut se hai faatema zehra
Ro ro ke tere gham me woh naala'n hai khadeeja.

Rota hai janaaze pe tere haasmi kumba.
Or chaak mohammad ka gireba'n hai khadeeja.

Chaai hai teri maut se kaabe pe udaasi.
Ghar ehmade mukhtaar ka veera'n hai khadeeja.

Navshad ko mehshar me bhi tum dena sahaara.
Aakhir wo tumhaara hi namak-khwa'n hai khadeeja.

7. Janab Rahman Ali sb

SAB MAAL ATA KAR DIYE TABLEEGH E NABI ME

YE DEEN E KHUDA PAR TERA EHSA'N HAI KHADEEJA

ISLAM K LAB PAR HAI YAHI SUB'HO MASA BAAT

Ye din e nabi tera sanakhvan hai khadeeja

Tuesday 6 June 2017

Tarhi Misra: Rehmate rab ki hai pehchaan hilaale ramza'n

[26/05/2017]

🌺 *BAZM-E-SHOARA* 🌺
  
     SalamunAlaikum.

*MISRA BARAE QATA*       

              👇👇👇👇

*Rehmate rab ki hai pehchaan hilaale ramza'n.*

Qhafiya: 👉  *Pehchan*

Radeef : 👉 *Hilaale ramzan*

Misra by👉🏻  *Navshad Bijani*

Diye gae tarhi misre par shoara hazraat ke kalaam aur qata aap hazraat ke peahe khidmat hai......

1. Jb Fasih Ali Abbas sb

Kyun na niklega ba sad shaan hilal e ramzan.

Rahmat e rab ki hai pehchan hilaal e ramzan.

Banke elaan e mubarek jo ufaq par chamka..

Dekh kar khush hain musalman hilaal e ramza'n

2. Jb Zeeshan Aazmi sb

Phir huwa hum pe maherbaan hilaale ramazan
Yeh musalmano'n ki hai shaan hilale ramzan

Shaan o shaukat se yeh elaan hai bar auje falak
Rahmate rab ki hai pahchan hilale ramazan

Nafse ammara ko pamaal karega zeeshan
Momino'n ka hai dil o  jaan hilale ramzan

3. Jb Kumail Nagri sb

*kiya nirali hai teri shaan hilale ramzan*

*Rahmate haq ki hai pehchaan hilale Ramzan*

*Sab ke sar sajdo'n me jhuk jate hai'n aamad se Teri*

*Zinda kardeta hai eimaan hilale ramzan*

💐💐💐💐💐💐💐💐
4. Jb Masoom Najaf Maroofi sb

1. Chha gaya abre meharbaan hilale ramzaan
Ab baras jhoom ke Faizaan hilale ramzaan

2. Ambiya ki bani pahchan hilale ramzaan
Is me nazil howa Quran hilale ramzaan

3. Nafse ammara pe jin logoN ne qaboo rakha
Hashr me hooN ge wah Zeeshan hilale ramzaan

4. Apne aamal liye aayeNge Tere dar pe
Is maheene sabhi insaan hilale ramzaan

5. Khol deta Hai sabhi baabe ejabat is maah
Rahmate rab ki Hai pahchan hilale ramzaan

6. Thi tamanna yahi mil Jaye Najaf mahe syaam
Mera pura huwa armaan hilale ramzaan

5. Jb Raheman Ali sb

Manao jashn ke aaya hai mehman hilale ramzan
Karenge sab milke tilavat e quraan hilale ramzan
Chalkegi ab  sabhi masjide gunehgar namaziyo se
Rahemate rab ki hai pehchan hilale Ramzan

6. Jb Arshad Jalal sb

Sabab e quwwat e iman hilale ramzan
Yani hai tohfa e rehman hilale ramzan

Teri aamad ka hai ahsan hilale ramzan
Ham jo rab ke huye mehman hilale ramzan

Ghaur se dekhle shaitan hilale ramzan
Hai teri qaid ka ailaan hilale ramzan

Gard aalood jo taqo me rakhe rehte the
Tune khulwaye wo quraan hilale ramzan

Phir se aaya hai mere shauqe ibadat pe shabab
Dekh kar tujh ko meri jaan hilale ramzan

Masjidon me teri aamad ke bahut charche hain
Tu hi tu chhaya hai har aan hilale ramzan

Wo bhi masjid me chale aaye teri deed ke baad
Be namazi the jo insaan hilale ramzan

Momino ko ho mubarak ye khushi ki sa'at
Rehmat e rab ki hai pehchan hilale ramzan

Eid ki misl hai ye sajda guzaro ke liye
Qurbat e haq ka hai unwan hilale ramzan

Bas wahi log hain mehroom e ata e mabood
Jinko tera nahi irfan hilale ramzan

Chaak kar deta hai tehzeeb e ibadat ke liye
Tu gunaho ka girebaan hilale ramzan

Dawate taqwa o ima'n hai teri deed ka naam
Tujhse shaita'n hai pareshan hilale ramzan

Tune tayyar kiya rooh ki bedari se
Nafse ammara ka zindan hilale ramzan

Sura e noor ka hai noor tajlli me teri
Dil ka roshan hai shabistaan hilale ramzan

Sheesha e rooh ko shaffaf kiya hai tune
Ab khata ke nahi imkaan hilale ramzan

Dil pe is tarh se barsa hai teri deed ka abr
Mehka ima'n ka gulistan hilale ramzan

Gham manate hain tujhe dekh ke akhbari mizaj
Aise bhi kuch hain musalman hilale ramzan

Gulshan e Fatima zahara bhi tujhi me mehka
Aaye shabbar jo basd aan hilale ramzan

Tujh me hi lulu o marjaan ki tafseel mila
Tujhme nazil hua quran hilale ramzan

Tujhme hi nafse mohammad ne shahadat pai
Sehne kaba hua veeran hilale ramzan

Aayate apni yatimi pe bahut royi'n lahu
Qatl tujhme hua quran hilale ramzan

7. Jb Naushad Bijani sb

Roza gul rakhega or khaar karega iftaar.

Aysi baato'n se hai anjaan hilaale ramzaa'n.

Khaar ne ro ke kaha gul ne keha khush ho kar.

Rehmate rab ki hai pehchaan hilaale ramzaa'n.

8. Jb Ghazi sb

Kaisey likhkhu my teri Shaan hilaal e Ramzan
Tuu hai momin ki dil o Jaan hilaal e Ramzan

Aamad e maah e Mubarak se muwattar hai jahaa
Sajgayi masjidey har aan hilaal e Ramzan

Teri aamad ka qabar sab Ko sunaaney ke liye
Pehley aajata hai Shaban hilaal e Ramzan

Aisey chamkaa merey Taqdeer ka taara dekho
Bangayaa rabb ka my mehmaan hilaal e Ramzan

Sab imaamo mey ALI(as) jaisey hai sulta'n waisey
Sab maheeno ka hai sultaan hilaal e Ramzan

Is maheeney mey basad shauq my roza rakh kar
Paak karleta hoon eemaan hilaal e Ramzan

Baat sunkar ye dobaala huwi qushiyaa sabki
Bund hojaata hai shaitaan hilaal e Ramzan

Ab ibaadat mey mujhey aur mazaa aaney lagaa
Tuu hai yuu mujhpey meherbaan hilaal e Ramzan

Beynamaazii bhi namaazo Ko adaa karney lagey
Rehmat e rabb ki hai Pehchaan hilaal e Ramzan

Rehmatey aur badhaaney ke liye momin ki
Saath laaya hai tu qur'aan hilaal e Ramzan

Bakshwaalu terey sadqey mey gunaahey saarii
Ho na *"GAAZI"* Ko pasheymaan hilaal e Ramzan

9. Jb Zia Haidar sb
🌹🌹🌹🌹🌹
MominoN ke liye ek baar hai fir se aaya,
Leke khushiyoN bhari muskaan hilale ramzaan.
To padho khoob namaaz aur dua bhi maNgo,
Rahmate rab ki hai pehchan hilale ramzaan.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹

10. Jb Altaf Haider Maroofi Sb
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jal gaya dekh k shaitan Helaal e Ramzan

Shaad tujh se Huwe imran helaal e Ramzan

Chaahe wo daure qadeemi ho.
k ho Aaj ka daur

Sab pe yaksa'n hai meharban Helaal e Ramzan

Ay khuda tuhi bata wo hai musalma'n kaisa

Dekh kr khaye jo pakwan Helaal e Ramzan

11. Jb Qambar sb

Masi'at ka nahi imkaan hilaal e Ramzan

Aaj jakra gaya shaytaan hilaal e Ramzan

Fiza mein phyel gaya noor barkatu wala

Rehmat e Rab ki hai pehchan hilaal e Ramzan.

12. Jb Hasnain Maroofi sb
🌹🌹🌹🌹🌹

Aao imaa,n ke ujaale me safar tai kar le

Rahmate rab ki hai pehchaan helaale ramza,n

Haq ibaadat ka jo karna tha adaa kar na sake

Is liye hum hai,n pashemaan helaale ramza,n

🌹🌹🌹🌹🌹