Sunday 18 February 2018

Tarhi Misra: Baad-e-Nabi jalaaya gaya _Ghar_ Batool ka

[28/01/2018]
*بزم شعراء*

🌹 *BAZM-E-SHOARA* 🌹
  
     SalamunAlaikum.

*MISRA BARA E SALAM/NOHA*  

              👇👇👇👇

*Baad-e-Nabi jalaaya gaya _Ghar_  Batool ka*

*Qafiya........Ghar*
*Radeef.......Batool ka*

*بعد_نبی جلایا گیا  گھر  بتول کا*

Misra by👉🏻
*Ustad Janab Navshad Bijani Sb*

Pesh karda MISRE par shoara hazraat ke kalaam peshe khidmat hai.


1. Kumail Nagri Sb:
🏴 *NOHA*🏴

*Gham kha rahi hai roohe payambar batool ka.*
*Baade nabi jalaya gaya ghar batool ka*

*Jalta huwa jo dar gira zahra ki pusht par*
*haaye shikam me margaya dilbar batool ka*

*Pehlu shikista bibi ka chalna mohaal hai*
*thaame hai haath zainabe muztar batool ka*

*Mayyat ko ghusl dete huye roye zaar zaar*
*pehlu ka zakhm dekh ke haidar batool ka.*

*Marqad pe mustafa ke ya nauha hasan ka tha*
*Na na yateem hogaya shabbar batool ka*

*Baade wafaate ahmade mukhtaar ay KUMAIL*
*Kat ta tha waqt rone me aksar batool ka*

*kumail* nagri....✍🏻

29/01/2018

⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛



2.  Ghazi Abbas Sb:

*Bismillah hirrehmaan nirraheem*

Kaisey badal gayaa hai muqaddar Batool ka
*Baad e nabi jalaaya gayaa Ghar Batool ka*

Kal Tak salaam kartey they jis darr pey Mustafa
Ab jalrahaa hai sholo'n mey wo darr Batool ka

Deewaar o darr ke beech mey dabney se momino
Maa ke shikam mey margaya dilbar Batool ka

Thaamey asaa Wo chaltii hai att'haara saal mey
Kya haal kardiya hai sitamgar Batool ka

Rehmat thi do jahaan ki rehmat ke waastey
Ummat Ney Dil dukhaaya hai kyunkar Batool ka

Aansu nahi lahoo Wo bahaatey hai aaj tak
Pehlu ko jabsey dekhey hai Hyder Batool ka

Baba tumhaarey chaahney waalo Ney dekhiye
Ruqsaar neeley kardiye aakar Batool ka

Dikhlaati rehgayi Wo wahaa baap ki sanad
Jhutlaadiye gawaah jahaa par Batool ka

Qabr e nabi pey Zehra Jo karney lagii bukaa
Rotey they bayn sunkey payambar Batool ka

Karbobala mey zainab o kulsoom kii nahi
Dar asl cheeni zulm Ney chaadar Batool ka

Jis farsh par Batool bahattar ko roti thi
Maatam hai uspey kartey bahattar Batool ka

*"GAAZI"* tu kar dua ke imam e zamaa'n ke saath
Maatam karey baqiyya mey milkar Batool ka

-Az Qalam e *"GAAZI"*
30/01/18.



3. Kaifi Kalkatwi Sb: *BISMILLAH*

*YA ZEHRA* s.a

*Ummat ne aese dhaaya hai kuch dar batool ka*
*Bhulega gham zamana ye kyu'n kar batool ka*
*Aate the saare jhuk ke nabi ki hayaat mei'n*
*Baad e nabi jalaya gaya ghar batool ka*

*امّت نے ایسے ڈھایا ہے کچھ در بتول کا*
*بھو لیگا غم  زمانہ  یہ کیونکر  بتول کا*
*آتےتھےسارےجھک کےنبی کی حیات میں*
*بعدِ  نبی   جلا یا   گیا   گھر  بتول کا*

Kaifi kalkatwi.....✍🏻


4. Mohsin Banarasi Sb: 😭😭😭😭😭😭😭😭😭

*Misra:- Bade nabi jalaya gaya gher batool ka..!!*

😭😭😭😭😭😭😭😭😭

Ummat ne haay ajre risalat me gum diya...
Baade nabi jalaya gaya gher batool ka.!!

😭😭😭😭😭😭😭😭😭

Pahlu shikasta ho gaya jalta jo dar gira...
Chalna mohal ho gaya uthkar batool ka.!!

😭😭😭😭😭😭😭😭😭

Pahlu hai zakhmi baba na mai ji sakungi ab...
Rote the bain sun ke payumbar batool ka.!!

😭😭😭😭😭😭😭😭😭

Jab tak nahi bulayengi amma na jaunga...
Kahta tha door pe khada dilbar batool ka.!!

😭😭😭😭😭😭😭😭😭

Haq mangna rulayega bibi ka hashr tak...
Darbaar me shaqi ke yuñ aakar batool ka.!!

😭😭😭😭😭😭😭😭😭

Jhuti hai kah ke phaad di tahreer e mustafa...
Gasib fidak jo baithe haiñ khakar batool ka.!!

😭😭😭😭😭😭😭😭😭

Har ek zulm dhaya hai ummat ne aapki...
Kabre nabi pe bain tha rokar batool ka.!!

😭😭😭😭😭😭😭😭😭

Jhuk jhuk kar rahe the jise mustafa salam...
Ummat ne hi jala diya wo dar batool ka.!!

😭😭😭😭😭😭😭😭😭

Zulmo sitam ki aandhiyañ mohsin nahi ruki...
Dhaate hai haay rauza sitamgar batool ka.!!

😭😭😭😭😭😭😭😭😭

   *✍🏻•••• Mohsin Banarsi ••••*

😭😭😭😭😭😭😭😭😭


5. Hur Karbalayi Sb:
*اللہ اکبر ۔۔۔*
*خامنہ ای رہبر ۔۔*

*لو پڑگئ  مدینے میں  بنیاد کربلا ۔۔*
*توڑا ستم نے پہلوۓ اطہر بتول کا ۔۔*

*کچھ یوں دلِ نفاق کے شعلے بھڑک اٹھے ۔۔*
*بعد نبی جلایا گیا گھر بتول کا ۔۔*
*حر کربلا ئی جلالپوری ۔*

*Lo padgayi madeene me buniyad e karbala ..*
*Toda sitam ne pahluwe athar batool ka ..*

*Kuch yo'n dil e nafaaq ke shoole bhadhak uthe ..*
*Bad e nabi jalaya gaya ghar batool ka ..*

*Hur karbalai jalalpuri...*
*up india..*



6. Zia Dandupuri Sb:

Bismillah hirrahma nirraheem

😭😭 *NAUHA*😭😭

*Nauha yahi tha jaan e Payambar Batool ka,*
Baad e nabi jalaaya gaya ghar Batool ka.

1.
Zahra Bayaan karti thiN Qabre Rasool par,
Ummat ne baba aapki tukde kiya jigar,
*Afsos Jeena kar diya doobhar Batool ka.*

2.
Ay zaalimo batao maiN kya Fatima nahi,
Baba mera Rasool e zaman aapka nahi,
Ye tha sawaal binte payambar Batool ka.

3.
Baba maiN kahti jati thi beti nabi ki huN,
Maadar Hassan-Hussain ki Zauja Ali ki huN,
HaNste the sab kaleja dukha kar Batool ka.

4.
Kaise bayaN ho Baba sitam kya nahiN huva,
Darbaar me Mal'oon ne ruswa mujhe kiya,
Kaisa badal gaya tha muqaddar Batool ka.

5.
Baba tumhare baad shukooN chain na raha,
Baba Fidak ko chheen ke Zalim ne ki jafa,
*Dushman bana huwa tha sitamgar Batool ka.*

6.
Dar ko giraaya mujhpe mera ghar jalaa diya,
Deewaro dar ke beech mera tan bhi aa gaya,
Hy hy sikam me mar gaya dilbar Batool ka.

7.
Ghusl o kafan jo laash e mutahhr diya gaya,
Haalat pe khasta jism ki Moula bhi ro Pada,
Dard o alam ka baab tha paikar Batool ka.

8.
Zainab pachhade khati thi Kulsoom roti thi,
Hasnain ko bhi maa ki tadap inteha ki thi,
Zaar o qataar rota tha Shauhar Batool ka.

9.
Beshak ZIA hai Fatima Zehra ki ye nazar,
Har waqt har jagah pe azadaare Shaah par,
Saaya rahega Shaah ki maadar Batool ka.

😭😭😭😭😭
✍🏻 Zia Haidar
01.02.2018


7. Navshad Bijani Sb: 😭

Gham karte hain lahad me payambar batool ka.
Maatam najaf me karte hain haidar batool ka.

Baaba ko ro na paai woh, kehke yu'n baar baar.
Padte hai nawha saakiye kavsar batool ka.

Nusrat na uski kar saka tha waqte imteha'n.
Ro ro ke keh raha hai yeh shauhar batool ka.

Khaybar tha jis se dhaaya woh ungli ko dekhkar.
Gham kha rahe hai faatehe khaybar batool ka.

Shabber maa'n ke gham me hai karbal me mubtela.
Ghamkhwaar hai baqee'(a) me shabbar batool ka

Shaamil dare batool jalane me jo na the.
Karbal me woh jalaatne gaye ghar batool ka.

Us waqt maa'n ke mil gaye aarmaan khaak me.
Jab ho gaya shaaeed guletar batool ka.

Lena tha inteqaam mohammad se is liye.
Baade nabi jalaaya gaya ghar batool ka.

Subbat alayya ujdi lahad se baqee'(a) me.
Navshad navha sunta hain aksar batool ka.

*✍Navshad Bijani*
*📋 02/02/2018*



8. Azam Maroofi Sb:

Pursa ali ko dena h rokar batool ka...

Taza h zakhm aaj b dil par batool ka...

Zulmo sitam ki aag se madar k batn me....

Beta tadap k mar gya muztar batool ka....

Gulshan ujad chuka h nabi ki wafaat se....

Q dar jala rahe hain sitamgatar batool ka...

jab tk sada na dengi nahi aayega husain...

marqad pe apni royega dilbar batool ka..

Dekha jo zakhme fatema zahra bawaqte ghusl..

Roya h cheenkh mar k shauhar batool ka..

sar peet'ti hain zainabo kulsoom baar baar....

Gham kar rahi hain dono barabar batool ka...

Zakhmi jigar hua h Hasan ka feraaq me..

Gham kis tarah uthayenge madar batool ka..

Ummat ne kaise ajre resalat ada kiya..

Bade nabi jalaya gya ghar batool ka..

Azam nabi ki qabr larazti rahegi ab...

Sadma liye huye hain payambar batool ka..

Azam Maroofi

Tarhi Misra: Bahaare khulde bareeN leke aa gaye sajjad

[03/02/2018]
*بزم شعراء*

🌹 *BAZM-E-SHOARA* 🌹
  
     SalamunAlaikum.

*MISRA BARA E KALAAM*  

              👇👇👇👇

*Bahaare khulde bareeN leke aa gaye sajjad.*
*بہارِ خلدِ بریں لیکے آگئے سجاد*

*Qafiya........Aa*
*Radeef.......Gaye sajjad*

Misra by👉🏻
*Janab Altaf Haidari Maroofi sahab*

Pesh karda MISRE par shoara hazraat ke Salaam, Noha aap hazraat ke peshe khidmat hai.

1. Azam Maroofi Sb:

👇
Rukhe yazeed se parda utha gye sajjad...

Zamane bhar ko haqeeqat dikha gaye sajjad.....

Sitam ko jaise hawa me uda gaye sajjad...

Kuch aise zulm ki hasti pe chha gaye sajjad.

Qasam khuda ki nahi eik eeent bhi chhori....

Sitam ki neew talak b gira gaye sajjad....

Adab se aaj b duniya salam karti hai...

Ai deen tera moqaddar bana gye sajjad

Aza'n dilane laga zalime zamaa'n dar kar....

Jo do(2) ghadi ko hi mimbar pe kya gaye sajjad...

Dam apan zulmo sitam ki kheza'n ne tod diya....

Bahare khulde baree'n leke aagaye sajjad...

Liye wo sabr ki aatish har eik manzil pr...

Tamaam zulm ki duniya jala gaye sajjad...

Pada tha ghutno pe karbo bala me deene khuda...

Pakad k ungliya'n chalna sikha gaye sajjad....

Saja ke bazme mosarrat har eik soo Azam....

Khushi manao k duniya me aa gaye sajjad..

🖋 Azam Maroofi🖋


2. Muntazir Abbas Sb:

1) JAHA.N JAHA.N BHI TERE NAQSH E PAA GAYE SAJJAD
WO ZARRE KHAAQ KE ME'RAAJ PAA GAYE SAJJAD

2) LAHHO KE QATRE BAHAAKAR KHUD HI KE PAIRO.N SE
ZAMEE.N PE LAAKHO.N SITAARE UGA GAYE SAJJAD

3) JAHA.N PE BEHTA SAMANDAR THA BID'ATO.N KA VAHI.N
AZA E SHAH KA KHAIMA LAGA GAYE SAJJAD

4)UJAD NA PAAEGA FATWO.N KI SAAZISHO.N SE KABHI
AZA KA FARSH DILO.N ME BICHHA GAYE SAJJAD

5) BADE HI THANDE KALEJE SE PADH KE KHUTBA E HAQ
YAZIDIYO.N KE KALEJE JALA GAYE SAJJAD

6). JO KHUD KO ROB SE KEHTA THA SHAAM KA HAAQEEM
KHANAK SE BEDI KI US KO DARA GAYE SAJJAD

7) TU APNE BETE KI NAZRO.N ME BHI THAHAR NA SAKA
YAZEED TUJ KO TO ITNA GIRA GAYE SAJJAD

8) BADALNE VAALI HE ZINDAAN E SHAAM KI QISMAT
BAHAAR E KHULD E BARI.N BAN KE AA GAYE SAJJAD

9) WO JAANA MAAZ PAR SAJDO.N KE SAATH SHAH KA GHAM
SUHAAGA SONE PE KYA HE BATA GAYE SAJJAD

  Sahifa e kaamela..ke havaale se..
10)  HAMAARI HAAJATO.N KO APNE LAFZ PEHNA KAR
QUBOOLIYAT KE MANAARE DIKHA GAYE SAJJAD

11)  KAMAAL KAR GAYE TUM APNE KAAM SE MUKHTAAR
KE ROTI AANKH SE BHI MUSKURA GAYE SAJJAD

12) HAR EK SHER ATA KAR KE *"MUNTAZIR"* TUJ KO
TERI BHI SHASYARI KA QADD BADHA GAYE SAJJAD

shuqre maula....

3. Eram Mehdi Sb:

Wiqaar e Khanaye kaaba badha gaye Sajjad
Khuda se abd e khuda ko mila gaye Sajjad
Riyaz e deen ko pazmurdagi ka khatra tha
Bahar e khuld e bari'n le ke a gaye Sajjad

وقارِ خانئہ کعبہ بڑھا گئے سجاد
خدا سے عبدِ خدا کو ملا گئے سجاد
ریاضِ دین کو پژمردگی کا خطرہ تھا
بہارِ خلدِ بریں لے کے آ گئے سجاد

Eram Mehdi

4. Ghazi Abbas Sb:

Qushi Husain ki aakar badhaa Gaye sajjad
Ali ke jalwey jahaa'n ko dikhaa Gaye Sajjad

Do baala hogayi shabbir ki qushii aisey
Ali ke Ghar mey Ali bankey aa Gaye Sajjad

Phupii ki godh mey, baba ke haatho pey palkar
Dilo'n mey ahley mawaddat ke chaa Gaye Sajjad

Bahaakey ilm ka daryaa har ek ke seeney mey
Nijaat aql e bashar ko dilaa Gaye Sajjad

Jinhoney Deen e qudaa ko mitaana chaaha tha
Unhii ka dehr mey nakshaa mitaa Gaye Sajjad

Ba waqt e asr nidaa e shah e hudaa sunkar
Qudaa ke Deen ko badhkar bachaa Gaye sajjad

Har eak raah pey baazaar yaa ke ho darbaar
Sitam ko qutbo'n se apney rulaa Gaye Sajjad

Yazeed, chain se sonaa hai ab mohaal Tera
Wo dekh, shehr mey Terey qudd Aa Gaye Sajjad

Wo jis mey shauq se jeeta rahaa yazeed e paleed
Usii Mahal ko jahannum banaa Gaye Sajjad

Ley shehr e shaam, muqaddar badalgaya Tera
*Bahaar e quld e baree'n lekey Aa Gaye sajjad*

Pehenkey tauq Wo deykar bayaa'n sarr e darbaar
Yazeed zaado'n ki neendey udaa Gaye Sajjad

Jahaa pey letey na they koi naam sarwar ka
Wahii pey farsh e aza ko bichaa Gaye Sajjad

Ali ke lehjey mey qutbey sunaaye Zainab Ney
Husain bankey zamaaney pey chaa Gaye Sajjad

Qudd apney qoon mey doobey huwey khadey they magar
Jahaa'n ko sabr ka kalmaa padhaa Gaye Sajjad

Pinhaayi shaam ke haakim Ney inko Jo zanjeer
Dayaar e shaam Usii se HIlaa Gaye Sajjad

Terey guroor ko tujhko Mahal mey dafnaakar
Yazeed, teri hukoomat mitaa Gaye Sajjad

Namaaz e ishq adaa Karkey jaltey qaimey mey
Ajab namaaz ki dunya basaa Gaye Sajjad

Andheyraa *"GAAZI"* merey Dil mey aanahi sakta
Ye dil mey shamm e wilaayat jalaa Gaye Sajjad

-Az Qalam e *"GAAZI"*
04/02/18.


5. Sohail Zaidi Sb:


yazeedi zulm ka chehra dikha gaye sajjad
ali ke ghaiz me mimber pe aa gaye sajjad

zamane bhar ko ibadat sikha gaye sajjad
musalla shehar e sitam me bicha gaye sajjad

Zamana dekh le kuch is tarah kiye sajde
Ke qaid khane Ko masjid bana gaye sajjad

khada tha deen bhi mushkil me jab sare darbaar
madad ke waaste darbaar aa gaye sajjad

Zamana dekhe to islaam ki baqa ke liye
Sitam ki hasti jahan se mita gaye sajjad

masal ke rakhi hai gardan yazeed ki dekho
faraz e takht se deeñ ko bacha gaye sajjad

zabaane zulm pe bhi charche bandagi ke hain
*bahar e khuld bareeñ leke aa gaye sajjad*

'Sohail' khutba diya wo ali ke lehje me
Jo zulm ki thi imarat gira gaye sajjad
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

6. Arshad Sirsivi Sb:

Baraye khutba jo mimbar pe aa gaye sajjad
Abu turab ke johar dikha gaye sajjad

Tumhara naksh e kafe pa jo pa gaye sajjad
Hame saleeqe ibadat ke aa gaye sajjad

Wo bediyan jo aziyat me ek izafa thi
Unhe bhi aap zulekha bana gaye sajjad

Asa e sabr o tahammul se bar sare darbaar
Sitam ke neel me rasta bana gaye sajjad

Yazeediyat ka jaha'N maqtab e tashaddud tha
Nisaab e sabr waha'N bhi pada gaye sajjad

Faseel e zulm pe rakh kar charagh e ashq e aza
Husainiyat ki tajalli bada gaye sajjad



7. Kaifi Kalkatwi Sb: *BISMILLAH*

*Sitam ko khauf ka chehra dikha gaye sajjad*
*Ali ke ghar mei'n ali ban ke chha gaye sajjad*

*Ibadato'n ne kaha haq hai murtaza ki qasam*
*Bahar e khuld e baree'n le ke aa gaye sajjad*

Kaifi kalkatwi....✍🏻


8. Navshad Bijani Sb:

Adu ke khaak me arma'n mila gaye sajjad.
Har ayk dil me ghame sheh basa gaye sajjad.

Ghar apna raahe khuda me luta gaue sajjad.
Baraaye deen har ik gham utha gaye sajjad.

Nahi tha jaam woh ayyoob maykade me tere.
Woh jaam-e-sabr jaha'n ko pila gaye sajjad.

Faraar khaare sitam honge gulshane dee'n se.
Bahaare khulde bari'n le ke aa gaye sajjad.

Baleegh-e-aal-e-shahanshaah-e-ambiya ka arooj.
Jaha'n ko khutbo'n se apne bata gaye sajjad.

Samajte the jise shaami rasool ka mimbar.
Use bhi lakde ka takhta bana gaye sajjad.

Gham apne bhool ke ehle haram ki chaadar ka.
Jaha'n se padte huve marsiya gaye sajjad.

Na sar sitam ka uthe fir se, is liye navshaad.
Aza ki shakl me pehre bitha gaye sajjad.

*✍ Navshad Bijani*
*🗒 2018/02/09*


9. Mohsin Banarasi Sb:

*Bishmillah hir rahman nir raheem*
_____________________

Qadam qadam pe mosalla bicha gaye sajjad
Zamiñ ko arshe moalla bana gaye sajjad

Ali ke lahje me khutboñ se waar kar kar ke
Azaan  waqt se pahle dila gaye sajjad

Hayat sajdoñ ko bakhsi hussain ne lekin
Kuch aur sajdoñ ki zeenat badha gaye sajjad

Bujha ke sabr ke tufaan se sitam ka diya
Hussainiyat ka charaga jala gaye sajjad

Na aaya samne baiyyat talab bhi karne koi
Faqeere shaam ko itna dara gaye sajjad

Dayare zulm me lahra ke fat'h ka parcham
Hussain ban ke laeno pe cha gaye sajjad

Ye baat aur hai zanzeer me the jakde magar
Sipahe shaam ko qaidi bana gaye sajjad

Ab isse badh ke bhala haar teri kya ho yazeed
Tere mahel me hi tujhko jhuka gaye sajjad

Na baith payega takhte yazeed pa koi
Dayare shaam me tala laga gaye sajjad

Mahek ye baghe eram ki bata rahi hai hume
Bahaare khulde bareeñ leke aa gaye sajjad

Dayare shaam se majlis ki ibteda karke
Alam hussain ka gher gher laga gaye sajjad

Jahañ pe rok thi zikre hussain pa mohsin
Aza ka farsh wahañ per bicha gaye sajjad

______________________

_*✍🏻•••• Mohsin Banarsi ••••*_

_____________________

10. Zia Dandupuri Sb:
Bismillah hirrahma nirraheem

🌹🌹🌹🌹🌹
1.
Azaa e Shaah diloN me basa gaye Sajjad,
Husainiat ka hai sikka jama gaye Sajjad.

2.
Koyi yazeedi kabhi sar utha na payega,
Yazeediat ka charaga bujha gaye Sajjad.

3.
Nabi ka deen to kho jata jahiloN me kahiN,
Khuda ka shukr hai sajda sikha gaye Sajjad.

4.
Namaze hoti na hota nahi ghame Shabbeer,
Khushi manaiye dunya me aa gaye Sajjad.

5.
MusibatoN pe musibat sahi magar ay sheikh,
Tumhari aaNkho se neeNde uda gaye Sajjad.

6.
Dayaare shaam me khutboN se apne zaalim ke,
Hayaat o maut pe pahra laga gaye Sajjad.

7.
Chala ke khutboN ki talwaar qasr e zaalim me,
Zabaane kaat ke gooNga bana gaye Sajjad.

8.
Hai unke kaano me hota abhi bhi sann sann sa,
Wo jinko khutboN ki gooNje suna gaye Sajjad.

9.
Sunaayi deti hai zanjeer ki unhe jhankaar,
Jinhe hai khutboN se bahra bana gaye Sajjad.

10.
Badha tha farsh e aza ko ZIA bichaane bas,
Bahaare khuld e bariN leke aa gaye Sajjad.

🌹🌹🌹🌹🌹
✍🏻 Zia Haidar
09.02.2018

Tuesday 13 February 2018

Tarhi Misra: Aabaad rahe amn ka gulzaar watan meiN

[23/01/2018]
*بزم شعراء*

🌹 *BAZM-E-SHOARA* 🌹
  
     SalamunAlaikum.

*MISRA BARA E QASEEDA*  

              👇👇👇👇

*Aabaad rahe amn ka gulzaar watan meiN*

Qafiya: 👉 *Gulzaar*
Radeef : 👉 *Watan meiN*

*آباد رہے امن کا گلزار وطن میں*

ق: *گلزار*
ر: *وطن میں*

Baher:
Mafoolo m'faaeelo m'faaeelo f'oolun.

*مفْعولٌ مفاعیلٌ مفاعیلٌ فعولن*

Misra by👉🏻  *Janab Navshad Bijani Sb*

Pesh karda MISRE par shoara hazraat ke kalaam peshe khidmat hai.


1. Zeeshan Aazmi Sb:
अब खत्म करो   आपसी    तकरार वतन में
ज़ाहिर करो बस प्यार   का इज़हार वतन में

यह अह्द करे दिल से कि अपनों को संवारे
ढूंढे से भी मिल  पाए   ना बदकार  वतन में

हर शक्स को अब काम मिले काम हो ऐसा
बैठा   न रहे    कोई    भी बेकार    वतन में

हम साफ रखें     देश हमारा    यह वतन है
ताकि न मरे       कोई भी    बीमार वतन में

रिशवत से भी हो पाक यह अब देश हमारा
हर शक्स का    बेदाग़ हो किरदार  वतन में

नेताजी अगर काम     को ईमां    से  करेंग
महंगाई की गिर जाएगी    दीवार  वतन में

आओ सभी करते हैं दुआ मिलके खुदा से
आबाद रहे   अम्न का    गुलज़ार वतन में

पूछो ना मुझे लेन   का और देन का सौदा
ज़ीशान बहुत  काला है   व्यापार वतन में

✍ ज़ीशान आज़मी

اب   ختم  کرو    آپسی     تکرار     وطن میں
ظاہر    کرو    بس    پیار   کا اظہار وطن میں

یہ عہد   کریں دل   سے کہ اپنوں کو سنوارے
ڈھونڈے سے بھی مل پائے نہ بدکار وطن میں

ہر شخص   کو اب    کام    ملے    کام ہو ایسا
بیٹھا نہ رہے    کوئی    بھی  بیکار وطن میں

ہم صاف    رکھیں   دیس    ہمارا یہ وطن ہے
تاکہ نہ مرے   کوئی      بھی بیمار وطن میں

رشوت سے بھی ہو پاک    یہ   اب دیس ہمارا
ہر شخص  کا   بے داغ    ہو   کردار وطن میں

نیتاجی    اگر   کام    کو     ایماں سے کرینگے
مہنگائی کی گر   جائیگی  دیوار    وطن میں

آؤ   سبھی کرتے     ہیں   دعا مل کے خدا سے
آباد    رہے     امن     کا     گلزار     وطن میں

پوچھو    نہ مجھے   لین کا اور دین کا سودا
ذیشان   بہت    کالا ہے    بیوپار     وطن میں

✍ ذیشان آعظمی


2. Azam Maroofi Sb:
👇
Aajati hai jab zulm ki sarkar watan me....

uth jati hai phr bughz deewar watan me...

Tab zor pakad leti hain nafrat Ki fizayen......

Hote hai kahin dange kahin maar watan me....

Mahsoos tabibo'n ki kami hoti hai harpal....

Hojate hain kuch itne hi beemaar watan me...

Pamaal mere hind ka ye kisne kiya h....

Har samt nazar aate hain lachaar watan me...

Ab rok lo ye hindu-musalmaan k jhagde....

Aye bhai uthao nahi deewar watan me....

Pahle to mahekte the mohabbat k gulista'n.....

Ab q ni khilta wo kahin pyaar watan me....

😥😰
soghra yahi kahti hai k mil jayegi quwat...

Hojay agar bhai ka deedar watan me...
😭😭
wo rah gyi zinda'n k andheron me tadap kar....

Hasrat thi jise jane ki ikbaar watan me...

Azam ye sakeena k waseele se dua h.....

Aabad rahe amn ka gulzaar watan me.....

🖋  Azam Maroofi🖋


3. Ghazi Abbas Sb:

*Bismillah hirrehmaan nirraheem*

*Aabaad rahey amn ka gulzaar watan mey*

Jab Tak bhi rahey hazrat e mukhtar watan mey
Honey na Diyaa zulm ko beydaar watan mey

Chun chunkey har ek qaatil e shabbir ko maara
Zindaa na rahaa koi gunahgaar watan mey

Logo'n mey Ali un waliullaah sunaakar
Hum jaanliyaa kartey hai kirdaar watan mey

Hyder ki fazeelat ko agar koi ghataaye
Banjaatey hai sab meesam e tammaar watan mey

Gaazi usey tanhaa nahi chorhengey kahii par
Jab Tak na qadam rakkheyga zawwaar watan mey

Rauza bhi banaadengey Wo Zehra ki lahad par
Aajaayegi jab aaqri Sarkaar watan mey

Yasrab pey nazar zulm ki padhney nahi dii thi
Jab Tak bhi rahey sayyad e abraar watan mey

Jaatey huwey yasrab se dua kartey they shabbir
*Aabaad rahey amn ka gulzaar watan mey*

Sughra pey Sakina pey kabhi kartaa hai girya
Jab farsh pey aata hai azadar watan mey

*"GAAZI"* ye saudii ke qazaaney se bacho tum
Eemaa'n ko khareedeyga ye deenaar watan mey



Ab qatm huwey jeeney ke aasaar watan mey
Chaltii hai gareebo'n pey hi talwaar watan mey

Aapas ki ladaayii se raho door wagar na
Tum par bhi chaleygi kabhi talwaar watan mey

Ek doosrey firqo'n ke aqeedo'n ke sahaarey
Zaalim na lagaadey kahi angaar watan mey

Jo fitna bapaa karney tuley baithey hai unka
Hojaaye bass ab raastey dushwaar watan mey

Langar ho gareebo'n ke mohalley mey hameysha
Bhooka na marey bass koi Ghar baar watan mey

Tum pyaar ke haatho se usey maaro tamaacha
Nafrat ke lagaatey hai Jo baazaar watan mey

Har Roz sajaaye huwey muskaan labo'n par
Har eak ko hum baatengey bass pyaar watan mey

Kuch log chaley jaatey hai pardeys kamaaney
Rehjaatey hai bass thodey se laachaar watan mey

Wo log hi pardeys ko jaatey hai yaqeenan
Jin logo'n ka jeena huwa dushwaar watan mey

Muddat huwi humlog ko pardeys mey aakar
Dil phir bhi sabhi log ka hai yaar watan mey

Jis raah se my Tha Gaya us raah ko taktii
Maa baithi hai thaamey huwey deewaar watan mey

Mehnat Wo kiyaa kartey hai din raat gawaakar
Taakey rahey aaraam se Ghar baar watan mey

Hum chain se sojaatey hai pardeys mey aksar
Maa jaagti rehtii hai kayii baar watan mey

Ramzan ki rehmat ho ayaa sab pey Kuch aisi
Masjid mey karey Hindu bhi iftaar watan mey

Har qaum agar milkey karey iski hifaazat
*Aabaad rahey amn ka gulzaar watan mey*

Kuch bastiya lutjaatey hai tab jaakey kahii par
Sajtey hai shahinshaaho'n ke darbaar watan mey

Shukraaney ka sajdaa my adaa kartaa Hoon *"GAAZI"*
Martaa hai agar koi sitamgaar watan mey

-Az Qalam e *"GAAZI"*
24/01/18.


4. Navshad Bijani Sb: 🇮🇳

Fitno ki na taameer ho deevaar watan me.
Aabaad rahe amn ka gulzaar watan me.

Phoolo'n ki ta-rah banja bahaaro'n ki tu zeenat.
Mat ban tu khizaao'n ka kabhi khaar watan me.

Ulfat ka samandar tu baha sheeree'n sukhan se.
Alfaaz bana apne na hatyaar watan me.

Hai hubbe watan taaqt-o-daulat se bhi bad kar.
Is fikr pe chalne ki hai darkaar watan me.

Afwaah na phailaao na fitno'n ko hava do
Har jhuti khabar se raho bedaar watan me.

Ham amn ke khwaha'n hai'n mohabbat ke parastaar.
Mazhab ka karenge nahi byopaar watan me.

Navshad huva khatm ghulaami ka zamaana.
Auro'n ki tarah tum bhi ho mukhtaar watan me.

*✍Navshad Bijani*
*🗒 25 / 01 / 2018*

🇮🇳

😭

Sarwar pe sitam dhaate hain aghyaar watan me.
Jeena bhi huva shaah ka dushwaar watan me.

Yasrab se safar ka kiya sarwar ne iraada.
Or karte rahe sabr ka izhaar watan me.

Rauze me payambar ke yeh rokar kaha sheh ne.
Dhaate hai sitam muj pe jafaakaar watan me.

Ay naana muje qabr me tum apni chhupaalo.
Jeene ke nahi ab koi aasaar watan me

Ji paaunga mai kaise jooda ho ke watan se.
Yeh soch ke hota hai dil afgaar watan me.

Rukhsaar rakhe kehke yeh naana ki lahad par
Har gul hai bana mere liye khaar watan me.

Kumbe pe mere karte hai bochaar sitam ki.
Har waqt yeh bay'at ke talabgaar watan me.

Fir maa'n ki lahad par yeh kaha shaah ne aakar.
Ab reh na sakega tera ghamkhwaar watan me.

Jaata hu teri yaad liye karbobala mai.
Jeene na muje denge sitamgaar watan me.

Wapis mai na aa paaunga ab karbobala se.
Ab hai yeh tera aakhri deedaar watan me.

Amma yeh tera laal kataaega sar apna.
Or tera ujad jaayega sansaar watan me.

Ji bhar ke na ro paayega kumba mera mujh par.
Rone ke liye rehna tu tayyar watan me.

Pyaasa mujhe maqtal me laee'n qatl karenge.
Kis tar-h sahegi tu yeh aazaar watan me.

Amma muje maaloom hai tu aayegi ran me.
Is gham ka na seh paayegi tu baar watan me.

Maqtal me karegi tu mera dhoop me maatam.
Baythegi na tu peet ke rukhsaar watan me.

Navshad nabi rote the zehra ki lahad par.
The nawha kuna'n jab shahe abraar watan me.

*✍Navshad Bijani*
*🗒 25 / 01 / 2018*

😭


5. Manzoor Sb:

कल तक थे फ़क़त सच के ख़रीदार वतन मे
अब  सजने  लगे  झूठ  के  बाज़ार  वतन मे

बर्बादी  ए  गुलशन  पे  हैं  आमादा  परिन्दे
हाकिम जो बने फ़ितना ओ अग़यार वतन मे

बेज़ार क्यूँ गुल हो गया गुलशन की फ़िज़ा से
क्यूँ  रहने  लगा  दिल  मेरा  बीमार  वतन  मे

सींचा था लहू देके गुलिस्ताँ को जिन्होने
बेगाने  से  लगते  हैं वो किरदार वतन मे

ये मिट्टी किसी एक की मीरास नहीं है
हर फ़र्द बराबर का है हक़दार वतन मे

हों लाख मसाइल है मगर मंज़िले मक़सूद
बस आके बहलता है दिले ज़ार वतन मे

मन्ज़ूर हर एक लम्हा ये करता हूँ दुआ मैं
आबाद  रहे  अम्न  का  गुलज़ार वतन मे


6. Eram Mehdi Sb:

🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Hoti na hukoomt ke liye maar watan me
A jate agar Sayyed e Abraar watan me
Ta Hashr isi trha gham e shaah ke sadqe
Aabaad rahe amn ka gulzar watan me

Eram Mehdi

🌹🌹🌹🌹🌹🌹


7. Mohsin Banarasi Sb: 🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻🇮🇳

       _*•••• वतन में ••••*_

🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻

_*जां देने को तैयार है हर बार वतन पे...*_
_*मिल जाएंगे कुछ ऐसे भी किरदार वतन में.!!*_

🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻

_*ये शहरे बनारस की हवा नदियों का संगम...*_
_*क्या खूब नज़ारा है मेरे यार वतन में.!!*_

🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻

_*ये हिन्द की मिट्टी नहीं जागीर किसी की...*_
_*हर सख्स का इसपे है अधिकार वतन में.!!*_

🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻

_*सरहद के जवानों को मेरी दिल से सलामी...*_
_*आने नहीं देते हैं जो गद्दार वतन में.!!*_

🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻

_*है हिन्दू मुस्लमान सब एक दूजे के भाई...*_
_*मज़हब की ना बन पाएगी दीवार वतन में.!!*_

🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻

_*हम लोग मनाते यहां दो ईद दीवाली...*_
_*आ जाते मेरे मौला जो एक बार वतन में.!!*_

🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻

_*हर वक़्त किया करते हैं वो मजलिसो मातम...*_
_*इस शान से रहते है अज़ादार वतन में.!!*_

🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻

_*जां देते है मक्कारी नहीं करते वतन से...*_
_*रखते हैं अली वाले ये मेयार वतन में.!!*_

🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻

_*सज्जाद से एक बार शिफा मांग के देखे...*_
_*बैठे हुए जो लोग है बीमार वतन में.!!*_

🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻

_*मै शामो सहेर देख के मां बाप का चेहरा...*_
_*कर लेता हूं यूं खुल्द का दीदार वतन में.!!*_

🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻

_*ये मस्जिदों मन्दिर से सदा आती है मोहसिन...*_
_*आबाद रहे अम्न का गुलज़ार वतन में.!!*_

🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻

     _*••••• मोहसिन बनारसी •••••*_

🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻🇮🇳🙌🏻


8. Syed Ali Abbas Naqvi Sb:

🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳

Kuch aise bhi dekhe hain qalamkaar watan me.

Talwaar sa qhaame se kare waar watan me.

Har lamha dua'on me dua karta hun ye bhi.

Aabad rahe amn ka gulzar watan me.

Umeed e wafa usse bhala kaise rakho'n main.

Karta hai jo imaa'n ka wiyapaar watan me.

Haawi na hua mulk koi isliye hum par.

Taiyaar hai agni sa jo hatyaar watan me.

Shr hindu musalma'n me bapa karke aay qaaed.

Nafrat ki uthao na yun dewaar watan me.

Pyara hai tumhe ab bhi tumhara wo watan to.

Kyun Aaye ho uss par se is paar watan me.

Tarhi Misra: Bana di MajlisoN ki kaayenaat Zainab ne

[15/01/2018]
: *بزم شعراء*

🌹 *BAZM-E-SHOARA* 🌹
  
     SalamunAlaikum.

*MISRA BARA E QASEEDA*  

              👇👇👇👇

*Bana di MajlisoN ki kaayenaat Zainab ne*

Qafiya: 👉 *Kaayenaat*
Radeef : 👉 *Zainab ne*

بنادی مجلسوں کی کائٍنات زینب نے

ق: کائٍنات
ر: زینب نے

Misra by👉🏻  *Janab Muntazir Abbas  Sb*

Pesh karda MISRE par shoara hazraat ke kalaam peshe khidmat hai.

 

1. Arshad Sirsivi Sb:
Aseer hoke  bhi rakhi hai ahtiyaat aisi
Kiye na tarq kabhi wajibat zainab ne

Wo jis maqam pe hosh o hawas ud jaye'n
Ada kiye waha som o salat zainab ne


2. Kumail Nagri Sb:

*Banaa di majliso'n ki kaayenaat zainab ne*

Ali ke paa ke mokammal sifaat zainab ne.
Mitaa di  zulm o tashaddud ki zaat  zainab ne.

🌹

Uthi wo lehr ke aywaane zulm doob gaya.
Bahaayi sabr ki aisi furaat zainab ne.

🌹

Ali ke lahje me dekar bayaa'n sare darbaar.
Sitam ko din me dikhayi hai raat zainab ne.

🌹

Jalaal hazrate abbas ka utar aaya.
Na jaane kaunsi kehdi hai baat zainab ne.

🌹

Bade hi sabr se zindaane shaam me rahkar.
Badhayi deene nabi ki hayaat zainab ne.

🌹

Azaa ka farsh bicha kar yazeed ke ghar me.
*banaadi majliso'n ki kaayenaat zainab ne*

🌹

*Kumail* qatl shehe karbala huye jis dam.
Rakha sakina pe shafqat ka haat zainab ne.

🌹

*kumail* nagri.... ✍🏻
🛑🛑🛑🛑🛑🛑🛑🛑🛑🛑🛑🛑🛑🛑🛑🛑

3. Zia Dandupuri Sb:

🌹🌹🌹🌹🌹
1.
Kinaare rakh ke sabhi khwahishaat Zainab ne,
Bachaaye deen ke hajjo zakaat Zainab ne.

2.
Dikha ke zulm ko uski wafaat Zainab ne,
Diya hai bhai ka har simt saath Zainab ne.

3.
Nisaar betoN ko karke khuda ke mazhab par,
Diya hai deen ko aabe hayaat Zainab ne.

4.
BaNdhe the pusht pe Zainab ke haath fir bhi hai,
Ada kiye sabhi haiN waajibaat Zainab ne.

*5.* *Qata band*
*Kalaam lahjaye Haidar me karke zaalim ki,*
*Bigaad dahr meiN di zaat paat Zainab ne.*

*The saat sau to magar goonge the bane baithe,*
*Dikhaayi lahje me wo deeniyaat Zainab ne.*

6.
Jagah jagah pa bayaN zikre karbala kar ke,
Dilaayi kufr se deeN ko nijaat Zainab ne.

7.
Qalam hai kufr ka sar karke apne khutboN se,
Hila di kufr ki har hai qanaat Zainab ne.

8.
Khada yazeed na ho paya fir hai kadmoN par,
Dikhaaye usko wo haiN haadsaat Zainab ne.

9.
Buland dahr me karke azaaye sarwar ko,
Bana di MajlisoN ki kaayenaat Zainab ne.

10.
Qalam liye ZIA kaagHaz pa likhne jab baitha,
Ata kiye sanaaye harkiyaat Zainab ne.

🌹🌹🌹🌹🌹
✍🏻Zia Haidar
17.01.2018

4. Navshad Bijani Sb:

🌹
Fida ki dee'n pe rida aali zaat zainab ne.
Magar di taalibe bay'at ko maat zainab ne.

Bana di majliso'n ki kaayenaat zainab ne.
Ata kiya hai yun dee'n ko sabaat zainab ne.

Ali ke lehje me khutbaat ki havsao'n se.
Bujha di zulm ki sham'e hayaat zainab ne.

Sare sitam juda shamsheere sabr se kar ke
Fane vigha ke nikhaate nikaat zainab ne.

Na bad-dua ki kabhi seh ke zulm ummat ke.
Yeh qaum pe hai kiya iltefaat zainab ne.

Nabi ke misl hai vahdaaniyat ko bakhsha farogh.
Bayaan kar ke khuda ki sifaat zainab ne.

Aza ka farsh ata kar ke saari dunya ko.
Sikhaaye tarze hayaato mamaat zainab ne.

Ali ne tode hai'n laat o manaat patthar ke.
Sitam ke tode hain laat o manaat zainab ne.

Lutaai maine hai daulat aza pe jab navshad.
Ada kiye hai woh sab akhrajaat zainab ne.
🌹




😭
Suna hai shaame ghareena'n ki raat zainsb ne.
Uthaai khayme ki tooti qanaat zainab ne.

Diya tha ghaazi ki maanind raat bhar pehra.
Musibato'n me shujaa'at ke saath zainab ne.

Balaa ke dasht me ehle haram ki aankho'n se.
Thi dekhi ashko'n ki behti furaat zainab ne.

Sulaake ret ke bistar pe sheh ke baccho'n ko.
Ibaadato'n me guzaari woh raat zainab ne.

Padi thi laashe'n azeezo'n ki ja-b-ja ran me.
Qaza na hone di fir bhi salaat zainab ne.

Charaagh aankho'n ke qurbaa'n kar ke bhaai par.
Lutaadi apni hai kul kaayenaat zainab ne.

Jari ka tadpega laasha yeh soch kar haaye.
Qadam badaye na sooye furaat zainab ne.

Adu ko maat thi Navshad deni meh'shar tak.
To mulke shaam me paai wafaat zainab ne.
😭

5. Asmee Sarkaar Sb:

🙏🏻🙏🏻🙏🏻🙏🏻🙏🏻🙏🏻🙏🏻🙏🏻🙏🏻

*_kadam Yazid ki Bayyat Pe har kadam rakh Kar..._*

*_Bana Di Majliso'n Ki Qaynaat Zainab Ne.._*

6. Azam Maroofi Sb:

👇👇
Byaan kar ke haqo dee'n ki baat zainab ne.....

Sitam k chehre pe maari hai laat zainab ne......

Khuda k deen pe ik aanch tak na aayegi.......

Sanbhaal rakhi hai sab mushkilaat zainab ne......

Ye rassiyo'n me nahi qaid shaah ki hamsheer....

Ye baandh rakhhe hain bai'at k haath zainab ne.....

Ghame hussain bapa karke zulm k ghar me...

Bana di majliso'n ki kaynaat zainab ne.........

Jo zindagi ko samajhte rahe makaane baqa.....

Qadam qadam pe unhe'n di mamaat zainab ne

Har eik gaam pe dee'n kamyaab hota gya.....

Diya hai itne saleeqe se sath zainab ne.....

bala k dasht me islaam jal raha tha magar....

Bachaali deen ki Azam hyaat zainab ne..

Az qalam   ---- AZAM MAROOFI

7. Aaftab Husain Sb:
    🙏🙏🙏🙏🙏🙏
🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
Saja k majlison ki kaynaat zainab ne...
Husainiyat ko ata ki Hayaat zainab ne..🌷

🌷Bagair mange qalam or dawaat zainab ne...
Dikhaee logon ko rahe najat zainab ne🌷

🌷Ghame Husain ko dunya me javedaani di...
Bana k ashkon ko aabe hayaat zainab ne...🌷

🌷Yazidiyat ko thaherne nahi diya ik pal...
Kisi mahaaz pe ghaazi shifaat zainab ne..🌷

🌷Hamaare waste mansoor kr gaee,n aasa,n..
Rahe najat ki sab mushkilaat zainab ne..🌷

Mansoor raza jafri

8. Suhail Waasti Sb:

🌹🌹*sitam ki jheli h sab mushkilaat zainub ne,*
*magar na tark ki raah e sibaat zainub ne*
*ستم کی جھیلیں ھیں سب مشکالات زینب نے*
*مگر نہ ترک کی راہ ثبات زینب نے "*

*1) aza ke sath me shamil kro namazo ko,*
*dikhai ham ko ye raah e nijaat zainub ne*
*عزا کے ساتھ میں شامل کرو نمازوں کو *
*دکھائی ہم کو یہ راہ نجات زینب نے *

*2)musibato me kisi waqt bhi ko qaza na hui ,*
*dawaam bahsha h tujhko salaat zainub ne*
*مصیبتوں میں کسی وقت بھی  قضا نہ ہوئ*
*دوام بخشا ہے تجھکو صلات زینب نے*

*3) laraz gya h sitamgar ka tkht bhi jis se,*
*ali ke lahje me ki aise baat zainub ne*
*لرز گیا ہے ستمگر کا تخت بھی جس سے *
*علی  کے لہجے میں کی ایسے بات زینب نے*
*4) chali thi sath madeene se leke baito'n ko*
*lutaye bhai pe aala sifaat zainub ne*
*چلی تھی ساتھ مدینے سے لیکے بیٹوں کو *
*لٹاۓ بھائی پہ اعلیٰ صفات زینب نے *

*5) china ke chadaren apni luta ke ghr apna*
*khuda ke deen ko bahshi hayat zainub ne*
*چھنا کے چادریں اپنی لٹا کے گھر اپنا *
*خدا کے دین کو بخشی حیات زینب نے*

*6) ke jinko soch ke ankho se khoon jari ho*
*jigar pe jhele h wo hadsaat zainub ne*
*کے جنکو سوچ کے آنکھوں سے خون جاری ہو *
*جگر پہ جھیلے ہیں وہ حادثات زینب نے *

*7) jafa ke ghr me hi maatam ki ibteda karke*
*bana di majliso ki kayanaat zainub ne*
*جفا کے گھر میں ہی ماتم کی ابتدا کرکے *
*بنا دی مجلسوں کی کاینات زینب نے *

*8)gale pe chalte huye bhai ke dikha khanjar,*
*suhail jabke uthai qanaat zainub ne*
*گلے پے چلتے ہوۓ بھائی کے دکھا  خہنجر*
*سہیلؔ جبکے اٹھائی قنات زینب نے* 🌹🌹🌹

9. Kaifi Kalkatwi Sb: BISMILLAH

Azaa e shah ko di hai hayaat zainab ne
Rakhi hussain ki har ek baat zainab ne

Bitha ke pehre pe abbas se dilawar ko
Yazid chheen li tujhse furaat zainab ne

Nisaar kar ke bayabaa'n mei'n apne bachcho'n ko
Na chhora dasht mei'n bhai ka haath zainab ne

Yazid bach ke na ja payega aseero'n se
Ke band rakhi hai har simt ghaat zainab ne

Kabhi jaha'n me na hoga yazid ab paida
Mita di khutbo'n se zaalim ki zaat zainab ne

Haa'n sir utha na sakega kahi'n zamane mei'n
Sitam ko di hai suno'n aesi maat zainab ne

Bicha ke farsh e azaa baad e asr e aashoora
Bana di majliso'n ki kayenaat zainab ne

Ke jis mei'n mar gayi kaifi hussain ki dukhter
Na jane kaise guzari woh raat zainab ne

Kaifi kalkatwi.....✍🏻

10. Ghazi Abbas Sb:

*Bismillah hirrehmaan nirraheem*

*Banaadi majliso'n ki kaayenaat Zainab Ney*

Qilaaf e shaah sunii jab bhi baat Zainab Ney
Hai maari qutbo'n se zaalim ko laat Zainab ney

Sitam ke hosh thikaaney pey aagaye us damm
Ki jabkey baap ke lehjey mey baat Zainab ney

Layee'n ka qutbo'n se kaata jigar sarr e darbaar
Ajab dikhaay*e* wahaa maujzaat Zainab Ney

Ali ke Sher ke parcham ke saaye mey jaakar
Adoo se cheenli badhkar furaat Zainab Ney

Balaa ke dasht mey do laal ko fidaa karkey
Qudaa ke dee'n ki badhaa di hayaat Zainab Ney

Qudaa ke Deen pey kunba lutaakey qudd apna
Adaa ki Deen e nabi ki zakaat Zainab ney

Kabhi bhi shaam mey ab shaam honahii sakti
Sitam se usko dilaaya nijaat Zainab Ney

Adab se Deen Padheyga namaaz e shukraana
Ke jabke Hal ki kayii mushkilaat Zainab Ney

Layeen aaj bhi dartaa hai shaam aaney se
Har eak raah pey usko di maat Zainab Ney

Yazeed e Waqt ke Ghar mey bichaakey farsh e aza
*Banaadi majliso'n ki kaayenaat Zainab Ney*

Kahii pey sabr, kahii par jalaal peysh kiyaa
Ali se seekhey hai sab waardaat Zainab ney

Pakadkey haath ko karbobala se shaam talak
Sikhaayi Deen ko qudd deeniyaat Zainab Ney

Namaaz phir sarr e meraaj pahunchi asr ke baad
Bandhey rasan se padhii jab salaat Zainab Ney

Namaaz e shab mey adaa Karkey shukr ka sajdaa
Guzaari *"GAAZI"* gareebo'n ki raat Zainab Ney

-Az Qalam e *"GAAZI"*


11. Zeeshan Aazmi Sb:

बचाया दिन को    दिन और   रात ज़ैनब ने
उठाई    कर्बला में    मुश्किलात   ज़ैनब ने

कभी ना छोड़ना दामन नमाज का    लोगों
पढ़ी है    रंजो अलम     में सलात ज़ैनब ने

अली के लहजे में दरबारे    शाम में आकर
कि इनकेशाफ यज़ीदों कि ज़ात   ज़ैनब ने

ज़माने वालों को मेंबर से   आज बतलाओ
जहां-जहां जो कीं है हक़ की बात ज़ैनब ने

कोई यज़ीद सा    ज़ालिम न  कर उठाएगा
सितमगरों को दी है    ऐसी मात    ज़ैनब ने

बीछा के फरशे अज़ा देखिए यज़ीद के घर
बना दी मजलिसों की   कायनात ज़ैनब ने

यही     अक़ीदा है ज़ीशान    का हमेशा से
अता की फरशे   अज़ा को हयात ज़ैनब ने

✍ ज़ीशान आज़मी

بچایا دین     کو دن    اور       رات زینب نے
اٹھائی     کربلا     میں     مشکلات زینب نے

کبھی     نہ چھوڑنا     دامن    نماز  کا لوگو
پڑھی ہیں     رنج و الم میں صلات زینب نے

علی کی     لہجے   میں   دربارِ شام میں آکر
کی      انکشاف    یزیدوں  کی ذات زینب نے

زمانے والوں   کو منبر     سے      آج    بتلاؤ
جہاں جہاں جو کی ہے حق کی بات زینب نے

کوئی     یزید    سا     ظالم نہ   سر اٹھائےگا
ستم گروں کو دی     ہے ایسی مات زینب نے

بچھا    کے فرشِ عزا     دیکھئے یزید کے گھر
بنادی مجلسوں     کی      کائنات     زینب نے

یہی    عقیدہ       ہے ذیشان     کا ہمیشہ سے
عطا کی        فرشِ عزا     کو حیات زینب نے

✍ ذیشان آعظمی

12. Urfi Jalalpuri Sb.

جناب *زينب* سلام الله عليها

*بہاکےآنسوئوں کی اک فرات زینب نے*
*ڈبودی ظلم وتتشددکی ذات زینب نے*

*ستم کی قید میں دوسال سختیاں سہ کر*
*وفاوصبرکوبانٹی حیات زینب نے*

*لگی جوآگ توسب خیمےجل گئےلیکن*
*بچائی خیمےسےکل دینیات زینب نے*

*وہ چاہےشام غریباں ہویاکہ زنداں ہو*
*کئےنہ ترک کبھی واجبات زینب نے*

*قدم قدم پہ مصائب ,مگربآسانی*
*عبورکی حدناممکنات زینب نے*

*کوئی حسین کاذاکرکوئی بناشاعر*
*ہمیں یہ بخشےہیں*عرفی *صفات زینب نے*
URFI Jalalpuri
AmbedkarNagar U.P.INDIA