Monday 14 November 2016

Tarhi Misra: Shabbir(as) ke maqsad ki Nigheba'n hai Sakina(sa)

Tarhi Misra: Shabbir(as) ke maqsad ki Nigheba'n hai Sakina(sa)

Misra By: Janab Chaman Rehmathi Sahab

Misra Tarikh: October 2016


1.
Janab Chaman Rehmathi Sahab

*Kis ne kaha midhath teri aasa'n hai Sakina,,*
*Jab din e Nabi tera sanaqa'n hai Sakina..*

*Dunya may fazilath ka shabista'n hai Sakina,,*
*Aiwaan e aza tujh se charagha'n hai Sakina..*

*Tu bayis e taskin e Hussain ibne Ali hay,,*
*Abbas e dilawar ki tu hi jaa'n hai Sakina..*

*Ghazi hay kamer Sheh ki toh aankqhien Ali Akbar,,*
*Asgher hay kaleja toh  rag e jaa'n hai Sakina..*

*Zainab ko ager khehtey hain Quran e Masayib,,*
*Iss dukh bhari tehrir ka unwa'n hai Sakina..*

*Bazar may darbar may zindan e jafa may,,*
*Abid ke har ek dard ka darma'n hai Sakina..*

*Aati hay sada aaj bhi yeh Karbobala se,,*
_*Shabir  ke  moqsad  ki  nigheba'n  hai  Sakina..*_

*Roti hi rahi sham e ghariba'n se musalsal,,*
*Baba ki judayi se paresha'n hai Sakina..*

*Dafna ke Sakina ko yahi keh utthey Abid,,*
*Darbar tera ab yehi zinda'n hai Sakina..*

*Ab Rozey pa tum apne bulalena Chaman ko,,*
*Har aan mere dil may yeh arma'n hai Sakina..

2.
Janab Zeeshan Azmi Sahab

1. Baba ke liye ran me pareshañ hai sakina
Jaañ rakh ke bhi sad haif ke be jaañ hai sakina

2. Ay shimr yatima ko laga ab na tamache
Pahle se ghame sheh me kharoshañ hai sakina

3. Ji bhar ke phuphi dekhiye bhayya  ki amanat
Zindaan me kuch roz ki mahmaañ hai sakina

4. Sajjad ne dafna ke bahan ko yeh kaha hai
Yeh bhai tere sabr pe qurbaañ hai sakina

5. Zeeshan ne yeh likh ke qalam tod diya hai
Shabbir ke maqsad ki nighebaañ hai sakina

3.
Janab Kumail Nagri Sahab

(1) Shabbir ke maqsad ki nigehba'n hai sakina.
  islaam hai sajjad to eimaa'n hai sakina.

                    

(2) rauze pe tere aate hai'n sab huro malaaek.
  Jannat hai ke shabbir ka quraa'n hai sakina.

                        ⚫

(3) ab tirchi nazar tujhko nahi dekhega koyi.
  Naukar teri dehleez ka rizwaa'n hai sakina.

                          ⚫

(4) nigraani hai abbas ki zainab ki nazar hai.
  issmat ke wo aangan ki gulistaa'n hai sakina.

                         ⚫

(5) ruqssat huye shabbir bahen se yahi kahekar.
Ab tere hawale ye meri jaa'n hai sakina.

                        ⚫

(6) roti hai phupi amma bhi ghurbat pe tumhari.
Nalaa'n sare naiza shehe zeesha'n hai sakina.
                            ⚫

(7) matt maarna ay shimr yatima ko tamache.
  Baba ki judayi se pareshaa'n hai sakina.

                       ⚫

(8) royana karo bibi you'n din raat pidar ko.
  Ye ghar nahi ye shaam ka zindaa'n hai sakina.

                             ⚫

(9) do gazz bhi kafan haaye tujhe de nahi payi.
  Sharminda bohat tujhse teri maa'n hai sakina.

                            ⚫

(10) ye likh ke KUMAIL* apna qalam rokliya hai.
  Dushman bhi teri sabr pe haira'n hai sakina.

4.
Aale Aba Groups

Sin karbobala me hai faqat chaar baras ka.

Is umr me bhi haafize qur'aa'n hai sakeena.

Islaam ko zinda kiya shabbeer ne ban me.

Shabbeer ke maqsad ki nigehba'n hai sakeena.

5.
Janab Anees Abr Sahab

Shabbir(as) ki furqat me pareshaN hai Sakina(sa)...HairaaN hai Sakina(sa)...
kuch roz ki is dehr me mehmaaN hai Sakina(sa)...

Wehshat ye andhere ki ye tanhaii ka aalam...Be chain hai har dam,
Mar jayegi na-waqif e zindaaN hai Sakina(sa)...

Bachchi ne kaha dekh ke sar tasht me rakhkha...Haaye mere baba,
Darbar me aayi sar e uryaaN hai Sakina(sa)...

Zainab(sa) ne kaha dada tumhe bakshenge kausar...godi me bithakar,
Shiqwa na karo sabr ka maidaaN hai Sakina(sa)...

Ummeed thi dukhya ke Baba ki qaza par, Pursa ho mayassar...
Par zulm ki izaa se pareshaaN hai Sakina(sa)...

Ye pyaas ye zindaan ye sakhti ye judaii...aur aabalaapaaii,
Afsos teri maut ka saamaaN hai Sakina(sa)...

Paani na piya kehke ye bachchi ne kahi bhi...Har dam rahi pyaasi,
Tashna abhi tak Asgar e NaadaaN hai Sakina(sa)...

AankhoN me waran zakhmi badan, tashna-dahaani...aur haathoN me rassi,
Mushkil hai bahot mout ki khwahaaN hai Sakina(sa)...

Ye sochke aadaa ne sataya hai use Abr...karte hi rahe jabr,
Shabbir(as) ke maqsad ki nigehbaaN hai Sakina(sa)...

6.
Janab Zia Haider Sahab

Abbas ke jazbaat ka aywa'n hai Sakina,
Pyaasi hai magar deen pe ehsa'n hai Sakina.

Abbaso Ali, Auno Mohammad ki hai pyaari.
Qasim bine shabbar ki dilo jaa'n hai Sakina.

Sabbreer yeh kehte the sada binte ali se.
Shabbir ke maqsad ki nighebaa'n hai Sakina.

Asghar ko kiya qatl sitamgar ne hai lekin.
Gharqaabe sitamgaar ka saama'n hai Sakeena.

Naize pe thaherta nahi jab ke sare ghaazi.
Abbas ke jeene ka bas armaa'n hai Sakina.

Mashqeeza ke chhidte hi zia bole yeh Ghazi
Abbas bahot tumse pashemaa'n hai Sakina.


7.
Janab Sadiq Ali Naushad Sahab

Kurte ka tera jal gaya daama'n hai sakeena.
Aa paas mere shaame ghareeba'n hai sakeena.

Seene pe sulaaoo'n mai tuje aaja mere paas.
Maqtal me tere dard ka darma'n hai sakeena.

Maqtal se bulaata hai tuje baaba yeh keh kar.
Kyun khaa ke tamaache tu paresha'n hai sakeena.

Aaja ke tuje seene pe mai apne sulaa du.
Tu mera jigar aur meri jaa'n hai sakeena.

Kal se to tujhe shaam talak karna safar hai.
Jangal me tu ek raat ki mehma'n hai sakeena.

Tu aaegi maqtal me yeh ummid hai mujko.
Yeh tuj pe tere baaba ko iz-aa'n hai sakeena.

Darna nahi tu fatema zehra ki hai poti.
Che jaae ke yeh khauf ka mayda'n hai sakeena.

Himmat se mere seene pe sar rakh ke tu soja.
Laasha mera is dasht me urya'n hai sakeena.

Tu dee'n ko bachaane ke liye sabr karegi.
Tu hi to mera aakhri arma'n hai sakeena.

Kar sakti ho tum sabr ka tay maarka har ik.
Keh sakta hai yeh kon ke naada'n hai sakeena.

Nana bhi yeh daadi se kaha karte the har dam.
Shabber ke maqsad ki nigehna'n hai sakeena.

Muh maanga mila karta hai darse tere usko.
Navshad* pe sadyo'n se maherba'n hai sakeena.


8.
Janab Hasan Raza Sahab

باطل کے مقابل میں جو طوفاں ہے سکینہ
کیونکر نہ ہو  بنت شہ مرداں ہے سکینہ

زہرا کی طرح سہہ کے ہر اک درد ہر اک غم
ہر گام ولایت کی نگہباں ہے سکینہ

عباس پہ قربان ہے یہ ساری خدائ
تم پر مگر عباس بهی قرباں ہے سکینہ

کهلتے ہیں جہاں صبر اور ایثار کے غنچے
شبیر کے گهر میں وہ گلستاں ہے سکینہ

روضہ پہ ترے دست ادب جوڑ کے بی بی
اسلام بهی شرمنده احساں ہے سکینہ

اسلام پہ گر سایہ کئیے ہے تری چادر
سر پر ترے سایہ کئیے قرآں ہے سکینہ

ایثار و وفا صبر اور ہمت کے فلک پر
خورشید کے مانند درخشاں ہے سکینہ

اسلام یہ کہتا ہے مری جان ہے شبیر
شبیر یہ کہتے ہیں مری جاں ہے سکینہ

اس چهوٹے سے سن میں ہے ترا حوصلہ ایسا
خود حوصلہ بهی دیکه کے حیراں ہے سکینہ

تم دروں کی بارش میں بهی کرتی رہی سجدے
کتنا تمہیں الله کا عرفاں ہے سکینہ

ملتی ہے جہاں سے رضا بچوں کو بهی ہمت
وہ جرأت و ہمت کا دبستاں ہے سکینہ

batil ke muqabil me jo tufa'n h skina
q kar na ho bint e shahe marda'n hai skina

zhra ki tarah sah ke har ek drd hr ek gam
har gam welayt ki nigahba'n h skina

abbas pe qurban h ye sari khudai
tum pr magar abbas b qurba'n h skina

khilte hain jaha sbr aor isaar ke gunche
shbbeer ke ghr ka wo gulitsa'n h skina

rauze pe tere dast adab jod k bibi
islam b sharmindaye ehsa'n h skina

islam.pe gar saya kiye h teri chadar
sar pr tere saya kiye quraa'n h skina

isaro wafa sbr aor himmt ke falak pr
khursheed ke manind drakhsha'n h skina

islam ye kahta h meri jan hain shbbeer
shbbeer ye kahte h meri ja'n h skina

is chote se sin me h tera hausla aisa
khud hausla b dekh ke haira'n h skina

tum durru ki barish me b karti rahi sjde
kitna tumhe allah ka irfa'n h skina

milti h jaha se raza bchcho ko b himmt
wo himmto jur at ka dabista' n h skina


9.
Janab Hassnain Maroofi Sahab

shaakir bhi hai aabid bhi hai ezda,n hai sakeena
Shabbeer ke maqsad ki nigahba,n hai sakeena

Aiyoob sada dete hai,n meraaj se ghum ki
Zakhmo,n ke qabeele ki sulaima,n hai sakeena


10.
Janab Hamza Behlol Sahab

*islam pe har tar'h se* qurbaa.n hai sakina
Shabbir ke maqsad ki nigehban hai sakina

*jo*Shimr *se rokhsaar pe* khaye hain tamache,  dukh dard chUpaye

Kis tarah se zinda pa e zindaaN hai sakina
......
Zaalim yuN firatE HAIN ke haantho me HAI rassi, bandha hai gala bhi
Har gaam musibat hai pareshan.n hai sakina
.....
Zainab ye kaha karti thi hai shah ki dukhtar , mat maar sitamgar

Sunle dile Shabbir ka  armaa.n hai sakina
........
Kehta tha la'eeN dedo kanizi me sakina, dunga me khazeena,
SUN KAR SAR E DARBAAR ye....bejaa.n hai sakina
........
Dekha hai Jo bahelol ne gum ka hai WO Dariya , masoom sakina
Gum ke liye kafi hai ke uriyaa.n hai sakina


11.
Janab Altaf Maroofi Sahab

Har fikre bashar soch k haira'n hai sakeena

Kamsin hai magar Hafiz e Quraa'n hai sakeena
🕯
Islam ko milta hai sokoo'n god me sheh ki

Taskeen e dile sarwar e zeesha'n hai sakeena
🕯
*TAZMEEN*
Zainab ki tarah dil me liye Azm o iraade

Shabeer k maqsad ki nigehba'n hai sakeena
🕯
Chahe to chala aayega aagosh me kausar

Mutthi me liye qadr e solaima'n hai sakeena
🕯
Hai koyi ?? ShareeAt ko tamacho'n se  bachaye ?

be saakhta sarwar ne kaha Ha'n hai  sakeena
🕯
Ab sar wo kabhi ho nahi sakte hain barehna

Jinki bhi redaao'n ki  nigehba'n hai sakeena
🕯
Bas zere kesa panjatan e pak nahi hain

Shabbeer k kirdaar me pinHa'n hai sakeena
🕯
Khoone Abutalib ka Asar dekh le Duniya

Shabbeer Mohammad hain to Imra'n hai sakeena
🕯
Jab Natiq e Qur'aan k seene ki makee'n hai

Fir Q na kahu'n sura e insa'n hai sakeena
🕯
Abbas k shane jo qalam hain to hua kya

Pakde huwe bay'At ka gareeba'n hai sakeena
🕯
Chaahe to abhi saltanat e zulm baha de

Aankho'n me liye nooh ka toofa'n hai sakeena
🕯
Sunne ko zoroor aayenge Abbas e dilawar

Altaf teri Nazm ka unwa'n hai Sakeena.

Friday 7 October 2016

Misra: ZINDAGI LAAYI HAI HAMKO FIR MOHARRAM KE QAREEB

Misra: ZINDAGI LAAYI HAI HAMKO FIR MOHARRAM KE QAREEB

Misra By: Janab Altaf Haidari Maroofi

Tarikh: October 2016


1.
Janab Hasan Utraulvi Sahab

Faslafa aisa zamane me kaha'n dekha gaya...
Meri har khushiya'n aya'n hai'n bas isi gham ke Qareeb...

Shahzadi aapke mashkoor hai'n ham matami...
Zindagi layi hay humko phir muharram ke Qareeb...

2.
Janab Kumail Nagri sahab

Le chalo mujhko khudara aaqri dam ke qareeb.
Hazrate abbas ka lehrata parcham ke qareeb.

Bai'ate fasiq ko thokra kar shahe mazloom be.
Karliya qasde safar garmi ke mosam ke qareeb.

Jo asar karbobala ki qaak me payi gayi.
Hai kaha'n taseer itni aabe zam zam ke qareeb.

Ashk ankho'n se nikalne ki faqat taqeer this.
Agayi rumaale zehra chashme purnam ke qareeb.

Bola hur shabbir ke qadmo'n me jannat hai meri.
Ab nahi rahpavunga deenaro dirham ke qareeb.

Chaddh gaye suli pe zikre murtaza karte huge.
Maut aayegi kaha'n maulayi meesum ke qareeb.

Ranj sare chod kar aaya hu'n ay zahra ke laal.
Gham koyi acha nahi lagta tere gham ke qareeb.

Qaid khane me bhi the ahele haram be sayeba'n.
Dhoop me guzra hai din aur raat shabnam ke qareeb.

Ghurbate shabbir par ji bhar ke girya kigiye.
Zindagi layi hai humko phir moharram ke qareeb.

Aabe kausar se bujhe gi piyaas bass meri kumail.
Kiyu'n mai javu'n jaam lekar aabe zam zam ke qareeb.

3.
Janab Anees Abr sahab

Shukr hai ham aagaye hai Sheh(as) ke matam ke qareeb,
Zindagi laayi hai hamko fir Muharram ke qareeb..

Faasla romaal e Zahra(sa) aur ashqoN me nahi,
Sayyeda(sa) rehti hai hardam chashm e pur-nam ke qareeb..

Maar dalega hame ek din ye do tarfa mizaaj,
Ma'siyat karni bhi hai, rehna hai parcham ke qareeb...

Hai hamari zindagi ka ma-asal itna Hussain(as),
Door rehte hai khushi se aur tere gam ke qareeb....

Ye jahaaN chahe nikaale chashma edi maarkar,
Shaan Asgar(as) ki nahi ke jaaye Zam Zam ke qareeb...

Murtuza(as) ek baab se kyukar na khole dasioN baab,
Jab kiran sat-rang ho jaati hai shabnam ke qareeb..

Majlis e Shabbir(as) me jo Abr aansoo beh gaye,
Fakhr karke jaa rahe haiN Fakhr e Maryam(as) ke qareeb..

4.
Janab Kaifi Kalkatvi sahab

You'n to rehte hain  sada hum sheh tere  gham ke qareeb
Zindagi laayi hai humko phir muharram ke qareeb

Ae  azadaar e hussaini  naaz qismat par karo
Ye ata  e syeda hai' ho jo  matam ke qareeb

Nusrat e shaah e huda ko aaj bhi kis shauq se
Bachche chalte hain alam thaame hue bam ke qareeb

Dukhtar e sarwar se ghazi ki mohabbat dekhiye
Aaj bhi har aan  mashqiza hai parcham ke qareeb

Aa gaya hoon ba adab main parcham e ghazi tale
Zakhm khud le jaega ab mujh ko marham ke qareeb

Ediyaa'n apni ragadte gar Jo asghar dasht mein
Ta abad koi na jata aab e zam zam ke qareeb

Misl e misam hum bhi kaifi shaan e ahlebait mein
Denge lafzo'n ko rawani akhri dam ke qareeb

5.
Janab Zia Haider sahab

Sogh me dooba hai dil aankhein hain purnam ke kareeb,
Zindagi layi hai humko fir moharram ke kareeb.

Maatame sarwar ko kahte jo bhi bid'at hai yahan,
Unke hi hain badh rahe kadam jahannam ke Kareeb.

Jab musibat me kabhi hum nikle majlis ke liye,
Bhool jate hain har ek gham majlise gham ke Kareeb.

Deeware kaaba kyun na fatti fatima ke aan par,
Fakhre mariyam ka hai rutba na ki mariyam ke Kareeb.

Jinke jismo me hai bahta khoone na haqqe wela,
Aa nahi sakte kabhi wo farshe maatam ke Kareeb.

Haan yaqinan unko bhi jo hain bilkul laa davaa,
Paas aate hi shifa milti hai parcham ke Kareeb.

Poochhte hain maarte hain aur ali karte hain zinda,
Kyun nusairy na kahe khuda fir aalam ke Kareeb.

Door hota hai watan se jo maheeno saal din,
Laut aata hai watan ko fir moharram ke Kareeb.

Aa nahi pate kisi wajah ke chalte ghar ko jo,
Farsh majlis ka bichha kar hain shabo gham ke Kareeb.

Doobta hi jata hai jitna sana me ay zia,
Hota hi jata hai utna lafze meesum ke Kareeb.

6.
Janab Altaf Haidari Maroofi Sahab

100 dafa sooli chadhaao. Fenk do bam ke qareeb
Fir bhi paoge hme shabbeer k gham ke qareeb

Sirf ek ki maut pr hongi hazaaro'n majlise'n
Yani tum khud hi karoge ham ko matam k qareeb

7.
Janab Sadiq Ali Naushad sahab

1
Aalme arvaah hi se ham hain is gham ke qareeb.
Zindagi laayi hai hamko fir moharram ke qareeb.

2
Mil na paya farshe majlis se kahin behtar sukoo'n
Varna mai to khuld me tha farshe resham ke qareeb.

3
Ba-adab baytho aza ke farsh pe ehmad ke saath.
Fakhre isa fakhre moosa fahkre aadam ke qareeb.

4
Ehle baatil kaanpte hai meeri soorat dekh kar.
Jab raha karta hu mai ghaazi ke parcham ke qareeb.

5
Manzile meraj pr HUR ka moqaddar aagaya
Paao'n hain shabbeer ke hur ke sare kham ke qareeb.

6
Deke zahra ko dilasa huzne isa bhoolna
Kitna aala martaba hai sheh ka maryam ke qareeb.

7
Jab gire roomaale zehra me meri aankhon ke ashk
The ali us waqt meri deeda-e-nam ke qareeb.

8
Kab huva navshad batlaao ghame sarwar se door.
Batne maadar se hai woh shabbeer ke gham ke qareeb.

8.
Maulana Ghafir Rizvi Falak sahab


Ba wuzu hokar sada jata hu'n parcham ke qareeb.
Aar lagti hai kasafat mujh ko mehram ke qareeb.

Parcham e Abbas se kyo'nkar na haal e dil kahe.
Aashiq e dilbakhta aaya hai hamdam ke qareeb.

Khud hai darya me magar aa'nkho'n se aatish hai aya'n.
Koun esa mard hai jo aaye zaigham ke qareeb.

Jo alam ke saye se rehta hai har dam door door.
zindagi me hi wo rehta hai jahan'nam ke qareeb.

Hur ki becheni shab e aashoor kehti thi yahi.
Door hokar sam se me jau'nga shabnam ke qareeb.

Is qadar sangeen hai mazloom e do aalam ka gham.
Har gham e dunya subak lagta hai is gham ke qareeb.

Be tahasha karbala ki al'atash aati hai yad.
Jab poha'nchte hai'n kabhi hum chah e zamzam ke qareeb.

Goud me sheh ki gire ye keh ke ibn e Auseja.
Zakhm kha kar is tarah girte hain mar'ham ke qareeb.

Zikr e Sarwar ne mujhe meraj esi bakhsh di.
Khuld me hai bait mera bait e Meesam ke qareeb.

Kijiey koshish *Falak* haq'q e nawad'dat ho ada.
Phir hame taqdeer laayi hai mohar'ram ke qareeb.

باوضو ہوکر سدا جاتا ہوں پرچم کے قریب
عار لگتی ہے کثافت مجھ کو مِحرَم کے قریب

پرچمِ عباس سے کیوں کر نہ حالِ دل کہے
عاشقِ دلباختہ آیا ہے ہمدم کے قریب

خود ہے دریا میں مگر آنکھوں سے آتش ہے عیاں
کون ایسا مَرد ہے جو آئے ضیغم کے قریب

جو عَلَم کے سائے سے رہتا ہے ہر دم دور دور
زندگی میں ہی وہ رہتا ہے جہنم کے قریب

حر کی بے چینی شبِ عاشور کہتی تھی یہی
دور ہوکر سَم سے میں جاؤں گا شبنم کے قریب

اس قدر سنگین ہے مظلومِ دو عالم کا غم
ہر غمِ دنیا سبک لگتا ہے اس غم کے قریب

بے تحاشہ کربلا کی "العطش" آتی ہے یاد
جب پہنچتے ہیں کبھی ہم چاہِ زمزم کے قریب

گود میں شہ کی گرے یہ کہہ کے ابنِ عوسجہ
زخم کھا کر اس طرح گرتے ہیں مرہم کے قریب

ذکر سرور نے مجھے معراج ایسی بخش دی
خلد میں ہے بیت میرا بیتِ میثم کے قریب

کیجئے کوشش *فلک* حقِّ مودَّت ہو ادا
پھر ہمیں تقدیر لائی ہے مُحَرَّم کے قر

9.
Janab Zeeshan Azmi sahab

✴1. Aayate quran se sabit hai khatam ke qareeb
Farshe gham ajre risalat hi hai mun'am ke qareeb

✴2. Chand yu'n ubhra muharram ka falak par momino
Tashnagi phirti hai jaise  koi shabnam ke qareeb.

✴3. Kya muharram ka mahina aa gaya hai momino
Ya husaina ki sada goonji hai zam zam ke qareeb

✴4. Bol uththi muttahid ho ke yaha insaaniyat
Sheh ka aali martaba hai deen e aqwam ke qareeb

✴5. Aasma'n ho ya zamee'n ya ho koi bhi kahkasha
Hai ghame sarwar ibadat poore aalam ke qareeb

✴6. Maur ke sailab o toofa'n se bachakar ek saal
Zindagi laayi hai hamko fir moharram ke qareeb

✴7. Yeh huwa zeeshan sarwar ki shahadat ka asar
Har koi rahta hai majlis aur maatam ke qareeb

10.
Janab Chaman Rehmathi Sahab

*Zindagi layi hai hum ko phir Moharram ke qhareeb*
Hogaye hain aaj se phir Sheh ke Matam ke qhareeb..

Zindagi ki saari qhushiyaa'n uss ko hasil hogayi,,
Jo bhi aajaata hai Sheh ki majlis e ghum ke qhareeb..

Mouth qhud thak kar hai haari aagaye jab Ahle Baith,,
Qhanjar o Talwaar o Naizey  Teer aur Samm ke qhareeb..

Le chalo Baba mujhe maidaa'n may Asghar ne kaha,,
Ek haansi ke saamne lashkar hai wo kam ke qhareeb..

Sabr o Eesaar o Wafa Ulfath Shujath aur Qhulus,,
Miltay hain Kirdaar ye Ghazi ke Parcham ke qhareeb..

Pyaas Asghar ki hai yaad aayi bahaye Khoon tab,,
Jab kabhi Sajjad pahunchey aab e zam zam ke qhareeb..

Qhuld may majlis hai barpa aake baithi Fathema,,
Aasiyaa o Haajera  Hawwa o Maryaam ke qhareeb..

Majlis e Shabbir may meri dua hai ye Chaman,,
Majlis e Jannat may baithoun mai bhi Meesam ke qhareeb..

Thursday 15 September 2016

Tarhi Misra: HUSAIN(as) KO THA BADA ETBAAR MUSLIM PAR.

Tarhi Misra: HUSAIN(as) KO THA BADA ETBAAR MUSLIM PAR.

Misra By: Maulana Mohammed Reza Maroofi sahab

Tarikh: September 2016

1
Janab Zeeshan Azmi sahab.

1. Durood e paak padho be shumaar Muslim par
Salaam karta hai parwardigar Muslim par

2. Khuda ke di'n ki hifazat ko shah ne bheja tha
Hussain ko tha bahut itebaar Muslim par

3. ZabaaN daraz tha ibne ziyaad kufe ka
Chalaya teer e sitam baar baar Muslim par

4. Abhi to sarhade kufa me aap pahunche the

Pahaad, makr ke toote hazaar muslim par

5. Salaam pher ke pichey nazar ki jaise hi
Huwe fareb ke dar aashkar muslim par

6. Udoo ne jang me mara fareb de de kar
Raha na jab ke koi akhtiyar Muslim par

7. Luta di jaan bhi bets bhi deene haq ke liye
Hamare jaanein ho ya rab nisaar Muslim par

8. Qalam bhi rota hai ZEESHAN marsiya kah kar
Likhun mai kaise sitamgar ka waar Muslim par

*حسین کو تھا بہت اعتبار مسلم پر*

درودِ پاک پڑھو بے شمار مسلم پر
سلام کرتا ہے پروردگار مسلم پر

خدا کے دیں کی حفاظت کو شہ نے بھیجا تھا
حسین کو تھا بہت اعتبار مسلم پر

زباں دراز تھا ابنِ زیاد کوفہ کا
چلایا تیرِ ستم بار بار مسلم پر

ابھی تو سرحدِ کوفہ میں آپ پہوچے تھے
پہاڑ مکر کے ٹوٹے ہزار مسلم پر

سلام پھیر کے پیچھے نظر کی جیسے ہی
ہوئے فریب کے در آشکار مسلم پر

عدو نے جنگ میں مارا فریب دے دے کر
رہا نہ جب کے کوئی اختیار مسلم پر

لٹا دی جان بھی بیٹے بھی دینِ حق کے لئے
ہماری جانیں ہو یا رب نثار مسلم پر

قلم بھی روتا ہے ذیشان مرثیہ کہ کر
لکھوں میں کیسے ستمگر کا وار مسلم پر



2
Sadiqali Bijani (Navshad).

Husain ko tha bada etebaar muslim par.
The jaan o dil se woh khud bhi nisaar muslim par.

Shaheed ho gae koofe me yeh khabar sunkar.
Husain roe the zaaroqataar muslim par.

The zulm ayse ke girya karegi hashr talak.
Nabi ki laadli zere mazaar muslim par.

Suna jo ahle haram ne ke chal base muslim.
To roe khayme me be-ikhteyaar muslim par.

Adu ne dhae sitam unpe, dekhkar jisko.
Malaaeka bhi huve ashkbaar muslim par.

Gira ke dhokhe se unko nasheb ke nadar.
Adu ne fenke the patthar hazaar muslim par.

Suni watan me kabar jia ghadi yeh sughra ne.
Bahut woh roi gharibuddayaar muslim par.

Ghame husain me roti hai jab meri aankhe'n.
To dil bhi hota hai mera figaar muslim par.

Rahegi baaki ye navshad jab talak dunya.
Karegi girya woh laylo bahaar muslim par.

Saturday 10 September 2016

Tarhi Misra: ZAKHMO SE CHOOR CHOOR KALEJA TAQI KA HAI.

Tarhi Misra: ZAKHMO SE CHOOR CHOOR KALEJA TAQI KA HAI.

Misra By: Janab Altaf Haidari Maroofi sahab

Tarikh: September 2016

1
Sadiqali Bijani (Navshad)

1
Samjaau'n kayse aap ko kya kya taqi ka hai.
Makka taqi ka hai to madeena taqi ka hai.

2
Dono jaha'n taqi ke hai'n kaba taqi ka hai.
Jannat taqi ki arshe moalla taqi ka hai.

3
Shamsho qamar ko milti rahe jis se roshni.
Labrez aysa noor se chehra taqi ka hai.

4
Majdhaar ka na khauf na toofa'n ka dar hame.
Dube kabhi na aisa safeena taqi ka hai.

5
Hasil muje huva hai sab inke tufaol me.
Arzo sama ka saara khazana taqi ka ha

6
Navshad usme aaj bhi rehta hai ghotazan.
Behta huva voh ilm ka darya taqi ka hai.

        🌴🌴🌴🌴🌴

7
Zehre dagha se qalb shikasta taqi ka hai.
Zakhmo se choor choor kaleja taqi ka hai.

8
Ja'n leva zehr se ab kamzor jism hai.
Darde badan se haal bhi khasta taqi ka hai.

9
Rote hai haadi sar se amaama utaar kar.
Ab sar se unke uth gaya saaya taqi ka hai.

10
Rone ka shor uthta hai bayte rasool se.
Ghar se janaza aaj nikalta taqi ka hai.

11
Navshad ahlebayte nabi gham se hai nidhaal.
Maatam me mubtela huva kumba taqi ka hai.

2
Janab Zeeshan Azmi sahab.

1. Kitna buland martaba maula taqi ka hai
Waqif faqat wahi hai jo shia taqi ka hai

2. Kamsin imam jaan ke chedo na tabsera
Ilm o hunar hai jitne wo sadqah taqi ka hai

3. Sharbat pilaya zahr e dagha ka la'een ne
Zakhmo se choor choor kaleja taqi ka hai.

4. Shahid hai asaman khuda bhi zamin bhi
Be misl is jahaan me sajdaa taqi ka hai

5. Chaudah khuda ke bande Muhammad hain sab ke sab
Jaisa Ali ka waisa hi shewa taqi ka hai

6. Ek dosre se inke nahi raabte juda
Pahla ho ya ho aakhari rishta taqi ka hai

7. Deene Nabi bachaaunga shabbeer ki tarah
Parwardigaar tujhse yeh w'ada taqi ka hai

8. Zeeshan deene haq ne  ye sikhla diya hame
Manzil khuda k pas hai rasta taqi ka hai

Friday 2 September 2016

Tarhi Misra: Mujhe kyu gham ho jab khaak e shifa meri lahad me hai.

Tarhi Misra:  Mujhe kyu gham ho jab khaak e shifa meri lahad me hai.

Misra By:  Janab Sadiq Ali Naushad sahab

Tarikh: September 2016



1
Janab Syed Ali Abbas Naqvi fasi sahab.

Yaqeenan aamad e shahe huda meri lahad me hai.

Lo phir to taay hua ye bhi zia meri lahad me hai.

Wo dar auron ko hoga bichoon ka saanp ka lekin.

Mujhe kyu ghum ho jab khaak e shifa meri lahad me hai.





2
Janab Zeeshan Azmi sahab.

1. Hayat e daaemi ki ibteda meri lahad me hai
Qaza ke baad mera ghar naya meri lahad me hai

2. Wilayat hasr me kaam aayegi farmaane maula hai
Mere aamaal naame ki jaza meri lahad me hai

3. Musalma'n hi mara to theek hai mere liye warna
Azaab e qabr ki lakho'n balaa meri lahad me hai

4.  Tilavat ki badaulat jagmaga uththi meri turbat
Mere quran padhne ki jaza meri lahad me hain

5. Ibadat umr bhar maine kiya rab ki to darr kaisa
Namazi hoo Hussaini hoon khuda meri lahad me hai

6. Farishte qabr me aayenge main be kauf kah dunga
Muje kyu gham ho jab khaake shifa meri lahad me hai

7. Fishaar e qabr se bachna tumhara ghair mumkin hai
Saza teri lahad me hain Jaza meri lahad me hai

8. Tilawat ka sila qura'n ki hai zeeshan kis darja
Ujala noor ka beinteha meri lahad me hai






3
Hanab Jabir vakil sahab.

Naa koi sakhtiyaaN hai na jafaa meri lahad me hai,
Khuda ka Shukr ke mushkil kusha meri lahad me hai.

Sajaa ke parchame abbas me shabbir ko roya,
Sila ye milgaya ke  ba-wafa meri lahad me hai.

Mujhe ehsaas e jannat, Shah(as) ki turbat pe hota hai,
Mujhe kyu gam ho jab khake shifa meri lahad me hai.

Me lanat krta hu aur khun ka matam bhi karta hu
YaqeeN mujhko hai ke iski jaza meri lahad me hai.






4
Janab Hasnaib Maroofi Sahab.

Mai naaza,n hu,n sheh e dee,n ki aza meri lahed me hai

Mujhe keya ghum ho jab khaake shifa meri lahed me hai

Fada kiu,n kar na hoga husn e yusuf husn par mere

Pay e nusrat shabeeh e mustafa meri lahed me hai







5
Janab Kausar Rizvi Sitapuri sahab.

1🌷__Ghham e shabbir ishq e murtaza meri lahad me hai

Khhoda ka shukrhai sab kuchh diya meri lahad me hai

2🌷__Jo raoshan hubbe haidar ka dia meri lahad me hai

Charaaghhaa,n kyo,n malak ab kr raha meri lahad me hai.

3🌷__Dilaaega nijaat aa kr farishto,n ke sawaalo,n se

Mujhe kya fikr jab mushkil kusha meri lahad me hai

4🌷__Husain aae hasan aae butul aaee,n Ali aae

Na puchho noor ka ik silsila meri lahad me hai

5🌷__Hamesha majlis o matam me mai sarshaar rahta tha

Tabhi dekho bichha farsh e aza meri lahad me hai

6🌷__Nishaa,n matam ke seene pr, mali khhak e shefa munh pr

Azakhhana saja ba qaaeda meri lahad me hai

7🌷__labo,n pr naoha o shewan , the palko,n pr saje aansoo   

Malak dekha kiya jab tk raha meri lahad me hai

8🌷__Qadam bosi karu,n maola ki mai, gar tum chale jaao

Farishto ab tumhara kaam kya meri lahad me hai

9🌷__Khhoda ka shukr baad e marg mil jaaunga mai is me

Mujhe kyo,n  ghham ho jab khhak e shefa meri lahad me hai

                                         
10🌷__Hawaa e kufr bhi jis ko bujha paaee na duniya me

Ghham e shabbir ka raoshan dia meri lahad me hai

11🌷_Rahunga shakl me ashaar ki Kausar sada zinda

Sila midhat ka ,zahra ki doaa meri lahad me hai


6
Janab Eram Mehdi sahab.

Gham e sibt e payambar ka sila meri lahed me hai
Sawab e Midhat e sher e khuda meri lahed me hai

_____________________________________________

Fishare Qabr ka tarekiyon ka aur mashar ka
Mujhe kiya gham ho jab khak e shifa meri lahed me hai

_____________________________________________

Farisho aao farsh e majlis e sarwar bichate hain
ba fazle rab jagha beinteha meri lahed me hai

_____________________________________________

paye shirkat jina se agaye sare jina wale
suna jb jashn e shah e la fata meri lahed me

_____________________________________________

Pharira Parchm e Abbas ka dunay me chooma tha
mila ye ajr jannat ki hawa mere lahed me hai
_____________________________________________

Ali ke laal ka matam eram hargiz na chootega
khuda ka shukr hai badr ul aza meri lahed me hai





7
Sadiqali Bijani Navshad

1
Daricha baaghe jannat ka khula meri lahad me hai.
Hamesha khuld ki taaza hawa meri lahad me hai.

2
Khayaabane iram ka ik sama meri lahad me hai.
Har ik ja rahmate rab ki ghataa meri lahad me hai.

3
Maye hubbe ali ka mayqada meri lahad me hai.
Baraae maykashi jaame wila meri lahad me hai.

4
Malak rahmat ka ba fazle khuda meri lahad me hai.
Mai sheh ka maatmi hu, mustafa meri lahad me hai.

Qata band 5/6

Ali o faatema, hasnain o aabid, baaqero saadiq.
Harek shaahe hoda pe ghamzada meri lahad me hai.

Raza o kazim o hadi, taqi o askari hai'n or
Imaame waqt bhi mehve buka meri lahad me hai.

7
Ghame sheh me bahaae the jo maine ashk dunya me.
Liye roomaal me woh faatema meri lahad me hai.

8
Malaaik takhte yaqooto jamurrad  aae hain le kar.
Unhe maaloom hai'n aale aba meri lahad me hai.

9
Azaadaare shahe karbal ko baade maut marqad me.
Mila karta hai woh har ik sila meri lahad me hai.

10
Farishto'n! hoor o gilmaane iram ko leke aajana.
Ke in shab majlise shaahe hoda meri lahad me hai.

11
Malaaik meri mayyat ko hai'n laae karbala Navshad.
Mujhe kyu ghum ho jab khaak e shifa meri lahad me hai.








8
Janab Hasan Utrolvi sahab.

Ajab se noor ki phaili ziya meri lahad me hay...
Gham e sibt e payambar ka diya meri lahad me hay...

Farishtey ehataraman saf banaye aj bethey hain...
Yu'n lagta hay dua e sayyada(s.a) meri lahad me hay...






9
Janab Hasanraza Hafiz Sahab.

ali se ishq krne ki jaza meri lahed me h
falak k chand taro si zeya meri lahed me h

kafan b krbla ka khaak b krbo bla ki h
mai kah skta hu puri krbla meri lahed me h

علی سے عشق کرنے کی جزا میری لحد میں ہے
فلک کے چاند تاروں سی ضیا میری لحد میں ہے
کفن بهی کربلا کا خاک بهی کرب و بلا کی ہے
میں کہہ سکتا ہوں پوری کربلا میری لحد میں ہےm

Saturday 27 August 2016

Tarhi Misra: Kisme himmat hai jo aajaaye ghazanfar ke qareeb.

Tarhi Misra: Kisme himmat hai jo aajaaye ghazanfar ke qareeb.
Misra By: Janab Sadiq Ali Naushad sahab.
Tarikh: August 2016

1.
Janab Hassnain Maroofi Sahab

Innama deti hai doniya me gawaahi is ki
Rijs aayega nahi aale payembar ke qareeb
Saath chalte hai,n mohammad ke ali e haidar
Kis me himmat hai ki aa jaaye ghazanfar ke qareeb


2. Janab Azam Maroofi Sahab
1
Guftagoo hoti hai zalim wa sitamgar k qareeb.....
Fauj bekaar hai abbaase dilawar k qareeb....
2
Dekh kar zere alam meri nmazo ka wajood......
Aagyi khulde baree'n mere moqaddar k qareeb...
3
Bandh roomaal sare hur pe kaha sarwar ne....
Bilyaqee'n milna hmko labe kausar k qareeb....
4
Tujhko larza hua dekha to hansi aayegi......
Hurmula aana na ch6 maah k asghar k qareeb..
Qata
5
Cheen kr tegh ye abbas se bole sarwar....
Rukh pe tewar liye jao abhi lashkr k qareeb.....
6
Sher ko tegh ki darkar kaha'n hoti hai.....
Kisme himmat hai jo aajaye ghazanfar k qareeb... .
7
Ahteraman abhi deewar b dar kholegi.....
Fatemah jayengi jab khanaye daawar k qareeb.....
8
Mai areeza liye hatho'n me khada hn azam....
Kab wo din aaye k hojaun main rahbar k qareeb....


3.
Janab Zeeshan Azmi Sahab
1. Kaun aasakta hai Abbas e dilawar ke qareeb
Hasti kya hai koi bujdil ki bahadar ke qareeb
2. Ghaiz e Abbas se bach sakta nahi koi bashar
Kis me himmat hai jo aajaaye ghazanfar ke qareeb
3. Fauj e baatil ko rulaaya hai tabassum se faqat
Maut aajaati jo aataa koi Asgar ke qareeb
4. Teen din pyasa tha shabbir ka beta phir bhi
Tik nahi  paaye sitamgaar bhi akber ke qareeb
5. Jurrat e Guftugu karna nahi na paak yazeed
Ab bhi fizza hai khadi dukhtare hyder ke qareeb
6. Koi zeeshan ye samjha hi nahi haq ki qasam
Marefat kya thi ilahi ki bahattar ke qareeb

4.
Janab Kausar Sitapuri Sahab
1__Aa gaya hur jis ghadi sibte payambar ke qareeb..
Khhud jinaa khinch aaee bas hur ke muqaddar ke qareeb..
2__aaj tak koi huaa na mojeza bas is liye..
Do kamine dafn hai,n qabr e payambar ke qareeb..
3__Martabaa salmaan ka wahem o gumaa,n se hai pare..
Kya pahunch paaoge tum  buzar ke qambar ke qareeb.
4__Dono baazu kat gae hai,n  phir bhi itna Rob hai
Kis me himmat hai jo aa jaae ghhazanfar ke qareeb..
5__Muskura kr jang jiti wo bhi be teghh o tabar..
Kab pahunch paya hai koi azme asghhar ke qareeb..
6__is ke aage in sabhi ki maand khhushbu pad gaee
Jab rakhi khhak e shifa bas mushk o ambar ke qareeb.
7__Gir na jaae khhak pr ashk e ghhame sarwar kahi,n..
Aa gaya rumaal e zahra deeda e tar ke qareeb..
8__Ran me akbar kya gire sh,h ki basaarat chal basi
Ghutniyo,n ke bl gae shabbir akbar ke qareeb..
9__Kahte the ansaar se hans kr Saeed o Aosaja..
Chal rahe hai,n ab milenge haoz e Kausar ke qareeb.


Wassalaam.
Anees Abr

Monday 22 August 2016

Tarhi Misra: KARBALA KI TARZ PAR AAZAAD HOTA HAI WATAN.

Tarhi Misra: KARBALA KI TARZ PAR AAZAAD HOTA HAI WATAN.

Misra By:  Janab Altaf Maroofi sahab

Tarikh:  August 2016

1
Janab Sharif Rizvi Sahab:

hai khushi se phoolta imroz mera hai watan
dushmanane mulk se ab paak hota hai watan

ki thi aane ki tamanna hazrate shabbir ne
fakhr se kyu na kahu ki mera acha hai watan

kafiro ki hai hukumat par bahot acha h ye
kamse kam har ek munafiq se mubarra hai watan

fakhr hai iran ko bhi sahebe abqaat par
ay mere Hamid tere dam se bhi uncha hai watan

karbala se dars gaandhi ne liya hai tab kahi
karbala ki tarz par aazad hota hai watan

ham jaha chahe nidar hoke kare majlis bpa
isliye kehte h ki azaad mera hai watan

ek Taraf masjid h meri ek taraf mandir bana
muttahid hai ham sabhi paighaam deta hai watan

ek yahi h mulk jisme h sabhi mazhab ke log
apni godi me liye ham sabko jeeta hai watan

ladke aapas me diya karte h dushman ko khushi
dekh kar is tarha ke halaat Rota h watan

hai watan se ishq shaarif sahebe iman hu
jo bhi momin hai kahega mera pyara h watan

ہے خوشی سے پھولتا امروز میرا ہے وطن
دشمنانِ ملک سے اب پاک ہوتا ہے وطن

کی تھی آنے کی تمنّا حضرت شبّیر نے
فخر سے کیوں نہ کہوں کہ میرا اچّھا ہے وطن

کافروں کی ہے حکومت پر بہت اچّھا ہے یہ
کم سے کم ہر اِک منافق سے مبرّا ہے وطن

فخر ہے ایران کو بھی صاحبِ ابقات پر
اے مِرے حامد تِرے دم سے بھی اونچا ہے وطن

کربلا سے درس گاندھی نے لیا ہے تب کہیں
کربلا کی طرز پر آزاد ہوتا ہے وطن

ہم جہاں چاہیں نڈر ہوکے کریں مجلس بپا
اسلئے کہتے ہیں کہ آزاد میرا ہے وطن

اِک طرف مسجد ہے میری اک طرف مندر بنی
متّحد ہیں ہم سبھی پیغام دیتا ہے وطن

اِک یہی ہے ملک جسمیں ہیں سبھی مذہب کے لوگ
اپنی گودی میں لئے ہم سب کو جیتا ہے وطن

لڑ کے آپس میں دیا کرتے ہیں دشمن کو خوشی
دیکھ کر اسطرح کے حالات روتا ہے وطن

ہے وطن سے عشق شارف صاحبِ ایمان ہوں
جو بھی مومن ہے کہےگا میرا پیارا ہے وطن

     

2
Janab Zeeshan Azmi sahab.

Karbala ki tarz par aazaad hota hai  watan

1. Naaz hai Hindustaa'n par sab se aala hai watan
Ittehad e mazhab o millat sikhata hai watan

नाज़ है हिंदुस्तां पर सब से आला है वतन
ईत्तेहादे मज्हबो मिल्लत सीखाता है वतन

ناز ہے ہندوستاں پر سب سے اعلی ہے وطن
اتّحادِ مذھب و ملّت سکھاتا ہے وطن

2. Parcham e Hindusta'n chukar yeh dil kahne laga
Dil ki dhadkan hai watan shaan e tiranga hai watan

परचमे हिंदुस्तां छू कर यह दिल कहने लगा
दिल की धड्कन है वतन शाने तिरंगा है वतन

پرچمِ ہندوستاں چھو کر یہ دل کہنے لگا
دل کی دھڑکن ہے وطن شانِ ترنّگا ہے وطن

3. Sar zameen e hind par kitni zabanein hai magar
Aadmi ko pyar ki bhasha padhata hai watan

सर ज़मीने हिन्द पर कितनी ज़बाने है मगर
आदमी को प्यार की भाषा पढाता है वतन

سر زمینِ ہند پر کتنی زبانیں ہیں مگر
آدمی کو پیار کی بھاشا پڑھاتا ہے وطن

4. Gulshane hindustaa,n par aanch aa sakti nahi
God me jaa baazo'n ki aaraam pata hai watan

गूलशने हिंदुस्तां पर आंच आ सकती नहीं
गोद मे जांबाज़ो की आराम पाता है वतन

گلشنِ ہندوستاں پر آنچ آسکتی نہیں
گود میں جانبازوں کی آرام پاتا ہے وطن

5. Madraso me hum ko ye taleem di Ustaad ne
Bilyaqee'n har mulk se achcha hamara hai watan

मदरसों मे हम को यह तालीम दी उसताद ने
बिलयकिं हर मूलक से अच्छा हमारा है वतन

مدرسوں میں ہم کو یہ تعلیم دی استاد نے
بالیقیں ہر ملک سے اچھا ہمارا ہے وطن

6. Zulm ki basti me bhi insaan milte hain yaha'n
Is liye insaaniyat par fakhr karta hai watan

ज़ूल्म की बस्ती मे भी ईनसान मिलते है यहाँ
ईस लिये इन्सानियत पर फख्र करता है वतन

ظالم کی بستی میں بھی انسان ملتے ہے یہاں
اس لئے انسانیت پر فخر کرتا ہے وطن

7. Baadshaon ke sitam se paak hai iski zamee'n
Jis se bharat waasiyo'n ko jaa'n se pyara hai watan

बादशाहों के सितम से पाक है ईस की ज़मीं
जिस से भारत वासियों को जां से प्यारा है वतन

بادشاہوں کے ستم سے پاک ہے اس کی زمیں
جس سے بھارت واسیوں کو جاں سے پیارا ہے وطن

8. Baand kar sar par kafan Ghandhi ne batlaya hame
Karbala ki tarz par aazaad hota hai  watan

बांध कर सर पर कफन गांधी ने बतलाया हमे
करबला की तरज़ पर आज़ाद होता है वतन

باندھ کر سر پر کفن گاندھی نے بتلایا ہمھیں
کربلا کی طرز پر آزاد ہوتا ہے وطن

9. Dars ye islaam ne zeeshan hum sab ko diya
Noor hai imaan ka aankho'n ka tara hai watan

दर्स यह ईसलाम ने ज़ीशान हम सब को दिया
नुर है ईमान का आंखो का तारा है वतन

درس یہ اسلام نے ذیشان ہم سب کو دیا
نور ہے ایمان کا آنکھوں کا تارا ہے وطن





3
Janab Azam Maroofi Sahab.

Fikr ki duniya me ik pal b na khota hai watan ....
Ham jahan b hon hmaare dil me hota hai watan ..

dore hazir ko madde nazar rakhte huye2 sher
1
Jis taraf b dekho hai khu'n reziya'n zulmo fasad .....
Ya kahun kb chain se ek pal b sota hai watan .   ..
2
Han syasi hukmarano k jafa karne k bad.....
Apne zakhmo ko sada ashko se dhota hai watan .....
Qata band
3
Gulshane insaniat k phool jitne hain hasee'n .......
Ek ulfat k hi dhage me pirota hai watan ...
4
Dosti sabro haya rahmo karam seencha gya ....
Tab kahin duniya me Hindustan hota hai watan ...
5
Kitni jano k awaz hmko mili swatantrata ....
Un shaheedon k liye hi aaj rota hai watan..
6
Pairawi karte huye
Gandhi yahi kahte rahe .....
Karbla ki tarz par azaad hota hai watan.......
7
Ranjisho bughzo hasad azam ni hai kat'ta.......
Dil ki geti me faqat ulfat hi bota hai watan ...



4
Janab Hasnain Marufi Sahab.

Puchhte ho to bataata hu,n ki keya keya hai watan

Khaana e kaaba khuda ka mera kaaba hai watan
🇮🇳🌹
kiu,n na ho,n ahle watan shabbeer ke ghum me shareekh

Karbala ki tarz par aazaad hota hai watan
🇮🇳🌹
Yaad aa jaati hai zinda,n  me sakeena ki fugha,n

Jab kabhi pardesio,n ko yaad aata hai watan
🇮🇳🌹
yu,n to aazaadi ke sattar saal guzre hai,n magar

Aaj bhi qurbaanio,n ko yaad karta hai watan
🇮🇳🌹
Chaand ghum ka aasma,n par jab bhi hota hai aya,n

Marsiya shabbeer ki ghurbat ka padhta hai watan
🇮🇳🌹
maatam e shabbeer par paabandiya,n hoti nahi

Is liye mera zamaane me niraala hai watan
🇮🇳🌹
dekh kar ahle watan ko khoo,n me ghalta,n khaak par

Thaam kar dil siskiya,n le le ke rota hai watan
🇮🇳🌹
Kiu,n na naaza,n ho bhala hasnain azmat par teri

Baad khaaliq ke jabee,n ka pahla sajda hai watan




5
Janab Syed Ali Abbas fasi aahab.

Naam war saare jahan me ab jo apna hai watan.

Haq bayani janisari se ye chamka hai watan.

Mujh ko mehma'n kahne waale mai musalma'n hun magar.

Sun ye mera hai ye mera hai ye mera hai watan.

Gurdwara mandir o masjid bhi isme church bhi.

Ghour kar kitna haseen in sab se lagta hai watan.

Ye mahtma gandhi bhi duniya ko batla te chale.

Karbala ki tarz par azaad hota hai watan.

Aaye FASI is mulk ki geti me hai sacha lahoo.

Issliye dil se ye kehta hun mai sacha hai watan.





6
Maulana Ghafir Rizvi Sahab.
🇮🇳
Ulfate'n rishto'n ke dhaage me pirota hai watan.
Behte daryao'n ko kuzey me samota hai watan.
🇮🇳
Jashn e aazadi mubarak ho tumhe aiy bhaiyo'n!.
Sun ke ye jumla bohut masroor hota hai watan.
🇮🇳
Ikhtelafaat e mazahib se nahi'n is ko gharaz.
Ulfato'n ke beej har ik dil me bota hai watan.
🇮🇳
Ujle kapdo'n me tiranga shaan se lehra diya.
kaley kartuto'n ko kuch ese bhi dhota hai watan.
🇮🇳
har ghadi ahl e watan ke waastey Goudi khuli.
Kya pata kis din, kaha'n, kis waqt, sota hai watan.
🇮🇳
Fart e gham me sar patakta hai dar o deewar se.
jab kabhi bhi soorma shero'n ko khota hai watan.
🇮🇳
Sar'hado'n se jab utha kar laaye jate hai'n shaheed.
khoon ke aa'nsu jawa'n laasho'n pe rota hai watan.
🇮🇳
Dars ye *GHAFIR* Khumeni awr Ga'ndhi ne diya.
Karbala ke tarz par aazad hota hai watan.
🇮🇳
🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳

🇮🇳
الفتیں رشتوں کے دھاگے میں پروتا ہے وطن
بہتے دریاؤں کو کوزہ میں سموتا ہے وطن
🇮🇳
جشنِ آزادی مبارک ہو تمہیں اے بھائیو!
سن کے یہ جملہ بہت مسرور ہوتا ہے وطن
🇮🇳
اختلافاتِ مذاہب سے نہیں اس کو غرض
الفتوں کے بیج ہر اک دل میں بوتا ہے وطن
🇮🇳
اُجلے کپڑوں میں ترنگا شان سے لہرا دیا
کالے کرتوتوں کو کچھ ایسے بھی دھوتا ہے وطن
🇮🇳
ہر گھڑی اہلِ وطن کے واسطے گودی کھلی
کیا پتہ، کس دن، کہاں، کس وقت سوتا ہے وطن
🇮🇳
فرطِ غم میں سر پٹکتا ہے در و دیوار سے
جب کبھی بھی سورما شیروں کو کھوتا ہے وطن
🇮🇳
سرحدوں سے جب اٹھاکر لائے جاتے ہیں شہید
خون کے آنسو جواں لاشوں پہ روتا ہے وطن
🇮🇳
درس یہ *غافر* خمینی اور گاندھی نے دیا
کربلا کے طرز پر آزاد ہوتا ہے وطن
🇮🇳
🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳



7
Janab Kausar Rizvi Sitapuri sahab

1_Dil nahi,n karta magar kahta hu,n achchha hai Watan..

Pr zamir ab puchhta hai, aisa hota hai watan?..

2__Har ghadi har lamha har saa-at jahaane zulm me..

Ashke khhu,n se apne daamn ko bhigota hai watan.

3__Firqa warana tasaadum aor kahi,n asmat gari..

Zulmato,n ki laash bas kaandho,n pe dhota hai watan..

4__Jab kahi,n pr khhune nahaq ki hai girti boond bhi.

Dosto bas khhun ke aansoo hi rota hai watan..

5__Ham nahi,n ye baat Baapu ne kahi hai dosto..

Karbalaa ki tarz pr azad hota hai watan..

6__Ahle zaalim ki faqat napaak saazish ke tale..

Kya bataau,n aap ko kis taraha pista hai watan..

7__Naam ke muslim momaalik,hai,n magar paabandiyaa,n..

Baaz aae ham wahaa,n se apna achchha hai watan..

8__Mulk ke dushman ki gardan todne ke waste..

Fakhhr un ran Baankuro,n pr ab bhi karta hai watan..

9__Qadr ham ko kuchh nahi,n hai ham to rahte hai,n yahi,n...

Poochhiye bas un ke dil se jin ka chhoota hai watan..

10__Sainkro,n jiski mazaahib pal rahe hai,n god me..

Saari duniya me faqat kausar ye apna hai watan..




8
Sadiqali Bijani Navshad. 🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳
🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳

Kaisa hota hai ghame hijre watan ay dosto.

Poochhie us se ki jis se door hota hai watan.

Baade halmin tha labe shabbeer pe bhaarat ka nam.

Dekhlo Navshad kitna mera aala hai watan.

Friday 12 August 2016

Tarhi Misra: Marzi e Kirdeegaar Hai Moosa(as) ki god me.

Tarhi Misra: Marzi e Kirdeegaar Hai Moosa(as) ki god me.

Misra By: Janab Altaf Haidari Maroofi

Tarikh: August 2016


1.
Maulana Ghafir Rizvi sahab
🌺
امّید آگئی ہے تمنّا کی گود میں
رحمت چھپی ہے خانۂ کعبہ کی گود میں
🌺
شاہد نجوم و شمس ہیں والنَّجم کی قسم
والشَّمس آنے والا ہے نجمہ کی گود میں
🌺
ہوتی ہیں ارضِ طوس پہ رحمت کی بارشیں
مشہد ہے گویا رحمتِ حقّا کی گود میں
🌺
نجمہ کی گود نورِ الٰہی سے پُر ہوئی
گویا حسین آگئے زہرا کی گود میں
🌺
مشہد میں لاعلاج شفا پا رہے ہیں آج
بیمارِ دل چلا جا مسیحا کی گود میں
🌺
موسیٰ کا فخر *غافِرِ رِضوِی* یہی تو ہے
مرضیِّ کردگار ہے موسیٰ کی گود میں
🌺

2
Sadiqali Bijani (Navshad)

Kazim ki god me hai ali baythe is tarah.

Haidar ho jaise shaahe madeena ki god me.

Dekha ali raza ko to mehsoos yeh huva.

Marzeeye kirdegaar hai moosa ki god me.







3
Janab Azam Maroofi Sahab.

1
Chashme falak soroor se dekha ki god me......

Marziye kirdegaar hai Musa ki god me.....
2
Khare sitam ki aankh khuli ki khuli rahi...

Ek phool or khil gya duniya ki god me...
3
Darkaar iski hai to dar pr Reza k aa.....

Hai ilm khelta mere mola ki god me......






4
Janab Mohammad Govani sahab.

Sooraj ko chaand, taaroN ko is baat par hai rashk,

Yeh kaisa noor utra hai Najmaa ki goud meN,

KyoN aNbiyaaN na aayeNge tabreek ke liye,

Marzii e- kirdigaar hai Moosa* ki goud meN






5
Janab zeeshan Azmi sahab.

1. آئی بہار زوجئے موسی کی گود میں
گل ہے امام کا بی بی نجمہ کی گود میں

2. مولا علی رضا نے ولادت کے قبل ہی
حمدِ خدا کی بطنِ حمیدہ کے گود میں

3. پڑھیے درود مومنوں ہے یہ خوشی کا دن
پیدا رضا ہوے ہیں مدینہ کی گود میں

4. شکر خدا کا سجدہ بجالائے خاک پر
جب با وضو رضا ہوے بابا کی گود میں

5. چھینا تھا حق رضا کا حکومت کے واسطہ
مامون بھی پلا تھا سقیفہ کی گود میں

6. میں بھی لکھونگا شاعری اپنے خیال سے
آخر خدا کا بندہ ہوں دنیا کی گود میں

7. قولِ رضا سے جانا ہے خالق کو اس لئے
ذیشان کو سکون ہے مولا کی گود میں

1. AAYEE BAHAR ZAUJA E MOOSA KI GOD ME
GUL HAI IMAM KA BIBI NAJMA KI GOD ME

2. MAULA ALI RAZA NE WILADAT KE QABL HI
HAMD E KHUDA KI BATN E HAMIDAH KI GOD ME

3. PADHYE DUROOD MOMENO HAI YEH KHUSHI KA DIN
PAIDA RAZA HUWE HAI MADINA KI GOD ME

4. SHUKR E KHUDA KA SAJDA BAJALAYE KHAAK PAR
JAB BAWAZU RAZA HUWE BABA KI GOD ME

5. CHEENA THA HAQ RAZA KA HUKUMAT KE WASATE
MAMOON BHI PALA THA SAQIFA KI GOD ME

6. MAI BHI LIKHUNGA SHAYERI APNE KHAYAL SE
AAKHIR KHUDA KA BANDA HOO DUNIYA KI GOD ME

7. QAULE RAZA SE JANA HAI KHALIQ KO IS LIYE
ZEESHAN KO SUKOON HAI MAULA KI GOD ME




6
Janab Altaf Haidari Maroofi Sahab.

Yun aathwen imam hain Aaqa ki god me

Jaise ali the khaana e kaaba ki god me
🌹
Shamsh o Qamar Nojoom bhi dete hain tahniyat

Ek Aasma'n hai Arshe Moalla ki god me
🌹
Ayyoob Aake sabr o reza mang lijiye

Marzeeye kirdegaar hai Moosa ki god me
🌹
Manzar ye dekh dekh k kahte hai jibra'eel

Maula hain kul jahaan k maula ki god me
🌹
Haidar ki tar'h ye bhi ishara agar karen

Suraj palat k aayega Aaqa ki god me
🌹
Kul haamilaane taana e abtar hain muztarib

Aale Nabi ko dekh k zahra ki god me
🌹
Mariyam Dorood padhti hain Hawwa  k sath sath

Qur'aan dekh dekh k Najma ki god me
🌹
Suraj tere wajood pe kaisi ye dhoop hai

Bola imam aaye hain duniya ki god me
🌹
Mamoon Saltanat ye teri doob jayegi

Pahoche Ali Reza jo Dugana ki god me
🌹
Altaf e Ahlebait ka Irfan hai jise

Rahta hai wo imam e zamana ki god me








7
Janab Kausar Rizvi Sitapuri sahab.

1__Aise Rezaa e paak hai,n moosa ki god me...

Qur aa,n ho jaise nahje balaaghha ki god me..

2__ Baadal me chaandni ne bhi munh ko chhipa liya..

Rashk e Qamar ko dekh ke Najmaa ki god me..

3__Yu,n kholi aankh Noor ne aaghhosh e Noor me..

Haidar ne jaise kholi thi Taahaa ki god me..

4__ Aae hai,n tahniyat ke liye ambiyaa tamaam..

Marzi e kirdigaar hai moosaa ki god me..

5__ ilm e nabi ka aathwaa,n ik baab phir khula..

Ai shahr e Toos ab tere sahra ki god me..

6__Kausar doaa hai raoza e sarwar pe jaau,n aor..

Maot aae karbalaae Moalla ki god me..







8
Janab Hasnain Marufi Sahab.

Khoshbo  bikher te hoye sidra ki god me

Aaya hai phool gulshan e zahra ki god me
🌹
Sab haadase zameen ke karte hai,n ahteraam

Zaamin hai mera jism ye laola ki god me
🌹
rakh dega qatl gaah ko gulshan bana ke ye

Baad e saba ka josh hai ghaaza ki god me
🌹
Sab ambiya ka mash,hadi gaiti pa hai nozool

Ek murtaza hai fakhr e abeeha ki god me
🌹
ilm o adab ka dekh ke markaz zameen par

Aayaat naghma zan hoyi,n taaha ki god me
🌹
har phool jashn e hazrate zaamin me hai,n magan

Gulshan ho jaise noor ka sahra ki god me
🌹
Ungli se regzaar pa khuld e baree,n ke ghar

Bahlool de rahe hai,n zubaida ki god me
🌹
yusuf chale hai,n khuld se sadqa utaar ne

Sharmindagi padi hai zulaikha ki god me
🌹
zaamin bana ke moosa e kaazim ke laal ko

Kirdaar daal te hai,n sahaaba ki god me
🌹
sufiyaan teri aal se aale saud tak

Be chain sab ke sab hai,n tabarra ki gos me
🌹
hasnain kah do maang le jo chaahiye jise

Marzi e kirdegaar hai moosa ki god me.

✒Hasnain Haidari Maroofi

Friday 5 August 2016

Tarhi Misra: Tum Abu Sufiyaan ke or ham Abu Talib(as) ke sath

Tarhi Misra: Tum Abu Sufiyaan ke or ham Abu Talib(as) ke sath

Misra By: Maulana Mohammed Raza Maroofi sahab

Tarikh: August 2016

1
Janab Altaf Haidari maroofi Sahab.

Ya Ali kah kr uthao apne hatho'n me qalam

Ap ko kaisa hai aakhir gham abutalib ke sath


2
Maulana Ghafir Rizvi Sahab.

Har ghadi har saaniya har dam Abutalib ke sath.
ya Ali kehte raho peyham Abutalib ke sath.
🌹
Gar khuda chahey to ik din esa aayega ke hum.
Khuld jayenge b'chashm e nam Abutalib ke sath.
🌹
Apna apna hai muqaddar kis ko kya hasil hua.
Hum karenge khuld me matam Abutalib ke sath.
🌹
Bu lahab ki rooh ko mehshar me bhi jhatka laga.
Aaye jab Paighambar e akaram Abutalib ke sath.
🌹
Khouf mehshar ki tapish ka hoga kyo'n lahaq hame.
Khushnuma ho jayega mousam Abutalib ke sath.
🌹
Jab se hum paida huey tab se lahad ki goud tak.
hai hamari har khushi, har gham Abutalib ke sath.
🌹
Is liey hum munsalik damaan e Butalib se hai'n.
Rehmato'n ki hai sada shabnam Abutalib ke sath.
🌹
Kis ki qurbani thi bhari khud pata chal jaega.
gar khade ho'n hazrat e Aadam Abutalib ke sath.
🌹
Khuld to jageer hai apni magar ik shart hai.
Kousari mil jaye jaam e jam Abutalib ke sath.
🌹
Tum to pa sakte nahi'n *GHAFIR* ki gard e paa talak.
Tum Abusufyaan ke or hum Abutalib ke sath.

ہر گھڑی، ہر ثانیہ، ہر دم ابوطالب کے ساتھ
یاعلی کہتے رہو پیہم ابوطالب کے ساتھ
🌹
گر خدا چاہے تو اک دن ایسا آئے گا کہ ہم
خلد جائیں گے بچشمِ نم ابوطالب کے ساتھ
🌹
اپنا اپنا ہے مقدر کس کو کیا حاصل ہوا
ہم کرینگے خلد میں ماتم ابوطالب کے ساتھ
🌹
بولہب کی روح کو محشر میں بھی جھٹکا لگا
آئے جب پیغمبرِ اکرم ابوطالب کے ساتھ
🌹
خوف محشر کی تپش کا ہوگا کیوں لاحق ہمیں
خوشنما ہو جائے گا موسم ابوطالب کے ساتھ
🌹
جب سے ہم پیدا ہوئے تب سے لحد کی گود تک
ہے ہماری ہر خوشی ہر غم ابوطالب کے ساتھ
🌹
اس لئے ہم منسلک دامانِ بوطالب سے ہیں
رحمتوں کی ہے سدا شبنم ابوطالب کے ساتھ
🌹
کس کی قربانی تھی بھاری خود پتہ چل جائے گا
گر کھڑے ہوں حضرتِ آدم ابوطالب کے ساتھ
🌹
خلد تو جاگیر ہے اپنی مگر اک شرط ہے
کوثری مل جائے جامِ جم ابوطالب کے ساتھ
🌹
تم تو پاسکتے نہیں *غافر* کی گردِپا تلک
تم ابوسفیان کے اور ہم ابوطالب کے ساتھ



3
Janab Zeeshan Azmi sahab.

Tum abusufyaan ke or ham abutalib ke saath*

1. Hum karenge dahr me matam abutalib ke saath
Hai dawa aur zakhm ka marham abutalib ke saath

2. Kufr ka fatwa lagaya kafiro'n ne, aaj dekh
Hai Muhammad aur Ali taaham abutalib ke saath

3. Kiyu'n tumhe inkar hai ay kafiro! Eima'n se jab
Hai ameerul momenee'n har dam abutalib ke saath

4. Khatm ho jae'n gi dehshat gardiya'n dunya se khud
Ay musalma aa utha parcham abutalib ke saath

5. Dono ke aamaal se ay dost yeh zaheer hai aaj
Tum abusufyaan ke or ham abutalib ke saath

6.  Kyo'n na ay Zishan charcha us ke eima'n ka karu'n
Jab ke the paigambere akram abutalib ke sath


4
Janab Jabir Vakil sahab.

Kyu ki khuda bhi rehta hai har dam Abu Talib ke saath,
Ham manate hai khushi aur gam Abu Talib ke saath.

Kaun kafir kaun momin maloom hoga hashr me,
Tum Abu Sufiyaan ke aur ham Abu Talib ke saath.

Abu jahal ho ya lahab kuffar se koi darr nahi,
Kya bhala hoga nabi ko gam Abu Talib ke saath.

Meraaj hogi ye aza ki matami halke me jab,
“Jabir” Karega khun ka matam Abu Talib ke saath



5
Janab Hasanraza Hafiz Sahab.

zindgi bhar q rahen na ham abu talib k sath
jb rahe paigmbr e akrm abu talib k sath

do qadam jnnt badi khud mere isteqbaal me
mai chala suye jena'n jis dam abu talib k sath

hashr me ye soch kr ye h kfeel e mustafa
fakhr krte honge khud adam abu talib k sath

hai yaqee'n imran ki pur faiz zate pak se
khushiyo me tabdeel hoga gam abu talib k sath

sajdye mabod me tab lutf ayega hme
jab jabee'n hogi hamari kham abu talib k sath

dushmnane  aale ahmd kanp uththe us ghadi
jab chala aalha ka zaigam abu talib k sath

bole ye shbbeer mai kaise karu baiyat yazeed
tum abu sufyan k aor ham abu talib k sath

hai raza dil me tamnna aamd e mahdi k bad
ham karen shbbeer ka matam abu talib k sath




6
Janab Kausar Rizvi Sitapur.

1__Har khushi apni hai apna ghham abutaalib ke sàath....

Apni bakhhshish hai yaqee,n moh kam abutaalib ke saath..

2__Aa nahi,n sakti kabhi laghhzish sabaat-e azm me...

Gar husaini hai to hai ta dam abutaalib ke saath..

3__Zul ashira me dikhaae haashmi tewar faqat...

Baat kr paae tha kis me dam abutaalib ke saath

4__Roz e mahshar un sahaaba se kahunga fakhr se...

Tum abu sufiyaan ke aor hm abutaalib ke saath..

5__Ham azaadaaro,n ko bakhhshish ki bhalaa kyo,n fikr ho...

Honge khhud paighhambar e aazam abutaalib ke saath.

6__Garmiye mahshar se hoga haal tum sab ka bura.

Ham ko kyo,n kr fikr hai zam zam abutaalib ke saath

7__Ai husain ibne ali hoga moharram hashr tak..

Ham manaaenge tumhaara ghham abutaalib ke saath.

8__Roz e mahshar tashnagi ka khaof tum ko ho magar..

Ksusar o tasnim hai,n zam zam abutaalib ke saath..

9__jiska beta kulle eemaa,n usko kaafir tu kahe..

Kar na itna zulm kam az kam abutaalib ke saath..

10_Hai tamanna roz e mahshar le ke kausar mai chalu,n..

Haath me Abbas ka parcham abutaalib ke saath..



7
Maulana Mohammad raza Sahab.

ہر نفس ہر گام اور ہر دم ابوطالب کے ساتھ

دینِ حق چلتا رہا پیہم ابوطالب کے ساتھ

تم کہاں جاؤگے مفتی حشر کے میدان میں

جب رہے گا دین کا پرچم ابوطالب کے ساتھ

مکتب عشق علی نے یہ ہمیں سکھلا دیا

ہے ہماری ہر خوشی ہر غم ابوطالب کے ساتھ

کیوں نہ ہوں ہمراہ ان کے انبیاء و مرسلیں

خود ہیں جب پیغمبر اکرم ابوطالب کے ساتھ

ساتھ ان کے بھیڑ ہوگی حشر کے میدان میں

اس جہاں میں ہیں اگرچہ کم ابو طالب کے ساتھ

یہ تمنا ہے رضا کی حضرت شبیر کا

خلد میں جاکر کرے ماتم ابو طالب کے ساتھ

Har nafas har gaam aur har dam Abutalib ke sath
Deen e haq chalta raha paiham abutalib k sath

Tum kahan jaoge mufti hashr k maidaan me
Jab rahega deen ka parcham abutalib ke sath

Maktab e ishqe Ali ne ye hame samjha diya
Hai hamari har khushi har gham abutalib k sath

Kyon na hon hamraah uske ambiya o murasalee'n
Khud hain jab paighambar e akram abutalib ke sath

Sath unke bheed hogi hashr k maidan me
Is jahan me hain agar che kam abutalib k sath

Ye tamanna hai *Reza* ki hazrat e shabbeer ka
Khuld me jakar kare matam abutalib ke sath



8
Sadiqali Bijani (Navshad)

Maanta hai jo abutalib ko momin woh hareik.
Hashr me honga tahe parcham abutalib ke saath.

Apna apna hai muqaddar apna apna hai naseeb.
Tum abusufyaan ke or ham abutalib ke saath.



9
Janab Khateeb Haidar Allahabadi Sahab.

Roz e mehshar kaon kafir hai pata chal jaega
Aaenge jab mursal e aazam abutalib ke sath

Tum jahannam me jaloge hum hasenge  khuld me
Tum abusufiyaan ke aur hum abutalib ke sath




10
Janab Hasnain Marufi Sahab.

Silsila dar silsila har ghum abu taalib ke saath
Is liye hai,n sahebe maatam abu taalib ke saath

Tum ko makka aur hum ko karbala haasil hoyi
Tum abu sufiyaan ke aur hum abu taalib ke saath.

11
Maulana Mazhar marufi sahab.

Hain abutalib hamare ham abutalib ke sath
  Yun aqedat hogai mohkam abutalib ke sath

Na hui hai aur nahogi kam abutalib ke sath
Marziye mabood hai paiham abutalib ke sath

Dekhte hain kiski hoti hai shifa at hashr me
Tum abu sufyan ke aur ham abutalib ke sath

Kisme himmat hai jo nazre bad uthakar dekh le
Chal rahe hain mursale aazam abutalib ke sath

Roze mahshar ki tapish kakhauf mazhar kiun kare
Hauze kausar aur hai zamzam abu talib ke sath