Sunday 19 March 2017

Tarhi Misra: ZABA'N QUR'AAN KI MAANGE SANAA-E-FAATEMA ZEHRA.

Tarhi Misra:  ZABA'N QUR'AAN KI MAANGE SANAA-E-FAATEMA ZEHRA.

Misra by Janab chaman alipuri sahab.

Taarikh: 11/3/2017






1.
Janab Syed Ali Abbas Naqvi Fasih sahab.

Ye mujh se ghair mumkin hai sana e fatema zehra.
Madad darkaar hai teri khuda e fatema zehra.
           ----------------
       
Batao kis tarah bagh e fedak auro'n ka hojaye.
Nahi waris nabi ka jab siwa e fatema zehra.

            --------------

Fedak ke ghaasibo'n par bhejta hai bas wohi lannat.
Hai jis ke dil me bhi raushan villa e fatema zehra.
          -------------

Farishta maut ka ghar inke dakil ho nahi sakta.
Usse jab tak na miljaye riza e fatema zehra.
           --------------

Mawariq kahte hain saare ke saare ghaur kar lije.
Shifa e zauf e ahmed hai rida e fatema zehra.
            --------------

Dua hogi yehi pakeeza niswan e do alam ki.
Ke hojaye kissi surat liqa e fatema zehra.
         ----------------

Janab e hazrat e abbas ki ab manzilat soncho.
Pisar apna unhe kah kar bula e fatema zehra.
           ---------------

Fasih ab saaf kah dije azadaar e hussaini ko.
Milegi bil yaqeen jannat bara e fatema zehra.








2.
Janab Kumail Nagri sahab.

(1) Mere dil me hai raushan jo welaa e fatema zahra.
Huyi hai meri qismat ko ataa e fatema zahra.

(2)kaho jibreel se bazme ibaadat hai chale aao.
Mai karta hu'n sare mehfil sanaa e fatema zahra.

(3)bataa deta abhi suraj ko mai bhi raushni kiyaa hai.
Agar mil jati thodi khaake  paa e fatema zahra.

(4)zamee'n raushan falak raushan hai in se kul jahaa'n raushan.
Rahegi hashr tak you'n hi ziyaa e fatema zahra.

(5)tahaarat ki hade'n kehti hai badhkar hoor o ghelmaa'n se.
Nahi makhdoomaye mariyam siwaa e fatema zahra.

(6)nabuwat aur imaamat aagayi zere kesaa jisdam.
Mashiyyat hogayi ussdam fidaa e fatema zahra.

(7)Tere azmat ki oonchaayi  khudaa hi jaane kiya hogi?
Nabi jab maa'n tujhe kehkar bulaa e fatema zahra.

(8)mitaa ne se zamaane ke bhalaa hum kaise mit jaaye'n.
Hifaazat apni karti hai duaa e fatema zahra.

(9)jab aaye panjatan zere kesaa to you'n lagaa jaise.
Bani hai noor ka paikar ridaa e fatema zahra.

(10)kahaa'n jaaoge ay baaghe fidakk ko loot ne walo.
Khudaa ne khalq ki jannat baraa e fatema zahra.

(11)wohi jalwa'h wohi jazba wohi andaaz zainab ka.
Mili darbaar ke andar adaa e fatema zahra.

(12) *KUMAIL*hum se bayaa'n ho kaise midhat binte mursal ki.
Zabaa'n quraan ki maange sanaa e fatema zahra.
☘☘☘☘☘☘☘☘




3
Janab Navshad Bijani sahab.

1
Mayassar jisko hoti hai wilaa-e-fatema zehra.
Harek pal uspe hoti hai ata-e-faatema zehra.

2
Kabhi joola julakar.
pees kar chakki Kabhi inki

Farishte choomte hain khaake paa-e-faatema zehra.

3
Na takraana azaadaaraan e shahe karbala se tum.
Hai in k sath har lamha dua-e-faatema zehra.

4
Kabhi bhi kufr ki vaadi me woh bhatka nahi karte.
Hai haasil jiske imaa'n ko ziya-e-faatema zehra.

5
Baya'n karta hai ham se aaya'e tat'heer ka tewar.
Zaba'n qura'an ki maange sana-e-faatema zehra.

6
Mita dete munafiq baade Ahmad deen ko lekin.
Sahaara ban gaya iska ka asaa-e-faatema zehra.

7
Nahi navshad ko darkaar dunya ki mere moula.
Magar woh chaahta hai bas reza-e-faatema zehra.






4
Janab Zeeshan Azmi sahab.

رگوں میں جن کے بس جائے ولائے فاطمہ زہرا
انہیں کے دل پہ پڑتی ہے ضیائے فاطمہ زہرا
रगों में जिन के बस जाये विलाऐ फातेमा ज़हरा
उन्हीं के दिल पे पड़ती है ज़ियाए फातिमा जहरा
Raghon me jin ke bas jaye wila e Fatima Zahra
Unhi ke dil pe padhti hai ziyaa e Fatima Zehra

خدا کے واسطے سمجھو مری مائوں مری بہنوں
بڑی عظمت کی حامل ہے ردائے فاطمہ زہرا
खुदा के वास्ते समझो मेरी माँओ मेरी बहनों
बड़ी अज़मत की हामिल है रिदा ए फातिमा ज़हरा
Khuda ke vaste samjho meri maa'o meri banno
Badi azmat ki hamil hai ridaa e Fatima Zehra

ادا حقِّ فضائل تو ہر اک سے ہو نہیں سکتا
زباں  قرآن  کی  مانگے  ثنائے فاطمہ زہرا
अदाए हक़क़े फज़ाईल तो हर एक से हो नहीं सकता
ज़ुबॉ कुरान की मांगे सनाए फातिमा ज़हरा
Adaae haqqe fazaael to harek se hi nahi sakta
Zuba'n Quran ki maange sana e Fatima Zehra

مثالِ ازدواجی زندگی کس کی مکمل ہے
سوائے مرتضے کے اور سوائے فاطمہ زہرا
मिसाले आज द बाजी जिंदगी किसकी मुकम्मल है
सेवाए मुर्तज़ा के और सेवाए फातिमा ज़हरा
Misaale azdawaji zindagi kis ki mukammal hai
Siwaye Murtuz ke aur siwaay e Fatima Zehra

جگائے جو زمانہ کو عزاداری سے سرور کی
اسے ذیشان ملتی ہے دعائے فاطمہ زہرا
जगाये जो ज़माने को अजादारी से सरवर कि
उसे ज़ीशान मिलती है दुआएं फातिमा ज़रा
Jagaye jo zamane ko azadari se sarwar ki
Use Zeeshan milti hai duaa e Fatima Zehra




5
Janab Chamanabbas Alipuri sahab.

Tera lutf o karam hai ay Khuda e Fatema Zehra..
Jo lab per aaj mere hai Sana e Fatema Zehra..

Batool o Tahera  Ummul Abeha  aur Siddiqa,,
Laqab mansoub hain ye sab Bara e Fatema Zehra..

Nabi Baba  Ali Shohar hain  Betay Shabbir o Shabber,,
Baya'n kaise karay hum RutbaHa e Fatema Zehra..

Zami'n chamki  qhila roshan howa  arsh e ula chamka,,
Jo dunya may howi roshan Ziya e Fatema Zehra..

Madinay ki fiza'oun may wiladat ki khushi chayi,,
Mohammed aur Khadija Muskuraa e Fatema Zehra..

Muhib e Aal e Athar ye teri aamad pe khush ho kar,,
Hai ghar may apne mehfil ko Saja e Fatema Zehra..

Wafa  Sharm o Haya  Ismat  Taharat  Sabr aur Eesaar,,
Ye sab kirdaar hain tujh may Sama e Fatema Zehra..

Hai ismat ka taharat ka saqhawat ka ye minaara,,
Kaha'n samjhega koyi RutbaHa e Fatema Zehra..

Ye qoul e Ahmed e Muqtaar hai sun lo jaha'n walo,,
Riza e Rabb e Dawar hai  Riza e Fatema Zehra..

Mohabbat kis ki hai Ajr e Risalat farz Muslim per,,
Shariyat ki zaba'n per naam Aa e Fatema Zehra..

Banayienge wo ghar ko apne jannat ki tarah jo bhi,,
Saliqha zindagi ka tujh se Paa e Fatema Zehra..

Haya aurat ka zaiwar aur zinat uski hai parda,,
Hai behn'oun beti'oun ko ye sadaa e Fatema Zehra..

Azadaari ki qhatir ji rahai hain hum sabhi Bibi,,
Humari mout bhi hai ab Bara e Fatema Zehra..

Na ghabrawo Azaadaro sada e ghaib aati hai,,
Tumharay saat hai har dam Dua e Fatema Zehra..

Ye kya azmat hai Bibi  chor kar jannat ki har nai'mat,,
Malak bhi aapki roti ko Khaa e Fatema Zehra..

Jo nikli baat Aqhd e Murtaza toh keh uttay Ahmed,,
Ali ki koun hai Humsar Siwaa e Fatema Zehra..

Musalmanoun ko jo chain o suku'n baqhshay woh Ahmed hain,,
Suku'n Ahmed ko day ti hai  Ridaa e Fatema Zehra..

Ay Shayer ! Surah e Kousar ki hai aawaz tu sunlay,,
_Zabba'n  Quraan  ki  mange   Sana e  Fatema   Zehra.._

CHAMAN ye jan lay azmat meri badh kar hai shah'oun se,,
Karam Madar ka hai mai houn Gada e Fatema Zehra..






6
Mohtarma Sakeena saheba.

1  ata rab ne hai ki mujko wila e fatema zehra
Rahungi mai sada bankar gada e faatema zehra.

2  Karu mai midhate zehra nahi aukaat yeh meri.
Zuba'n quraan ki mange sanaa e fatema zehra

3  nabi ke daur me hoti jo zinda maryam o saara.
To karti zindgi bhar iqtedaae faatema zehra.

4   badan me zo'af jab mehsoos karte the mohammad tab.
Shifa unke liye hoti rida e faatema zehra.

5  muje zehra ke sadqe me mili hai neamate laakho.
Harek momin pe ho aysi ataa e fatema zehra.

6  muje mout aaye to lab par mere tasbeeh e zehra ho
Dua hai yeh sakeena ki khuda e fatema zehra.










7
Janab Masoom najaf Sahab.

🌹1. Teri midhat me jo mahfil karaye Fatima Zahra
Shafa'at hashr me uaki karaye Fatima Zahra

🌹2. Lebase khuld pahnana zameeN pe apne bachchoN ko
Sharaf rab ne faqat rakha baraye Fatima Zahra

🌹3. Wazu karke karo aaghaz midhat ka sare mahfil
ZabaaN Quran ki mange sanaye Fatima Zahra

🌹4. Bhala ho khatema kaise azadari ka dunya se
AzadaroN ke Haq me Hai duaye Fatima Zahra

🌹5. Pesar sardaar jannat aur shauhar malike kausar
Nesa dekhi nahiN aisi sewaye Fatima Zahra

🌹6. Farishte chhod ke darbare jannat rotiyaN lene
Tere dar pe sawali ban ke aaye Fatima Zahra

🌹7. Kabhi anware khamsa ko kabhi zoofe Mohammad ko
SokuN kar waqt deti Hai tedaye Fatima Zahra

🌹8. Najaf murda dulhan ko kar diya ek pal me hi zinda
Hai shamil rab ki marzi me rezaye Fatima Zahra








8
Janab Ajmal Sahab.

USSI SE BAS RAHEGA KHUSH QHUDA E FATIMA ZAHRA...
WO JIS K DIL MAIN BHI HOGI VILA E FATIMA ZAHRA...
                 🌷🌷
HUWE JAB PANJETAN EK JAA KAHE    TATHEER KI AAYAT...
BADI HAI AASMAA'N SE BHI RIDA E FATIMA ZAHRA...
                 🌷🌷
MAIN ZAKIR HOU HUSSAIN IBNE ALI KA ISLIUE YARO...
MUJHE MILTI HI RAHTI HAI DUA E FAYIMA ZAHRA...
                🌷🌷
NA GHUM KHA AY AZADAAR E HUSSAIN IBNE ALI BE SHAK...
TUJHE MIL JAYEGI JANNAT BARA E FATIMA ZAHRA...
                 🌷🌷
ROLAYA HAI LAYENOU NE BAHUT BAAD E NABI HER PAL...
THA YE ARMAA'N NABI KA MUSKURA E FATIMA ZAHRA...
                🌷🌷
YAHI HAI SURA E KOUSER KA AYLAAN HASHRE TAK AJMAL...
ZUBAA'N QUR'AAN KI MANGE SANA E FATIMA ZAHRA...
          






9
Janab Hasanraza Hafiz Sahab

mehrbañ ho ni jab tak khudaye fatma zhra
koi kr hi ni skta snaye fatma zhra

hañ srdare jwanan e jena shbbeero sbbr haiñ
mgr unki jena h zere paye fatma zhra

ata hmne shahenshaho ki b aisi ni dekhi
hai dekhi jaisi faqo me ataye farma zhra

jahañ me aisa rishta ho ni skta kabi qayem
chuna h rab ne haidr ko baraye fatma zhra

kabi b gair k aage tumhara sr na jhuk paye
agr tum khud ko kahte ho gadaye fatma zhra

meri ma bahno!! ye chadar amant fatma ki hai
ye tumse ab b kahti h redaye fatma zhra

jo apne bap ko mañ ki mohbbt aor shahfqat de
kya aisi koi beti h??? sewaye fatma zhra

use surma smjh kr hooreñ ankho se lagati haiñ
jahañ b dekhti haiñ khak e paye fatma zhra

na hm masoom hain koi ! na hi koi paymbr haiñ
bhla fir kaise smjhen rutbahaye fatma zhra

batao aakhir uski zindgi ka faeda kya h
jo hasil kr ni paya rezaye fatma zhra.




10
Janab Altaf Haidari Maroofi Sahab.

Mere malik bana mujhko gadaye fatema zahra
Koyi daman ni bharta sewaye fatema zahra

🌹
Badal jayega Andaz e ta'aaruf ek lamhe me
Nabi ko odhne to do kesa e fatema zahra

🌹
Zamee'n pe khuld ka khat khainch kr Bohlol kahte the
Zobaida dekh 👉🏼ye hai khak e paa e fatema zahra

🌹
Sar e karbobala aaye'n na q paighambar e akram
Chali hai odh kr zainab reda e fatema zahra

🌹
Raqam Altaf karna hai har ek misre me ek surah
Zoba'n Qur'aan ki mange sana e fatema zahra







11
Maulana Mohammadraza Maroofi sahab.

یہ سوچا ہو بھلا کیسے ثنائے فاطمہ زہرا

تو دل بولا کہ لکھ ہوگی عطائے فاطمہ زہرا

عجب شان سخاوت دیکھ کر فاقے کی حالت میں

سلیماں چاہتے ہیں ہوں گدائے فاطمہ زہرا

اماموں کے لئے بھی حجت رب ہے تو پھر سوچو

کسی کے ذہن کیسے سمائے فاطمہ زہرا

اسے احساس بھی ہوگا نہ محشر میں حرارت کا

کہ جو ہوگا وہاں زیرِ لوائے فاطمہ زہرا

اسے بھی شوق سے کہہ دیں گے ہم صدیقہ کبریٰ

کوئی حیدر کا ہمسر ہو بجائے فاطمہ زہرا

رضی اللہ کہنے سے بھلا وہ محترم ہوں گے

جنھیں اپنی نگاہوں سے گرائے فاطمہ زہرا







12
Janab Yaseer Husain Ashiq Sahab.

Azaadaro ka jo kuch hai, ataa-e-Fatema Zehra (sa),
Paak Naslo ko milti hai, Duaa-e-Fatema Zehra (sa).

Fedak ke Gaasibo ko bhool kar tum bhool na jana,
Wakaalat hum pe hai waajib Bara-e-Fatema Zehra.

Gayi Darbaar me bibi, magar Haq tha nahi unka,
To kiska haq hai dikhlao, siwa-e-Fatema Zehra.

Baraabar hai meri Nazro me wo Iblees ke bilkul,
Sabab se jiski bhi Aa'nsu Baha-e-Fatema Zehra.

Sab aaye deed ko Madar ki lekin Shah nahi aaye,
Bas ek zid thhi mai jaunga, Bulaye-Fatema Zehra.

Na Maola ko diya pursa zara hum Roo bhi na paye, 
Ke hain chand Roz hone ko wada-e-Fatema Zehra.

Yahi bas Fikr hai meri, yahi hai Aarzu dil ki,
Kisi tarha bhi mil jaye Rezay e Fatema Zehra (sa)

Bahut Kismat meharbaan hoti hai hum jaiso pe YASIR,
Azaa ka Farsh bichh jaye aur aaye Fatema Zehra.

Mai naaqis hu mai kis tarha karu Unki Sanaa yaro,
Zubaan Quraan ki Maange Sana-e-Fatema Zehra.

Tuesday 14 March 2017

Tarhi Misra: Zaalimo ne gher rakkha hai mazaare Fatema(sa)

Tarhi Misra: Zaalimo ne gher rakkha hai mazaare Fatema(sa)

Misra by Altaf haidari maroofi.

Tarikh: March, 2017

1. Janab Navshad Bijani.

Hai azaadoro'n ke dil par iqtedaare faatema.
hashr tak baaki rahega yeh vaqaare faatema.

Jaaoge kis ja fidaq ko cheen kar ay ahle ki'n
Jab ke hai khuld-o-iram par ikhteyaare faatema.

daure ghaybat khatm hotehi khiza'n hogi fana.
Aaegi tab gulshane dee'n me bahaare faatema.

Yaad kar ke gham bhare lailo nahare faatema.
Ro raha hai khoon har ik ghamgusare fatema.

Baade ehmad zulm ki yasrab me jab aandhi chali.
Chand pal me ho gaya veera'n dayaare faatema.

Uth gaya hai sar se saaya baap ka yeh dekh kar.
Aagaya har ik sitam bankar hesaare faatema.

Dar giraaya zaalimo ne jis ghadi jalta huva.
Khoon behkar ban gaya usdam jawaare faatema.

Zakhmi hote hi shikam mohsin sidhare dehr se.
Umr bhar ka lut gaya sudam qaraare faatrma.

Is qadar hijre padar me roi hai zaar-o-qataar.
Ho gai majrooh chashm-e-ashkbaare faatrma.

Paarah paarah pasliya'n zehra ki haidar dekhkar.
Umr bhar rote rahe bar izteraare fatema.

Zulm ki had ho gai ke munhadim kar ke baqee'(A).
Zaalimo ne gher rakkha hai mazaare faatema.

Turbate zehra ko loota zaalimo ne is qadar.
Reh gaya bas ayk patthar yaadgaare faatema.

Is qadar tode gulo'n pe khaar-e-yasrab ne sitam.
Rota hai sun kar jise har sogwaare faatema.

Ilteja navshaad ki hai yeh imaame waqt se.
Ab to aaja ay haqeeqi paasdaare fatema.









2. Janab Zeeshan Azmi sahab.

Takht par jaa kar chupaayen jo waqar-e-fatima
La'natein bhejenge unpar jaa nisaar-e-fatima

Be lagaam-e-iqtedaar-e-mamlakat ke zor par
Zalimon ne gher Rakhkha Hai Mazar e Fatima

تخت پر جاکر چھپائے جو وقار فاطمہ
لعنتیں بھیجینگے ان پر  جاں نثار فاطمہ

بے لگامِ اقتدارِ مملکت کی زور پر
ظالموں نے گھیر رکھا ہے مزار فاطمہ






3. Janab Masoom Najaf ahab.

1. Jisne luta dahr me baghe khezaare fatime
Gher rakha hai unhoN ne hi mazaare Fatima

2. Khuld se aate haiN lene rootiyaN is par malak
Farsh par misle jenaN hai bus deyaare Fatima

3. Uth gaye tazeem ko khud bazm se apni Rasool
Is se bad ke kya bhala hoga waqaare Fatima

4. Aa gaye ban ke ma'aavin khuld wale farsh par
Ghar me Zahra ke jhulane ghaahwaare Fatima

5. Kis tarah marqad me soyeNge sukooN se Mustafa
ZalimoN ne gher rakha hai mazaare Fatima

6. Pahli khwahish Fatima ki samne sayel ki bhook
De diya sayel ko Haidar ne anaare Fatima

7. Aa nahiN sakti hamari qaum PE aafat kabhi
Jab talak hai dahr me ham par hesaare Fatima

8. Fakhr itna mat karo taqat pe apni ZalimoN
Ghaib me rakhi huyi hai zulfeqaare Fatima

9.ho gaya mushkil bahut zahra ki turbat ka tawaaf
ZalimoN ne gher rakha hai mazaare Fatima

10. Is liye khutbe ko roka tool sajde ko diya
Khuld ke sardaar haiN qalbe qaraare Fatima

11. Bargaahe rabbe Akbar me Najaf ki hai Dua
Baad marne ke mayassar ho jawaare Fatima





4. Janab Altaf Haidari maroofi Sahab.
🌫🌫🌫🌫🌫🌫🌫🌫
yun hua nazr e kheza'n hai gul'azaar e fatema

ret pr jis tar'h se bikhra ho daar e fatema
😭
izn usko de de ay parwargaar e fatema            

ghaib se aakar banaye jo mazar e fatema
😭
khoo'n rulaane k liye paighambar e islam ko

Zalimo'n ne gher rakkha hai mazar e fatema
🌫🌫🌫🌫🌫🌫🌫🌫🌫






5. Janab Hasnain Marufi Sahab.

al madad ay waarise sheh zulfeqaare fatema

Zaalimo,n ne gher rakhha hai mazaare fatema

Wo hokomat zulm ki rakhta hai apne paanw par

Jis ke sar par taaj rakh de taajdaare fatema

marzi e haq ka pata hum kiu,n na le,n tasbeeh se

Khaaliqe kaonain hai jab raazdaare fatema

ho bhala kaise baya,n mujh se kamaalaate botool

Jis ki fizza hai namona shaahkaare fatema

jo kiya aaraam zahra ne musalle par kiya

Baade paighambar nahi aaya qaraare fatema

Zulm ki aandhi mujhe hasnain chho sakti nahi

Aik ek saanso,n pa meri hai hesaare fatema







6. Janab Chamanabbas Alipuri sahab.

Do jaha'n may chal raha hai eqtedaar e fatema,,
Hai Khuda ke mulk may kul iqtiyaar e fatema..

Mustufa o Murtuza aur Zainab o Hasnain bhi,,
qhandaa'n hai ismat'oun ka zee-viqaar e Fatema..

➖➖➖➖➖➖➖➖➖

Kal fidak ko lutt ke cheena qharaar e Fatema,,
Ab giraya zalim'oun ne phir mazaar e Fatema..

Keh raha hai har Hussaini ashk barsatay howe,,
Zaalim'oun  ne  ghair rakkha  hai  mazaar e Fatema.._

Ghar jalaya  dar giraya  hogaya pehloun may zakm,,
Baadd e Ahmed lutt gaya hai gul-azaar e Fatema..

Kal jalaya tha jinhoun ne Fatema Zehra ka ghar,,
Ab unhien ki nasl ne toda mazaar e Fatema..

Zulm jo mujh per howe padjaye wo din per agar,,
Badlayinge tareek may ye hai pukaar e Fatema..

Day ke sar jisnay bachaya Mustufa ke deen ko,,
Wo Hussain ibne Ali hai soogwaar e Fatema..

Zainab e dilgeer ne jab Shaam may qhutba diya,,
Ye sada gunji ke aayi wirsa-daar e Fatema..

Gardish e douraa'n ne sar apna uttaya aaj phir,,
Parda e gaibat hata ay Shahkaar e Fatema..

Karbala o Samrah Mashad Najaf Qhum ki tarah,,
Jald ho taa'meer Yarab phir mazaar e Fatema..

Rabb e Dawar ki aata aur Majlis e Sheh ke tufail,,
Hai Chaman na-cheez bhi midhat-guzaar e Fatema..


7. Janab ERam Mehdi sahab.

Sau(100) baras hone ko hain parwardigaar e Fatema
khu'n ke aanso ro rahe hain soogwar e Fatema
aalm e gaibat se Sher-e saf shikan ko bhej de
Zalimo'n ne gher rakhkha hai mazaar e Fatema.




8. Janab Kumail Nagri sahab.

(1)Hai banaa rauza nabi ka sogwaar e fatema.
Zalimo'n ne gher rakkha hai mazaar e fatema.

(2)jab samajh me maadar e eisa na aayi aaj takk.
Kiya samajh paayegi ye duniya veqaar e fatema.

(3)raz aana chehra e zahra ki zeyarat ke liye.
Ye bataa ta hai nabuwat hai nisaar e fatema.

(4)jumbishe lab par faqat,  jannat se kapde aagaye.
Aasmaa'n par bhi hai dekho eqtiyaar e fatema.

(5)panjatan kiya aagaye, zahra ki chaadar ke tale.
Rahmato'n ne karliya badhkar hesaar e fatema.

(6)Choom kar hasnain ke lab piyaar se bole nabi.
Tum ho aise phool jiss me hai bahaar e fatema.

(7)Qabr par sayaa na koyi raushni ka intezaam.
Bekasi qud bangayi hai sogwaar e fatema.

(8)Zalimo'n ne kardiya aise baqi ko paayemaal.
Rah gayaa viraan hokar ab dayaar e fatema.

(9)zulm un par bhi huwa jo zulm zahra par huwa.
Dafn hai'n jo baap bete dar jawaar e fatema.

(10)Turbate sadiq ki hurmat reza'h reza'h hogayi.
Zulm hai kaisa bata?  Parwardigaar e fatema.

(11)Hal chalaa kar mujtabaa ki qabr e athar par *KUMAIL*
China hai zalim ne you'n qalbe qaraar e fatema.

Wassalaam

Saturday 4 March 2017

Tarhi Misra: SHAREEK-E-KAAR-E-RISAALAT HAI FATEMA ZEHRA(sa)

Tarhi Misra: SHAREEK-E-KAAR-E-RISAALAT HAI FAATEMA ZEHRA.

Taarikh: 26/02/2017

Misra by : Janab Sadiq Ali Navshad sahab


1. Janab Anees Abr sahab.

Unhi ke waste jannat hai, Fatema Zahra(sa)
Ke jinko tujhse Mohabbat hai Fatema Zahra(sa)

Mubahela ho ya koi ho ma.arka haq ka,
Nabi e deeN ki zaroorat hai Fatema Zahra(sa)

Dikhaaye deen ke ehkaam sab ada karke,
Nisa e khalq pe hujjat hai Fatema Zahra(sa)

Rasool e deen ne ta.azeem karke batlaya,
Jahaan e izz o sharafat hai Fatema Zahra(sa)

Ye Hal ataa teri tauseef,  innama teri shaan,
kalaam e rab teri midhat hai Fatema Zahra(sa)

Shareek e kaare imamat hai Zainab e dilgeer(sa),
Shareek e kaar e Risalat hai Fatema Zahr(sa)

Teri khushi me hai ma.bood ki khushi shamil,
Tere gazab me qayamat hai Fatema Zahra(sa)

Ye kaisi tujhpe musibat hai fatema Zahra
Ke teri dhoop me turbat hai Fatema Zahra(sa)

Tu Shahzaadi hai !! lekin ye bad nasab badkaar,
Ali(as) se talib e baiyat hai Fatema Zahra(sa)

ye tooti pasliyaaN teri ye dar jala tera,
Ye deeN bachaane ki qeemat hai Fatema Zahra(sa)

Ye jisko phaad ke phenka gaya sar e darbaar,
Tere pidar ki kitabat hai Fatema zahra(sa)

Ye ajr e matam e Sarwar(as)  me kyu na de jannat,
Ke Abr behr e sakhawat hai Fatema Zahra(sa)










2. Janab Sadiq Ali Navshad Bijani Sahab


Dile rasool ki raahat hai faatema zehra.
Shareeke kaare risaalat hai fatema zehra.

Baraae arzo sama gar rasool hai rehmat.
To unke vaaste rehmat hai faatema zehra.

Vafaate shaahe madeena ke baad ummat me.
Rasoole haqq ki amaanat hai faatema zehra.

Charaaghe deen hai lakhte dile khadeeja hai.
Nabi ki aankho'n ki qurrat hai faatrma zehra.

Jhuki huvi hai kamar, zakhmi pasliya'n hai magar.
Imaame waqt ki taaqat hai faatema zehra.

Sar apna peet ke fizza pukaari ro ro kar.
Jaha'n se ho gai rukhsat hai faatema zehra.

Sana bhi aap ki Navshad kar raha hai agar.
Yeh aap ki hi inaayat hai faatema zehra.










3. Janab Syed Ali Abbas Naqvi sahab.

Sadaqaton ki sadaqat hai fatema zehra.
Ibadathon ki ibadath hai fatema zehra.

Habeeb e lamyazali do jahan ki rahmat e hai.
Aur unke haq me lo rahmath hai fatema zehra.

Malak bhi lene ko khairaat dar pa aa pahounche.
Ajeeb shaan e saqawat hai fatema zehra.

Kaha ye mera nahi hai kaha nabi ka hai.
Sharik e kaar e risalat hai fatema zehra.











4. Mohtarma Sakeena saheba.

Rasul e paak ki rehmat hai fatema zehra (sa)
sharik e kar e risalat hai fatema zehra (sa)

Rasul or ali juzve noore vahid hai
Woh noore khaas ki niqhat hai fatema zehra (sa)

Faqeer banke malak tere dar pe aate hai.
Aya'n tumhaari sakhawat hai fatema zehra(sa)

Woh jiski shaan me utri hai arsh se aayaat.
Jaha'n me haamile ismat hai fatema zehra(sa)

Maqaam teri ibadat ka hai baland bahut.
Ibadato'n ki tu zeenat hai fatema zehra (sa)

Tumhaare bachho ki rakhta hai dil me jo ulfat
Unhi ke waste jannat hai fatema zehra(sa)

Adu ne jalta huva dar giraaya pehlu par.
Ye tuj pe sakht musibat hai fatema zehra(sa)

Ata ho daulate akhlak bhi *sakeena* ko
Yeh uski aap se hajat hai fatema zehra (sa)










5. Janab Faizul Hasnain sahab.

Baqaa e Deeno Shariyat hai Fatema Zehra,
Shareek e Kaar e Risalat hai Fatema Zehra,

Lagi Jo Tohmat e Abtar usey Mitaney ko,
Hui ye teri Wiladat hai Fatema Zehra,

Ali ho Chahey Muhammad Hasan Husain bhi ho,
Sabhi ki karti Imamat hai Fatema Zehra,

Ye Arsho Farsho Fidak ho ke chahey Kausar ho,
Ye saari teri Wiraasat hai Fatema Zehra,

Sada karega ye Qur'an teri Mad'h o Sana,
Usey Jo teri Ijazat hai Fatema Zehra,

Jo Harf e Baa me ye Qur'aN simat ke aaya hai,
Woh Harf e Baa ki Wazahat hai Fatema Zehra,

Karengey Majliso Maatam Daraao na ham ko,
Hamari Karti Hifazat hai Fatema Zehra,

Dilo'n me jiske ho Ulfat Ali(as) ki ay Faizul,
Usi ki karti Hidayat hai Fatema Zehra..










6. Janab Hasnain Maroofi Sahab.

rasool e haq ki zarurat hai fatema zahra
Ali ki taaqato himmat hai fatema zahra
🌹
nozoole sorae kausar ki shaan kahti hai
Khuda ki khaas inayet hai fatema zahra
🌹
ali ki zaat zarurat hai jange khaibar ki
Mubahele ki zarurat hai fatema zahra
🌹
hai,n zaujiyet me ali ki magar botool bhi hai,n
Fazilato,n ki fazilat hai fatema zahra
🌹
inhi ke khoon se islaam ne baqa paayi
Payembaro,n ki zamaanat hai fatema zahra
🌹
kitaabe karbobala me hai saaf saaf likha
Khuda ke deen ki qismat hai fatema zahra
🌹
jaha,n me sahibe ismat zarur hai,n mariyem
Hai sach ki markaze ismat hai fatema zahra
🌹
shareek kaare risaalat me hai,n baraabar ki
Tabhi to juzwe risaalat hai fatema zahra
🌹
jaha,n pe dozakho jannat ka faisla hoga
Khuda ki aisi adaalat hai fatema zahra
🌹
zuba,n se kahte hi jannat se aa gaye pushaak
Kaho ki raaze mashiyet hai fatema zahra
🌹                        
jo kainaat me geyarah gul e imamat hai,n
Har aik phool ki nik,hat hai fatema zahra
🌹
jo jagmagaate hai,n arshe baree,n pe aiye hasnain
Sabhi ki kaatib e qismat hai fatema zahra










7. Janab Kumail Nagri sahab.

(1)Har ek namaaz ki zeenat hai fatema zahra.
Ali hai dee'n to shari'at hai fatema zahra.
(2)mili hai rab se mohammad ko jo shabe meraaj.
Saji woh noor ki dawlat hai fatema zahra.
(3)faqat husain o hasan ye nahi hai'n pehlu me.
Ye parwarish me imaamat hai fatema zahra.

(4)farishta maut ka tahera hai teri chawkhat par.
Ye maange tum se ijaazat hai fatema zahra.

(5)teri ridaa se ye ho jayegi taro taaza'h.
Thaki huyi jo nabuwwat hai fatema zahra.

(6)moaaf kardiya aadam ko keh ke khaaliq ne.
Teri duaao'n ki nisbat hai fatema zahra.

(7)Sazaaye'n hashr me jo degi saare dushman ko.
Abhi woh baaqi adaalat hai fatema zahra.

(8)Baghair dekhe nabuwwat sukoon paati nahi.
Dile rasool ki hasrat hai fatema zahra.

(9)Daleel deta hai khud hi ye taahera'h ka laqab.
Ba'eed tum se nijaasat hai fatema zahra.
(10)durood bhej ke kahti hai'n mariyam o hawwa.
Tahaarato'n ki fazeelat hai fatema zahra.
(11) Qadam Qadam pe diyaa saath apne baba ka
Shareek e kaar e risaalat hai fatema zahra.

(12)musibato'n me giraftaar hai woh khud laikin.
imaame waqt ki himmat hai fatema zahra.

(13)khayaal rakhna mere baad mere bacho'n ka.
Ali se karti wasiyyat hai fatema zahra.

(14)Ay kalma goyou'n sitam you'n na dhaao bibi par.
Nabi ki khaas amaanat hai fatema zahra.

(15)qaraar kaise mile murtaza ko tere baghair.
Ali ke dil ki mohabbat hai fatema zahra.

(16) *KUMAIL* khauf ho kiyu'n hum ko roze mehshar ka.
Husainio'n ki zamaanat hai fatema zahra.