Tuesday 14 March 2017

Tarhi Misra: Zaalimo ne gher rakkha hai mazaare Fatema(sa)

Tarhi Misra: Zaalimo ne gher rakkha hai mazaare Fatema(sa)

Misra by Altaf haidari maroofi.

Tarikh: March, 2017

1. Janab Navshad Bijani.

Hai azaadoro'n ke dil par iqtedaare faatema.
hashr tak baaki rahega yeh vaqaare faatema.

Jaaoge kis ja fidaq ko cheen kar ay ahle ki'n
Jab ke hai khuld-o-iram par ikhteyaare faatema.

daure ghaybat khatm hotehi khiza'n hogi fana.
Aaegi tab gulshane dee'n me bahaare faatema.

Yaad kar ke gham bhare lailo nahare faatema.
Ro raha hai khoon har ik ghamgusare fatema.

Baade ehmad zulm ki yasrab me jab aandhi chali.
Chand pal me ho gaya veera'n dayaare faatema.

Uth gaya hai sar se saaya baap ka yeh dekh kar.
Aagaya har ik sitam bankar hesaare faatema.

Dar giraaya zaalimo ne jis ghadi jalta huva.
Khoon behkar ban gaya usdam jawaare faatema.

Zakhmi hote hi shikam mohsin sidhare dehr se.
Umr bhar ka lut gaya sudam qaraare faatrma.

Is qadar hijre padar me roi hai zaar-o-qataar.
Ho gai majrooh chashm-e-ashkbaare faatrma.

Paarah paarah pasliya'n zehra ki haidar dekhkar.
Umr bhar rote rahe bar izteraare fatema.

Zulm ki had ho gai ke munhadim kar ke baqee'(A).
Zaalimo ne gher rakkha hai mazaare faatema.

Turbate zehra ko loota zaalimo ne is qadar.
Reh gaya bas ayk patthar yaadgaare faatema.

Is qadar tode gulo'n pe khaar-e-yasrab ne sitam.
Rota hai sun kar jise har sogwaare faatema.

Ilteja navshaad ki hai yeh imaame waqt se.
Ab to aaja ay haqeeqi paasdaare fatema.









2. Janab Zeeshan Azmi sahab.

Takht par jaa kar chupaayen jo waqar-e-fatima
La'natein bhejenge unpar jaa nisaar-e-fatima

Be lagaam-e-iqtedaar-e-mamlakat ke zor par
Zalimon ne gher Rakhkha Hai Mazar e Fatima

تخت پر جاکر چھپائے جو وقار فاطمہ
لعنتیں بھیجینگے ان پر  جاں نثار فاطمہ

بے لگامِ اقتدارِ مملکت کی زور پر
ظالموں نے گھیر رکھا ہے مزار فاطمہ






3. Janab Masoom Najaf ahab.

1. Jisne luta dahr me baghe khezaare fatime
Gher rakha hai unhoN ne hi mazaare Fatima

2. Khuld se aate haiN lene rootiyaN is par malak
Farsh par misle jenaN hai bus deyaare Fatima

3. Uth gaye tazeem ko khud bazm se apni Rasool
Is se bad ke kya bhala hoga waqaare Fatima

4. Aa gaye ban ke ma'aavin khuld wale farsh par
Ghar me Zahra ke jhulane ghaahwaare Fatima

5. Kis tarah marqad me soyeNge sukooN se Mustafa
ZalimoN ne gher rakha hai mazaare Fatima

6. Pahli khwahish Fatima ki samne sayel ki bhook
De diya sayel ko Haidar ne anaare Fatima

7. Aa nahiN sakti hamari qaum PE aafat kabhi
Jab talak hai dahr me ham par hesaare Fatima

8. Fakhr itna mat karo taqat pe apni ZalimoN
Ghaib me rakhi huyi hai zulfeqaare Fatima

9.ho gaya mushkil bahut zahra ki turbat ka tawaaf
ZalimoN ne gher rakha hai mazaare Fatima

10. Is liye khutbe ko roka tool sajde ko diya
Khuld ke sardaar haiN qalbe qaraare Fatima

11. Bargaahe rabbe Akbar me Najaf ki hai Dua
Baad marne ke mayassar ho jawaare Fatima





4. Janab Altaf Haidari maroofi Sahab.
🌫🌫🌫🌫🌫🌫🌫🌫
yun hua nazr e kheza'n hai gul'azaar e fatema

ret pr jis tar'h se bikhra ho daar e fatema
😭
izn usko de de ay parwargaar e fatema            

ghaib se aakar banaye jo mazar e fatema
😭
khoo'n rulaane k liye paighambar e islam ko

Zalimo'n ne gher rakkha hai mazar e fatema
🌫🌫🌫🌫🌫🌫🌫🌫🌫






5. Janab Hasnain Marufi Sahab.

al madad ay waarise sheh zulfeqaare fatema

Zaalimo,n ne gher rakhha hai mazaare fatema

Wo hokomat zulm ki rakhta hai apne paanw par

Jis ke sar par taaj rakh de taajdaare fatema

marzi e haq ka pata hum kiu,n na le,n tasbeeh se

Khaaliqe kaonain hai jab raazdaare fatema

ho bhala kaise baya,n mujh se kamaalaate botool

Jis ki fizza hai namona shaahkaare fatema

jo kiya aaraam zahra ne musalle par kiya

Baade paighambar nahi aaya qaraare fatema

Zulm ki aandhi mujhe hasnain chho sakti nahi

Aik ek saanso,n pa meri hai hesaare fatema







6. Janab Chamanabbas Alipuri sahab.

Do jaha'n may chal raha hai eqtedaar e fatema,,
Hai Khuda ke mulk may kul iqtiyaar e fatema..

Mustufa o Murtuza aur Zainab o Hasnain bhi,,
qhandaa'n hai ismat'oun ka zee-viqaar e Fatema..

➖➖➖➖➖➖➖➖➖

Kal fidak ko lutt ke cheena qharaar e Fatema,,
Ab giraya zalim'oun ne phir mazaar e Fatema..

Keh raha hai har Hussaini ashk barsatay howe,,
Zaalim'oun  ne  ghair rakkha  hai  mazaar e Fatema.._

Ghar jalaya  dar giraya  hogaya pehloun may zakm,,
Baadd e Ahmed lutt gaya hai gul-azaar e Fatema..

Kal jalaya tha jinhoun ne Fatema Zehra ka ghar,,
Ab unhien ki nasl ne toda mazaar e Fatema..

Zulm jo mujh per howe padjaye wo din per agar,,
Badlayinge tareek may ye hai pukaar e Fatema..

Day ke sar jisnay bachaya Mustufa ke deen ko,,
Wo Hussain ibne Ali hai soogwaar e Fatema..

Zainab e dilgeer ne jab Shaam may qhutba diya,,
Ye sada gunji ke aayi wirsa-daar e Fatema..

Gardish e douraa'n ne sar apna uttaya aaj phir,,
Parda e gaibat hata ay Shahkaar e Fatema..

Karbala o Samrah Mashad Najaf Qhum ki tarah,,
Jald ho taa'meer Yarab phir mazaar e Fatema..

Rabb e Dawar ki aata aur Majlis e Sheh ke tufail,,
Hai Chaman na-cheez bhi midhat-guzaar e Fatema..


7. Janab ERam Mehdi sahab.

Sau(100) baras hone ko hain parwardigaar e Fatema
khu'n ke aanso ro rahe hain soogwar e Fatema
aalm e gaibat se Sher-e saf shikan ko bhej de
Zalimo'n ne gher rakhkha hai mazaar e Fatema.




8. Janab Kumail Nagri sahab.

(1)Hai banaa rauza nabi ka sogwaar e fatema.
Zalimo'n ne gher rakkha hai mazaar e fatema.

(2)jab samajh me maadar e eisa na aayi aaj takk.
Kiya samajh paayegi ye duniya veqaar e fatema.

(3)raz aana chehra e zahra ki zeyarat ke liye.
Ye bataa ta hai nabuwat hai nisaar e fatema.

(4)jumbishe lab par faqat,  jannat se kapde aagaye.
Aasmaa'n par bhi hai dekho eqtiyaar e fatema.

(5)panjatan kiya aagaye, zahra ki chaadar ke tale.
Rahmato'n ne karliya badhkar hesaar e fatema.

(6)Choom kar hasnain ke lab piyaar se bole nabi.
Tum ho aise phool jiss me hai bahaar e fatema.

(7)Qabr par sayaa na koyi raushni ka intezaam.
Bekasi qud bangayi hai sogwaar e fatema.

(8)Zalimo'n ne kardiya aise baqi ko paayemaal.
Rah gayaa viraan hokar ab dayaar e fatema.

(9)zulm un par bhi huwa jo zulm zahra par huwa.
Dafn hai'n jo baap bete dar jawaar e fatema.

(10)Turbate sadiq ki hurmat reza'h reza'h hogayi.
Zulm hai kaisa bata?  Parwardigaar e fatema.

(11)Hal chalaa kar mujtabaa ki qabr e athar par *KUMAIL*
China hai zalim ne you'n qalbe qaraar e fatema.

Wassalaam

No comments:

Post a Comment