Thursday 4 February 2016

Jhoom kar Zikr e Mohammad(saw) Anees Abr

Jhoom kar Zikr e Mohammad(saw) karnewaalo ye batao,
Kya janaze me Mohammed(saw) ke thi shirkat aap ki...
Baal se ho 'Ba-khabar' or aal se ho 'Be-khabar',
Ye Nabi(saw) ki 'Ma'refat' hai ya 'Jehalat' aapki...
-Abr Kanodari
27/12/15

Naat By Abr Kanodari

Na'at e Rasool(saw)
Mere afkaar me shaamil inayat Mustufaﷺ ki hai,
Labo'N pa mere raqsaa'N aaj midhat Mustufaﷺ ki hai...
Madine ki fizao me hai khushbu mushq o ambar ki,
Khushaali Aamenaؐ ke ghar hai shirkat Mustufaﷺ ki hai...
Wo raunak hai rukh e Ahmadﷺ ki sooraj muh chupata hai,
Malak ye naat padhte hai wiladat Mustufaﷺ ki..
Khuda ki jab wahi hoti hai tab ye bolte hai kuch,
Hazaro'N sach se bhi sachchi sadaqat Mustufa kiﷺ hai...
Milaad e Mustufaﷺ bid'at bataane waale ye to soch,
Tu mufti ban gaya lekin shariat Mustufaﷺ ki hai..
Jahaa'N bhar me sabhi maslak ke logo ne ye mana hai,
Namuna e amal dunya me seerat Mustufaﷺ ki hai...
Kabhi radd o badal hamne kiya hai na kabhi hoga,
Shariat ye hamare pass amanat Mustufaﷺ ki hai..
Ye rehmat banke ke aaye the jahaa'N ke waste warna,
Aliؑ se poochlo ke kya shuja'at Mustufaﷺ ki hai..
Kabhi tatheer ki soorat, kabhi ad dehr ki soorat,
Khuda bhi jinka zaakir hai wo itrat Mustufaﷺ ki hai...
Ye kehte the farishte dekhkar Asgarؑ ke bhai ko,
AliAkbarؑ ki soorat me Shabahat Mustufaﷺ ki hai..
Me kyu khaif rahu ae Abrؔ is roz e qayamat se,
Jaha kausar Aliؑ ka aur jannat Mustufaﷺ ki hai...
-Abrؔ Kanodari

Sheikh Baqir Al Nimr - Anees Abr

***Sheikh Baqir Al Nimr***
Wajood e dee'N ka muqammal asar nazar aya,
Ali(as) ke ishq me dooba magar nazar aaya...
Saboot e ishq e Ali(as) zaalimo ko deta huwa,
Fir ek baar koi daar par nazar aya...


Aahani tha Nimr tera Housla,
Zulm se hargiz na tu ek pal dara..
Misam e tammar ke jaise hi tu,
Mar gaya lekin kabhi na chup huwa...


-Anees Abr