Saturday 15 August 2015

3 IN 1 - MASOOM ASGAR "NAJAF" JAFARI

 Ali ke ishq ka lena hai zayeqa jo NAJAF 

Zabane meesame tammaar ko salaam karo


Tumhare jism ke andar hai gar halaal laho

Alam ke sath alamdar ko salaam karo


📝 Masoom Asghar Najaf Jafari

Na chale barchiyo talwaar ali ke aage

Aslahe ho gaye bekaar ali ke aage


Chhor ke bhag kahin apni hokumat zalim

Na tikegi teri sarkaar ali ke aage


Jange khandaq me ohad me kabhi siffin ke baad

Kufr ruswa howa har baar ali ke aage


Ek ishare me hi haidar ke asar tha itna

Ruk gayi shamsh ki raftaar ali ke aage


Khalq aadam se hoye pahle ali o ahmad

Puri dunya hoyi tayyar ali ke aage


Sakht paththar pe alam deen ja ghada aisa

Hum ne dekha na alamdar ali ke aage

 Masoom Asghar Najaf Jafari


 Jinko shabbir ke kirdar se dar lagta hai

Bas unhen shah ke azadaar se dar lagta hai


Kaise aabid ke barabar me chalenge aada

Unko sajjad ki raftaar se dar lagta hai


Kah ke takbeer faqat isliye roka khutba

Sabko beemar ki guftaar se dar lagta hai


So gaye tegho'n ke saaye me ali ye kah kar 

Aur honge jinhe kuffaar se dar lagta hai


Jald se jald karo phansi ka samaa'n warna 

Humko ab meesame tammaar se dar lagta hai


Sher ko qaidi banane se huwa kya hasil

Aaj bhi zulm ko beemar se dar lagta hai


Aale athaar ko tashheer kiya hai jis ne

Unko ab shaam ke bazaar se dar lagta hai


Ho nahi'n sakte moqabil me khare zulmat ke

Jinko shabbir ke inkaar se dar lagta hai


Dekh kar barq ke raftaar ke jaisi raftaar

rab ki bheji huyi talwaar se dar lagta hai


Har jagah ki hai imamat ne nabuwat ki madad

Aaj kyu'n itrate athaar se dar lagta hai


Kab kidhar jayenge ye khud nahi'n unko bhi pata

Kufr ko haidre karraar se dar lagta hai

H

So na payenge kabhi chain se aada ai NAJAF

Tauqo zanjeer ki jhankaar se dar lagta hai


📝 Masoom Asghar Najaf Jafari

"" KAAFI HAI"" BY-MAZHAR MASOOM MAARUFI.

TARHI KALAAM

Na duniyawi hokumat
Aur na ye tash'heer kafi hai

Husaini hain yehi apne liye tauqeer kafi hai
🌾
Azakhana *alam *mashke sakina *taziya *jhula

Azadaro'n ke daman me yehi jaageer kafi hai
🌾
Agar hasrat hai dil me Haq ada hojae majlis ka

Faqat qirtaas pe likh dijiye shabbeer kafi hai
🌾
Qasam akbar ki hur ko naar se jannat me lane ko

Rasulullaa'h ke lehje me ak takbeer kafi hai
🌾
Kaha sarwar ne pesaresaad ko abbas tum dekho

Amire sham ki khatir meri hamsheer kafi hai
🌾
Baroze hashr wo gardan jhuka'e chup khade Honge

Jo kahte hain hamare
Waaste tahreer kafi hai
🌾
Har ak insaa'n inhe asghar ka matamdaar kahta hai

Mere bachcho'n ki dunya me yehi tasweer kafi hai
🌾TAZMEEN
Shahe karbobala lashkar koyi tarteeb kyo dete

Khelafe hurmula chhe maah ka besheerkafi hai
🌾
      QATA BAND
Mena aur karbala dono me shamil hai reza rab ki

Waha'n pe khwaab kafi tha yaha'n tabeer kafi....hai
🌾
Mena me haajara ke doodh ki taseer kafi thi

Yaha'n karbobla me fatema ka sheer kafi hai
🌾
Bachaane ke liye Masoom ak bhai ke maqsad ko

Agar zainab ke jaisi ho to ak hamsheer kafi hai

✒Mazhar Masoom Haidari Maroofi

"" KAAFI HAI"' BY-ALTAF HAIDARI MAARUFI

......salamun alaikum......
🍂🍂TAR'HI KALAAM🍂🍂

guma'n karte hain jo qur'aan ki tahreer kafi h

Btaayen* k bina chhat kis tarah tameer kafi hai
🍂
Na kasrat fauj ki kafi hai na shsmsheer kafi hai

Sitamgaro'n ki khatir naatawa'n sa weer kafi hai
🍂🍂QATA BAND🍂🍂
mosalla chhod kar na matame shabbeer kafi h

na bin hubbe Husain ibne Ali takbeer kafi h


azadare shahe dee'n hain to fir mehraab tk aaye'n

yahi izhare ulfat hai yahi tasweer kafi hai 
🍂🍂🍂🍂
Dilaane ke liye siffeen ki yaade'n la'eeno'n ko

rukhe abbas pe alwaan ki tag'yeer kafi h
🍂🍂TAZMEEN🍂🍂
ye manzar dekh kr Hairat zada hai Shaam ka lashkar

khelaafe hurmula 6 maah ka besheer kafi h 😏
🍂
ye Hur ne gir k qadmo me shahe wala k farmaya

yaha'n tk chal ke Aa jana paye taqdeer kafi h
🍂
Qasam shaame gareeba'n jal rahe sarwar ke khaimo'n ki 

mahaaze maut pr bhi zainabe dilgeer kafi hai

🍂🍂QATA BAND🍂🍂

Musalsal karbala ta shaam jo the zulm ke baani 

unhi ke hath masjid me huyi tafjeer kafi hai


Khayaale khana-e mabood to fikre husaini hai 

magar fikre yazeediyat pa'e takfeer kafi hai
🍂
🌿QAT'AA BAND🌿

Nejaasat aa nahi sakti qareebe aale payghambar

gawaahi de rahi hai aaya'e tat'heer kaafi hai.

Nejaasat door thi naize se leli chadare zainab

yahi tat'heer ki muh bolti tafseer kafi hai 
🌿🌿

dame aakhir rasoolullaah ne *Altaf* batlaaya 

kahin taqreer kafi hai kahi'n tahreer kafi hai
✒Altaf Haidari Maroofi

Thursday 13 August 2015

NEW KALAM "" KAFI HAI"" BY-GAFIR SAHAB. 13/08/2015

Wo jin ke waste qur'aan ki tahreer kafi hai.
Batae'n kya mujahid ke bina shamsheer kafi hai.

Taharat ki qasan aale nabi tahir hei'n at'har hei'n.
Gawahi chahiey to aayae tat'heer kafi hai.

Namazo rozao khumso zakato hajj se roo garda'n.
Ye kis ne keh dia ke matame zanjeer kafi hai!.
Qasam sheh ki, azadari agar hamrahe taa'at ho.
Faqat hatho'n se kar lo, matame Shab'beer kafi hai.

Gharibi bhes me dekho to mat hum ko gadaa samjho.
Sitam ke waaste ashko'n ki hi jageer kafi hai.

Shahadat pa gae Abbas o Sarwar, gham nahi phir bhi.
Zaba'n bandi ki khatir shaah ki humsheer kafi hai.

Sutune zulm larza'n he, yazidi thar tharate hei'n.
Ali andaaz me Zainab ki ik taqreer kafi hai.

Nahi Zainul eba ke hath me teer o tabar lekin.
Ye jisme naazni'n par zulm ki zanjeee kafi hai.

Bata aey Hurmala! Kis khouf se ye teere sehshoba?
Gulu nazuk he, mamuli sa bas ik teer kafi hai.

Zarurat hi nahi Abbas aae'n joush me GHAFIR.
khilaafe Hurmala chhey maah ka besheer kafi hai.

new kalaam BEEMAR SE DARR LAGTA HAI..(BY-GAFIR SAHAB). 13/08/2015

"Bimar se dar"
Wo jise mad'h ke ash'aar se dar lagta he.
gouya us shakhs ko abraar se dar lagta he.

Zulm dekhe to bhala kaise sh'he dee'n ki taraf!.
Us ko Abbas ki talwaar se dar lagta he.
Teer o talwaar bohut door ki batei'n hei'n janab!.
Shair ki chashme shararbaar se dar lagta he.

Ese tameer kia qasre wafa darya par.
ab bhi darya ko wafadaar se dar lagta he.


Fouj wo jung kare kaise bhala Haider se!.
Jis ko maidan me Ammaar se dar lagta he.

Is liey uth na saka phir se sawale bai'at.
us ko Shabbeer ke inkaar se dar lagta he.

Takhta'e daar se Meesam ne ye elaan kia.
Buzdilo'n ko rasano daar se dar lagta he.
Ese kuch khoo'n se raqam mad'he Ali ki, ab tak.
Daar ko Meesame tammar se dar lagta he.

Ishq sachcha tha, to gulzaar bani aatish bhi.
Jhoote aashiq ko to gulzaar se dar lagta he.

Eyk to ghaar me or eyk jabal par bhaaga.
He dalalat, inhe'n talwaar se dar lagta he.
Wo tha Karrar jo talwaaro'n me soya lekin.
in ko talwaar ki jhankaar se dar lagta he.

Jaane kya roub tha Sajjad ke rukh par GHAFIR.
zulm ko aaj bhi bimaar se dar lagta he.

NEW MANQABAT "DARR LAGTA HAI". -(BY-Altaf haidari ma'arufi)

SALAMUN ALAIKUM

🌾🌾TARHI KALAM🌾🌾

 bas use hi rasano daar se dar lagta h

jisko bai'at ke talabgaar se dar lagta hai.
🌾
aik kirdar ko kirdar se dar lagta hai

yani hakim ko giraftar se dar lagta h
🌾
aik kirdar to sota raha talwaro me.

ek wo hai k jise gaar se dar lagta h
🌾
wahi kaayer ki tarah karte h chhup kar hamle

jinko duniya me azadar se dar lagta h
🌾
aik hi rat me tay kar liya sadiyo'n ka safar

maut ko HUR teri raftaar se dar lagta h
🌾
karbala ko bhi na siffeen bana de Abbas


lashkare zulm ko takraar se dar lagta h
🌾
aaj to barq bhi hairaan khadi takti h

arz hilti hai* k rahwaar se dar lagta h
🌾
Sheh ne teero ko bana dala mosalla apna

zulm samjha tha ise khaar se dar lagta h
🌾
Haybate hazrate fizza ka asar to dekho

zulm ko apne hi darbar se dar lagta h
🌾TAZMEEN🌾
isliye rahti hai afwaaj se mahsoor baqee'a

aaj bhi zulm ko beemar se dar lagta hai
🌾
ham to aatish ko bhi gulzar bana lete hain.

aur kuch hain jinhe gulzar se dar lagta h.
🌾
kuch nahi chahiye Altaf e ilaahi ke sewa

har nafas nafs ki yalgaar se dar lagta h

✒Altaf Haidari Maroofi