Saturday 15 August 2015

3 IN 1 - MASOOM ASGAR "NAJAF" JAFARI

 Ali ke ishq ka lena hai zayeqa jo NAJAF 

Zabane meesame tammaar ko salaam karo


Tumhare jism ke andar hai gar halaal laho

Alam ke sath alamdar ko salaam karo


📝 Masoom Asghar Najaf Jafari

Na chale barchiyo talwaar ali ke aage

Aslahe ho gaye bekaar ali ke aage


Chhor ke bhag kahin apni hokumat zalim

Na tikegi teri sarkaar ali ke aage


Jange khandaq me ohad me kabhi siffin ke baad

Kufr ruswa howa har baar ali ke aage


Ek ishare me hi haidar ke asar tha itna

Ruk gayi shamsh ki raftaar ali ke aage


Khalq aadam se hoye pahle ali o ahmad

Puri dunya hoyi tayyar ali ke aage


Sakht paththar pe alam deen ja ghada aisa

Hum ne dekha na alamdar ali ke aage

 Masoom Asghar Najaf Jafari


 Jinko shabbir ke kirdar se dar lagta hai

Bas unhen shah ke azadaar se dar lagta hai


Kaise aabid ke barabar me chalenge aada

Unko sajjad ki raftaar se dar lagta hai


Kah ke takbeer faqat isliye roka khutba

Sabko beemar ki guftaar se dar lagta hai


So gaye tegho'n ke saaye me ali ye kah kar 

Aur honge jinhe kuffaar se dar lagta hai


Jald se jald karo phansi ka samaa'n warna 

Humko ab meesame tammaar se dar lagta hai


Sher ko qaidi banane se huwa kya hasil

Aaj bhi zulm ko beemar se dar lagta hai


Aale athaar ko tashheer kiya hai jis ne

Unko ab shaam ke bazaar se dar lagta hai


Ho nahi'n sakte moqabil me khare zulmat ke

Jinko shabbir ke inkaar se dar lagta hai


Dekh kar barq ke raftaar ke jaisi raftaar

rab ki bheji huyi talwaar se dar lagta hai


Har jagah ki hai imamat ne nabuwat ki madad

Aaj kyu'n itrate athaar se dar lagta hai


Kab kidhar jayenge ye khud nahi'n unko bhi pata

Kufr ko haidre karraar se dar lagta hai

H

So na payenge kabhi chain se aada ai NAJAF

Tauqo zanjeer ki jhankaar se dar lagta hai


📝 Masoom Asghar Najaf Jafari

No comments:

Post a Comment