Saturday 15 August 2015

"" KAAFI HAI"" BY-MAZHAR MASOOM MAARUFI.

TARHI KALAAM

Na duniyawi hokumat
Aur na ye tash'heer kafi hai

Husaini hain yehi apne liye tauqeer kafi hai
🌾
Azakhana *alam *mashke sakina *taziya *jhula

Azadaro'n ke daman me yehi jaageer kafi hai
🌾
Agar hasrat hai dil me Haq ada hojae majlis ka

Faqat qirtaas pe likh dijiye shabbeer kafi hai
🌾
Qasam akbar ki hur ko naar se jannat me lane ko

Rasulullaa'h ke lehje me ak takbeer kafi hai
🌾
Kaha sarwar ne pesaresaad ko abbas tum dekho

Amire sham ki khatir meri hamsheer kafi hai
🌾
Baroze hashr wo gardan jhuka'e chup khade Honge

Jo kahte hain hamare
Waaste tahreer kafi hai
🌾
Har ak insaa'n inhe asghar ka matamdaar kahta hai

Mere bachcho'n ki dunya me yehi tasweer kafi hai
🌾TAZMEEN
Shahe karbobala lashkar koyi tarteeb kyo dete

Khelafe hurmula chhe maah ka besheerkafi hai
🌾
      QATA BAND
Mena aur karbala dono me shamil hai reza rab ki

Waha'n pe khwaab kafi tha yaha'n tabeer kafi....hai
🌾
Mena me haajara ke doodh ki taseer kafi thi

Yaha'n karbobla me fatema ka sheer kafi hai
🌾
Bachaane ke liye Masoom ak bhai ke maqsad ko

Agar zainab ke jaisi ho to ak hamsheer kafi hai

✒Mazhar Masoom Haidari Maroofi

No comments:

Post a Comment