Thursday 13 August 2015

new kalaam BEEMAR SE DARR LAGTA HAI..(BY-GAFIR SAHAB). 13/08/2015

"Bimar se dar"
Wo jise mad'h ke ash'aar se dar lagta he.
gouya us shakhs ko abraar se dar lagta he.

Zulm dekhe to bhala kaise sh'he dee'n ki taraf!.
Us ko Abbas ki talwaar se dar lagta he.
Teer o talwaar bohut door ki batei'n hei'n janab!.
Shair ki chashme shararbaar se dar lagta he.

Ese tameer kia qasre wafa darya par.
ab bhi darya ko wafadaar se dar lagta he.


Fouj wo jung kare kaise bhala Haider se!.
Jis ko maidan me Ammaar se dar lagta he.

Is liey uth na saka phir se sawale bai'at.
us ko Shabbeer ke inkaar se dar lagta he.

Takhta'e daar se Meesam ne ye elaan kia.
Buzdilo'n ko rasano daar se dar lagta he.
Ese kuch khoo'n se raqam mad'he Ali ki, ab tak.
Daar ko Meesame tammar se dar lagta he.

Ishq sachcha tha, to gulzaar bani aatish bhi.
Jhoote aashiq ko to gulzaar se dar lagta he.

Eyk to ghaar me or eyk jabal par bhaaga.
He dalalat, inhe'n talwaar se dar lagta he.
Wo tha Karrar jo talwaaro'n me soya lekin.
in ko talwaar ki jhankaar se dar lagta he.

Jaane kya roub tha Sajjad ke rukh par GHAFIR.
zulm ko aaj bhi bimaar se dar lagta he.

1 comment: