Thursday 13 August 2015

NEW KALAM "" KAFI HAI"" BY-GAFIR SAHAB. 13/08/2015

Wo jin ke waste qur'aan ki tahreer kafi hai.
Batae'n kya mujahid ke bina shamsheer kafi hai.

Taharat ki qasan aale nabi tahir hei'n at'har hei'n.
Gawahi chahiey to aayae tat'heer kafi hai.

Namazo rozao khumso zakato hajj se roo garda'n.
Ye kis ne keh dia ke matame zanjeer kafi hai!.
Qasam sheh ki, azadari agar hamrahe taa'at ho.
Faqat hatho'n se kar lo, matame Shab'beer kafi hai.

Gharibi bhes me dekho to mat hum ko gadaa samjho.
Sitam ke waaste ashko'n ki hi jageer kafi hai.

Shahadat pa gae Abbas o Sarwar, gham nahi phir bhi.
Zaba'n bandi ki khatir shaah ki humsheer kafi hai.

Sutune zulm larza'n he, yazidi thar tharate hei'n.
Ali andaaz me Zainab ki ik taqreer kafi hai.

Nahi Zainul eba ke hath me teer o tabar lekin.
Ye jisme naazni'n par zulm ki zanjeee kafi hai.

Bata aey Hurmala! Kis khouf se ye teere sehshoba?
Gulu nazuk he, mamuli sa bas ik teer kafi hai.

Zarurat hi nahi Abbas aae'n joush me GHAFIR.
khilaafe Hurmala chhey maah ka besheer kafi hai.

No comments:

Post a Comment