Saturday 4 March 2017

Tarhi Misra: SHAREEK-E-KAAR-E-RISAALAT HAI FATEMA ZEHRA(sa)

Tarhi Misra: SHAREEK-E-KAAR-E-RISAALAT HAI FAATEMA ZEHRA.

Taarikh: 26/02/2017

Misra by : Janab Sadiq Ali Navshad sahab


1. Janab Anees Abr sahab.

Unhi ke waste jannat hai, Fatema Zahra(sa)
Ke jinko tujhse Mohabbat hai Fatema Zahra(sa)

Mubahela ho ya koi ho ma.arka haq ka,
Nabi e deeN ki zaroorat hai Fatema Zahra(sa)

Dikhaaye deen ke ehkaam sab ada karke,
Nisa e khalq pe hujjat hai Fatema Zahra(sa)

Rasool e deen ne ta.azeem karke batlaya,
Jahaan e izz o sharafat hai Fatema Zahra(sa)

Ye Hal ataa teri tauseef,  innama teri shaan,
kalaam e rab teri midhat hai Fatema Zahra(sa)

Shareek e kaare imamat hai Zainab e dilgeer(sa),
Shareek e kaar e Risalat hai Fatema Zahr(sa)

Teri khushi me hai ma.bood ki khushi shamil,
Tere gazab me qayamat hai Fatema Zahra(sa)

Ye kaisi tujhpe musibat hai fatema Zahra
Ke teri dhoop me turbat hai Fatema Zahra(sa)

Tu Shahzaadi hai !! lekin ye bad nasab badkaar,
Ali(as) se talib e baiyat hai Fatema Zahra(sa)

ye tooti pasliyaaN teri ye dar jala tera,
Ye deeN bachaane ki qeemat hai Fatema Zahra(sa)

Ye jisko phaad ke phenka gaya sar e darbaar,
Tere pidar ki kitabat hai Fatema zahra(sa)

Ye ajr e matam e Sarwar(as)  me kyu na de jannat,
Ke Abr behr e sakhawat hai Fatema Zahra(sa)










2. Janab Sadiq Ali Navshad Bijani Sahab


Dile rasool ki raahat hai faatema zehra.
Shareeke kaare risaalat hai fatema zehra.

Baraae arzo sama gar rasool hai rehmat.
To unke vaaste rehmat hai faatema zehra.

Vafaate shaahe madeena ke baad ummat me.
Rasoole haqq ki amaanat hai faatema zehra.

Charaaghe deen hai lakhte dile khadeeja hai.
Nabi ki aankho'n ki qurrat hai faatrma zehra.

Jhuki huvi hai kamar, zakhmi pasliya'n hai magar.
Imaame waqt ki taaqat hai faatema zehra.

Sar apna peet ke fizza pukaari ro ro kar.
Jaha'n se ho gai rukhsat hai faatema zehra.

Sana bhi aap ki Navshad kar raha hai agar.
Yeh aap ki hi inaayat hai faatema zehra.










3. Janab Syed Ali Abbas Naqvi sahab.

Sadaqaton ki sadaqat hai fatema zehra.
Ibadathon ki ibadath hai fatema zehra.

Habeeb e lamyazali do jahan ki rahmat e hai.
Aur unke haq me lo rahmath hai fatema zehra.

Malak bhi lene ko khairaat dar pa aa pahounche.
Ajeeb shaan e saqawat hai fatema zehra.

Kaha ye mera nahi hai kaha nabi ka hai.
Sharik e kaar e risalat hai fatema zehra.











4. Mohtarma Sakeena saheba.

Rasul e paak ki rehmat hai fatema zehra (sa)
sharik e kar e risalat hai fatema zehra (sa)

Rasul or ali juzve noore vahid hai
Woh noore khaas ki niqhat hai fatema zehra (sa)

Faqeer banke malak tere dar pe aate hai.
Aya'n tumhaari sakhawat hai fatema zehra(sa)

Woh jiski shaan me utri hai arsh se aayaat.
Jaha'n me haamile ismat hai fatema zehra(sa)

Maqaam teri ibadat ka hai baland bahut.
Ibadato'n ki tu zeenat hai fatema zehra (sa)

Tumhaare bachho ki rakhta hai dil me jo ulfat
Unhi ke waste jannat hai fatema zehra(sa)

Adu ne jalta huva dar giraaya pehlu par.
Ye tuj pe sakht musibat hai fatema zehra(sa)

Ata ho daulate akhlak bhi *sakeena* ko
Yeh uski aap se hajat hai fatema zehra (sa)










5. Janab Faizul Hasnain sahab.

Baqaa e Deeno Shariyat hai Fatema Zehra,
Shareek e Kaar e Risalat hai Fatema Zehra,

Lagi Jo Tohmat e Abtar usey Mitaney ko,
Hui ye teri Wiladat hai Fatema Zehra,

Ali ho Chahey Muhammad Hasan Husain bhi ho,
Sabhi ki karti Imamat hai Fatema Zehra,

Ye Arsho Farsho Fidak ho ke chahey Kausar ho,
Ye saari teri Wiraasat hai Fatema Zehra,

Sada karega ye Qur'an teri Mad'h o Sana,
Usey Jo teri Ijazat hai Fatema Zehra,

Jo Harf e Baa me ye Qur'aN simat ke aaya hai,
Woh Harf e Baa ki Wazahat hai Fatema Zehra,

Karengey Majliso Maatam Daraao na ham ko,
Hamari Karti Hifazat hai Fatema Zehra,

Dilo'n me jiske ho Ulfat Ali(as) ki ay Faizul,
Usi ki karti Hidayat hai Fatema Zehra..










6. Janab Hasnain Maroofi Sahab.

rasool e haq ki zarurat hai fatema zahra
Ali ki taaqato himmat hai fatema zahra
🌹
nozoole sorae kausar ki shaan kahti hai
Khuda ki khaas inayet hai fatema zahra
🌹
ali ki zaat zarurat hai jange khaibar ki
Mubahele ki zarurat hai fatema zahra
🌹
hai,n zaujiyet me ali ki magar botool bhi hai,n
Fazilato,n ki fazilat hai fatema zahra
🌹
inhi ke khoon se islaam ne baqa paayi
Payembaro,n ki zamaanat hai fatema zahra
🌹
kitaabe karbobala me hai saaf saaf likha
Khuda ke deen ki qismat hai fatema zahra
🌹
jaha,n me sahibe ismat zarur hai,n mariyem
Hai sach ki markaze ismat hai fatema zahra
🌹
shareek kaare risaalat me hai,n baraabar ki
Tabhi to juzwe risaalat hai fatema zahra
🌹
jaha,n pe dozakho jannat ka faisla hoga
Khuda ki aisi adaalat hai fatema zahra
🌹
zuba,n se kahte hi jannat se aa gaye pushaak
Kaho ki raaze mashiyet hai fatema zahra
🌹                        
jo kainaat me geyarah gul e imamat hai,n
Har aik phool ki nik,hat hai fatema zahra
🌹
jo jagmagaate hai,n arshe baree,n pe aiye hasnain
Sabhi ki kaatib e qismat hai fatema zahra










7. Janab Kumail Nagri sahab.

(1)Har ek namaaz ki zeenat hai fatema zahra.
Ali hai dee'n to shari'at hai fatema zahra.
(2)mili hai rab se mohammad ko jo shabe meraaj.
Saji woh noor ki dawlat hai fatema zahra.
(3)faqat husain o hasan ye nahi hai'n pehlu me.
Ye parwarish me imaamat hai fatema zahra.

(4)farishta maut ka tahera hai teri chawkhat par.
Ye maange tum se ijaazat hai fatema zahra.

(5)teri ridaa se ye ho jayegi taro taaza'h.
Thaki huyi jo nabuwwat hai fatema zahra.

(6)moaaf kardiya aadam ko keh ke khaaliq ne.
Teri duaao'n ki nisbat hai fatema zahra.

(7)Sazaaye'n hashr me jo degi saare dushman ko.
Abhi woh baaqi adaalat hai fatema zahra.

(8)Baghair dekhe nabuwwat sukoon paati nahi.
Dile rasool ki hasrat hai fatema zahra.

(9)Daleel deta hai khud hi ye taahera'h ka laqab.
Ba'eed tum se nijaasat hai fatema zahra.
(10)durood bhej ke kahti hai'n mariyam o hawwa.
Tahaarato'n ki fazeelat hai fatema zahra.
(11) Qadam Qadam pe diyaa saath apne baba ka
Shareek e kaar e risaalat hai fatema zahra.

(12)musibato'n me giraftaar hai woh khud laikin.
imaame waqt ki himmat hai fatema zahra.

(13)khayaal rakhna mere baad mere bacho'n ka.
Ali se karti wasiyyat hai fatema zahra.

(14)Ay kalma goyou'n sitam you'n na dhaao bibi par.
Nabi ki khaas amaanat hai fatema zahra.

(15)qaraar kaise mile murtaza ko tere baghair.
Ali ke dil ki mohabbat hai fatema zahra.

(16) *KUMAIL* khauf ho kiyu'n hum ko roze mehshar ka.
Husainio'n ki zamaanat hai fatema zahra.

No comments:

Post a Comment