Saturday 16 April 2016

Tarhi Misra: Waris E Ilm E Payambar HaiN Naqi(as)

Tarhi Misra: Waris E Ilm E Payambar HaiN Naqi(as)

Misra By: Maulama Mohammad Raza Maroofi Sahab

Taarikh: 14 April 2016

TARHI KALAAM.....WARISE ILMR PAYAMBAR HAIN NAQI

1
Mohammad Raza Maroofi Sahab.

1.  Is liye itne moattar hain naqi

Bagh e ismat ke gul e tar hain naqi

2. Mrva e dil ban gaye bahr e pedar

Bais e taskin e madar hain naqi

3. Dekh kar sabr o raza kahna pada

Waris e shabbir o shabbar hain naqi

4. Tashnagi ka khaof mahshar me nahin

Malik e tasnim o kaosar hain naqi

5. Ho gaya aqwal se in ke aya'n

Ilm o hikmat ka samandar hain naqi

6. Ilm e paighmbar inhin ke pas hai

Yani shahr e ilm ka dar hain naqi

7. Yu'n khade hain zulm ke darbar me

Aisa lagta hai ki haidar hain naqi

8. Taer e afkar ke par jal gaye

Fazl ke kia Aasma'n par hain naqi?!

9. Markaz e adl e elahi in ki zat

Zulm ke sine me nashtar hain naqi

10. Jo tere dar ke gadagar ho gaye

Wo moqaddar ke sikandar hain naqi

11. Isiye in ki zeya.badhne lagi

Mehraba'n bar mah o akhtar hain naqi

12. Tere dar ke fazl aur abdul azeem

Waqt ke salman o buzar hain naqi

13. Jahilo'n ko keya pata in ka maqam

Waris e ilm e payambar hain naqi

14. Is raza e be nawa'n ko dahr me

Tere naqsh e pa moyassar hain naqi.

اس لئے اتنے معطّر ہیں نقی

باغ عصمت کے گلِ تر ہیں نقی

میوہ دل بن گئے بہر پدر

باعث تسکین مادر ہیں نقی

دیکھ کر صبر و رضا کہنا پڑا

وارث شبیر و شبر ہیں نقی

تشنگی کا خوف محشر میں نہیں

مالک تسنیم و کوثر ہیں نقی

ہوگیا اقوال سے ان کے عیاں

علم و حکمت کا سمندر ہیں نقی

علم پیغمبر انھیں کے پاس ہے

یعنی شہر علم کا در ہیں نقی

یوں کھڑے ہیں ظلم کے دربار میں

ایسا لگتا ہے کہ حیدر ہیں نقی

طائرِ افکار کے پر جل گئے

فضل کے کس مرتبے پر ہیں نقی؟!

مرکزِ عدل الٰہی ان کی ذات

ظلم کے سینے میں نشتر ہیں نقی

جو ترے در کے گداگر ہوگئے

وہ مقدر کے سکندر ہیں نقی

اس لئے ان کی ضیاء بڑھنے لگی

مہرباں بر ماہ و اختر ہیں نقی

تیرے در کے فضل اور عبد العظیم

مثل سلمان و ابوذر ہیں نقی

جاہلوں کو کیا پتہ ان کا مقام

وارث علم پیمبر ہیں نقی

اس رضائے بے نوا کو دہر میں

نقشِ پا تیرے میسر ہیں نقی







2
Sadiqali Bijani Navshad.

deene ehmad ka muqaddar hain naqi.
ilm ka behta samandar hain naqi.

2
zarre zarre tere dar ki khaak ke.
khuld ke mehlo'n se behtar hain naqi.

3
aap ke pairo'n ki dono jootya'n.
arsh or kursi ke zevar hain naqi.

4
salabeelo kavsaro tasmeem sab.
aap ke kadmo'n ki thokar hain naqi.

5
aap ke rauze ki galiya'n bil yaqee'n.
khuld ke aywaa'n se badh kar hain naqi.

6
yu'n to sardaare malak jibreel hain.
Ha'n magar tere voh naukar hain naqi.

7
hooro gillmaano malaaik raat din.
banke khaadim tere dar par hain naqi.

8
jaanashine haidare qarrar hain.
or mohammad ke guletar hain naqi.

9
haamile ilme ladunni aap hain.
aap hi qur'aa'n ke mehwar hain naqi.

10
jisne mehdi ko hai paala god me.
aap ki voh nek khwahar hain naqi.

11
ho'n malaaik ya ke ho'n jinno bashar.
do jaha'n ke aap rehbar hain naqi.

12
woh mohammad ke hain dasve'n jaanshee'n.
hujjte khallake akbar hain naqi.

13
mangi na bay'at adu ne aap se.
jante the misle sarwar hain naqi.

14
sher bhi qadmo me jin ke juk gaya.
ayse ik shere ghazanfar hain naqi.

15
de raha hai yeh gavaahi jehl bhi.
warise ilme payambar hain naqi.

16
qabr me navshad soja chain se.
tere haami roze mehshar hain naqi.




3
Janab Anees Abr sahab.

Niqhat e Ismat hai, Ambar haiN Naqi(as),
Gulshan E DeeN ke gul E Tar haiN Naqi(as),

Ilm O Hikmat ke samandar hai Naqi(as),
Fikr e Insaani se bahar haiN Naqi(as)...

Khouf e Mehshar ab nahi mujhko koi,
Roz e Mehshar mere Rehbar haiN Naqi(as)...

Ye bhi rehmat hai Payambar(saw) ki tarah,
Aur shuja'at meN bhi Hyder(as) haiN Naqi(as)...

Sher zinda kar diya qaaleen se,
Hazrat e Musa se bartar haiN Naqi(as)...

Qaid me rehkar bhi hai ye kaamyaab,
Har maraahil me muzaffar haiN Naqi(as)...

Chadar e Tatheer me shaamil hai ye,
Or kalaam e Rab meN Kausar haiN Naqi(as)...

KyuN na roushan ho shari'at deen ki,
Aasmaan e DeeN ke akhtar haiN Naqi(as)...

Waqt ka haakim bana hai gar yazeed,
Aap bhi to ibne Sarwar(as) haiN Naqi(as)...

Naam inka bhi Ali(as) rakhkha gaya,
Moujizaat e Rab ke mazhar haiN Naqi(as)...

Abr ye keh kar qalam ko rok de,
Waris e Ilm e Payambar haiN Naqi(as)...

-Anees Abr

خوشبوئے عصمت ہیں، عنبر ہیں نقیؑ
گلشنِ دیں کے گلِ تر ہیں نقیؑ

علم و حکمت کے سمندر ہیں نقیؑ
فکرِ انسانی سے باہر ہیں نقیؑ

خوفِ محشر اب نہیں مجھ کو کوی
روزِ محشر میرے رهبر ہیں نقیؑ

یہ بھی رحمت ہے پیمبرؐ کی ترح
اور شجاعت میں بھی حیدرؑ ہیں نقیؑ

شیر زندا کر دیا قالین سے
حضرتِ مساء سے برتر ہیں نقیؑ

قید میں رہ کر بھی ہے یہ کامیاب
ہر مراحل میں مظفر ہیں نقیؑ

چادرِ تطہیر میں شامل ہے یہ
اور کلامِ رب میں کوثر ہیں نقیؑ

کیوں نہ روشن ہو شریعت دین کی
آسمانِ دیں کے اختر ہیں نقیؑ

وقت کا حاکم بنا ہے گر یزید
آپ بھی تو ابنِ سرور ہیں نقیؑ

نام اِن کا بھی علیؑ رکھا گیا
معجزاتِ رب کے مظہر ہیں نقیؑ

ابرؔ یہ که کر قلم کو روک دے
وارثِ علمِ پیمبر ہیں نقی










4
Janab Masoom Najaf Maroofi sahab.

Sulh ki basti ke shabbar hai'n naqi
Ilm ki dunya ke Haidar hai'n naqi

Jehl ki zeenat nahi'n banna  hame'n
Ilmo danish ke samandar hai'n naqi

Ab na chhaye ga andhera dahr me
Shamye ilme dee'n ke Rahbar hai'n naqi

Baabe shahre ilm hai Haidar ki zaat
Warse ilme payambar hai'n naqi

Ye shuja'at me kisi se kam nahi'n
Misle abbase delawar hai'n naqi

Gulshane ahmad ke hai'n daswe'n gulab
Isliye sabse moa'attar hai'n naqi

Hurmala hairan hai ye dekhkar
Bachche bachche ke bhi andar hai'n naqi

Khaak me mil jaye'nge sare yazeed
Ek nahi'n pure bahattar hai'n naqi

Rijs aa sakta nahi'n inke qareeb
Dahr me itne motahhar hai'n naqi

Kaise ho do char lafzo'n me bayaa'n
Haidari sheer ghazanfar hai'n naqi

Ilm ki khushbu bikheri har taraf
Isliye gul me guletar hai'n naqi

Kaise kar lete bhala bai'at NAJAF
Hafize deene payambar hai'n naqi





5
Janab Mohammad Hussain Govani sahab.

Waaris.e ilme payambar** haiN naqi*,
Jaan.e zehra*, rooh.e Haider* haiN naqi*,

Gardan.e baatil pe khanjar haiN naqi*,
Yaa kahuN Shabbeer.o* Shabbar* haiN naqi,

Bandagi Sajjaad* si un meN mili,
Ilm meN Baaqir* ke paikar haiN baqi*,

Jafar.e saadiq* ka jalva un meN haiN,
Yaani sachchaaii ke mehvar haiN naqi*,

Musii e kaazim* ko un par naaz hai,
Khulq meN aHmad** ke paikar haiN naqi*,

Saltanat mashmhad meN un ke jad ki hai,
BaadshaahoN ke sikandar haiN naqi*,

Kya kahuN maiN baap ho jin ke jawaad*,
Woh hamaare dasveN Haider* haiN naqi*,

Askari* maula ke bhi waalid haiN woh,
Mat kaho ik fard..!, lashkar haiN naqi*,

Mahdi* batlaeNge awsaaf.e naqii*,
Ye sawaaban mere lab par haiN naqi,






6
Janab Syed Ghafir Rizvi sahab.

Baagh e Zahra ka gul e tar hai'n Naqi.
Maz'har e marziy e daawar hai'n Naqi.
🌹
Chaa'nd sooraj aa gaey deedar ko.
be tahasha yu'n munaw'war hai'n Naqi.
🌹
Misl e Haider makh'zan e ilm o hunar.
gouya shehr e ilm ka darr hai'n Naqi.
🌹
An'daleeb e gulsitaan e Mustafa.
Nik'hat e Zahraa e at'har hai'n Naqi.
🌹
Sochta hu'n haq'qe mid'hat ho ada.
Saya af'gan mere sar par hai'n Naqi.
🌹
Dam b'labb hai quw'wat e idraak bhi.
ilm ka esa samandar hai'n Naqi.
🌹
Sher bhi aa kar qadam bousi kare'n.
Ese narr sher e ghazanfar hai'n Naqi.
🌹
Sul'h ki manzil me akhlaaq e Hasan.
Jung ke maida'n me Haider hai'n Naqi.
🌹
Dushmano'n ki bolti kartey hai'n band.
ik akele hai'n p lashkar hai'n Naqi.
🌹
Fakhr e Musa hai'n qasam touret ki.
Hazrat e Eisa ke rehbar hai'n Naqi.
🌹
Lehn e Daaudi sada dene laga.
Mere har aahang ka darr hai'n Naqi.
🌹
Maj'maul behrein ki GHAFIR qasam.
Waris e ilm e payamber hai'n Naqi.
🌹

🌹
باغِ زہرا کا گلِ تر ہیں نقی
مظہرِ مرضیِ داور ہیں نقی
🌹
چاند سورج آگئے دیدار کو
بے تحاشہ یوں منوّر ہیں نقی
🌹
مثلِ حیدر مخزنِ علم و ہنر
گویا شہرِ علم کا در ہیں نقی
🌹
عندلیبِ گلسِتانِ مصطفےٰ
نکہتِ زہرائے اطہر ہیں نقی
🌹
سوچتا ہوں حقِّ مدحت ہو ادا
سایہ افگن میرے سر پر ہیں نقی
🌹
دم بَلَب ہے قوت ادراک بھی
علم کا ایسا سمندر ہیں نقی
🌹
شیر بھی آکر قدم بوسی کریں
ایسے نر شیرِ غضنفر ہیں نقی
🌹
صلح کی منزل میں اخلاقِ حسن
جنگ کے میداں میں حیدر ہیں نقی
🌹
دشمنوں کی بولتی کرتے ہیں بند
اک اکیلے ہیں پہ لشکر ہیں نقی
🌹
فخرِ موسیٰ ہیں قسم توریت کی
حضرتِ عیسیٰ کے رہبر ہیں نقی
🌹
لحنِ داؤدی صدا دینے لگا
میرے ہر آہنگ کا در ہیں نقی
🌹
مجمع البحرین کی غافر قسم
وارثِ علم پیمبر ہیں نقی






7
Janab Eram Mehdi sahab.

Haider o zahra ke dilbar hain naqi
Waris e ilm e payambar hain naqi

Chand Suraj aur sitare  charkh par
Noor se tere munawa hain naqi

Hain hamare aap ke daswen imam
Han shafiye rooz e mahshar hain naqi

Hu bahu haidar ki ye tasveer hain
Hamil e khulq e payambar hai naqi

Jis ki zaw se do jahan punoor hain
Taj e ismat ke wo gauhar hain naqi

Bekason ke qalb ki awaz hain
Zulm ki sine pe nashtar hain naqi

Hain jo jauhar haidar e karrar me
Aap me muzmar wo jauhar hain naqi

Malik e kausar hain yebhi, kiyun na hon
Saqi e kausar ke dilbar hain naqi

Kah rahe hain qaum ke peer o jawan
Jism o jan tumpar nichawar hain naqi

Jinko jinko aap se ulfat nahi
Dil nahi hain unme pathar hain naqi

Martaba quraan se pucho eram
Fikr se meri to bahar hain naqi





8
Janab Sharif Rizvi Sahab.

اسلئے دیں کا مقدر ہیں نقی
وارثِ علمِ پیمبر ہیں نقی

ذلت و رسوائ کچھ کا ہے نصیب
اور خدا کے دیں کا مفخر ہیں نقی

جہل پے ہیں وہ نہیں جنکا امام
فخر ہے ہمکو کہ رہبر ہیں نقی

جا نہیں سکتا کبھی خالی کوئ
اک سخاوت کا سمندر ہیں نقی

جن ہوں انساں ہوں یا ہو کوئ ملک
آپ کے گھر کے ہی نوکر ہیں نقی

کی مذمت غالیوں کی ہر جگہ
سینئہ غالی پے خنجر ہیں نقی

ہے جو مرحب کی طرح معتز اگر
دیکھ لے معتز بھی حیدر ہیں نقی

گر نہیں قسمت میں سامرّہ تو کیا
ہر علی والے کے گھر گھر ہیں نقی

لاکھ شارف ہوں اگر دشمن مِرے
فکر کیا جب میرے یاور ہیں نقی

Isliye dee'n ka muqaddar hai'n naqi
Warise ilme payambar Hai'n naqi

Zillato ruswaai kuch ka hai naseeb
Or khuda ke dee'n ka mafkhar hai'n naqi

Jahel pe hai'n wo nahi jinka imam
Fakhr hai Hamko ke rahbar Hai'n naqi

Ja nahi sakta kabhi khaali koi
Ek sakhawat ka samandar Hai'n naqi

Jin ho'n insa'n ho'n ya ho koi Malak
aap ke ghar ke hi naokar Hai'n naqi

Ki mazammat ghaaliyo'n ki har jagha
Seenaye ghaali pe khanjar Hai'n naqi

Hai jo marhab ki tarha motiz agar
Jaan le motiz bhi Haidar Hai'n naqi

Gar nahi qismat me samarrah to kya
Har Ali waale ke ghar ghar Hai'n naqi

Laakh shaarif ho'n agar dushman mere
Fikr kya jab mere yawar Hai'n naqi





9
Janab Qarnain ajmeri sahab.

🔹Waris e ilm e payambar hain Naqi

🔹Hoo ba Hoo Tasveer e haider Hain Naqi

🔹Majlis e shabbir barpa hai yahan

🔹Sath Zehra k mere ghar hain Naqi.







10
Janab Nazaa jafri sahab.

نور احمد(ص) سے منور ہیں نقی (ع)
بوئے حیدر(ع) سے معطر ہیں نقی(ع)

کہ رہا ہےدین اپنی آبرو_
کیا عجب نایاب گوہر ہیں نقی(ع)

جانے کس کس کا بناتےہیں نصیب_
جانے کس کس کا مقدر ہیں نقی(ع)

جس سے ہے ساری خدائ فیضیاب _
ایسی حکمت کا سمندر ہیں نقی(ع)

کیوں نہ دیں یہ دعوت فکر و عمل _
وارث علم پیمبر ہیں نقی(ع)

آینگی نزدیک کیسے مشکلیں_
مہرباں ہر وقت ہم پر ہیں نقی(ع)

نصرت شبیر میں بعد تقی(ع)
دسویں درجہ پر مقرر ہیں نقی(ع)

معجزن بھیگی ہوئ آنکھوں میں ہیں_
غمزدہ سینوں کے اندر ہیں نقی(ع)

صبر کیسے ہو تمہیں آنکھوں میں جب_
کربلا کے سارے منظر ہیں نقی(ع)

سب ہیں نازاں سب بلند اقبال ہیں_
آپ کے جو بھی سخنور ہیں نقی(ع)
        



11
Jabab Masoom haidari maroofi sahab.

🌺🌹TARHI KALAAM🌹🌺

Gardane baatil pe khanjar hai'n naqi

Waqt ke shabbeer o shabbar hai'n naqi
🌺
Inke sine me bhi hai azme husain

Har yazeedi ke liye dar hain naqi
🌺
Paas mere mushkile'n aayengi kya

Mere nigra'n har qadam par hain naqi
🌺TAZMEEN🌺👇🏼
Puchhna hai jo bhi in se puchh lo

Waarise ilme payambar hain naqi
🌺
Dekh kar be saakhta kahte hain log

Ahmade mursal ka paikar hain naqi
🌺
Nau imamo'n ke yehi hain jaanashi'n

Zeenate mehraab o mimbar hain naqi
🌺
Rahe haq se mai bhatak sakta nahi

Mere haadi mere rahbar hai'n Naqi
🌺
Har amal inka hai haidar ki tarah

Mufliso miskeen parwar hain naqi
🌺
Kya zoba'n kholu'n mai un ki shaan me

Mai hun ak qatra* samandar hain naqi
🌺
Maang lo MASOOM jo hai maangna

Ak sakhaawat ka samandar hain naqi.

Wassalaam,
-Anees Abr

No comments:

Post a Comment