Thursday 7 April 2016

Tarhi Misra: GULSHAN E IMAMAT ME PAANCHWA GULAAB AAYA, 6 April 2016

Tarhi Misra: GULSHAN E IMAMAT ME PAANCHWA GULAAB AAYA

Misra By: Janab Altaf Haidari Maroofi

Tarikh: 6 April 2016

Shoara Hazraat ke kalaam...

1
Janab Mohammad Govani sahab.

Faatema* ka laal aaya, ibne buu-turaab* aaya,

Shehr.e ilm ki Khaatir, eik aur baab aaya,

Bulbul.e shariyyat ne, jhoom kar kahaa deikho,

Gulshan.e imaamat meN, paaNchvaN gulaab aaya...


2
Janab Khateeb Haidar Sahab.

Matla 1

Raat kal mujhey aesa ek haseen khwaab aaya

Dekhker jisey mujhko lutf behisaab aaya

                2

Aasmaan pe mehfil saj rahi thi baqir ki

Aur ek malak meyra krne intekhaab aaya

                  3

Bazm e ibn e aabid me mujhko leke jaane ko

Zeen peeth PR baandhey arsh se Oqaab aaya

              4
        
Dosh pr hawao..n ke udd raha tha amber me

Qalb ko nahi lekin koi ijteraab aaya

            5

Jab mai pahuncha mehfil me dekha her sitarey ne

Khud musafaha karne mujhse maahtaab aaya

                6

Naam meyra nazim ne baad me kiya aylaan

Pahle uske hoontho..n pr mohtaram janab aaya

         7 Tazmeen

Sabke khil gaye chehre Maine jab padha misra

Gulshan e imamat me paanchwa gulaab aaya

             8

Khoob padh raha tha mai sher madh e baqir me

Daad dene mehfil me mujhko aftaab aaya

               9

Sher padhte padhte jab sookhne laga hulqoom

Saamne malak mere leke fauran aab aaya

         10 maqta

Naam hai Khateeb apna naam ka Asar dekho

Aasmani majme ko krne mai khitaab aaya.

3
Maulana Raza Maroofi Sahab.

🌹Fatema ke gulshan.par phir naya shabab Aaya.

Noor e ain ahmad ka ibn e butorab Aaya

Yun ali ke Aangan me                 🌹Aaj ek mohammad hai.

jaise mah e ismat ke ghar me mahtab Aya.

🌹Ilm ke jaha'n me ab inqelab Ayega

Aaj.phir zamane me waris e ketab Aaya.

🌹Sar utha na paye ga jahl ab qayamat tak.

Aaj ilm o danish ka aisa inqelab Aaya

🌹Sar jhukaye jo pahuncha darsgahe baqir me

Le ke ilm ka tohfa ho ke kamiyab Aaya.
🌹Rijs ke ghane badal pal me ho gaye kafoor

Aasman e ismat par jab ye Aaftab Aaya.

🌹Keun na bulbul e sidra Aaye farsh e geti par

Gulshan e imamat me pa'nchwa'n gulab Aaya.

🌹Aie raza qasida padh Aaj imam e baqir ka

Bad e marg marqad me mujh ko ye khetab Aaya.

4
Maulana Riyaz Haidar sahab.

Karne deen ki tafseer warise kitab aaya
Madrase nabuwat me ek naya nisaab aaya
Hikmato,n ka dar aaya rehmato,n ka baab aaya
Shaane deene paighambar jaane bu turaab aaya
Jibraeel le aao saath me qalam kaghaz
Ilm aur hikmat ka ek aur baab aaya
Phir bahaar aai he gulsitaane zahra me
Gulshane imamat ka panchwa gulaab aaya
Khatm teergi hogi jehl aur batil ki
Aasmaane azmat par Dee,n ka maahtaab aaya
Munaqid he jannat me mehfile musarrat aaj
Qudsiyaane jannat par ik naya shabab aaya
Naghma khwa,n hawae,n he,n shaad he,n bahaare bhi
Leke atr kalyo,n ka baagh me gulaab aaya
Karne jab chala midhat me imame baqir ki
Aaj mujh pa Huron,n ko payaar be hisaab aaya

5
Maulana Ghafir Rizvi Sahab.

🌹
Mustafa ke gulshan me rashk e aaftab aaya.
jis ke noor se har soo ik naya shabab aaya.
🌹
Ilm darr pe Baqir ke leke aa gaya kashkoul.
ahl e fann ki dunya me ilm ka sahaab aaya.
🌹
Maghfirat talab kar le aake fitrus e afkaar.
aalam e karam me aaj bakhshisho'n ka baab aaya.
🌹
Jis ko mur'sal e aazam khud salam kehtey hai'n.
Fatima ke aa'ngan me esa khush khitaab aaya.
🌹
Ismato'n ki khushbu se mehka qalb GHAFIR ka.
gulshan e imamat me pa'nchwa'n gulaab aaya.
🌹

6
Sadiqali Bijani Navshad.

wariae ketaab aaya ibe booturaab aaya.
gulshane imaamat me paanchva gulaab aaya.

shamsh or qamar jisko dekhte hi keh uth'the.
fakhre maahtab aaya fakhre aaftaab aaya.

mohtaram hai kaabe se jis ke paaun ki mitti.
shaqle mustafa me voh fir naya shabaab aaya.

ilm ko zaeefi me mil gai javani yun.
jis tarah zulaikha ka laut kar shabaab aaya.

muh chhupa ke baytha tha dar se shaam ka hakim.
ju'n hi bar sare mimbar sahebe khitaab aaya.

is liye mere dil ko yeh baher nahi bhaati.
SHAAD mere maqte me aaj fir hobaaab aaya.

7
Janab Altaf Haidari Marufi sahab.

Panchwa'n Ali lekar aisa inqelab aaya

Noor lene geti tk chal ke aaftab aaya

Jehl ke andhero'n se Bu+lahab ye kahta tha

Abtari ke taano'n ka Aaj fir jawaab aaya

Jald jake ay jabir do payaame paigambar

Gulshan e imamat me panchwa'n gulab aaya

Markaze oloome haq chhod kar jo bhage the

Har nafas halaakat ka unpe izterab aaya

Fitrate yazeedaan e waqt ho gayi larza'n

Hausle ko jab mere sheh ka ham+rakaab  aaya

Jaise sangreze the abraha k lashkar pr

Daa'ishon pe bambaari ka hai yu'n Azab aaya

Qabr me farishto'n se kah raha tha yu'n Altaf

Main dayaare faani se kar k ijtenab aaya


8
Jsnab Hasan Utrolvi sahab.

Manzil e haqeqat pe ek haseen khwaab aaya
Jugnuo'n ki basti me banke aaftaab aaya...
Wadiye muwaddat m khush bohoot huey bhanurey...
Gulshan e imamat me pancha gulaab aya ..

9
Janab Anees Abr Sahab.

Chashm e Khaliq e kul ka banke intekhaab aya,
Aasmaan e ismat par firse aaftaab aya...

Abr isliye khushboo do jahaaN me faili hai,
Gulshan e Imamat ka Paanchwa Gulaab aya...

10
Janab Nazaa Jafri sahab.

مصرعہ طرح پر چند اشعار بطور اصلاح پیش خدمت ہیں __

مصطفےٰو حیدر (ع) کی لیکے آب و تاب آیا __
جو بھی اس گھرانے میں آیا لا جواب آیا __

فاطمہ (س ع ) کے آنگن میں آمد محمد ( ص) سے __
بندگی پہ عابد (ع) کی اور بھی شباب آیا __

سب کی جھولیاں بھر کر بولیں ثانئ زہرا (س ع )
علم حق کو پھیلانے معرفت کا باب آیا __

محل میں امامت کے کیوں نہ پھر چراغاں ہو __
گلشن امامت میں پانچواں گلاب آیا __

کرکے شکر کا سجدہ صبر فخر سے بولا __
مات کھائی ظالم نے ظلم پر عتاب آیا __

اپنے بھائی کی مجلس کرکے گھر میں قاتل کے __
بولیں ثانئ زہرا (س ع ) کیسا انقلاب آیا __

کربلا نجف اشرف مشہد مقدس کی __
جس نے کی زیارت وه ہوکے کامیاب آیا __

کیا امام باقر (ع) کی منقیبت کہی نازاں __
آج تیرے حصے میں اجر بے حساب آیا __

    نازاں جعفری اجمیری

mustufa o haidar ki leke Aab o tab aaya __
jo bhi is gharane me aaya la jawab aaya __

fatem s.w ke aangan me aamad e mohammad s.w se __
bandagi pe Abid a.s ki aur bhi shabab aaya __

sab ki jholiya.n bhar ke bolee.n saniye zehra s.a _ _
ilme huq ko phelane maarefat ka bab aaya __

mehal me imamat ke kun na phir charagha.n ho __
gulshane imamat me panchwa.n gulab aaya __
kar ke shukr ka sajda sabr fakhr se bola __
mat khayi zalim ne zulm per itab aaya __

apne bhai ki majlis karke ghar me qatil ke __
bolee.n saniye zehra s.a kaisa inqelab aaya __

karbala Najaf ashraf mash.hade muqaddas ki __
jis ne ki ziyarat wo hoke kamyab aaya __

kya imam e baqar a.s ki manqabat kahi Nazaa __
Aaj tere hisse me Ajr be hisab aaya __



11
Jamab Najaf Masoom Marufi Sahab.

Arsh se zamee'n par ek aisa  aaftab aaya
Ilm ki zeya lene jis se maahtab aaya

Banke ilm ka saaya chha gaya har ek janib
Darmiyan zulmat ke aisa ek sahaab aaya

Khum me ho gaya sabit sab ke hai'n Ali maula
Munkare welayat par arsh se azaab aaya

Dekhkar malak mera shaad ho gaye chehra
Qabr ke marahil me jab mera hesaab aaya

Misle fatahe khaibar leke ilm ki khushbu
Gulshane imamat me panchwa'n gulaab aaya



12
Janab Masoom Haidari Maroofi sahab

Arsh hai mosarrat me k falak janaab aaya

Aur zameen naza'n hai
Ibne bu-toraab aaya

Kyo na dam nikal jaye kufr ki khezao'n ka

Gulshane imamat me paanchawa'n gulab aaya

Aamade mohammad se kufr yu'n paresha'n hai
Jis tarah sawa naize par ho aaftaab aaya

Hon wo fitrus o rahib
Chaahe hazrate hur hon
In ke dar pe jo aaya hoke kaamiyab aaya

Mansabe imaamat par jisne shak kiya us par

Aasmaan se paththar surate azaab aaya

Naam jab mohammad
Ka lab pe aaya yusuf ke
Tab kahi'n zulaikha pe husn aur shabaab aaya

Shaan ilme baaqar ki kis tarah likhe koyi

Eek mas'ala puchha saikdo'n jawaab aaya

Sun lo ay jaha'n waalo kaun hai ye baghdaadi

Phir yazeed chehre pe daal kar naqaab aaya

Tazkera aseero'n ka chha gaya zamaane par
Kya kahi'n bhi aansu se aisa inqalaab aaya

Unke dar se ay MASOOM kaasa'e takhaiul me
Ilm ka khazaana mai leke be hisaab aaya



13. Janab Hassnain Maroofi Sahab

Gulshan e imamat me jab koyi gulaab aaya

Anjuman me kaanto,n ki aik izteraab aaya

Har sitam ke chehro,n ko noch lega  wo hasnain

Ilm apne seene me leke wo eqaab aaya




14. Janab Akmal Kopaganjvi Sahab

Gulshan.e imamat me pachwan gulab aya

Batne jahan ko ye ilm Be hisab aya

Karbala se zindan tak apne Bap ke hanrah

Zalimo ke chehre par dalne naqab aya
Akmal kopaganjavi


Wassalaam
-Anees Abr

2 comments:

  1. as salam walaikum mera naam Danialrizvi hai aur mein shair e aehlebait tu nahee keh sakta apney aap ko keun ke mein abhee ek student hoon aur bohat door hoon lakin thora bohat likhney ki koshish karta rehta hoon mujhay ek (Tarha ) mila hai Mola Ali a.s ki shaan mein JIs ka misra hai ( JO SHAAN NABI KI HAI WOHI SHAAN E ALI HAI ) Is mein qafia "SHAAN" hai mein ne kuch likhney ki koshish ki lakin tarha bohat mushkil hai agar aaap log meri hosla afzaai karain tu mein kuch likh sakoon ga. shukriya mera Gmail address hai please help me.mujhay yeh 15 april 2017 ko dena hai shukriya (danialrizvi40@gmail.com)

    ReplyDelete
  2. Sabhi ka ek ek sher lajawab hai.
    *Subhanallah*

    ReplyDelete