Thursday 21 April 2016

Tarhi Misra: HAMAARA REHNUMA HAI HAIDARE KARRAR SADYO'N SE. 21 April, 2016

Tarhi Misra: HAMAARA REHNUMA HAI HAIDARE KARRAR SADYO'N SE.

Misra By: Janab Sadiq Ali 'Naushad' Sahab

Tarikh: 21 April, 2016

1
Janab Anees Abr Sahab.

Masarrat konsi hai jiska hai izhaar sadiyoN se,
Kyu shaq hai khana e qaba teri deewaar sadiyoN se..

Rajab ki tervi ko keh utha Hyder(as) se ye qaba,
Me raahe tak raha tha aapki sarkaar sadiyoN se...

Sitam ke mukhtalif chehre huwe baiyat talab lekin,
Ham ehle karbala ka eyk hai inkaar sadiyoN se...

Bala ke dhasht me zaalim ne shaane kaat daale the,
Magar Abbas e Ghaazi hai alambardaar sadiyoN se.

Jo darya se bhi pyasa lout aaye, karbala ke baad,
Mila na khalq me aisa koi rehwaar sadiyoN se...

Khudaya inteqaam e karbala jaldi bapa karde,
Hai pyaasi Hyder e karraar ki talwaar sadiyoN se...

Tumhare eyk khutbe ka asar aisa huwa Zainab(sa),
Pada hai shaam me ujda huwa darbar sadiyoN se...

Sitam thak-haar ke pasti me jaakar gir pada lekin,
Misaal e Sheh(as) wahi hai Sabr ki raftaar sadiyoN se...

Hum unmese nahi hai 'Abr' jo rehbar badalte hai,
Hamare rehnuma hai Hyder e Karraar sadiyoN se...



2
Janab Zeeshan sahab.

🌹 Fiza me gunjati aawaaz ki takraar sadiyo'n se
Yaqinan momino ka hy Ali (a.s) sardar sadiyo'n se

🌹 Rahe sarsabz kyu'n na deen ka gulzar sadiyo'n se
Hifazat kar rahe hain Haidar e karrar (as) sadiyo'n se

🌹 Ali(a.s) ka tazkera karte nahi jo bhi muharram me
Guzarte waqt hy unke yu hi bekaar sadyo'n se

🌹 Khalifa ek do aur teen ka iqraar kaise ho
Meri teenat ko hy yeh ya Ali (a.s) inkaar sadyo'n se

🌹Meri naqis zubaa'n se, kya bayaa'n ho martaba unka
Ali(a.s) ki shaan me jo kahte hain ashaar sadyo'n se

🌹Wilayat se Ali(a.s) ki ho,  jinhe inkaar wo sun le
Unhi se kahti hy ahlan wa sahlan naar sadyo'n se

🌹Mila na dhond ne se peer koi, cheley ko lekin
Hamaara rehnuma hai haydar e qarrar sadyo'n se

🌹Koi kya hum ko dahshat gardi ki taleem de jaaye
Ali (a.s)  ke chahne wale to hain bedaar sadyo'n se

🌹Musalmano ke ghar me hy,  yeh barkat ke liye jab ke.
Uthate fayda qur'aan se agyaar sadyo'n se.

🌹Mai shaydayee Ali(a.s)  ka hoo,  Mujhe Zeeshan kahte hai.
Mere haatho rahi ban ke qalam talwaar sadyo'n se

3
Janab Sadiqali Bijani Navshad Sahab

1
Mulavvis hai ali ke bughz me aghyaar sadyo'n se.
Gulo'n se dushmani karte rahe hai khaar sadyo'n se.
2
Munafiq se hamaari hai yahi takraar sadyo'n se.
Hamaara rehnuna hai haidare karrar sadyo'n se.
3
Ali ke dushmano beshaq tumhare vaaste sunlo
Jahannam me dehakti aag hai tayyar sadyo'n se.
4
Maye hubbe ali ke ham to hai maykhaar sadyo'n se.
Jise peeti hai baytullah ki deevaar sadyo'n se.
5
Na bechenge kabhi ishqe ali ham maal ke badle.
Yeh kehte hai gulaame meesame tammar sadyo'n se.
6
Nabi ki god me aakar ali ne khol di aankhe.
Ke jiske muntazir the ehmade mukhtaar sadyo'n se.
7
Nahi rona hai bid'at deen me ay shykhji sunlo.
Gavaahi ke liye maujood hai ek ghaar sadyo'n se.
8
Dua Navshad ki hai ay imaame waqt ab aao.
Yaqeenan muntazir hai aap ke ansaar sadyo'n se.




4
Janab Najaf Masoom Marufi Sahab.

Hami'n to hai'n gulame misame tammar sadyo'n se
Ali ke ishq ka karte hai'n hum izhar sadyo'n se

Payambar hai'n hamare ahmade mukhtar sadyo'n se
Hamare rahnoma hai'n haidare karrar sadyo'n se

Adu ka khoon peene keliye betab kyu'n na ho
Rakhi hai ghaib me jo haidari talwar sadyo'n se

Mitane se na mit paya nisha'n maulode kaaba ka
Huyi hai is tarah shaq kaabe ke deewar sadyo'n se

Ghame sarwar ko bid'at isliye kahte hai'n ye mufti
Hamare andar bhi qoowate inkar sadyo'n se

Zabane'n kitni kato ge batawo ishqe Haidar me
Hamara bachcha bachcha rahta hai tayyar sadyo'n se

Fanoone shayeri sikha hai maine BAZME SHOARA se
Falak wale bhi padte hai'n mere ash'aar sadyo'n se

Mujhe chalna sikhaya maa ne mere ya ali kah ke
Ali ka wird hai mere liye hathyar sadyo'n se

NAJAF kis tarh jaye'nge bhala wah khuld ke andar
Ali ke bhughz ka karte hai'n jo inkaar sadyo'n se







5
Janab Hasan Utrolvi sahab.

hay jari matam e ibne shahe abrar sadiyon se....
Yazeedi koshishein hoti raho bekaar sadiyon se....
Hamari kya waqt hay jab ki adam a.s bhi ye kehtey hain....
Hamara rahnoma'n hay haider e karrar sadiyon se...




6
Maulana Raza Maroofi Sahab qibla.

Mitane me inhe'n mashghool hai'n aghyar sadyo'n se

Ali wale hai'n phir bhi bar sar e paikar sadyo'n se

Anadil gulsetano'n me gul e imra'n ki midhat me

Sunate Aarahe hai'n Aaj tak ashaar sadyo'n se

Tujhe dikhta nahi'n andha hai tu allah ke ghar ki

Ali ki madh khwa'n hai Aaj.tak deewar sadyo'n se

Salami is liye deti hai'n kashti ko meri maoje'n

Laga rakhkha hai tere nam ka patwar sadyo'n se

Daza dene ki khatir dushman e haidar ko dunya me

Chupi hai parda e ghaibat me ak talwar sadyo'n se

Ali e murtaza haidar ki paidaish ki barkat se

Khoda ka ghar bana hai matla e anwar sadyo'n se

Qata band

Jahannam me kisi.ne jake ye bujahl se pucha

Bhala keu'n Aap sahlate hai'n ye rukhsar sadyo'n se ?

Kaha bujahl ne us se na pucho aey mere peyare

Satata hai mujhe haidar ka wo ek war.sadyo'n se

Saqifai musla'n Aaj rahbar ko taraste hai'n

Hamara rahnuma hai.haidar e karrar sadyo'n se

Ali.ke ishq me jeena Ali.ke Ishq me marna

Moayyan hai bulandi ka yahi.meyar sadyo'n se

Raza jis ke bina mumkin nahi'n bakhshish qayamat me

Hame bakhshi hai haidar ne wahi dastar sadyo'n se

مٹانے میں انھیں مشغول ہیں اغیار صدیوں سے

علی والے ہیں پھر بھی برسرِ پیکار صدیوں سے

عنادل گلستانوں.میں گلِ عمراں کی.مدحت میں

سناتے آرہے ہیں آج تک اشعار صدیوں سے

تجھے دکھتا نہیں اندھا ہے تو اللہ کے گھر کی

علی کی مدح خواں ہے آج تک دیوار صدیوں سے

سلامی اس لئے دیتی ہیں کشتی کو مری موجیں

لگا رکھا ہے تیرے نام کا پتوار صدیوں سے

سزا دینے کی خاطر دشمن حیدر کو دنیا میں

چھپی ہے پردہ غیبت میں اک تلوار صدیوں سے

علی مرتضیٰ حیدر کی پیدائش کی برکت سے

خدا کا گھر بناہے مطلعِ انوار صدیوں سے

قطعہ بند

جہنم میں کسی نے جاکے یہ بو جہل سے پوچھا

بھلا کیوں آپ سہلاتے ہیں یہ رخسار صدیوں سے ؟

کہا بو جہل نے اس سے نہ پوچھو اے میرے پیارے

ستاتا ہے مجھے حیدر کا وہ اک وار صدیوں سے

سقیفائی مسلماں آج.رہبر کو ترستے ہیں

ہمارا رہنما ہے حیدر کرار صدیوں سے

علی کے عشق میں جینا علی.کے عشق میں مرنا

معین ہے بلندی کا یہی.معیار صدیوں سے

رضا جس کے بنا ممکن نہیں بخشش قیامت میں

ہمیں بخشی ہے حیدر نے وہی دستار صدیوں سے

Wassalaam,
-Anees Abr

No comments:

Post a Comment