Saturday 2 April 2016

Tarhi Misra: Kalaam E Shah E Ambiya Ka Tarjuma Batool(sa) hai..

Tarhi Misra: Kalaam E Shah E Ambiya Ka Tarjuma Batool(sa) hai..

Misra By: Janab Sadiq Ali Navshad Sahab.

Tarikh: April 2016


1. Janab Sadiq Ali Bijani sahab

barae aalmeen rahmate khuda batool hai.
zameeno aasmaano arsh ki bina batool hai.

khuda e azzo jal ke deen ki baka batool hai.
harek mushkilo'n me dee'n ka aasra batool hai.

sitaare'n aur chaand ko mile jaha'n se ravshni.
kitabe rab me noor ka voh silsila batool hai.

jukade aake anbiya saro'n ko apne jis jagah
zameen par voh baabe durre bebaha batool hai.

khuda khafa hai us se jis se bhi khafa batool hai.
kaho ke biz'ate janabe mustafa batool hai.

khadeeja aur mustafa ka aaina batool hai.
riza baraae qalbe shaahe dosara batool hai.

hai khaake paae murtaza dava harek marz ki.
magar ali ke marz ki bani dava batool hai.

imaame dosara hai haamile vahi e rab magar.
kalaame shaahe ambiya ka tarjuma batool hai.

mubaahele me tanha aurto'n me faatema gai.
nabi ki ahlebayt me faqat nisa batool hai.

khushi se SHAAD paar kar ke jaao tum bahisht me
pule seraat par tumhaari rehnuma batool hai..



2. Janan Altaf Haidari Maroofi Sahab

Zameen se bahisht tak ki sayyeda botool hai
Kaneeze laa makaan* binte mustafa* botool hai

Ali kalam e Rabbe zuljalaal ka hai Aa'ina
Kalam e shaahe ambiya ka tarjuma botool hai..




3. Maulana Ghafir Rizvi

🌹
Qalam raqam karega kya bhala ke kya Butool hai.
riyaz e khatm e ambiya ka zayecha Butool hai.
🌹
Dar e tasaw'wuraat pe safeer e dil ne di sada.
Mohab'bato'n ke dayre ki inteha Butool hai.
🌹
Naseem e sub'h e aafiyat chali hai kooey yaar me.
dayaar e dil me mojzan jagah jagah Butool hai.
🌹
Suroor e qalb e an'daleeb e baagh e ismati bani.
rumooz e marzi e khuda o ambiya Butool hai.
🌹
Kasafato'n se paak hai qasam khuda e paak ki.
Taharato'n ko fakhr esi tahera Butool hai.
🌹
Hisaar e in'nama yahi muraad e hal'ata yahi.
Haq ye hai rumooz e fouj e qul'kafaa Butool hai.
🌹
Yahi nabi ka qoul hai yahi aem'ma ka sukhan.
tuyoor e baagh e ismati ka aayena Butool hai.
🌹
Ye dukhtar e habeeb e rabb yahi hai maa Husain ki.
Zaban e ishq e kib'riya me Karbala Butool hai.
🌹
Defaa e haq me har sitam sahaa ha'nsi khushi ke sath.
Fezaa e ranj o gham me dee'n ka aasra Butool hai.
🌹
Hadees e biz'atun'nabi samajh me GHAFIR aa gayi.
kalam e shah e ambiya ka tarjema Butool hai.
🌹




4. Janab Mohammed Reza Maroofi Sahab

🌹Tamam rahbaran e haq ka rasta botool hai

Tsawwurat e Aadmi se mawara botool hai

🌹Nabi bataye'n ya ali bataye'n in ka martaba

Mowarrekhin keya baya'n karen ki keya botool hai

🌹Tamam khalq e kibriya kare na shukr keun ada

Tamam faiz e kibriya ka wasta botool hai.

🌹Mobahele ki dasta'n padhi to ye laga mujhe

Hai haq yahi ki fateh e mobahela botool hai

🌹Imam bhi sanwarte hain khud ko dekh kar jise

Qasam rasool e pak ki wo Aaina botool hai.

🌹Ajeeb ho gaya sama'n sabhi ali se phir gaye

Nabi ke bad bas ali ka Aasera botool hai

🌹Ye pucha jibraeel ne hai kaon markaz e kesa

To jibraeel se khida ne kah diya botool hai.

🌹Raza rasool e pak hain agar kalam e kibria

Kalam e shah e anbiya ka tarjuma botool hai.




5. Janab Masoom Haidari Maroofi

Qasam hai innama ki aisi taahera botool hai

Ali ki zaujiyat me rah ke faatema botool hai
🌺
Kahu'n na kyo rasool e haq ka aa'ina botool hai

Nabi ke naqshe pa pe tera naqshe paa batool hai
🌺
Zaba'n se kah diya lebaas aagya bahisht se

Teri reza me hi khuda ki bhi reza batool hai
🌺
Khada hai ehteraam me rasool kaynaat ka

Zamana faisala ye khud kare ke kya batool hai
🌺
Tumhara martaba koyi likhe to kis tarah likhe

Khuda ke tazkere me tera tazkera batool hai
🌺
Yahudi aurato'n se kalma e khuda padha liya

Nabi nahi hai par nabi ka aa'ina batool hai
🌺
Samajhni  hai nabi ki baat to inhe samajh lo tum

Kalaam e shaahe ambiya ka tarjuma batool hai
🌺
Qobool ho rahi hai jis ke waaste se har dua

Ai HAIDARI usi rasool ki dua batool hai

WassalaaM
-Anees Abr

No comments:

Post a Comment