Thursday 5 May 2016

Tarhi Misra: Rahega Hashr Tak Islam Par Imraan(as) Ka Saya

Tarhi Misra: Rahega Hashr Tak Islam Par Imraan(as) Ka Saya

Misra By: Janab Sadiq Ali Bijani Naushad sahab

Tarikh: 5 May 2016

1
Janab Hasnain Marufi Sahab.

hai baaqi jab mere sar par shah e zishaan ka saaya

Mai le kar keya karu,n ga phir kisi insaan ka saaya
🌹
Alam abba e ghaazi ka saja rakhha hai aangan me

Rahe ga hashr tak munh bolte quraan ka saaya
🌹
koyi aafat hume,n chho hi nahi sakti hai doniya ki

Humaar e sar pe hai kaonain ke sultaan ka saaya
🌹
jholas jaye ga deen e mustafa zulmat ke soraj se

Hata kar dekh lo shabbeer ke ahsaan ka saaya
🌹
sitam ki aandhiu,n me bhi heraasa,n ho nahi sakta

Dar e aale nabi se hai mila imaan ka saaya
🌹
nabi ki parwaris karwa ke khaaliq ne bataaya hai

Rahe ga hashr tak islaam par imraan ka saaya
🌹
Chali jaye na barkat ghar se mere rizq ki hasnain

Dua rab se ye karta hu,n rahe mehmaan ka saaya.







2
Mohtarma Syeda Mehak Raza Kazmi saheba.

جہاں والوں پہ جیسے ہے سدا رحمان کا سایہ
رہے گا حشر تک اسلام پر عمران کا سایہ

علی ع کو دوشِ احمد ص پر جو دیکھا تو لگا ہے یہ
کہ جیسے ہو کبھی قرآن پر قرآن کا سایہ

وہ تھا چھ ماہ کا لیکن شجاعت میں علی ع جیسا
تبھی تو جراتوں پر ہے اسی مہمان کا سایہ

ہیں جس جس کے نبی ص مولا ہے اس اس کا علی ع مولا
زمین و آسماں پر ہے اسی اعلان کا سایہ

کیا نابود تو نے ہی غرورِ فوجِ باطل کو
بتاتا ہے علی اصغر ع تیری مسکان کا سایہ

وہ ہو کر نور پھر بھی پیکرِ انساں میں آیا تھا
زمینِ کربلا پر ہے اسی انسان کا سایہ

یزیدی سازشوں کا سر، سرِ میداں کچل ڈالا
علی ع والوں پہ رہتا ہے یونہی یزدان کا سایہ

علی ع ہیں کل کے کل ایماں مہک میرا عقیدہ ہے
لحد میں ساتھ جاے گا میرے ایمان کا سایہ

Jahan walon py jesy hy sada Rehman ka saya
Rahy ga hashr tk Islam pr Imran ka saya

Ali a.s ko dosh e Ahmad pr jo dekha to lga hy ye
K jesy ho kbhi Quran pr Quran ka saya

Wo tha cheh(چھ) mah ka laikin shujaat Mai Ali jesa
Tabhi to jurato pr hy usi mehman ka saya

Hain jis jis k Nabi Mola hy us us ka Ali Mola
Zameen o aasma pr hy usi ailan ka saya

Kia nabood to NY hi gharoor e fouj e batil ko
Batata hy Ali asghar Teri muskan ka saya

Wo ho kr noor phir b paikar e insan Mai Aya tha
Zameen e karbala pr hy usi insan ka saya

Yazeedi sazishon ka Sar, Sar e medan kuchal dala
Ali a.s walon py rehta hy youhi yazdan ka saya

Ali a.s hain kul k kul emaan Mehak Mera aqeeda hy
Lehad Mai sath Jaye ga Mery Eman ka saya.





3
Maulana Shahid Jamal sahab.
🌹
ہو گر فکرِ رسا پر صاحب ایقان کا سایہ
خدا اس پر کرے گا چادرِ قرآن کا سایہ
🌹
ابوطالب کی الفت جس کے دل میں موجزن ہوگی
نہ ہوگا دور اس سے امن اور ایمان کا سایہ
🌹
جہاں علم و ادب کا تیرے اوپر ناز کرتا ہے
ادب والوں پہ اب بھی ہے ترے دیوان کا سایہ
🌹
اگر عمران کی زحمت کا ہو احساس امت کو
رہے گا دور اس سے تا ابد شیطان کا سایہ
🌹
ہے ان کی تربیت تاریخ کے دامن میں کچھ ایسی
رہے گا مومنوں پر تا ابد ایمان کا سایہ
🌹
سرِ دعوت پلائی اس طرح سے ڈانٹ دشمن کو
رہا باقی بہت ہی دیر تیری آن کا سایہ
🌹
نبی کی معرفت میں اس طرح سے زندگی گزری
رہا اسلام پر اس صاحب عرفان کا سایہ
🌹
بنی ہے نازشِ امت تری آغوش کی زینت
ہے دیں کے گلستاں پر آج بھی احسان کا سایہ
🌹
شب ہجرت علی کی جانثاری پر خدا بولا
قیامت تک رہے گا محسن و احسان کا سایہ
🌹
سرِ مقتل قیامت کا سماں ہے رو پڑے ظالم
کہ چھایا اس طرح اصغر تری مسکان کا سایہ
🌹
زمینِ کربلا پر خون کی لالی یہ کہہ اٹھی
رہے گا حشر تک اسلام پر عمران کا سایہ
🌹
نجف اک درد ہے دل میں خدا سے التجا یہ ہے
جہاں میں ہو دو بالا وارثِ قرآن کا سایہ






4
Janab Hasanraza Hafiz Sahab

کبهی حیدر کبهی کونین کے سلطان کا سایہ
رہے مجه پر ہمیشہ بولتے قرآن کا سایہ

خدا کو اسکا ہمسایہ کوئ کیسے گوارا ہو
کہ جب رکها نہیں اس نے شہ ذیشان کا سایہ

چمن کی ہر کلی کو مسکرانا آگیا اصغر
فقط ان پر پڑا ہے اک تری مسکان کا سایہ

جری خیمے سے جب نکلا یزیدی سارے لشکر کو
نظر آنے لگا صفین کے میدان کا سایہ

سجا رکها ہے میں نے حضرت عباس کا پرچم
مرے گهر آ نہیں سکتا کسی شیطان کا سایہ

ابوطالب کے دشمن سے کہو وہ چهوڑدے اسلام
رہیگا حشر تک اسلام پر عمران کا سایہ

جہاں میں کل ایماں سے محبت جو نہیں کرتے
بہت ہی دور ہے ان سے رضا ایمان کا سایہ







5
Maulana Ghafir Rizvi Sahab.

Na ho ash'aar par kyo'n lulu o marjan ka saya
hai meri fikr par Imran ke deewan ka saya
🌹
Sawar e markab e qirtas e mid'hat hai qalam mera.
Sar e maidan e mid'hat dekh kar Has'san ka saya.
🌹
Tumhari goud me eima'n ki jo kilkariya'n goo'nji'n.
ata kar do ghulamo'n ko usi eiman ka saya.
🌹
Teri ungli pakad ke chalna seekha hai shari'at ne.
Na toone deen par padne diya shaitan ka saya.
🌹
Qasam Allah ki ye ik fazilat sab pe bhaari hai.
Bani hai zaat teri boulte qur'aan ka saya.
🌹
Wo kehte hai'n ke kafir tha magar eiman ko pala.
khuda! In ahmaqo'n ko de de budh'dhi maan ka saya.
🌹
Zahey qismat me esi khaak ka surma lagau'nga.
Pade jia khak ke zar'rat par Salman ka saya.
🌹
Abutalib! Mubarak, tum to palan'haar ho us ke.
ke jis ke saye ki khahish me ho qur'aan ka saya.
🌹
Ajab andaz se pala hai Abdullah ke betey ko.
Tumhare saye ko rabb ne kaha Rehmaan ka saya.
🌹
Sitam ki dhoop se khatra nahi koeiy ise GHAFIR.
rahe ga hashr tak islam par Imran ka saya.

نہ ہو اشعار پر کیوں لولؤو مرجان کا سایہ
ہے میری فکر پر عمران کے دیوان کا سایہ
🌹
سوارِ مَرکَبِ قِرطاسِ مدحت ہے قلم میرا
سرِ میدانِ مدحت دیکھ کر حسّان کا سایہ
🌹
تمھاری گود میں ایماں کی جو کلکاریان گونجیں
عطا کردو غلاموں کو اسی ایمان کا سایہ
🌹
تری انگلی پکڑ کے چلنا سیکھا ہے شریعت نے
نہ تونے دین پر پڑنے دیا شیطان کا سایہ
🌹
قسم اللہ کی یہ اک فضیلت سب پہ بھاری ہے
بنی ہے ذات تیری بولتے قرآن کا سایہ
🌹
وہ کہتے ہیں کہ کافر  تھا، مگر ایمان کو پالا!؟
خدا! ان احمقوں کو دے دے بُدّھی مان کا سایہ
🌹
زہے قسمت میں ایسی خاک کا سرمہ لگاؤنگا
پڑے جس خاک کے ذرّات پر سلمان کا سایہ
🌹
ابوطالب مبارک! تم تو پالنھار ہو اس کے
کہ جس کے سائے کی خواہش میں ہو قرآن کا سایہ
🌹
عجب انداز سے پالا ہے عبداللہ کے بیٹے کو
تمہارے سائے کو رب کہتا ہے رحمان کا سایہ
🌹
ستم کی دھوپ سے خطرہ نہیں کوئی اسے غافر
رہے گا حشر تک اسلام پر عمران کا ساىه






6
Maulana Mohammad Raza Maroofi sahab.

Mere ashaar par hai is liye irfan ka saya

Meri fikr e rasa par hai sada quraan ka saya

Likha karte hain ham na'at e payambar is liye achchi

Hai apni fikr par imra'n tere diwan ka saya

Gadaye mustafa ne mere sar par hath phera hai

Nahi'n bhata mere sar ko kisi sultan ka saya

Jise padhna na Aata ho batao aisi dulhan par

Hai koi fayeda karde'n agar quraan ka saya

Abu talib ko kafir kah raha hai be haya mufti

Yaqinan hai tere ausan par shaitan ka saya

Yaqinan dam nikal jaye ga amika ka dahshat se

Agar dekhe ga shamsheer e bin e imran ka saya

Sana e lulu o marjan karta hai jo dunya me

Rahe ga us bashar par sura e rahman ka saya

Abutalib mere iman ki takmik ho jaye

Ise hasil jo ho jaye tere iman ka saya

Nabi ke jism.ko saya na dekar ye kaha rab ne

Ali e murtaza hai'n ahmad e zeeshan ka saya

Wo khud ko keun milate hain abutalib ke bete se

Kabhi na pa sake jo bizar o salman ka saya

Raza bas eik jumle me sameto apni bato'n ko

Rahe ga hashr tak islam par imran ka saya

مرے اشعار پر ہے اس لئے عرفان کا سایہ

مری فکر رسا پر ہے سدا قرآن کا سایہ

لکھا کرتے ہیں ہم نعت پیمبر اس لئے اچھی

ہے اپنی فکر پر عمراں ترے دیوان کا سایہ

گدائے مصطفیٰ نے میرے سر پر ہاتھ پھیرا ہے

نہیں بھاتا مرے سر کو کسی سلطان کا سایہ

جسے پڑھنا نہ آتاہو بتاؤ ایسی دلہن پر

ہے کوئی فائدہ کردیں اگر قرآن کا سایہ ؟

ابوطالب کو کافر کہہ رہا ہے بے حیا مفتی

یقیناً ہے ترے اوسان پر شیطان کا سایہ

یقناً دم نکل جائے گا امریکہ کا دہشت سے

اگر دیکھے گا شمشیرِ بنِ عمران کا سایہ

ثنائے لولو و مرجان کرتا ہے جو دنیا میں

رہے گا اس بشر پر سورہ رحمان کا سایہ

ابو طالب مرے ایمان کی تکمیل ہو جائے

اسے حاصل جو ہوجائے ترے ایمان کا سایہ

نبی کے جسم کو سایہ نہ دے کر یہ.کہا رب نے

علی مرتضیٰ ہیں احمد ذیشان کا سایہ

وہ خود کو کیوں ملاتے ہیں ابو طالب کے بیٹے سے

کبھی نہ چھو سکے جو بوذر و سلمان کا سایہ

رضا بس ایک جملے میں سمیٹواپنی باتوں کو

رہے گا حشر تک اسلام پر عمران کا سایہ





7
Janab Masoom Najaf Maroofi sahab.

Nahi'n hai sar pe jinke warse qur'aan ka saaya
Raha karta hai unpe waqt ke shaitaan ka saaya

Ali wale bhala kyu'nkar jhuke'nge zulm ke aage
Bana rahta hai unpe boozaro salman ka saaya

Na jane kaun sa andaz tha asghar ke hansane ka
Na sah paye adu asghar teri muskaan ka saaya

Palat aati zulekha ki jawani phir se ai logo'n
Jo pad jata hamare aakhari sultan ka saaya

Lahu de de ke si'nchi hai khuda ke deen ki kheti
Rahega hashr tak islaam par imraan ka saaya

Agar na ho yaqee'n to dekh lo hijrat ki shab aakar
Mohammad par kiya imra'n ne apni jaan ka saaya

Abutalib ki midhat me likhe ash'aar jab maine
Farishto'n ne kiya sar pe mere rahman ka saaya

Dua hai kibriya se ye NAJAF meri namazo'n me
Rahe ham pe abutalib teri santaan ka saaya







8
Janab Zeeshan Azmi sahab.

Muhammad par hamesha se raha imran ka saya
Khuda jaane abu talib tere imaan ka saya

🌹2. Yateeme me nabi ki parwarish kuchh is tarah ki hai.
Abu talib ka saya jaise ho yazdaan ka saya

🌹3. Saja do kaabe ki deewar ko mahmaa'n nawazi me
Abutalib ke ghar me aa gaya mahman ka saya

🌹4. Abu talib ke bismillah par dunya na hyrat kar
Bahut pahle se un ke ghar me hy quraan ka saya

🌹5. Nahi qur'aan ki hoti tilaavat jiske ghar me bhi.
Hai us ghar ki daro deevaar par shaytaan ka saaya

🌹6. Karega qatl kya koyee, munafiq ya ke mushrik ho
Ali ke saath me hy saaheb e qurban ka saya

🌹7. Raha shebe abu talib me bhi roshan tera imaa'n
Sabhi ke wasate tu ban ke tha faizaan ka saya

🌹8. Khuda ka hukm hijrat ke liye tab aa gaya fauran
Jaha se uth gaya jab paikar e paimaan ka saya

🌹9. Waliy e gulshan e dee'n ne shajar barah diye hum ko
Rahega hashr tak islaam par imran ka saya

🌹10. Tabarruk bant tey hy isliye mahe muharram me
Zahan me hy khadija ke namak aur naan ka saya

🌹11. Khuda se ilteja itni hai yeh zeeshan ki aakhir
Rahe maa baap ka saya rahe rahman ka saya







9
Sadiqali Bijani Navshad.

Mita dete sitamgar dehr se iraan ka saaya.
Agar us par na hota vaarise imraan ka saaya.

Sune woh shakhs jo ban kar raha shaytaan ka saaya.
Raha hai door ismat se sada hizyaan ka saaya.

Saqeefa vaalo dhoondho tum abusufyaan ka ssaya.
Mayassar hai hame aale aba ki shaan ka saaya.

Nabi par tha sada misle zirah imraan ka saaya.
Ke jaise hota hai qur'aan par juzdaan ka saaya

Kiya jab hur ne haasil lolao marjaan ka saaya.
Mila roomaale binte ehmade zeeshaan ka saaya.

Nazar aa jaaega ghar se tere rizwan ka saaya.
Ke hai jannat abutaalib tere dalaan ka saaya.

Madad haydar na karte gar sada lawlaak ki sunkar.
Duba deta* hokoomat kufr ke toofaan ka saaya.

Mohaafiz deen ka ghaybat me uska laal hai ab tak
Rahega hashr tak islaam pe imraan ka saaya.

Tadapte the tapish me pyaas se sarwar tahe khanjar.
Huva tab shaah par ek baawafa haywaan ka saaya.

Dile navshad me baaqi nahi hai khuld ki hasrat.
Mila usko abutaalib tere aywaan ka saaya.




10
Janab Masoom Haidari Maroofi sahab.

Hai jab tak sar pe us zaat e azeemushshaan ka saya

Qareeb aahi nahi sakta kisi toofan saya
🌺
Mohammad mustafa imraan ki hain sarparasti me

Ya ye kahiye k hai quraan pe quraan ka saya
🌺
Sanae mustafa me kaash mera bhi qalam utthe

Agar pad jae mujh pe buzar o salmaan ka saya
🌺
Nabi ke jaisa koi bhi nahi hai dahr me lekin

Ali ki zaat hai kaunain ke sultaan ka saya
🌺
Yehi'n pe palti badhti hai nabuwat bhi amamat bhi

Jena'n se badh ke hai imraan ke dalaan ka saya
🌺
Musalma'n dar badar ho hi nahi sakta tha duniya me

Agar tasleem karta khum ke us elaan ka saya
🌺
Padhenge log roz e hashr bhi kalma mohammad ka

Rahega hashr tak islaam pe imraan ka saya
🌺
Najaf* karbobala* mashhad* madina ho k kaba ho

Har ak ja hai abu talib tere imaan ka saya
🌺
Eram ho khuld ho firdaus ho tasnim o kausar ho

Jaha'n jaoge* paoge meri pahchaan ka saya
🌺
Mohammad ki zeyarat pe zanan e misr kya karti'n

Qayamat jab kiye hai yoosuf e kin'aan ka saya
🌺
Musalmano'n pe duniya me sitam ho hi nahi sakte

Rahega jab talak iran aur labnaan ka saya
🌺
Qayamat tak koi ab humula paida nahi hoga

Sitam ki maut hai MASOOM ki muskaan ka saya






11
Janab Ahmed Abbas sahab.

Kabhi meesam kabhi buzar kabhi salmaan ka saya
Azadaro pe hai qonain ke sultaan ka saya

: Namaze mit gai hoti magar ehsaan hai uska
Agar hota na akbar ki aza'n ki shaan ka saya

Sada ati hai ye karbobala ke zarre zarre se
Rahega hashr tak islaam par imraan ka saya

Payambar ne ali ko jab liya aghosh me apni
Laga jyse k ho quraan pe quraan ka saya

Fidak ke ghasibo'n se kaise ho imaan ki ummid
Ke jis par ho sada har ek be imaan ka saya

Shahaadat nimr ko dekar kiya hai usne ye sabit

Saudi pr  aye ahmad hai abu sufiyan ka saya





12
Janab Altaf Haidari Maroofi sahab.

🌹Agar pahocha Payamabar tak Abu Sufiyan ka saya,

Fana kar denge BUTAALIB abhi Marwan ka saya.

🌹 Jinho ne aaj tak dekha nahi Shaitan ka saya,

Wo jaakar dekh le'n Bakr o Umar Usman ka saya.

🌹 Likha hai ghar ke darwaze pe Ahmad aur Abutalib,

Qareeb ab aa nahi sakta hai be iman ka saya.

🌹 TAZMEEN🌹
Kabhi Haidar ki soorat me* kabhi Mahdi ki surat me,

Rahega hashr tak islam par Imran ka saya.

🌹Zulaikha* ungliya'n to door* gardan pesh kar degi,

Agar wo dekh le soghra ke bhai jaan ka saya.

🌹yaha'n pr fakhre mursal* kul wafa* aur kulle ima'n hain,

Hai kitna mohtaram imran ke dalaan ka saya.

🌹Khushi se chaudahvi'n ke chaand ko mai dekh leta hun,

Jo dil karta hai dekhun Faatema ki naan ka saya.

🌹 Ali e Murtaza soye hain shamshiro'n ke saye me,

Qayamat hai* Abutalib ke itminaan ka saya.

🌹 Kahun na aql ke andhe unhe to aur kya bolun

Nabi me dekhte hain log bhai jaan ka saya

🌹Shabe mearaj hai shahid hai*  Payambar ne bhi dekha hai

Ali ki zat me simta hua rahman ka saya

🌹 Baya'n Altaf karte ho magar dawa hai ye mera

Dikha sakte nahi tum bolte Qur'aan ka saya




13
Janab Anees Abr sahab.

JahaN pohcha nahi ab tak kisi insaan ka saya,
WahaN par hai Abu Talib(as) tere imaan ka saya...

Ba shaql e Muntaqim e Karbala, tum dekhna logoN,
Rahega Hashr tak islaam par Imraan ka saya...

1 comment:

  1. Jazakallah Jazakallah

    Moula Salamat Rakhe Madhe Moula Karne Walo Ko

    ReplyDelete