Friday 6 May 2016

Tarhi Misra: Rota hai Zehra(sa) ka Gharana Dekhke Lasha Kazim(as) ka

Tarhi Misra: Rota hai Zehra(sa) ka Gharana Dekhke Lasha Kazim(as) ka

Misra By: Janab Altaf Maroofi Sahab

Tarikh: 30 April 2016


1
Sadiqali Bijani Navdhad.

Khuld se aayi maatam karne binte khadeeja kazim ka.

Rota hai zehra ka gharaana dekh ke laasha kazim ka.

Zehre dagha se paai hai Navshad shahaadat zinda'n me.

Haaye pule baghdaad pe hai be gor janaaza kazim ka.






2
Maulana Raza Maroofi Sahab.

Kaise baya'n ho zahr e dagha ke bad tadapna kazim.ka

Dekh ke jis ko naoha kuna'n hai sara kharana kazim ka

Bad e shahadat bhi maola ka jism na ho paya Aazad

Zanjeero'n me jakda hua rakhkha hai janaza kazim ka

Mash'had me kohram bapa hai qum ki feza me matam hai

Hota hai.mahsoos ki koi.padhta hai naoha kazim ka

Phir ujda haidar ka gulista'n Aal e mohammad sog me hai

Shaaq raza islam pe hai sansar se jana kazim ka .

کیسے بیاں ہو زہرِ دغا کے بعد تڑپنا کاظم کا

دیکھ کے جس کو نوحہ کناں ہے سا را گھرانہ کاظم کا

بعد شہادت بھی مولا کا جسم نہ ہو پایا آزاد

زنجیروں میں جکڑا ہوا رکھا ہے جنازہ کاظم کا

مشہد میں کہرام بپا ہے قم کی فضا میں ماتم ہے

ہوتا ہے محسوس کہ کوئی پڑھتا ہے نوحہ کاظم کا

پھر اجڑا حیدر کاگلستاں آل محمد سوگ میں ہیں

شاق رضا اسلام پہ ہے سنسار سے جانا کاظم کا

جسم مطھَّر پُل سے اٹھا کر چاہنے والے لائے ہیں

روتا ہے زہرا کا گھرانہ دیکھ کے لاشہ کاظم کا.








3
Janab Altaf Haidari Maroofi sahab.

Qaid e sitam hai* zulm bahot hai* ghar bhi hai chhoota kazim ka

Zahre dagha se chhalni chhalni ho gaya seena Kazim ka

Hawwa* saara* Aasiya* maryam* dene tasalli Aayi hain

Rota hai zahra ka gharana dekh ke lasha Kazim ka








4
Janab Sharif Rizvi Sahab

Jinno Malak har ek bashar hai sog manata kazim ka

Uth gaya haaye sar se Reza ke dekh lo saya kazim ka

Karbobala ka gham tha kaafi tune kya haroon kiya

Rota hai Zahra ka gharana dekh ke laasha  kazim ka.









5
Janab Masoom Najaf Maroofi

Zahre dagha se payi shahadat qaid me aada ki ai NAJAF
Sog manata hai ab bhi jannat me kunba Kazim ka

Misle hasan jab tukre tukte ho ke janaza ghar aaya
Rota hai zahra ka gharana dekhke laasha Kazim ka



6
Janab Zeeshan Azmi sahab.

Zehre dagha se Mara hy dushman ne mere maula ko
Rota  hai zahra ka gharana dekh ke laasha kazim ka

Yaade shahaadat Aati hy jab mujko maula kazim ki
Likhta hy zeeshan laho ke ashk se Noha kazim ka.

Wassalaam,
-Anees Abr

No comments:

Post a Comment