Saturday 28 May 2016

Tarhi Misra: Gul Hoti Huwi Sham'e Tamanna Ko Jila De

Tarhi Misra: Gul Hoti Huwi Sham'e Tamanna Ko Jila De

Misra By: Janab Maulana Ghafir Rizvi sahab

Tarikh: May 2016

1.
Janab Anees Abr Sahab

Ae matla e anwaar e jali wasl ki jaa de,
Ae yusuf e zahra zara parde ko hata de...

Mujhko bhi sharaf de de ziyarat ka ae maula,
AankhoN ko meri noor ka deedaar kara de...

SadiyoN se kate hath talabgaar hain maula,
Abbas e alamdaar(as) ko ab izn e wiga de..

Tu Hydar e Karraar(as) ka pota hai to haq hai,
Ab teghe yadullaah se zulmat ko mita de...

Zehra(sa) ki tamannao ke sooraj tu ubhar kar,
Har zulmat e shab aalam e imkaaN se hata de...

Is shehr e tilismaat me dam gootne laga hai,
Ae fakhr e kaleem aake har ek sihr mita de...

AshqoN ki ye saugaat hai ab iske alawa,
Muflis tera aashiq hai ae maula tujhe kya de...

Har taar e nafas mera charagh e sahari hai,
Gul hoti huwi sham'e  taman'na ko jila de...

Har dar se juda hoke tere darpe khada huN,
Is Abr ke haanthoN me tu kashkol thama de..

2.
Maulana Ghafir Rizvi Sahab

🌺
Sarchashma e anwaar e khuda parda utha dey.
Barso'n se tadapta hu'n zara chehra dikha dey.
🌺
Kuch ese takhay'yul pe matalib ki ho rimjhim.
koozey me qalam poorey samandar ko sama dey.
🌺
Meykhana e deedaar e wilayat me pada hu'n.
chilman ko hata, sharbat e deedaar pila dey.
🌺
Meri to anaa teri hi yaado'n me hui gum.
me khud ko kaha'n dhoo'n doo'n faqat itna bata dey.
🌺
Mizraab e jigar souz pe naalo'n ka hai aahang.
Mar'ham tu zara qalb e shikasta pe laga dey.
🌺
Islaam ke khalyaan pe aolo'n ki hai baarish.
Zahra ke qamar! Kaali ghataao'n ko hata dey.
🌺
Chidkaau me askho'n se karu'n palke'n bicha du'n.
Jibreel e amee'n jab tere aane ki sada dey.
🌺
Keene me bhi ikhlaas, adavat me bhi ulfat.
kuch ese fazael se mere dil ko saja dey.
🌺
Maf'hoom e aqidat hai ye qamoos e adab me.
Gumraho'n ke hatho'n me hidayat ka diya dey.
🌺
GHAFIR ke har ik taar e nafas ki ye sada hai.
Gul hoti hui sham'e taman'na ko jila dey.
🌺
🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷

🌺
سرچشمۂ انوارِ خدا پردہ اٹھا دے
برسوں سے تڑپتا ہوں ذرا چہرہ دکھا دے
🌺
کچھ ایسے تخیّل پہ مطالب کی ہو رِم جِھم
کوزہ میں قلم پورے سمندر کو سمادے
🌺
میخانۂ دیدارِ ولایت میں پڑا ہوں
چلمن کو ہٹا، شربتِ دیدار پلا دے
🌺
میری تو اَنَا تیری ہی یادوں میں ہوئی گم
میں خود کو کہاں ڈھونڈوں فقط اتنا بتا دے
🌺
مِضرابِ جگرسوز پہ نالوں کا ہے آہنگ
مرہم تو ذرا قلبِ شکستہ پہ لگا دے
🌺
اسلام کے کھلیان پہ اولوں کی ہے بارش
زہرا کے قمر! کالی گھٹاؤں کو ہٹا دے
🌺
چھڑکاؤ میں اشکوں سے کروں پلکیں بچھادوں
جبریلِ امیں جب ترے آنے کی صدا دے
🌺
کینے میں بھی اخلاص، عداوت میں بھی الفت
کچھ ایسے فضائل سے مرے دل کو سجا دے
🌺
مفہومِ عقیدت ہے یہ قاموسِ ادب میں
گمراہوں کے ہاتھوں میں ہدایت کا دِیا دے
🌺
غافر کے ہر اک تارِ نَفَس کی یہ صدا ہے
گل ہوتی ہوئی شمعِ تمنّا کو جِلا دے
🌺

3.
Janab Aijaz Rizvi Sahab

1.
SOYE HUE JIBREELE TAFAKKUR KO JAGA DE
MABOOD MERI FIKRE RASA AUR BADHA DE...

2.

QIRTAS O QALAM HATH ME KUCH AISE THAMA DE
MAIDAN ME MIDHAT KE QADAM MERE JAMA DE    ..

3
AANKHO ME MERI AATISHE SAYYAL HAI ROSHAN
YE ZULM KI BASTI KO AGAR CHAHE JALA DE...

4.
AABID NE BATAYA HAI YE MEYARE SADAQAT
QAIDI HO PA KHUTBO SE HI DARBAR HILA DE..

5.
HAM ZULMO SITAM SEHTE HAI 1400 BARAS SE
ZALIM KABHI KAR SAKTA NAHI PAST IRAA'DE.

6.
JESA KE PAYAMBAR KO SAKINA KO DIYA THA
ALLAH DUA HAI HAME'N AISA HI CHACHA DE...

7.
FARIYAD KI MANZIL ME HAI'N BULBUL KE QASEEDEY
AI SARVE CHAMAN JALWAYE PURNOOR DIKHA DE...

8.
KYU'N JALTI HUI RET PA CHHODA HAI JANAZA

AI QATILE SAYYAAD SABAB ISKA BATA DE...

9..
AIJAZ HAI YE KHAKE KAFE PAAYE ALI KA
NABEENA JO AANKHO SE LAGA LE TO SHIFA DE........

     TAZMEEN....
TOOFANE BALA KHEZ BUJHA DE NA KAHI'N AB
GUL HOTI HUI SAM'E TAMANNA KO JILA DE.......

4.
Janab Zeeshan Azmi Sahab

🌹1. Insaan ki fitrat ko  yu shaitaan hawa de
Har sarkash e islaam ko jeene ka maza de

🌹2. T.V se Mobile se inhe waqt kaha hy
Bachcho ko khuda aisi balao se bacha de

🌹3. Asha'ar-e-aqeedat ko raqam karne se pahle
Quran se ay sheikh aqeede ko saja de

🌹4. Ek baap pe wazib hy ke bete ko bitha kar
Qaim(as) ke bataye huwe aqwaal padha de

🌹5. Murtad huwe jate hy har ek qaum ke baasi
Ab mere khuda lashkare mehdi ko bana de

🌹6. Jo log samajhta hy hidayat pe hami hy
Quran ke waris unhe quraan suna de

🌹7. Emaa'n nazar aata nahi dunya me kahi par
Nazro ko meri jalwa e emaan dekha de

🌹8. Salwaat ki aawaz uthe jashn me aise
Soyee huwe Momin ka muqaddar jo jaga de

🌹9. Kar khatm ye duniya ke masael to bahut hain
Ab thoda bahut shaan me mehdi ke suna de

🌹10. Allah hame aaj duaoo'n ka sila de
Ab parday e gaibat ko zamane se hata de

🌹11. Ab jalwa e mahdi hame Allaah dekha de
Gul hoti hui sham e tamanna ko jila de

🌹12. Narjis ke gulistaa'n me gulab aisa khila hy
Chubhte huwe kaanto'n ko jo gulzar bana  de

🌹13. Hy aaj wiladat mere maula ki jaha me
Ay saqi mujhe jaam e wila aa ke pila de

🌹14. Aamaal agar neema e shaban me karle
Aamil ko amal kiyo na ibadat ka maza de

🌹15. Gaibat me imamat ka karam aise hy jaise
Duniya ko pas e abr bhi khurshid ziya de

🌹16. Mil jaye agar izne khuda mahdiye dee'n ko
Zalim ke har ek zulm ki bunyaad hila de

🌹17. Mauood agar ghaiz me aa jaye khuda ka
Har dushman e islam ki hasti ko mita de

🌹18. Ay ibne hasan askari talwaar utha kar
Zalim ki banayee huwee sarkaar gira de

🌹19. Muddat se tamanna ye mere dil me rahi hy
Mahdi ka ay Allah tu deedar kara de

🌹20. Zeeshan ne Qaim(as) ka qasida jo likha hy
Har sher pe mabood use khoob jaza de

5.
Mohtarma Mehak Raza Sahiba

اے ربِ جہاں پردہ غیبت کو اٹھا دے
ان آنکھوں کو مہدی ع کا تُو دیدار کرا دے

غیبت کے مکیں روک دے مایوس ہوا کو
گُل ہوتی ہوئ شمعِ تمنا کو جِلا دے

جسطرح سے شبیر ع نے راہب کی بنائ
اے بارھویں حیدر ع میری تقدیر بنا دے

باطل کو غرور آنے لگا ظلم پہ مولا ع
تو ظلم و ستم آن کے دنیا سے مٹا دے

ہو دل کو تیرے ہجر کا احساس اے مولا ع
ملنے کی تڑپ دل میں مرے اور بڑھا دے

آنکھوں کو تیری دید کی حسرت ہے بہت ہی
اب میری نگاہوں سے تو پردے کو ہٹا دے

دل کہتا ہے قدموں میں رہوں تیرے اے مولا ع
تو کون سی وادی میں ہے مجھکو بھی بتا دے

دنیائے شر انگیز میں اے ہادئ برحق
مومن کی ہر اک سانس کو تو اذنِ بقا دے

اشعار مہک دل سے یوں تحریر ہوں تیرے
خود تیرا قلم صبح و مسا تجھ کو دعا دے

6. Janab Mohammad  Reza Maroofi Sahab

1. Aei nazish e dunya e adab fikr e rasa de

Hamdam mera khud khama e midhat ko bana de

2. Misam ke saliqe ne bataya hai ye ham ko

Ho dar pe gar midhat e haidar to maza de

3. Ek banda e Aasi ki ye tahrir hai maula

Chahe to ise nama e maqbool bana de

4. Aei bulbul e sidra mere ghar Aaye hain.maula

Ek naghma e khush lahn zara Aake suna de

5. Dunya ke tabibo'n ne nazar pher li mujh se

Ab Aake mujhe dard e mohabbat ki dawa de

6. Peyasi nazar Aati hai'n ghulamo'n ki nigahe'n

Khud Aake inhe'n sharbat e didar pila de

7. Ham hijr ke ayyam bhala kaise guzare'n

Ham chahne walo'n ko faqat etna bata de.

8. Ho jaye na dil.me kahi'n zulmat ka basera

Gul hoti hui sham e tamanna ko jela de

9. Jin logo'n ne darwaza e zahra ko jalaya

Khud apne hi hatho'n se unhe'n Aake saza de

10. Ab aisa koi paikar e akhlaq kahan hai

Jo galiya'n sun kar bhi mokhalif ko dua de

11. Bas aiek nazar kar ke meri fikr pe maula

Ashaar ko mere abad Aasar bana de

12. Bas aiek hi khwahish hai zamane me raza ki

Ab ghaib se Aane ka unhe'n izn khoda de.

اے نازش دنیائے ادب فکر رسا دے

ہمدم میرا خود خامہ مدحت کو بنادے

اک بندہ عاصی کی یہ تحریر ہے مولا

چاہے تو اسے نامہ مقبول بنادے

میثم کے سلیقے نے بتایا ہے یہ ہم کو

ہو دار پہ گر مدحت حیدر تو مزہ دے

اے بلبل سدرا مرے گھر آئے ہیں مولا

اک نغمہ خوش لحن ذرا آکے سنادے

دنیا کے طبیبوں نے نظر پھیر لی مجھ سے

خود آکے مجھے درد محبت کی دوا دے

پیاسی نظر آتی ہیں غلاموں کی نگاہیں

اب آکے انھیں شربت دیدار پلا دے

ہم ہجر کے ایام بھلا کیسے گزاریں

ہم چاہنے والوں کو فقط اتنا بتادے

جن لوگوں نے دروازہ زہرا کو جلایا

خود اپنے ہی ہاتھوں سے انھیں آکے سزا دے

ہوجائے نہ دل میں کہیں ظلمت کا بسیرا

گل ہوتی ہوئی شمع تمنا کو جِلا دے

اب ایسا کوئی پیکر اخلاق کہاں ہے

جو گالیاں سن کر بھی مخالف کو دعا دے

بس ایک نظر کرکے میری فکر پہ مولا

اشعار کو میرے ابد آثار بنا دے

بس ایک ہی خواہش ہے زمانے میں رضا کی

اب غیب سے آنے کا انھیں اذن خدا دے

7.
Janab Masoom Najaf Maroofi Sahab

🌹Allah mere mujhko wahi raah dekha de
Jo raah mujhe aakhari rahbar ka pata de

🌹Sar phir se uthate haiN jahaN bhar me sitamgar
Ai rab mere maula ko bahut jald bula de

🌹issa bhi kareN rab ki ibaadat tere pichhe
Paani ki rawani pe musalle ko bichha de

🌹Maula mere mehdi mere rahbar mere Haidar
Dunya se nishaN zulmo mazalim ka mita de

🌹BarsoN se tarapti haiN teri deed ko aankheN
Ek baar hi deedar zara apna kara de

🌹Pahne huye nalain chala jaye suye arsh
Parwan jise mohsine islaam chara de

🌹Dekha na zamane me koi aisa bhi bachcha
Jo haNs ke sitamgaar ko maidaN me rula de

🌹Allah ki marzi ke ali ho gaye hamil
Ek raat ke sone pe khuda apni raza de

🌹AankhoN ko hai hasrat tere deedar ki maula
Gul hoti huyi shaame tamanna ko jela de

Wassalaam.

Iltemas e Dua,
@Anees Abr

No comments:

Post a Comment