Tuesday 29 August 2017

Tarhi Misra: Ham garibon ka faqat hai aasra maula Raza(as)


*MISRA BARA E MANQABAT*  

              👇👇👇👇

*Ham garibon ka faqat hai aasra maula raza.* (a.s.)

Qafiya: 👉 *Aasra*
Radeef : 👉 *Maula raza*

Misra by👉🏻  *Janab Anees Abr sahab.*

Pesh karda MISRE par shoara hazraat ke manqabat ya kam se kam ek qat'aa peshe khidmat hai

1. Janab Hasnain Maroofi sb
🌹🌹🌹786🌹🌹🌹

Eik rishta hai humaara aap ka maula raza

Hum musaafir hai n ghareebe be nawa maula raza

Sirf itni hai dua ki laut kar jaaye,n watan

Hum ghareebo,n ka faqat hai,n aasra maula raza

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

2. Janab Taqi Kazmi sb

Hai ali ki tarha se mushkil kusha moula raza.
Shan hai kuch aapki sabse juda moula Raza.

Khud chale aate hai roze par tumhare ambiya.
Aapko khaliq ne wo rutba diya moula raza

Aaj bhi rab ki mashiyat hai tumhare hath me.
Aapke dam se hai ye aabo hwa moula raza.

Aapke roze ki zyarat par jhannum hai haraam.
Kar rhe hai aaj bhi jannat ata maula raza..

Apne roze ki ziyarat ka sharaf de diniye.
Aapko hai fatema ka wasta maula raza..

Kar rhe hai ham namazo me dua rokar yhi.
Sabki aankho ko dikha do karbala moula raza.

Ak dar jannat me khulta hai tumhare kasr ka.
Khuld ko jata hai sidha rasta moula raza..

Manqabat likh kar taqi aankho me aansu aagye.
Dharkano se dil ki jo aayi sada maula Raza.

Bad e kazim thi sda lab par har ak mazlum ke.
Ham gharibo ka faqat hai aasra moula raza.

3. Janab Ali Fayyaz sb

باراں میں سے آٹھویں حاجت روا مولا رضا
مثل ِ حیدر ہیں علی, مشکل کشا مولا رضا
Baran mien sy aathawien hajat rawa mola raza
Misal e Haider hien Ali mushkil Kusha Mola raza

آپ گر ناراض ہیں تو پھر خدا ناراض ہے
کبریا کی ہے رضا تیری رضا مولا رضا
Ap gar naraz hien to phir khuda naraz hy
Kibria ki hy raza tere raza mola raza

پنجتن پر آیتِ تطھیر جب نازل ہوئی
نورِ شبّیر میں بھی تھے زیرِ کسا مولا رضا
Panjatan per aayat e tatheer Jub nazil hoi
Noor e Shabbeer mien bhi thy zerey kisa mola raza

شیر ِقالین اصل میں شیرِ حقیقی بن گیا
آپ نے تصویر سے جب کن کہا مولا رضا

Sher e qaleen asal mien sher e haqeeqi ban gia
Ap ny tasweer sy jub kun kaha mola raza

دنیا میں رہتے ہوئے ہم دیکھ لیں خلدِ بریں
ہم کو بھی شرفِ زیارت ہو عطا مولا رضا
Dunia mien rehty huwy hum dekh lien khuld e bareen
Hum ko bhi sharf e zyaarat ho ata mola raza

سر پہ دستارِ محمد, پاؤں کی نعلین بھی
مصطفٰی کی ہے عبا تیری عبا مولا رضا

Sir py dastar e Muhammad, pao'n ki naleen bhi
Mustafa ki hy abaa tere abaa mola raza

عسکری کو ہو گی جب توفیق با اذنِ خدا
جائے گا مشہد سے ہو کے کربلا مولا رضا
Askri ko ho gi jub tofeeq ba izan e khuda
Jaye ga mashahad sy ho key Karballa mola raza

4. Janab Mohsin Banarsi ab

*🌹🌹🌹786🌹🌹🌹*

*Aapki kar lu'n sana mai bhi zara maula raza*
*Gar zara sa aap de de hausla maual raza*

*Marhaba kahne lage sare farishte arsh se*
*Jis ghari qirtaas pe maine likha maula raza*

*Maa'n ka hai ehsaan ye mai haq ada kaise karu*
*Aapki midhat ka jo mauka mila maula raza*

*Aa gaye meri lahed me arsh se huro malak*
*Tazkera jo aapka maine kiya maula raza*

*Raah mushkil hai safar itna kathin jaau'n kidher*
*Mujhko dikhla dije haq ka rasta maula raza*

*Khuld dekhu ya na dekhu karbala dekhu khuda*
*Hai meri pahli-0-aakhir ye dua maula raza*

*Raat din hota hai isme aapka hi tazkera*
*Dil me hai ek aapka raoza bana maula raza*

*Ho gayi shadab aankhe mil gaya dil ko suku'n*
*Khwaab me dekha jo raoza aapka maula raza*

*Aab suraj se barasta aap gar ye chahate*
*Dekhta sara jaha'n ye mojiza maual raza*

*Airo'n gairo'n ke nahi dar pe jhukate sar kabhi*
*Hum garibo ka faqat hai aasra maula raza*

*Karta hai 'mohsin' duae'n bus yahi shamo saher*
*Sab qaza se qabl jaaye karbala maula raza*

5.  Janab Rizwan sb
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Kashti e deene Khuda ka na Khuda moula raza

Kya nirala he ye tera martaba moula raza

Aapki seerat pe Jo chalne laga moula raza

Usne hasil kar li khalik ki raza moula raza

Tere dar pe aam he ye moaziza moula raza

Jo yaha aaya wo tera ho gya moula raza

Daad Dene bazm me ahle wila ke darmiyaa

Aagye khulde Bari se Mustafa moula raza

Jald is nachiz KO rouze pe bulwa lijiye

Waqt mouka de n de fir kya pata moula raza

Naaz Karte he meri taqdeer par hooro malaq

Teri midhat ka muje mouka mila moula raza

Choda ke choda Mohammad he Mohammad keh Gaye

Koule Ahmad par aqeeda he mera moula raza

Rad nahi kar sakta koi bhi bashar jumla mera

Mustafa moula raza he Murtaza moula raza

Teri azmat ki bulandi ki qasam rouza tera

Ak jita jaagta he moaziza moula raza

Sura e Ahmad ki tafseer kya jaane koi

Aapki ulfat he sidha raasta moula raza

Ba Khuda ye rozo shab ki kaid se aazad he

Har ghadi rehta he tera dar khula moula raza

Daayre Islam se ik pal me kharij ho gya

Jisne Teri azmato par shaq kiya moula raza

Arshe wale jiska rutba dekh kar hairat me he

Farsh par he aisa ik abde Khuda moula raza

Muntazir he jannate firdos us insan ki

Aapke darbaar taq Jo aagya moula raza

Marte dam taq me karunga aapki madho Sana

Kar liya"rizwan"ne ye faisla moula raza

6. Janab Aijaz Ali sb

*Ye dua hai aapse Moula Raza (as)  Moula Raza (as)*

*Jeete ji mujh ko dikha do Karbala Moula Raza (as)*

*Ilteja Aijaz karta hai yahi sham o sahar*

*Mujhko bhi bulwaiye Iran ya Moula Raza  (as)...*

7. Janab Anees Abr sb

Aapki karne laga hu me sana Maula Reza(as)
Ho jawahir lafz ke mujhko ataa Maula Reza(as)

Rab ne baksha aapko wo martaba Maula Reza(as)
Aapki har shaan hai sabse juda Maula Reza(as)

Zindagi me de hidayat, or shifaat hashr me,
Aap jaisa kon hoga rehnuma Maula Reza

Aapki midhat me likhkhe sher sab naayaab ho,
Haq hai ye naayaab ho har qafiya Maula Reza(as)

Meri MaaN ne baandha jab taweez tere naam ka,
khul gaya mere liye har rasta Maula Reza(as)

Me jahaaN jau meri nazroN me rehta hai tuhi,
Bas gaya hai aankhon me rauza tera Maula Reza(as)

Jaari rehta hamesha ye ata ka silsila,
Roz dete hai mareezon ko shifa Maula Reza(as)

Aaj bhi hai dar tere dushman me tere naam ka
Aaj bhi baaqi hai tera dabdaba Maula Reza(as)

Phir kahunga koi dunya me mere jaisa nahi,
Chumlu pehle tera dar ek dafa Maula Reza(as)

_Abr_ har mushkil me ham takte hai Mashhad ki tarah,
_Ham gareebon ka faqat hai aasara Maula Reza(as)_

8. Janab Ali Fayyaz sb

وارثِ دینِ محمد وارثِ شیرِ خدا
عقل سے ہے ماورا رتبہ ترا مولا رضا
Waris e deen e Muhammad, waris e sher e khuda
Aqal sy hy mawara rutba tera mola raza

لمحوں میں مشکل مری حل ہو گئی اے مومنو
یا علی کے بعد جب میں نے کہا مولا رضا
Lamhon mien mushkil mere hal ho gai ay momino
Ya Ali as k bad jub mien ny kaha mola raza

9. Janab Ghazi Abbas sb

Likh rahaa hoon my qaseeda aapka maula Raza
Mushkilo ko taaldo mushkil kusha maula Raza

Jab sajaayi koi mehfil aapki Maula Raza
Mera Ghar bhi misl e Jannat bangaya maula Raza

Jo mareez e laadawaa hai sabko dey deejey shifaa
Darr pey aakar maangtey hai hum dua maula Raza

Rizq rozii kaamiyaabi Deen dunya aur shifaa
Aapke darbaar se sab Kuch milaa maula Raza

Saari dunya ke ameero ko paseena aagaya
Dekhkar Mash'had mey rauza aapka maula Raza

Har azadar e Husain ibn e Ali ke  waastey
raat din rehta Hai tera darr khulaa maula Raza

Baab e toosii se gaya andar to dil kehney lagaa
Ye jinaa hai yaa ke rauza aapka maula Raza

Husn par uskey zuleyqa kyu na gash khaatii bhalaa
Husn e yousuf asl mey sadqa tera maula Raza

Jabke kun kehney se hi jaan aagayi hai Sher mey
Kyu kahuu na aapko sher e qudaa Maula Raza ?

Har ghadi mehwey ziyaarat sirf insaa'n hi nahi
Aapke rauzey pey hai sab ambiyaa maula Raza

Inka waaris aaj bhi pardey mey hai to kyu kahey ?
*Hum garibon ka "faqat" hai aasra maula Raza*

Hashr ke maidaan se kyu ho pareyshaa'n shekh ji
Kya wahaa zaamin nahii Hai aapka maula Raza ?

Muntazir *"Gaazi ki Maa"* hai aapka darr choomley
Jald unko ye sharaf kardo ataa Maula Raza

10. Janab Aaftab Husain sb

جسم اور جاں میں ہے جب تک رابطہ مولا رضا۴
میرے ہونٹوں پر رہے مدحُ ثنا مولا رضا۴

راحتِ قلبِ حبیبِ کبریا مولا رضا۴
خنکئِ چشمِ جنابِ سیّدہ۴ مولا رضا۴

وارثِ اوصافِ شاہِ لافتٰی۴ مولا رضا۴
جانشینِ تاجدارِ کربلا۴ مولا رضا۴

حجّتِ حق قبلۂ اہلِ ولا مولا رضا۴
سرحدِ فکرو نظر سے ماوریٰ مولا رضا۴

کیوں ستائے عرصۂ محشر کے ہنگاموں کا غم
ہم غریبوں کے لئے ہیں آسرا مولا رضا۴

آپکے جودو کرم کا سلسلہ ہے آج بھی
آپ ہیں مصداقِ شانِ ہل اتیٰ مولا رضا۴

اپنے روضے پر بُلا کر دیکھ لینا ایکدن
اپنی مدحت کا مجھے دینگے صلہ مولا رضا۴

صد نوازش صد کرم بہرِ نجاتُ عافیت
آپکا نقشِ قدم ہے رہنما مولا رضا۴

آپکے کنبے کے ہر چھوٹے بڑے پر ہے فدا
میرے کنبے کا ہر اک چھوٹا بڑا مولا رضا۴

آپکے دربار میں اندھیر ہے نہ دیر ہے
ہے لقب بابُ الحوائج آپکا مولا رضا۴

آپ نے ہر ایک سے اُسکی زباں میں بات کی
ایک یہ بھی آپکا ہے معجزہ مولا رضا۴

غم نہیں دنیا اگر ناراض بھی ہو جائے تو
چاہئے بس آپکی ہم کو رضا مولا رضا۴

بہرِ مدحت آفتابِ بے سرو سامان کو
کیجئے لفظوں کا سرمایہ عطا مولا رضا

11. Janab Zeeshan Aazmi sb

मदहा का हर लफ्ज़ करता है सना मौला रज़ा
हैं जहां में आला रुतबा आप का मौला रज़ा

आसमां वालों ने मेरी हौसला अफजा़ई की
नाम जब मैंने क़सीदे में लिया मौला रज़ा

शेर था क़ालीन पर, पाकर इशारा यह कहा
दो जहां में हुज्जते रब है मेरा मौला रज़ा

क्या कहूं मैं हाले दिल तकलीफ होती है बहुत
क़ौम का ईमां देखा तो दिल जला मौला रज़ा

ईल्तेजा करता हूं रब से आप के रोज़े पे यह
मरने से पहले मैं जाऊं कर्बला मौला रज़ा

दर हकी़क़त बादे काज़िम रहनुमाई के लिए
हम ग़रीबों का फक़त है आसरा मौला रज़ा

यह खुदा का शुक्र है कि आपके अक़वाल से
रास्ता ज़ीशान को हक़ का मिला मौला रज़ा

✍ ज़ीशान आज़मी

مدح کا ہر لفظ کرتا ہے ثنا مولا رضا
ہے جہاں میں اعلی رتبہ آپ کا مولا رضا

آسماں والو نے میری حوصلہ آفزائی کی
نام جب میں نے قصیدے میں لیا مولا رضا

شیر تھا قالین پر پاکر اشارہ یہ کہا
دو جہاں میں حجّتِ رب ہے مرا مولا رضا

کیا کہوں میں حالِ دل تکلیف ہوتی ہے بہت
قوم کا ایماں دیکھا دل جلا مولا رضا

التجا کرتا ہوں رب سے آپ کے روضہ پہ یہ
مرنے سے پہلے میں جاؤں کربلا مولا رضا

در حقیقت بعدِ کاظم رہنمائی کے لئے
ہم غریبوں کا فقط ہے آسرا مولا رضا

یہ خدا کا شکر ہے کہ آپ کے اقوال سے
راستہ ذیشان کو حق کا ملا مولا رضا


12. Mohtarma Sakeena Sahiba

Is qadar he aala tera Martaba moula Reza
Mujse kya hoga Sanaa ka haq Adaa moula Raza

Tere dar pa aaye Tashna gham Zadaa maula Reza
Sukhe lab KO kar ata jaam e Weela maula Reza

Aqs he Mehboobe daawar aap unka Aainaa
Aap tasveer e Ali o Mustufaa maula Reza

Chodwi ka chand sharma kar Falaq main chup gaya
Dekha jab usne hai Jalwa Aapkaa maula Reza

Aap sardare Jeena hai aapse dono Jahaa
Aap hi hai Mazhare Noor e Khuda maula Reza

Us ghadhi Iran ka chamka Sitara dahar Main
Pad Gaye jab uspe Tere Naqsh e Paa maula Reza

Aapke Jad se hidayat paa ke ye Hur ne kaha
Mil gya mujko  baqaa ka Rasta maula Reza

Aapke rouze pe aakar keh utha Sara Jahaa
*Ham Ghareebo,n ke Liye hai Aasra maula Reza*

Rooh se bimaar hai Karbobala ka Wasta
Aapki Jaali se mil jaye Sheefa maula Reza

Aapke qunbe ki madha karke Debal ne kaha
Mil gya mujko Iram kaa Rastaa maula Reza

Mujko midhat ka Silaa karna ataa tum Hashr main
Mera daaman hai gumaaho se Bharaa maula Reza

Likhne he U hi  sakeena ko Kaseede Aapke
Ho uhi Alfaaz ke Gauhar Ataa maula Reza

🥀🥀🥀🥀🥀🥀🥀🥀

13. Janab Arshad Sirsivi sb
🌹
Fikr ka kashqaul khali hai mera maula riza

Daulate alfaz kar dije ata maula riza

🌹
Main farzdaq aur debal to nahi lekin imam

Ek adna hun sukhan war aapka maula riza

14. Janab Imran Abbas sb

♦Kyu'n na ham tum ko pukare'n Murtaza Maula Raza a.s.
Zaamine aahu hai'n jab mushkil kusha maula Raza a.s

♦Jab sifaate hazrate deabal se hu'n na-aashna
Marefat mujh ko bhi ab keeje ata maual Raza a.s.

waqeaat par 2 sher....

▪Roze aashura k din deabal ka tha bas intezar
Jald sunna chahte the marsiya maula Raza a.s.

♦Kyu'n na koh-e-toos k patthar naram hote bhala
Aap ne Allah se ki thi doa maula Raza a.s.

♦Wo Khushi ho ya moharram , jab shifa pae koi
Tab haram me deti hy nobat sada

♦Badshaho'n ne bhi mash-had me ye taaziman kaha
ham gharibo'n ka faqat hai'n aasra maula Raza a.s.

♦Hazrate Mehdi pa hogi milkiyat ki inteha
Hakimana saltanat ki ibteda maula Raza a.s.

♦Shirkate majlis se apne qalb ko zinda rakho
Dil na ho murda ye kahte the sada maula Raza a.s.

♦ilteja "imran" ki hy ho sharaf mujhko ata
Sb kahe'n adna sa khadim aapka maula Raza a.s.

1 Sher bain ka...

▪Akbar o sughra k madfan me hai kitna fasla
Sath hai'n Masumae qum Fatema maula Raza (a.s.)

♦کیوں نا ہم تم کو پکاریں مرتضا مولا رضا (علیہ السلام)
ضامن آہو ہیں جب مشکل کشا مولا رضا (علیہ السلام)

♦جب صفات حضرت دعبل سے ہوں نا آشنا
معرفت مجھ کو بھی اب کیجے عطا مولا رضا (علیہ السلام)

واقعات پر  ۲  شیر

▪روز عاشورہ کے دن دعبل کا تھا بس انتظار
جلد سننا چاہتے تھے مرثیا مولا رضا (علیہ السلام)

♦کیوں نہ کوہ ے طوس کے پتھر نرم ہوتے بھلا
آپ نے الله سے کی تھی دعا مولا رضا (علیہ السلام)

♦وہ خوشی ہو یا محرم ، جب شفا پائے کوئ
تب حرم میں دیتی ہئے نوبت صدا مولا رضا (علیہ السلام)

♦بادشاہوں نے بھی مشہد میں یہ تعظیمن کہا
ہم غریبوں کا فقط ہیں آسرہ مولا رضا (علیہ السلام)

♦حضرت مھدی پہ ہوگی ملکیت کی انتہا
حاکمانہ سلطنت کی ابتدا مولا رضا (علیہ السلام)

♦شرکت مجلس سے اپنے قلب کو زندہ رکھو
دل نہ ہو مردہ یہ کہتے تھے سدا مولا رضا (علیہ السلام)

♦التجا "عمران" کی ہئے ہو شرف مجھ کو عطا
سب کہیں ادنا سا خادم آپ کا مولا رضا (علیہ السلام)

ایک شیر بین کا-

▪اکبر و صغرا کے مدفن میں ہئے کتنا فاسلہ
ساتھ ہیں معصومئے قم فاطمہ مولا رضا (علیہ السلام)

15. Janab Azam Maroofi sb

👇👇👇👇👇👇
1
Is jaha'n k zulm se hain ghamzada mola reza...

sehl mushkil kijiye mushkil kusha mola raza..
2
is qadar zulmo tashaddud badh rahe hain dahr me. .

har qadam pr hai sitam se samna mola raza.....
3
qatl hote hain sare masjid azaadaare husain....

aaj bhi jaari h jange karbla mola raza......
4
khaa rahi h zarbe batil gardane haq baar baar....

kijiye ab aap hi kuch mojza mola raza....
5
pardaye ghaibat me jo rahta h beta aapka.....

ham ghareebo'n ka faqat h aasra mola raza ...
6
izne khaliq leke jab aayega beta aapka....

zulm ki hojayegi tab inteha mola reza...
7
aapki ulfat se hi azam ka dil aabaad h...

le ke jaaunga bhla dunya se kya mola raza...

16. Janab Fasih Ali Abbas sb

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Gardish e aiyaam me hun mai phansa maula raza

Hal meri mushkil karo mushkil kusha maula raza.
         .................

Chauda ke chauda hain ek hi noor se kyun na kah'on.

Hum ghareebo'n ka hai ek hi aasra maula raza.
               ............

Izn milte hi ghata rahmat ki chaye kyun na phir.

Do jaha'n par hai tasaruf aapka maula raza.
             .............

Tham gayi girti hui dewaar inke naam se.

Kardiya maroof ko maroof kiya maula raza.

          ................

Qalb ki mere hifazat kyun na hogi kuffr se

Dil pa hai likha hua maula raza maula raza.
     
            ................
     
Apne dar pa mujh ko bhi ek baar to bulwaiye.

Wasta shah zaadi e qum ka diya maula raza.

         ............
17. Janab  Altaf Maroofi sb
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
jhoom uttha AayatoN ka QAFELA Maula Reza
جھوم اٹھّا آیتوں کا قافلہ مولا رضآ
Jab likha maine Qaseeda ap KA Maula Reza
جب لکھا میں نے قصیدہ آپ کا مولا رضا
-----------------------------------
Tham na paya AayatoN ka SILSILA Maula Reza
تھم نہ پایا آیتوں کا سلسلہ مولا رضا
Jab talak deewaan Kaamil na HUA Maula Reza
جب تلک دیوان کامل نہ ہوا مولا رضا
------------------------------------
Ap k Zere Kafe paa e Mubarak k gobaar
آپ کے زیرِ کفِ پائے مبارک کے غبار
ban gaye hain Arsh pe Najmuz zeya Maula Reza
بن گئے ہیں عرش پہ نجم الضِّیا مولا رضا
-----------------------------------
Choom lega Arsh se Aakar abhi Naqshe Qadam
چوم لیگا عرش سے آکر ابھی نقشِ قدم
izn hai darkaar sooraj ko Tera Maula Reza
اذن ہے درکار سورج کو تیرا مولا رضا
----------------------------------
Dahr ko shamsuz zoha deta hai ab bhi Raushni
دہر کو شمس الضُّحیٰ دیتا ہے اب بھی روشنی
ap ki naalain se lekar zeya Maula Reza
آپ کی نعلین سے لیکر ضیا مولا رضا
-----------------------------------
Tahniyat Dene ko Aaya hai karodoN ka hojoom
تہنیت دینے کوآیا ہے کروڑوں کا ہجوم
Ap ka ghar khuld se bhi hai bada Maula Reza
آپ کا گھر خلد سے بھی ہے بڑا مولا رضا
-----------------------------------
YuN to duniya se bada Zohra sitaara hai magar
یوں تو دنیا سے بڑا زُہرہ ستارہ ہے مگر
Ap ki chaukhat pe hai zarra Numa Maula Reza
آپ کی چوکھٹ پہ ہے ذرّہ نما مولا رضا
---------------------------------
Eid ke din kaaNp utthi saltanat Mamoon ki
عید کے دن کانپ اُٹّھی سلطنت مامون کی
Jab payambar ki tarah nikla mera Maula Reza
جب محمّد کی طرح نکلا میرا مولا رضا
-------------------------------------
Bahr e Amwaaj e sokhan ka hai sahara ye Radeef
بحرِ امواجِ سخن میں تم نہ ہوتے گر ردیف
Warna kya Altaf likhta Qafiya Maula Reza
کیا بھلا الطاف لکھتا قافیہ مولا رضا
🥀

18. Janab Kumail Nagri sb

Karte hai'n ahle falak teri sana maula raza.
Hai kitaabe haq me tera tazkera'h maula raza.

🌹

Manzilat apni badhane keliye firdaus bhi.
Dhoondti phirti hai tera naqshe paa maula raza

🌹

Daste aqdas ki saqawat arsh ko chune lagi.
Bangayi teri ataa bhi hal ataa maula raza.

🌹

Shaahe zadiye jinaa'n umme abeeha bhi hai wo.
Aap ki jadda janabe sayyada maula raza.

🌹

Kahke ye mash hadd ki janib chalpade sab zayereen.
Hum gharibo'n ka faqat hai aasra maula raza.

🌹

Kiyu'n na hojaye
Mujassim shere bhi qaleen ka.
Jab ishara'h hogaya hai aap ka maula raza.

🌹

Daste qudrat me tere be shak hayaato maut hai.
Rab ki jo marzi hai wo teri riza maula raza.

🌹

Bheja zalim ne darindo'n me darinde the nisaar.
Sar jhukaakar bole sab salle alaa maula raza.

🌹

Haath uthaaye jab duaa ko ungliyaa'n raushan huye'n.
Ye tha adna sa tumhara mojuza maula raza.

🌹

You'n laga firdaus se nikla hu'n jannat ki taraf.
Jab chala mash hadd se suye karbala maula raza.

🌹

Ahu ko tune shikari se bachaya jis ghadi.
Hogaya jab se laqab zamin tera maula raza.

🌹

Dilbare kazim bhi ho babul hawaij bhi hai'n aap.
Misle haidar aap hai'n, mushkil kushaa maula raza.

🌹

ilme aadam hai nichawar fahme eisa hai fidaa.
Kis bulandi par hai tera martaba maula raza

🌹

Daste qudrat se tere mass hoke paani jab chala.
Uss ka har qatra khara sona bana maula raza.

🌹

Noor se tere chamak uthe zameeno aasmaa'n.
Hai zamane me teri phaili ziya maula raza

🌹

Aap ki midhat me  subho shaam rehta hai *kumail*
Ek nazar uss par bhi hojaaye zara maula raza.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
19. Janab Muntazir sb

1) KEHTI HE SAARI KHUDAAYEE MARHABA MAULA RAZA
AA GAYE KAAZIM KE GHAR HAAJAT RAWA MAULA RAZA

2)LAB PE JAB BHI ZIQR AAYA AAP KA MAULA RAZA
AAB E QAUSAR KA MILA HE ZAAYEQA MAULA RAZA

3)AAP KI JAB JAB BHI HUM NE KI SANA MAULA RAZA
FATEMA ZAHRA SE PAAYEE HE DOA MAULA RAZA

4)HAATO.N PAR TAAWEEZ KYA BAANDHA TUMHAARE NAAM KA
HO GAYEE MAAYOOS MUJ SE HAR BALA MAULA RAZA

5)ZAAMIN O SAMIN INHE SAB AYSE HI KEHTE NAHI
INS KYA HAYVAA.N KA BHI HE AASRA MAULA RAZA

6)HUSN APNA DEKHNE JANNAT NA KYO.N AAYE YAHA.N
TERA RAUZA KHULD KA HE AAEENA MAULA RAZA

7)LAFZ E QUN KI HO GAYEE TAFSEER PHIR SE BA SUBOOT
TUM NE JAB TASWEER KO ZINDA KIYA MAULA RAZA

8)QUFR KO DARR IS LIYE HE AAJ BHI IRAAN SE
JAANTA HE YE ILAAQA HE TERA MAULA RAZA

9)HUM NE MASHHAD ME AMEERO.N KO BHI YE KEHTE SUNA
*HUM GHAREEBO.N KA FAQAT HE AASRA MAULA RAZA*

10) HOGI RAUSHAN *MUNTAZIR* KI QABR BHI TAB MISL E TOOR
AAP KE PAD JAAYENGE JAB NAQSH E PAA MAULA RAZA

20. Janab Manzoor sb

भीख हो लफ़्ज़ों की मुझको भी अता मौला रज़ा
लिख  रहा  हूं  मैं  क़सीदा  आपका  मौला  रज़ा

सुनता हूं जन्नत की होगी ख़ुशनुमा बेहद फ़िज़ा
है अलग दर की तेरे आब  ओ  हवा मौला रज़ा

ख़ुश्बू ए मुश्क ओ गुलाब ओ अत्र फैली हर तरफ़
नाम  काग़ज़  पर लिखा जब आपका मौला रज़ा

चांद  तारे  मांगते  हैं  दर  से  तेरे  रौशनी
दो जहाँ मे फैली है तेरी ज़िया मौला रज़ा

जब कभी मुश्किल घड़ी मे नाम तेरा ले लिया
मुश्किलों को ख़ुद पसीना आ गया मौला रज़ा

बांध कर तावीज़ मां ने जो किया तेरे सुपुर्द
उम्र  भर तेरी ज़मानत मे जिया मौला रज़ा

है गिरफ़्तार  ए महन  "मन्ज़ूर "  एै मेरे इमाम
दूर करदो मुश्किलें मुश्किल कुशा मौला रज़ा

No comments:

Post a Comment