Tuesday 29 August 2017

Tarhi Misra: Na kyo.n ho hashr tak ab tazkera Masooma e qum ka

*MISRA BARA E MANQABAT*  

              👇👇👇👇
4 martaba Mafaaeelun
۴ مرتبہ مَفَاعِیلُن

*Na kyo.n ho hashr tak ab tazkera Masooma e qum ka.*
نہ کیوں ہو حشر تک اب تزکرہ معصومہءِ قم کا

Qafiya: 👉 *Tazkera*
Radeef : 👉 *Maasooma-e-qum ka*

Misra by👉🏻  *Janab Muntazir sahab.*

Pesh karda MISRE par tamami shoara ke manqabat ya kam se kam ek qat'aa peshe khidmat hai

1. Janab Taqi Kazmi sb

Zamana jaan le rutaba zara masumaye qum ka.
Tawaf karti hai ab bhi haya masumaye qum ka.

Kare jo inke roze ki ziyarat qum khud jakar.
Karam hota hai uspe phir ata masumye qum ka.

Na be parda hua inka kabhi kirdar duniya me.
Hai odhe ab bhi ghairat ki rida maumaye qum ka.

Jhannum chu nhi Sakti kabhi us shaqs ko logo.
Ziyarat ka sharaf jisko mila masumaye qum ka.

Sharaf sabko mile inki ziyart ka zamane me.
Dikha roza tu mere kibriya masumaye qum ka.

Imamo ke labo par jiski midhat thi amane me.
Na kyo ho hashr tak ab tazkara masumaye qum ka.

2. Janab Ali Fayyaz sb

Shifaao'n ka hy markaz maqbara masooma e qum ka
Na ku ho hashar tak ab tazkira masooma e qum ka
شفاوؤں کا ہے مرکز مقبرہ معصومئہ قم کا
نہ کیوں ہو حشر تک اب تزکرہ معصومئہ قم کا
kaneezaien sath ly ker qum mien ja ker ba adab ho ker
Kery tazeemi sajda hajara masooma e qum ka
کنیزیں ساتھ لے کر قم میں جا کر بادب ہو کر
کرے تعظیمی سجدہ ہاجرہ معصومئہ قم کا
jo tasbeeh e Muhammad sy hien kerty istekhara hum
Hy shayed is mien shamil mashwara masooma e qum ka
جو تسبیحِ محمد سے ہیں کرتے استخارہ ہم
ہے شاید اس میں شامل مشورہ معصومئہ قم کا
koi khaki btaye kaisy azmat bint e Moosa ki
Raza Mola sy Pocho martaba masooma e qum ka
کوئی خاکی بتائے کیسے عظمت بنتِ موسٰی کی
رضا مولا سے پوچھو مرتبہ معصومئہ قم کا
Hijab e Ismat e Zahra sy nazroo'n mien haya ly ker
Qaseeda is qalam ny phir likha masooma e qum ka
حجابِ عصمتِ زہرا سے نظروں میں حیا لے کر
قصیدہ اس قلم نے پھر لکھا معصومئہ قم کا
Gnab e Fatima Zahra ko razi kerny ki khatir
Sahara lien gy hum roz e jaza masooma e qum ka
جنابِ فاطمہ زہرا کو راضی کرنے کی خاطر
سہارا لیں گے ہم روزِ جزا معصومئہ قم کا
sabhi heywaan doran e safar jhukty thy bibi ko
Darindy kerty hien logo haya masooma e qum ka
سبھی حیوان دورانِ سفر جھکتے تھے بی بی کو
درندے کرتے ہیں لوگوں حیا معصومئہ قم کا
Kahan oqat thi mere k shan e Sayyeda likhta
Karam ye Askri py hy huwa masooma e qum ka
کہاں اوقات تھی میری کہ شانِ سیّدہ لکھتا
کرم یہ عسکری پے ہے ہوا معصومئہ قم کا


3. Janab Ghazi Abbas sb

*BISMILLAH*

Ilaahi kar zaraa mujhpar ataa maasooma e qum ka
Adab se baithkar karlu Sanaa maasooma e qum ka

Zamee maasooma e qum ki jinaa maasooma e qum ka
Zamee taa aasmaa Hai tazkera maasooma e qum ka

Khulaa rehtaa najaf mey jaisey baab e Hyder e karrar
Khulaa rehtaa Hai waisey darr yahaa maasooma e qum ka

Jisey bhi dekhnaa hai rauza e zehra ki gumbad ko
Wo aakar dekhley gumbad zaraa maasooma e qum ka

Falak se Aakey sadqa maangtey Hai inki chaukhat par
Farishto ko bhi dekha Hai gadaa maasooma e qum ka

Gunaahey saarey mitjaayengey bass dil mey yaqee ke saath
Chaley aa qum mey tuu, Hai darr khulaa maasooma e qum ka

Duwaaye karney se pehley muraadey poori hoti Hai
Ye Hai baab e dua ya mojzaa maasooma e qum ka

Gawaahii deyrahii Hai aayat e Tatheer se zehra
Badan Mera Hai dil zeyr e kisaa  maasooma e qum ka

Jo sughra aur Akbar, zainab o shabbeer ki soorat
Raza e toos se Hai raabta maasooma e qum ka

Wo qabr e Fatema zehra ka zaayar bangaya jisko
Ziyaarat ka sharaf haasil huwa maasooma e qum ka

Kiyaa Hai maarka aisaa raqam qum e muqaddas mey
*Na kyu ho hashr tak ab tazkera maasooma e qum ka*

Ye zehra kii shabii Hai isliye ye martaba haasil
Qaseeda padhtey Hai Aal e abaa maasooma e qum ka

Qalam par aayat e Tatheer ka saaya kiyaa *"GAAZI"*
Phir uskey baad mey misraa likhaa maasooma e qum ka

4. Janab Zia Haidar sb
🌹🌹🌹🌹🌹
Shabeehe Fatima Zehra misaale Saaniye Zehra,

Milaaya dono jab chehra bana masooma-e-qum ka.

Rahega ta abad baaqi jo charcha bibiyoN ka to,

Na kyuN ho hashr tak ab tazkira masooma-e-qum ka.
🌹🌹🌹🌹🌹

5. Janab Kumail Nagri sb
🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺
🌺 *Qseeda'h*🌺

Na pucho hum se kiya hai martaba masooma e qum ka.
Hai bhayi mazhare noore khuda masooma e qum ka.

🌸

Saqaawat se ghani hote hai'n  saayel jab ke rauze par.
*Na kiyu'n ho hashr takk ab tazkera'h masooma e qum ka.*

🌸

Fidaa you'n apne bhayi par thi misle zainabe dilgeer.
Qaseeda pad rahi hai karbala masooma e qum ka.

🌸

Sanad maqhbooliyat ki paayi hai meri duao'n ne.
Diya hai maine jab bhi waasta masooma e qum ka.

🌸

Shifa'at ki shoa'ye'n ba'ntne saare mareezo'n ko.
Zamaane bhar me raushan hai diya masooma e qum ka.

🌸

Fazaaye'n choomti hai'n kehkashaa'n sadqe utarti hai'n.
Hawaa ke dosh par hai naqshe paa masooma e qum ka.

🌸

Musalsal huro ghelma'n aate jaate hai'n ziyaarat ko.
Hai rauza khuld ka baandhe samaa masooma e qum ka.

🌸

Nichaawar chaand si soorat pe mariyam aur hawwa hai.
Qaseeda pad rahi hai haajera'h masooma e qum ka.

🌸

Hai jadda'h shaahzadi e jinaa'n jadd saqiye kausar.
Hai noore kibriya bhayi raza masooma e qum ka.

🌸

*kumail* apne pidar ke waaste tu bhi duaa kar le.
Shifa'at ka tareeqa hai judaa masooma e qum ka.

🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺

6. Janab ZB 23/7 sahab

*Batavu kya zamane ko bhala maasoma e qum ka*

*Jamino arsh per he tazkera maasoma e qum ka*

*Shefa milti hai is dar pr ye charcha Hai zamaane me*

*Na kyun ho hashr tak ab tazkera maasoma e qum ka*



7. Janab Zeeshan Aazmi sb

खुदा जाने मुकद्दस मर्तबा मासूम ऐ क़ुम का
ईमामो ने लिया है मशवरा मासूम ऐ क़ुम का

सबक़ देगा यज़ीदों को मुजफ्फरपुर का काज़ीम
चुना है उसने दिल से रास्ता मासूम ऐ क़ुम का

खुदा जा़लिम हुकूमत को मिटा देगा ज़माने से
खुदा को दीजिए सब वास्ता मासूम ऐ क़ुम का

परेशां इसलिए जी़शान हुए जाते हैं जालिम
सऊदी पर है छाया दबदबा मासूम ऐ क़ुम का

✍ ज़ीशान आज़मी

خدا جانے مقدّس مرتبہ معصومہ قم کا
اماموں نے لیا ہے مشورہ معصومہ قم کا

سبق دے گا یزیدوں کو مظفّر پور کا کاظم
چنا ہے اس نے دل سے راستہ معصومہ قم کا

خدا ظالم حکومت کو مٹا دےگا زمانے سے
خدا کو دیجیئے سب واسطہ معصومہ قم کا

پریشاں اس لئے ذیشان ہوئے جاتے ہے ظالم
سعودی پر ہے چھایا دبدبہ معصومہ قم کا

8. Mohtarma Sakeena Sahiba

🌹Baya kyu'n kar ho mujse martaba masoomay e qum ka
Fazilat se samandar hai Bhara masoomaye qum ka

🌹Malaq bhi arsh se aate hai dar pe shaahzadi ke
Hai do aalam main Aala Martaba masoomay e qum ka

🌹Husain ibne ali o zainabe dilgeer ke jeisa
Behan bhai ka hai rishta Raza masoomay e qum ka

🌹Jukaate hai'n sare tazeem sar shams o qamar apna
Na kyu'n ho hashr tak ab Tazkera masoomay e qum ka

🌹Inhi ki jadda ko kehte hain faqre mariyam o hawwa
Bada poor noor hai ye Silsila masoomay e qum ka

🌹Shabih e fatema haidar ki poti hai ye masooma
Nabi zadi sa hai husne Haya masoomay e qum ka

🌹Bayaa ho teri azmat kis tarha hamse bhala bibi
Imamo ne kiya hai Tazkera masoomay e qum ka

🌹Khudaya kar karam is shan se bibi ke sadke main
Hain aankhen muntazir roza Dikha masoomay e qum ka

🌹 Hisare azmato iffat me pehle fikr ko layi
Sakeena naam fir maine Likha masoomay e qum ka

9. Janab Mohsin Banarsi ab

Qaseeda likh raha hu aye khuda masoom e qum ka
Mujhe de de zara tu haosla masoom e qum ka

Zameeno arsh pe charcha hai qum ki shahzadi ka
Zamana dekh le ye martaba masoom e qum ka

Jise ho dekhna gardan jhuka ke aasmaa'n sun le
Wo aa ke dekh le gumbad zara masoom e qum ka

Dua meri mosalle pe yahi apne khuda se hai
Meri maa'n ko bhi raoza tu dikha masoom e qum ka

Shabihe fatima zahra hai inme hi nazar aayi
Na saani ho sakega dusra masoom e qum ka

Dile zalim me 1400 baras se khaof baki hai
Raha hai aaj tak wo dabdaba masoom e qum ka

Parha hai kul imamo'n ne qaseeda bibi ka jab to
Na kyu'n ho hashr tak ab tazkera masoom e qum ka

Khada na zulm hota paao'n (pair) pe apne kabhi mohsin
Ager wo dekh leta aaina masoom e qum ka

10. Janab Raheman Ali sb

*Ho karam mujh per ataa masooma e qum ka*

*Bata raha hu aaj me martaba maasoma e qum ka*

*jin jin charago  se Huva he islam aaj roshan*

*Un charago me se ek he diyañ(charag) maasoma e qum ka*

*Agar choda (14) maasom ko manle hum puri quran*

*Us quran ke paro me se he para masooma e qum ka*

*Farishte mashroof rehte he aapki sana me har vaqt*

*Na kyu ho ab hashr tak ab tazkera maasoma e qum ka*

*Hogi murad puri tumhari tum yaqeen se mango*

*Har dua me do tum vaasta maasoma e qum ka*

*Ay banda e khuda he agar tu bimar iss duniya me*

*Ja tu ek baar jo he shifakhana maasoma e qum ka*

*Likha jo qalam Raheman ne aapki sana me ekbaar*

*Hota raha fir mujhpe qaram ataa masooma e qum ka*

11. Janab  Arshad sirsivi sb
🌹🌹🌹 kalam e arshad🌹🌹🌹

💐
Agar faizan ho mujhe par ata masooma e qum ka
Qaseeda main bhi ek likkhu naya masooma e qum ka

💐
Karam ye bhi hua mujh par bada masooma e qum ka
Zaba'n par aa gaya jo tazkira masooma e qum ka

💐
Badi mushtaq rehti hain ziyarat ke liye aankhen
Dikha de mujhko bhi rauza khuda masooma e qum ka

💐
Inhi ke dar ka khati hai sada nano namak duniya
Khula rehta hai darbare ata masooma e qum ka

💐
Hai azmo iffat o sabro wafa me saniye zainab
Aur us par naam bhi hai fatima masooma e qum ka

💐
Misale saniye zahra fida hai apne bhai par
Phupi zainab sa hai husne wafa masooma e qum ka

💐
Nazar aate hain jisme seerat o kirdar zahra ke
Hai aisi shaan ka wo aaeena masooma e qum ka

💐
Falak par chaudwi ka chand jaise jagmagata ho
Hai rauza is tarah jalwa numa masooma e qum ka

💐
Raza inse kabhi raye_Shumari ko nahi bhoole
Imamat ka suku'n tha mashwara masooma e qum ka

💐
Yaha'n ahle khirad hote hain aakar sahib e idraaq
Fazilat ka falak hai maqbara masooma e qum ka

💐
Na jaane kaunsi manzil pe faeiz thi ye shehzadi
Adab rakhte the khud maula riza masooma e qum ka

💐
Haya ki sajda_gahe ain hai jaye qadam inki
Khuda ne rakkha hai ye martaba masooma e qum ka

💐
Taharat mariyam o zahra si khAliq ne ata ki hai
Sharaf ke arsh par hai nakshe pa masooma e qum ka

💐
Gule salleala barse qalam ki shakh se us dam
Adab se naam jab maine likha masooma e qum ka

💐
Bayaz e manqabat me roshni deta hai ye misra
Khadija se hai noori silsila masooma e qum ka

💐
Yaha'n talba khumaini khamenai ban gaye arshad
Ba_Shakle ilm jo sadqa mila masooma e qum ka

🌹🌹🌹🌹🌹🌹
12. Janab Imran Abbas sb

🌺🌸🌺क़सीदा ऐ ख़ुदा तेरे बिना मासूमए क़ुम का
किसे हिम्मत कोई कह पाएगा मासूमए क़ुम का।

🌺🌸🌺सवाबे मरक़दे ज़हरा(स) का हूँ मुश्ताक़ बरसों से
ख़ुदा रौज़ा मुझे जल्दी दिखा मासूमए क़ुम का।

🌺🌸🌺सहारा देते हैं बाबुल हवाएज मूसिये काज़िम (अस)
मदद को नाम जब मैंने लिया मासूमए क़ुम का।

🌺🌸🌺ख़ुदा की तरह यकता थीं, ज़माने में वो तन्हा थीं
दोआलम में ना कोई कुफ़्व था मासूमए क़ुम का।

🌺🌸🌺मोहब्बत अकबरो सुग़रा के जैसी ही निराली है
बताता है रज़ा (अस) को चाहना मासूमए क़ुम का।

🌺🌸🌺बक़ी और क़ुम में ऐ मालिक हिफ़ाज़त ज़ाएरों की हो
करें दीदारे क़बरे सय्यदा, मासूमए क़ुम का।

🌺🌸🌺ये है क़ौले रज़ा (अस) जो इनका हक़ पहचान कर जाए
वो ज़ाएर ख़ुल्द में भी जाएगा मासूमए क़ुम का।

🌺🌸🌺ज़मानत ली है ऐ "इमरान" जब मौला रज़ा ने ख़ुद
न क्यूं हो हश्र तक अब तज़केरा मासूमए क़ुम का। (स.अ.)


13. Janab Altaf Maroofi Sb

Karishma Dekhna Roze jaza Masooma e Qum ka

Abhi dekha kahaN hai moajza Masooma e Qum ka

ZameeN se Aab barse ga
Falak pr khetiyaN hoNgi

ishara jis ghadi ho jayega Masoom e Qum ka

🥀
14. Janab Naushad Bijani sb

1
Aya'n kaunain me hai martaba maasooma-e-qum ka.
Jaha'n me aam hai faize hoda maasooma-e-qum ka.
Sono ay momeno ek waaqea maasooma-e-qum ka.
Bahut mash'hoor hai yeh mojeza maasooma-e-qum ka.

2
Likha hai ki kahi iraan me ek marde momin tha.
Dayaanatdaar tha or tha ali ka chaahne vaala.
Bahut khush haal tha kuchh gham nahi tha usko dunya ka.
Magar dil se aqeedatmand tha maasooma-e-qum ka.

3
Huva faalij me ek din mubtela momin woh bechaara.
Paresha'n rote rote ho gaya woh dard ka maara.
Bahaakar ashk woh shaamo sahar allah ka pyaara.
Woh dil me naam bas leta raha maasooma-e-qum ka.

4
Azeezo'n se kaha usne muje mash'had chalo lekar.
Shifa dega vaha mujko yaqeenan ibne payghambar.
Raha hai umr bhar daste karam uska mere sar par.
Jo hai maula mera, bhaai raza maasooma-e-qum ka.

5
Use maula ke rauze me sabhi le aaye mehnat se.
Raza ka aastana usne bhi chooma mohabbat se.
Dua maula se woh karne laga keh har aqeedat se.
Muje maula shifa do waasta maasooma-e-qum ka.

6
Guzaara ayk arsa usne yu'n roze me ro ro kar.
Magar us marde momin ki nahi haalat huvi behter.
Kaha maula raza se usne ik din ho ke nawhagar.
Ke ab sadqa muje kar do ata maasooma-e-qum ka.

7
Shifa ghayro ko di hai aap ne maine yeh hai dekha.
Magar mehroom us se aap ka hai chaahne vaala.
Mai ab maasooma-e-qum se karunga aap ka shiqva.
Woh leke naam bas rone laga maasooma-e-qum ka.

8
Haram me so gaya tha rote rote gham ka woh maara.
Or aadhi raat ko kismat se usne khwaab yeh dekha.
Koi bibi yeh kehti hai ke ay momin na tu ghabra.
Tere sar par to hai daste ata maasooma-e-qum ka.

9
Tu shehre qum me kuchh din ke liye hoja mera mehma'n.
Ata kar dungi mai tuj ko tere har dard ka darma'n
Mere rauze ka tere vaaste bechain hai daala'n.
Vaha'n tujh ko milega aasra maasooma-e-qum ka.

10
Woh momin nek akhtar jab haram me khwaab se se jaaga.
Qareeb apne hi us ne ik haram me kaafela dekha.
Chalo qum ki taraf yeh kaafela saalaar kehta tha.
Chalo qum se bulaava aa gaya maasooma-e-qum ka.

11
Kaha maflooj ne muj par bhi thoda sa karam kar do.
Sahaara deke mujko door tum mera yeh gham kar do.
Mujhe le ja ke shehre qum me bas peshe haram kardo.
Ke rauza mujko bhi hai dekhna maasooma-e-qum ka.

12
Rivaayat me hai ke woh marde momin qum me jab pohcha.
Khushi se joom uttha nek dil woh dekh kar rauza.
Magar na rok paaya aankho se behta huva darya.
Ada woh shukr bas karta raha maasooma-e-qum ka.

13
Zareehe paak ke nazdeeq woh rota huva aaya.
Or aadaabe ziyaarat nek akhtar woh baja laaya.
Ghamo andoh se rota raha woh dard ka maara.
Karam ka intezar ab usko tha maasooma-e-qum ka.

14
Yakaayak neend usko aa gai aur khwaab me dekha.
Hai uske paas ik rakkha huva mashroob ka pyaala.
Nazar aaya use kehta huva ik noor ka saaya.
Ise pile karam tuj par huva maasooma-e-qum ka.

15
Utha jab neend se woh khwaab me mashroob ko pi kar.
Nahi tha dard na gham tha koi na boj tha sar par.
Karam bibi ka mujh par ho gaya bola woh chilla kar.
Likha Navshad ne yeh mojeza maasooma-e-qum ka.


15. Janab Fasih Ali Abbas sb

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Baya'n ho kya bhala ab martaba masuma e qhum ka.

Qaseeda padhte hain sab auliya masooma e qhum ka.

          ..............

Tajalla har khadam pa dekh kar bibi ke rauze me.

Kaha dil ne hai dar maojiz kada masoomo e qhum ka.

          ..............

Janab e fatema zehra si seerat bhi hai surat bhi.

Na kyun ho hashr tak ab tazkera masooma e qhum ka.

            ............

Mariz e la dawa ho aur shifa bhi chahate ho tum.

Chalo sab ke liye hai dar khula  masooma e qhum ka.

        ................

Kaha jaata hai inko maryam e aale mohammed bhi.

Laqb alqaab me ye bhi mila masooma e qhum ka.

           ...............

Mile zehra ke rauze ki ziyarat ka sawab isme.

Kuch aisa rauza e aqdas bana masooma e qhum ka.

            .............

Fasih apna aqeeda hai bulayenge wo rauze par.

Agar dije raza ko wasta masooma e qhum ka.

              ..........

No comments:

Post a Comment