Monday 3 July 2017

Tarhi Misra: Azadaaro utho tum hausla le kar bahattar se

🌺 *BAZM-E-SHOARA* 🌺
  
     SalamunAlaikum.

*MISRA BARA E QATA*

              👇👇👇👇

*Azadaaro utho tum hausla le kar bahattar se.*

Qafiya: 👉 *Bahattar*
Radeef : 👉 *Se*

Misra by👉🏻  *Janab Anees Abr sahab.*

Diye gaye tarhi MISRE par shoara hazraat ke kalaam aur qat'aa peshe khidmat hai aap hazraat ke.....

1. Janab Altaf Maroofi sb.

Bala k dasht me sookhe huwe lab'haaye Asghar se

Ba waqt e Asr shamsheer e shahe wala ke tewar se
🌹
Qasam Allah ki toofan e zulm o jaur larzenge

Labo'n ko Eek jumbish do Agar ghaazi dilaawar se
🌹
Yazeediyat patak kr sar Abhi dam tod daalegi

Azaadaro utho tum hausla lekar bahattar se

2. Janab Naushad Bijani sb.

Hamaara azm tootega nahi aghyaar ke dar se.
Na kam hoga hamaara hausala khaufe sitamgar se.

Nisha'n is qaum ka sadiyo'n se hai abbaas ka parcham
Duae'n is ko milti hai sada binte payambar se.

Na bhulega kabhi paaraachinaar apne shaheedo'n ko.
Sada rone ki or maatam ki aayegi harek ghar se.

Yazeede waqt ke zulm o sitam se ham nahi darte.
Hamesha ham liya karte hai darse sabr sarwar se.

Yazeedi ham pe dhaate hai sitam har daur me lekin.
Nahi kar paaye woh kam ayk bhi qatra samandar se.

Raho mazloom ke haami sada Navshad yeh kehkar.
Azadaro'n utho tum hausla leke bahattar se.

3. Janab Arshad sirsivi sb

Sawal e umme laila hai yahi har ek madar se

Tumhara laal afzal ho gaya kya mere akbar se

Sadaye'n aa rhi hain shaam ke is khooni manzar se

Jawano kya hua tumko nikalte kyun nahi ghar se

Kabhi gustakhi karta hai koi shaan e risalat me

Kahi'n quran udta hai kisi zalim ki thokar se

Ali ki bhi wasiyat hai raho mazloom ke sathi

Khuda jab sath hai apne to kya darna sitamgar se

Musalmano ne aisa deen ka chehra bigada hai

Gale kat te hain ab to nara e allah o akbar se

Unhi logo ka mustaqbil likha karte hain kuch rehzan

Bhatak jate hain jo rahi safar me apne rehbar se

Ghalazat oudli (ओढ़) afsos daeish ki jahalat ki

Musalma'n be_khabar jab ho gaya deen e payambar se

Madarse majlis o masjid bhi maqtal bante jate hain

Magar ye qaum hai jo dil lga baithi hai dolar se

Khilaf e matam e sarwar chali hain kab ye tehreeqe'n

Kuch ahmakh aansu'o ko kaatne nikle hain khanjar se

Ajab akhbaiyat ke naam ki phaili hai beemari

Kiya karte hain shiyya par hi shiyya tanz mimbar se

Philistini ho shaami ho ya pakistani kashmiri

Madad darkar hai sabko azadarane sarwar se

Waba phaili hai daulat mand mardo me ye fasion ki

Khawateeno ko apni rokte hain khud hi chadar se

Sada aati hai ye tehreeq e mukhtar e sakhafi se

Azadaro utho tum hausla lekar bahattar se

Khilaf e zulm khamoshi se kab tak baithe rehna hai

Nikalna hai baraye qaum har ek fard ko ghar se

4. Janab Rizwan Sb

Kabhi Akbar kabhi asgar kabhi Gazi DILAWAR se

Azadaro utho tum housla lekar bahattar se

Lagai ja rahi he bazm me Ash'aar ki boli

Yahi Ummid thi kya shaah KO apne sukhanwar se

5. Janab Kaifi kalkatwi sb.

*Sada aati hai dekho momino'n ye qalb e akbar se*
*Azadaro'n utho tum hausla le kar bahattar se*

*Kabhi na sar jhukana zulm ke aage azadaro'n*
*Sabaque paya hai humne bas yehi shabbir o shabbar se*

*Aye zaalim hukmarano'n hai yehi paigham e gham apna*
*Kabhi ulfat na chorhenge suno hum ibn e haider se*

*Shahadat ho gayi jiski sitamgar ke dhamake se*
*Hua kya eid ke din koi puche uski madar se*

*Tadap kar mar gaya roze ki halat mei'n ali wala*
*Khata uski rahi usko mahabbat thi payambar se*

*Hazaro'n koshishei'n karle hazaro'n kar dhamake tu*
*Kabhi ghafil na honge hum hussaini apne rehbar se*

*Dua karta hai kaifi bas shahido'n ke gharane ko*
*Sukoon e qalb haasil ho unhei'n sarwar ki madar se*

6. Mohtarma Sakeena Sahiba

Ali wale hai ham darte nahi koi sitamgar se

Hara payega hamko na zamana maut ke darr se

Hamare sar pe hai saya hamare maula mehndi (atfs) ka

Azadaro'n utho tum hosla lekar bahattar se...

7. Janab Masoom Najaf Maroofi sb.

Dara karte nahiN ham zulm ke  shamsheero khanjar se
Sabaq himmat  ka pad rakha hai abbase dilwar se

Lade ga kis  tarah abbase ghazi se  aduwe deeN
Adu jab haar jate  haiN  shahe  wala  ke  Asghar sent

Kabhi bhi  raah  me mushkil tumhare samne  aaye
AzadaroN utho tum hausala lekar bahattar we

JawaN bachche pesar burhe shaheedi jaam ko pi kar
MileNge khuld me jakar NAJAF wah seedhe sarwar se

8. Janab Zeeshan Aazmi sb.

सदा रोने की उठती है हर मज़लूम के घर से
खुदाया रख हमें महफूज तू शैतानो के शर से

खिलाफे ज़ुल्म जो कहते नहीं कुछ भी किसी डर से
मोहब्बत हो नहीं सकती कभी उनको पय्मबर से

बिछादो ढेर लाशों के जहां तक हो सके लेकिन
तज़क्कुर कर्बला का रुक नहीं सकता है मेंबर से

कहां तक जुल्म के साए में हम चुपचाप बैठेंगे
अजादारों उठो तुम हौसला लेकर बहत्तर से

समझ सकते हो तो समझो तरसटी अंजुमन वाले
मसाजिद और अज़ाखाने चला करते है रहबर से

हमारी क़ौम पर यूं ही नहीं का़बिज़ हुए ज़ालिम
किसी हद तक मुसलमां की खता भी है बराबर से

कोई इंसान नजर आता नहीं शहरे ख़मोशा मे
मुसलमॉ क़त्ल होते हैं यंहा जीशान खंजर से

✍ ज़ीशान आज़मी

صدائے رونے کی  اٹھتی ہیں ہر مظلوم کے گھر سے
خدایا رکھ ہمیں محفوظ تو شیطانوں کے شر سے
 
خلافِ ظلم جو کہتے نہیں کچھ بھی کسی ڈر سے
محبت ہو نہیں سکتی کبھی ان کو پیمبر سے

بچھا دو ڈھیر لاشوں کے جہاں تک ہو سکے لیکن
تذکر کربلا کا رک نہیں سکتا یے منبر سے
 
کہاں تک ظلم کے سائے میں ہم چپ چاپ بیٹھیں گے
عزادارو! اٹھو تم حوصلہ لے کر بہتر سے

سمجھ سکتے ہو تو سمجھو ٹرسٹی انجمن والو
مساجد اور عزاخانے چلا کرتے ہیں رہبر سے

ہماری قوم پر یوں ہی نہیں قابض ہوئے ظالم
کسی حد تک مسلماں کی خطا بھی ہے برابر سے

کوئی انساں نظر آتا نہیں شہر خموشاں میں
مسلماں قتل ہوتے ہیں یہاں ذیشان خنجر سے

9. Janab Anees Abr sb.

Janaze uth rahe hai nau-jawano ke har ek gharse,
Azadaron utho tum hausla lekar bahattar se..

Taqaza waqt ka ye hai Wo hamla abke ho badkar
Yazeed e waqt ke haami khud apni mout ko tarse

10. Janab Aijaz Ali sb.

*WO RAUZA JITNI JALDI HO SAKE TAMEER KARNA HAI*

*YAHI TO JA KE HAM WAADA KARE ZEHRA (SA) KI MAADAR SE*

*CHALO TAMEER KARNA HAI WAHAÑ PAR ROUZA E ZAHRA (SA)*

*AZADARO'N UTHO TUM HOUSLA LEKAR BAHATTAR SE*

11. Janab Kumail Nagri sb.

Shaoore fikr ko parwaaz do hur ke mukhaddar se.
Azadaro utho tum hawsla lekar bahattar se
🌹
Dhamako'n se kahaa'n takk zalimo isko dabaoge.
Sadaye'n aarahi hai'n matame sarwar ki ghar ghar se.
🌹
Zamane bhar me zalim dharahe hai'n zulm shiyo'n par.
Jawab ab ei'nt ka dena padega humko patthar se.
🌹
Na choote damane haq haath se chahe jo hojaye.
Mila ye dars hum ko meesamo salmano buzar se.
🌹
Kaha meesam ne katega zuba'n to kaat lene do.
Ali ka madha kha'n hu'n mai nahi darta sitamgar se.
🌹
Qayamat tak hamari qhaum ab rasta na bhatkegi.
Mila hai hum ko aisa peshwa allah ke ghar se.
🌹
Bnaya hai khud usne ye jaha'n ya bante dekha hai.
Jo dawaye salooni kar raha hai roz mimbar se
🌹
Nazar me meri tum tinke ka darja bhi nahi rakhte.
Tabassum kehraha hai be zuba'n asghar ka lashkar se.

Humakkar aagaya hai fatema sughra ki godi se.
Na jaane kaan me kiya kehdiya sarwar ne asghar se.

Tumhare baad mare hai'n tamache shimr ne baba.
Sakina bain karti hai lipatkar baap ke sar se

Ye nauha zainabe dilgeer ka tha maa'n ki turbat par.
Gala kata hai bhayi ka layee'n ne kund khanjar se.

Malak bole lahed me aake ye peelo *kumail* uthkar.
Tumhare waste hum jaam le aaye'n hai'n kausar se.
🌹☘🌹☘🌹☘🌹☘

12. Janab Taqi Kazmi sb.

Sitaro me ziya baqi hai ab bhi husn e akbar se.
Ali akbar ki milti hai taqi surat payambar se.

Mujhe rab ne ataa kr di ali ke ishq ki dolat.
Mai isse qmti mangu bhi kya mhbube dwar se.

Mai jis jis ka bhi maula hu usi ka hai ali maula.
Sadaye ghunjti hai aaj bhi ye khum ke mimbr se

Agr shamil jo hona hai tumhe maula k lshkr me.
Azadaro utho tum hosla lekr bhattar se.

13. Janab.Syed Ali Abbas(Fasih)
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
         
Munawer zeesth hai apni ghum e sibte paiyamber se.

Aza e shae na kam karna sitamgaar'on ke tum darr se.

Agar dar pesh ho koi yazeed e bad ki makaari.

Azadaaro utho tum hausla lekar bahatter se.i

No comments:

Post a Comment