Wednesday 19 July 2017

Tarhi Misra: Girya kuna'n hai roohe payambar baqee' me

⚫ *BAZM-E-SHOARA* ⚫
  
     SalamunAlaikum.

*MISRA BARA E NAWHA*  

              👇👇👇👇

*Girya kuna'n hai roohe payambar baqee' me.*

Qafiya: 👉 *Payambar.*
Radeef : 👉 *Baqee' me.*

Misra by👉🏻  *Navshad Bijani.*

Pesh karda MISRE par shoara hazraat ke nawha aur qat'aa peshe khidmat hai .

30/06/2017

1. Janab Zeeshan Aazmi sb.

قبضہ کئے ہیں آج ستمگر بقیع میں
امّت کی بے بسی ہے اجاگر بقیع میں

سوتے ہوئے ضمیر جگا عاشقِ نبی
گریہ کناں یے روح پیمبر بقیع میں

✍ ذیشان آعظمی

कब्जा किए हैं आज सितमगर बक़ीअ़ में
उम्मत की बेबसी है उजागर बक़ीअ़ में

सोते हुए ज़मीर जगा आशिके नबी
गिरया कुना है रूहे पयंबर बक़ीअ़ में

✍ ज़ीशान आज़मी

Kabza kiye hai aaj sitamgar baqee me
ummat ki bebasi hai ujaagar baqee me

Sote hue zameer jagha aashiqe nabi
Girya kuna hai rohe payambar baqee me

😭😭😭😭😭😭

2. Janab Anees Abr sb

عباسؑ کے علم کو لگاکر بقیع میں
سایہ کرےگا بارواں آکر بقیع میں

Abbas(as) ke alam ko lagakar baqee'a me,
Saya karega baaravaaN aakar baqee'a me..

بکھرے ہوئے ہیں کرب کے منظر بقیع میں
گریہ کناں ہے روحِ پیمبرﷺ بقیع میں

Bikhre huwe hain karb ke manzar baqee'a me,
GiryakunaN hai rooh e payambar(saw) baqee'a me..

بعدِ ظہورِ مھدیؑ ہمیں کون روکےگا
ماتم کریںگے ہم سبھی جاکر بقیع میں

Baad e zahoor e Mahdi(atfs) hame kon rokega
Matam karenge ham sabhi jakar Baqee'a me..

عالم کی شاہزادی پہ کیسا ستم ہے یہ
تپتی ہے قبرِ فاطمہؐ دِن بھر بقیع میں

Aalam ki shahzadi pe kaisa sitam hai ye,
Tapti hai qabr e Fatema(sa) dinbhar baqee'a me..

شبّیرؑ کی لحد پہ جھاں غم مناتا ہیں
شبّیرؑ غم مناتے ہیں آکر بقیع میں

Shabbir(as) ki lahad pe jahaaN gam manaata hai,
Shabbir(as) gam manaate hain aakar baqee'a me..

کیا غیب میں چراغ ہے قبرِ بتولؐ کا
اتنا اندھیرا چھایا ہے کیوںکر بقیع میں

Kya gaib me charagh hai qabr e Batool(sa) ka,
Itna andhera chhaya hai kyukar baqee'a me..

بی بیؐ مجھے بھی اب تو زیارت نصیب ہو
جلد آئے اب تو آپ کا نوکر نقیع میں

Bibi(sa) mujhe bhi abto ziyarat naseeb ho,
Jald aaye ab to aapka naukar baqee'a me..

امّت نے باپ کے لیئے گنبد رکھا مگر
بیٹی کے واسطے رکھے پتھر بقیع میں

Ummat ne baap ke liye gumbad rakha magar,
Beti ke waste rakhe paththar baqee'a me

میری نظر میں رشک کے قابل ہیں ابرؔ وہ
رہتے ہیں روز و شب جو کبوتر بقیع میں

Meri nazar me rashk ke qabil hain Abr wo,
Rehte hain roz o shab jo kabutar baqee'a me..

😭😭😭😭😭😭😭

3. Janab Kumail Nagri sb.

Dhate hai'n haaye  zulm sitamgar baqee'a me.
Giryaa'n kuna'n hai'n roohe payambar baqee'a me.

😭

Masoom ke mazaaro'n ko pamaal kar diya.
Bikhre pade hai'n qabro pe patthar baqee'a me.

😭

Tute hai'n ahlebaite mohammed ke sab mazaar.
Shame ghariba'n jaisa hai manzar baqee'a me.

😭

Jalti hai roz dhoop me turbat batool ki.
Nalaa'n hai roohe saqiye kausar baqee'a me.

😭

Qabre hasan pe bandhi hai'n aada ne bakriya'n.
Qalbe nabi pe chalte hai'n kanjar baqee'aAlma me.

😭

Marne ke baad bhi tumhe amma mila na chain.
Kehti hai roke zainabe muztar baqee'a me.

😭

Abid pe bhi huwa hai sitam fatema ke saath.
Unka bhi hai mazare muthhar baqee'a me.

😭

Larzaa'n hai shaa'h zadiye kaunain ki lahed.
Kiya aagaye hai'n sibte payambar baqee'a me.

😭

Jane na paye koyi ziyarat k waste.
Pehra kiye khade hai'n sitamgar baqee'a me.

😭

Sar pito ay *kumail* qayamat ka roz hai.
Sar peet te hai'n sare payambar baqee'a me.

⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛

4. Janab Eram Mehdi sb.
🌑🌑🌑🌑🌑🌑🌑🌑

*Dam ghut raha dekh ke manzar baqee me*
*Girya kuna hai rooh e payambar baqee me*
*Saya na ek charagh hai qabr e batool pr*
*har zulm dha rahe hain sitamgar baqee hain*

🌑🌑🌑🌑🌑🌑🌑🌑🌑

5. Janab Meer Jafar Ajmal sb.

           🌿🌿🌿
     
LOGO'N YE KAISA HO GAYA MAHSHER BAQEE MEIN...
SER PEETTE HAI SAQIYE KOUSER BAQEE MEIN...
             🌿🌿🌿
KIS TARAH SOYE GUMBAD E QHIZRA MEIN ABB RASOOL...
BE SAAYA HAI JO AALE PAYAMBER BAQEE' MEIN...
             🌿🌿🌿
MARNE K BAAD CHAIN SE SONE NAHI DIYA...
KAISA HUWA HAI DEKHO YE MAHSHER BAQEE' MEIN...
              🌿🌿🌿
PAHLU SHIKASTA FATIMA KI QHABRE DEKH KER...
GIRYA KUNA'N HAI ROH E PAYAMBER BAQEE' MEIN...
            🌿🌿🌿
ZALIM NE AJJ USS KO HAI MISMAAR KER DIYA...
TURBAT BANA JO AAYE THE HYDER BAQEE MEIN...
          🌿🌿🌿
KAISA SITAM HAI DEKHIYE QHABROU K NAAM PER...
ADAA NE KUCH BIKHERE'N HAI'N PATHER BAQEE MEIN...
           🌿🌿🌿
DADI K GHUM MEIN ROOTE HAIN APNA BHULA K GHUM...
ABID HASSAN O BAQER O JAFFER BAQEE MEIN...
           🌿🌿🌿
MERA ZAMEER KAHTA HAI AJMAL YE RAAT DIN...
JAKER CHADHAO ASHQ O CHADER BAQEE MEIN...

         🌿🌿🌿

6. Janab Ghazi Abbas sb.

Hai aaj bhii wo karb ka Manzar baqee' Mey
Gherey hai fatema Ko sitamgar baqee' Mey

Rehtey nahi Rasool qudd apni mazaar Mey
Rehtey hai aansu apney bahaakar baqee' Mey

Ummat ney darr batool ka pehley jalaadiya
Rauza giraaya baad mey aakar baqee' Mey

Har damm sadaa ye aati hai qabr e Rasool se
Beti teri lahad hai Kahaa par baqee' mey

Bey Saaya apni beti ki marqad Ko dekhkar
*Girya kunaa hai rooh e payambar baqee' Mey*

Qabr e batool hi nahi ummul banee'n ki bhi
Tootii huwi hai qabr e mutahhar baqee' Mey

Baithey hai sayyada ke ghumo ki ilaaj par
Pehraa lagaaye zulm ke Lashkar baqee' Mey

Ummat ney ajr Baad e Nabi kis tarha diya
Dekhey koii to aaj bhi jaakar baqee' Mey

Gaibat Mey qoon Roney lagey jab merey imam
Rauzey pey hamlawar they sitamgar baqee' Mey

Parda uthaakey aayiye aye waaris e Rasool
Maatam karengey saath Mey milkar baqee' Mey

Baad e zahoor hukm e imam e zamaan se
"GAAZI" padheyga nauha ye jaakar baqee' Mey

😭😭😭😭😭😭

7. Janab Zia Haidar sb.

Ummat ne kaisa ajre risalat ada kiya,
Mismaar Fatima ki lahad kar baqeeA me.
Mismaar qabr Fatima Zehra ki dekh kar,
Girya kunaN hai roohe payambar baqeeA me.

😭😭😭😭😭😭

8. Janab Naushad Bijani sb.
😭😭😭😭😭😭😭

*Ahwale baade rasool (saw.)*

Baade rasool binte payambar baqeeA me.
Baaba pe girya karti thi aksar baqeeA me.

Din me woh ro na paati madeene me baap par.
Sar apna peet'ti thi woh jaakar baqeeA me.

Us dam abuturaab ne zehra ke vaaste.
Mitti ka tha bana diya ik ghar baqeeA me.

Shab bhar bahaati ashk musalle pe faatema.
Maatam woh karti baap ka din bhar baqeeA me.

Ungli woh maa'n ki thaam ke purse ke waaste.
Jaate the saath shabbeer o shabbar baqeeA me.

Tooti huvi thi pasliya'n or zakhmi thi kamar.
Ghamkhwaar fir bhi jaati thi chal kar baqeeA me.

Roti jo bayte huzn me baccho'n ke saath maa'n.
Tab bheeg jaati ashko'n se chaadar baqeeA me.

Subbat alayya keh ke bahaati thi raat din.
Aankho'n se aansu'n ka samandar baqeeA me.

😭😭😭😭😭😭😭

*Shahaadat aur tadfeen*

Baaba ko rote rote jaha'n se woh chal basi.
Lekar janaaza aagaye haidar baqeeA me.

Miqdaad or huzayfa va salmaan the shareek.
Or saath the ali ke abuzar baqeeA me.

Mayyat utaari qabr me haidar ne jis ghadi.
Do haath dekhe qabr ke andar baqeeA me.

De do muje ye meri amaanat hai yaa ali.
Ro kar lahad se bole payambar baqeeA me.

Zaaro qataar roye ali sar ko peet kar.
Binte nabi ki qabr banaakar baqeeA me.

Jab aaye qabr khodne ne yasrab ke hukmara'n.
Tab hashr sa bapa huva manzar baqeeA me.

Haatho'n me zulfiqaar liye aa gaye ali.
Or ho gaye savaar lahad par baqeeA me.

Kehne lage jo aayega is qabr ke qareeb.
Dam lunga uska khoon bahaakar baqeeA me.

Yaad aa gayi adu ko mohammad ki yeh hadees.
Ghalib na hoga koi ali par baqeeA me.

Tha haybate ali ka laeeno'n pe yeh asar.
Kaanp uthhe khauf o dar se sitamgar baqeeA me.

Badla ali se le liya teraa so (1300) saal baad.
Todi laee'n ne qabre mutahhar baqqeA me.

Beti ke gham me doob ke Navshad aaj tak.
Girya kuna'n hai roohe payambar baqeeA me.

😭😭😭😭😭😭😭





😭😭😭😭😭😭😭

*Baade shahaadat*

Madfoon hai rasool ki dukhtar baqqA me.
Aankho'n me bhar ke ashko'n ke saaghar baqeeA me.

Jab se huvi hai dafn mohammad ki laadli.
Roti hai tab se qabr ke andar baqqeeA me.

Teero'n se chhalni dekh janaze ko ro padi.
Jis waqt dafn hote the shabbar baqeeA me.

Aamaada karbala ke safar pa the jab husain.
Roi thi tab bhi zehra tadap kar baqeeA me.

Chaalni sa lag raha tha jigar faatema ka tab.
Jab al-widaA kehte the sarwar baqeeA me.

Yasrab me aaye the jab aseerane karbala.
Roi thi aake zaynabe muztar baqeeA me.

Ummul baneen roti thi jab jab husain par.
Kehti thi zehra *haaye ghazanfar*, baqeeA me.

Roi thi baal kholke binte rasool jab.
Hote the dafn aabide muztar baqeeA me.

Har zulm seh ke daadi ke pehlu me ho gaye.
Madfoon haaye baqiro ja'afar baqeeA me.

Beti ke gham me doob ke Navshad aaj tak.
Girya kuna'n hai roohe payambar baqeeA me.

😭😭😭😭😭😭😭

9. Janab Altaf Maroofi sb

Parwardegaar kaisa hai manzar Baqeea me

Saaya na saaybaa'n hai na chaadar Baqeea me

Mismaar hai Mohalla e Ahmad ki kaaynaat

Suraj baras raha hai baraabar Baqeea me

Ay chaaNd sirf tuhi akela cheraag hai

Shab bhar zeya bikher de Jakar Baqeea me

Ay Sayyeda k noor e nazar Ab to laut Aa
Girya kuna'n hai rooh e payambar Baqeea me

Mismaar kr k fatema binte Asad ki Qabr

banwa diya laeeno ne daftar Baqeea me

Altaf isse badh k bhala Aur kya likhuN

dam Todti HawayeN hain Aakar Baqeea me

😭😭😭😭😭😭

10. Janab Arshad Sirsivi sb.

Shabbar ali o baqir o jafar baqee me

Bikhari hui hai daulat e haidar baqee me


Dekha hai hamne bareha jakar baqee me

Ujdi hui bahishat ka manzar baqee me


Baithi hai chaar beto ke hamrah zere dhoop

Barso se haye binte payambar baqee me


Chhup chhup ke hath seene pe do chaar maar kar

Rote hain soghwar barabar baqee me


Kar daali haye qabr e nabi zadi munhadim

Kuch zalimo ne shirq batakar baqee me

Ujdi hui batool ki turbat ko dhekh kar

Giriya kuna hai rooh e payambar baqee me


Rote hain har  aathwi  (8vi) shawwal ko ali

Apni lahed ko chhod ke aakar baqee me


Barso se be mazar hain ye teeno fatima

Ek dadi mujtaba ki do madar baqee me

Ummat ne kaisa ajre risalat ada kiya

Ye sochte to honge payambar baqee me

Deta na bin wahaab jo fatwa e inhidam

Hota na barpa hashr ka manzar baqee me

Farzand e fatima ko zara aane deejiye

Shiyya karenge matam e sarwar baqee me

Dekha to hoga gumbad e khizra ne sara haal

Jo zulm ho rahe the sarasar baqee me



Dar ko jalane walo ki manind aaj bhi

Ghhere hain fatima ko sitamgar baqee me

Pehle hi haye pehlu shakista thi fatima

Phir dhaya zulm roza girakar baqee me

Veerani qabr e fatima zahra ki dekhkar

Rote hain momineen tadap kar baqee me

Arshad ki aarzoo hai ke hamrahe anjuman

Alam sunaye noha ye jakar baqee me
😭😭😭😭😭😭😭

No comments:

Post a Comment