Wednesday 19 July 2017

Tarhi Misra: Ali ka ishq pakeeza Qabeela dhoond leta hai

09/07/2017 updated
🌺 *BAZM-E-SHOARA* 🌺
  
     SalamunAlaikum.

*MISRA BARA E MANQABAT*  

              👇👇👇👇

*Ali ka ishq pakeeza Qabeela dhoond leta hai.*

Qafiya: 👉 *Qabeela.*
Radeef : 👉 *dhoondh leta hai..*

Misra by👉🏻  *Janab Altaf Haidari Maroofi sahab*

Pesh karda MISRE par shoara hazraat ke kalaam aur qat'aa peshe khidmat hai .

🌹🌹🌹🌹🌹

1. Janab Taqi Kazmi sb.

Andheri rat me aksar ujala dhund leta hai.
Samandar ki rawani me kinara dhund leta h.

Zamane me koi sheh ki tarha johri nhi milta.
Jo lakho patharo me bhi nagina dhoond leta hai.

Bhatakna chur deta hai zamane bhr ki raho me.
Ali ke ishq ka jo bhi safina dhoond leta hai.

Ho duniya me khi bhi ae taqi shabbir ka aashiq.
Gham e shabbir ki ulat ka dariya dhoond leta hai.

Hai Shahid aaj bhi hur ka wo aana shah ki janib.
Ali ka ishq pakiza qabila dhoond leta hai.

🌹🌹🌹🌹

2. Janab Fasih Ali Abbas sb.

Ali ka ishq pakeeza qabeela dhoond leta hai.

Aur apni aqeebat ka bhi natija dhoond leta hai.

Qasam hai nuh ki suniye agar toofa'n me phans jaaye.

Najaat e jawedaani ka safina dhoond leta hai.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

3. Janab Muntazir sb.

1).*WO JIS TARHA SE PARWANA UJALA DHOOND LETA HE
     HUSSAINI YU.N AZA KHAANA E ZAHRA DHOOND LETA HE

2) HE PATTI ANKHO.N PE PAR ISHQ E SHAAH E DEE.N LIYE DIL ME
  WO DEKHO KESE HUR JANNAT KA RASTA DHOOND LETA HE

3) KISI HAAJI KO QAABA DHOOND NE JAATA NAHI LEKIN
  AZA KE ASHQ KO RUMAAL E ZAHRA DHOOND LETA HE

4) WO JIS KE CHAUDAH CHAUDAH RAAHBAR HO BOLTE QURA.N
WO QURA.N ME TABARRE KA SALIQA DHOOND LETA HE

5)WILAAYAT LAFZ KA MAFHOOM BAS VOHI SAMAJTA HE
QITAAB E ISHQ ME JO KHUM KA NAQSHA DHOOND LETA HE

6)TAWAAF E KHAANA E QAABA KO SHIYA JAB BHI JAATA HE
KHUDA KE GHAR ME BHI HAYDER KA JALWA DHOOND LETA HE

7) MAGAR MACHH KI TARHA AANSU BAHAANA JAANTA HE JO
AMAN ME BHI VO SAANPO.N KA BAHAANA DHOOND LETA HE

8)SAHEEFE.N JITNE BHI LIKKHE GAYE HE.N BUGZ E HAYDER ME
  SANA E MURTAZA UN ME BHI SHIYA DHOOND LETA HE

9). ME QIMAT KIS LIYE MAANGU MERE ASH'AAR KI KE JAB
  KAYEE RASTO.N SE MUJ KO RIZQ MERA DHOOND LETA HE

10) WO DEKHO AA GAYE SALMAAN FAARAS SE MADINE ME
  ALI KA ISHQ PAAQEEZA QABILA DHOOND LETA HE

11)ALI KA NAAM LE LE *"MUNTAZIR_* TOOFAAN ME JO BHI
TO PHIR KASHTI KO US KI KHUD KANAARA DHOOND LETA HE

🌹🌹🌹🌹🌹

4. Janab Zeeshan Aazmi sb.

जहां में आदमी मंजिल का रास्ता ढूंढ़ लेता है
अगर तहक़ीक़ करता है क़रीना ढूंढ लेता है

कोई मुश्किल नहीं है कर्बला के दश्त में उसको
वह हुर है मुश्किलों में भी ठिकाना ढूंढ लेता है

अली का चाहने वाला कभी जाहिल नहीं होता
खुदा की मारेफत का वह खज़ाना ढूंढ लेता है

परेशान क्यों है ग़फिल इल्म हासिल कर जवानी में
खुदा का रिज़्क लिख्खा है वह बंदा ढूंढ लेता है

कोई भी दौर हो या फिर इलाक़ा हो मुनाफिक़ का
अली का इश्क पाकीज़ा क़बीला ढूंढ लेता है

ज़माने की हजा़रों मुश्किलें उस पर पड़ी लेकिन
खुदा को पाने का ज़िशान लम्हा ढूंढ लेता है

🌹🌹🌹🌹🌹

5. Mohtarma Sakeena Sahiba

Woh apne dard ka hardam mudaava dhoond leta hai.
Ali ka iqsh pakeeza qabeela dhoond leta hai

Jahaalat ka andhera jab bhi usko gher leta hai.
Dare sarwar pe jakar woh ujaala dhoond leta hai

Maye ishq e ali ka jaam maadar ne pilaya hai
Hamesha pyasa me jame tavalla dhoond leta hai

Jise toofaane baatil gher leta hai,  hamesha woh.
Ali ke naam se haq ka safeena dhoond leta hai

Jo apni har tamanna ko dare khalik pe rakhe wo
Khuda se baat karne ko musalla dhoond leta hai

Munawwar sham'a jiske dil me ho ishqe shahedee'n ki.
Woh misle hur andhero se ujala dhoond leta hai.

Sakeena haq ka matvaala nahi ghabrata baatil se.
Ali ki raah par chal kar woh uqba dhoond leta hai.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

6. Janab Ghazi Abbas sb.

*BISMILLAH*

Ali ke ishq ko saara zamaana dhoond letaa hai
Ali ke bugz ko waahid kameena dhoond letaa hai

1) Saqaawat ke samandar ka gulaamii Hai jisey haasil
Wo faaqo mey bhi jeeney ka saleeqa dhoond letaa hai

2) Na rehta eak bhi pal ko akela wo julooso mey
Alam Abbas ka Mashk e Sakina dhoond leta Hai

3) Janaab e nooh ney naad e Ali ka Damm Kiya uspey
Bass ab kashti ko Toofaa mey safeena dhoond letaa hai

4) Koii bhi mulk mey jaakar raheyga par moharram mey
Azaa e shaah ko momin ka seena dhoond letaa hai

5) Karodo ke mohibbo mey tumhey aye teen sau Tera (313)
Ali ka aaqri beta akela dhoond letaa hai

6) Kabhi meesam ki soorat aur kabhi hurr e dilaawar ke
*Ali ka Ishq paakeeza qabeela dhoond letaa hai*

7) Jahannum aur jannat aisey insaa'n par hasengey jo
Dikhaawey ki mohabbat mey aqeeda dhoond letaa hai

8) Maye hubb e Ali ko tuu chupaakey rakh nahi sakta
Nashey mey doobkar bhi ho nasheela dhoond letaa Hai

9) Tujhey kyu fikr Hai waayiz jinaa ki aur jahannum ki
Terey aamaal qudd Tera nateeja dhoond letaa hai

10) Yuhii bantey nahii har koi shaayar bazm e shoara mey
Gohar naayaab ho to qudd qaseeda dhoond letaa hai

11) Ghum o aalam ke nargey mey agar *GAAZI* phaseyga to
Faqat aal e mohammad ka  Waseela dhoond letaa hai

🌹🌹🌹🌹🌹🌹

7. Janab Hasnain Maroofi sb.
🌹🌹🌹786🌹🌹🌹

gule mid,hat gulista,n ka ilaaqa dhondh leta hai

mu,addat ke har ek taayer   ko maula dhondh leta hai

Ayaa,n hota nahi zulm o sitam ke qalb ke andar

Ali ka ishq paakeeza qabeela dhondh leta hai

Khadi  ho jaaiye binte asad diwaar ke aage

Abu taalib ka beta hai ye rasta dhondh leta hai

Sawaare doshe paighambar ho ya ki ho jawaao,n par

Ali ka naqshe paa khaaliq ka kaaba dhondh leta hai

Chadhaao chaahe sooli par zuba,n kaato jaha,n waalo

Ali ka peyaar  jeene ka saleeqa dhondh leta hai

Ghataane se nahi hasnain ghat sakta koyi hargiz

Jaha,n par martaba qaayem hai jis ka dhondh leta hai

🌹🌹🌹🌹🌹

8. Janab Manzoor sb.

ye behte dariya ka pani hai rasta dhoond leta hai
ali ka ishq pakiza qabila dhoond leta hai

zami'n per manzil e meraj apni aasmano se
utar kar chaukhat e haider sitara dhoond leta hai

dar e haider se jo mansoob ho jaye koi qatra
samander ko harane ka wo jazba dhoond leta hai

bayan e haq ka jazba daur e zulmat me ali wala
kabhi behlol sa banker diwana dhoond leta hai

qalam manzoor jab bhi midhat e mola me uthta hai
khud akar mujhko lafzo'n ka khazeena dhoond leta hai

🌹🌹🌹🌹🌹

9. Janab Arshad sirsivi sb.

1
अमीरे तिशनगी को आबे दरिया ढूंड लेता है
कहाँ यूसुफ़ है ये इश्के ज़ुलैख़ा ढूंड लेता है

2
मेरे आँसू को ये रूमाले ज़हरा ढूंड लेता है
अजब है जौहरी पत्थर में हीरा ढूंड लेता है

3
मुहिब्बे मुर्तज़ा को ख़ुश अक़ीदा ढूंड लेता है
जहाँ जाता है परवाना उजाला ढूंड लेता है

4
बशर परदेस में आशूर ख़ाना ढूंड लेता है
मोहर्रम आते ही अपना ठिकाना ढूंड लेता है

5
तवाफे शहरे यसरब करते करते अर्श का तारा
पता दहलीज़ ए हैदर का हमेशा ढूंड लेता है

6
बशर में जागता है जब शऊरे पैरवी ए हुर
तो खुद्दारी से जीने का सलीक़ा ढूंड लेता है

7
तुराबे क़ब्रे सरवर का पता दुनिया से मत पूछो
ये वो मंज़िल है जिसको ख़ुद ही सज्दा ढूंड लेता है

8
अज़ादारे हुसैन इब्ने अली में है सिफत ऐसी
पराये शहर में जाकर भी अपना ढूंड लेता है

9
किसी को रहनुमा कब मानता है फ़िक्र का ताइर
अली के इश्क में खुद आबो दाना ढूंड लेता है

10
उसी को हुर कहा जाता है तारीख़े शहादत में
जो आंखें बन्द करके बाबे तौबा ढूंड लेता है

11
अली का चाहनेवाला अगर सूली पे चढ़ जाए
वहाँ भी मदहे मौला का बहाना ढूंड लेता है

12
बिछड़ता है कोई जब कारवाने ज़िंदगानी से
मुसाफिर या अली कहता है रास्ता ढूंड लेता है

13
कोई बच्चों को सिखलाता नहीं है मातमे शब्बीर
जो पाक़ीज़ा लहू है ख़ुद तरीक़ा ढूंड लेता है

14
अली वो इस्मे आज़म है जिसे दोहराते दोहराते
जो ना बीना है वो भी हक़ का रास्ता ढूंड लेता है

15
बड़ा ग़य्युर है मौजों का भी एहसां नहीं लेता
पता ख़ुद अपने मौला का अरीज़ा ढूंड लेता है

16
लगा कर बज़्म में नारा अली का फ़क्र से मोमिन
है किसके दामने ग़ैरत पे धब्बा ढूंड लेता है

17
अलमदारी की ख़ातिर बच्चा बच्चा क़ौमे शीय्या का
शऊरे साहिबे दस्ते बुरीदा ढूंड लेता है

18
अली का नाम कन्दा करता है जब ना ख़ुदा कोई
सफ़ीना ख़ुद तलातुम में किनारा ढूंड लेता है

19
नबी के शीशा ए अख़लाक़ में बाला नज़र वाला
अबुतालिब के किरदारों का चेहरा ढूंड लेता है

20
मदद दरकार होती है इमामे वक़्त को जिस दम
तो इक बेशीर भी अन्दाज़े हमला ढूंड लेता है

21
उसे ज़िन्दान में भी लुत्फ़ आता है इबादत का
मेरे आबिद का जो नक़्शे कफ़े पा ढूंड लेता है

22
रूखे इस्लाम पे जब तिल की हाजत पेश आती है
तो लाशा जॉन का फ़रज़न्द ए ज़हरा ढूंड लेता है

23
अबुज़र मीसमो मुक़दादो कमब्बर हैं दलील इसकी
अली का इश्क़ पाक़ीज़ा क़बीला ढूंड लेता है

24
नुसेरी शिर्क़ की मंज़िल से भी आगे निकल आया
ये रब के बन्दों में माबूद अपना ढूंड लेता है

25
मुसल्ला बस उसी आबिद का देता है सदा ख़ुशबू
जो ख़ाके कर्बला को बहरे सज्दा ढूंड लेता है

26
अजब बंदा शनासी का हुनर है इब्ने हैदर में
चरागे ख़ैमा गुल कर के भी जज़्बा ढूंड लेता है

27
निकलता है जहाँ भी आफ़ताबे लहजा ए अकबर
हर इक बेदार इन्सां हुर का रास्ता ढूंड लेता है

28
किसी पर ख़ौफ़ तारी है नबी के साथ में रहकर
कोई तेगो में भी लम्हा सुकूँ का ढूंड लेता है

29
मोहम्मद का पता सलमान को कोई नहीं देता
मरीज़े इश्क़ ख़ुद अपना मसीहा ढूंड लेता है

30
अली की मनक़बत लिखता है 'अरशद' जब कोई शाइर
तो शम्मे इश्क़ लेकर लफ़्ज़ उम्दा ढूंड लेता है

🌹🌹🌹🌹🌹

10. Janab Shahid mirza sb
🍀🌹🍀🌹🍀🌹🍀🌹🍀

Hussain ibne Ali ka darr jo bandha dhoond leta hai🌱
Wohi khuld e Bari Arshe Moalla dhoond leta hai
🍀🌹🍀

Nusairi iss tarha jawla khuda ka dhoond leta hai🌱
Ali ke chehre mein Rab ka wo chehra dhoond leta hai
🍀🌹🍀

Wahi pahochega jannat mein aqidath ki ziya lekar🌱
Dar e Aale Mohammed ka jo rasta dhoond leta hai
🍀🌹🍀

Sajake daste ulfat par wilayath ke charagho'n ko🌱
Ali ka ishq pakeeza qabila dhoond leta hai
🍀🌹🍀

Ali ki madha ki khatir Zameen e fikr o daanish se🌱
Qalam mera ye lafzo'n ka khazana doondh leta hai
🍀🌹🍀

Ali ka chahne wala sada Nade Ali padkar🌱
Museebath mein sambhalne ka tareekha doondh leta hai
🍀🌹🍀

Duwao'n ko khuda ke paas pahu'nchane ko har momin🌱
Mohammed ke gharane ka waseela dhoond leta hai
🍀🌹🍀

Munafiq kaun hai baita hamari bazm mein SHAHID🌱
Zara si dair mein naara Ali ka dhoond leta hai
🍀🌹🍀

🍀🌼🍀🌼🍀🌼🍀🌼🍀

11. Janab Imran sb.

🔸वो दरिया हो के भी नाचीज़ क़तरा ढूंढ लेता है
मेरे अश्क़ों को खुद रूमाले ज़हरा .. .. ..

🔸उसे मख़सूस कब था सायए अहमद भी हो, लेकिन
बशक्ले हज़रते इमरां वो साया  .. .. ..

🔸ख़ुदा का शुक्र करता है तो कोई हाथ मलता है
दरे मौला अली को जब सितारा  .. .. ..

🔸रेयाकारी की ख़ातिर इदे क़ुर्बां में ज़बीहे को
हुआ मुशरिक के जो महंगे से महंगा .. .. ..

🔸नया ही इल्म मिलता है मोहर्रम जब भी आता है
मगर मुफ़्ती वही हरबा पुराना ढून्ढ लेता है।

क़ताबन्ध~
🔸गुनाहों की वजह से जब कोई नादिम तड़पता है
तो वो दरियाए रहमत से किनारा .. .. ..
🔸अगर तक़वा हो, इस्तेग़फ़ार हो, मुमकिन है राहे हक़
नबी और आल का आशिक़ दोबारा  .. .. ..

🔸न जाने कैसे अंधे थे के ख़ुम में मुंह पे ताला था
कोई अँधा हो वो लेकर सहारा .. .. ..

🔸कभी गौमांस है, जयहिंद के नारे, कभी आज़ान
जो ज़ालिम है सताने का बहाना .. .. ..

🔸हुजूमे करबला का मोजज़ा देखा नहीं जाता
ज़माना हैफ़ है तुझ पर तू बे जा .. .. ..

🔸हसन हों, निम्र हों या ज़कज़कि, अतहर भी शाहिद हैं
अली का इश्क़ पाकीज़ा क़बीला. .. ..

🔸रक़म "इमरान" करिये क़ाफ़िया यूं बज़मे शोअरा में
हर एक शायर यहाँ अच्छे से अच्छा .. .. ..

🌹🌹🌹🌹🌹

12. Janab Eram Mehdi sb.

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷

Ke jaise jauhari sachcha nageena dhoond leta hai
Ali ka ishq pakiza qabeela dhoond leta hai

jise hurr e jari chashm e baseerat bakhsh dete hain
andheron se nikalne ka tareeqa dhoond leta hai

kabhi roke nahi ruktin azaaye shaah ki maujen
Samadar koyi na koyi zareeya dhoond leta hai

Ali wala munafiq ko jala kar shamme midhat se
Ali ke bughhz ka dil me Sharaarah dhoond leta hai

Paye guldasta e islaam , Sarwar Hur ki Surat me
Bala ke dast me laal e shagufta dhoond leta hai

Shaheed e karbala ke khoo'n ka jab toofaan uth ta hai
Ameer e shaam ka daarul amarah dhood leta hai

Zabardsti nahi koi gham e sibt e paymbar me
wo jisko piyaas lagti wo chashma dhoond leta hai

Talab maekhaar e haider ki kabhi puri nahi hoti
Sar-e maqtal, ghadeeri Aaabgeena dhoond leta hai

eram naam e ali lekar qaseeda jab bhi likhta hun
qalam midhat ke lafzon ka Zakheera dhoond leta hai

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷

13. Janab Masoom Najaf Maroofi sb.

🌹 Jo Ahmad ka mohib hai wah khaleefa dhoNd leta hai
Ali ke bughz ka hamil saqeefa dhoNd leta hai

🌹 Ali wala kabhi bikta nahiN deenaro dirham se
Ali wala mohabbat ka khazeena dhoNd leta hai

🌹 Rakhe Jo bughze Haidar wah halaali ho nahiN sakta
Ali ka ishq pakeeza qabeela dhoNd leta hai

🌹 duba sakti nahiN hamko Najaf darya  ki tughyaani
Ali ka naam lete hi safeena dhoNd leta hai

🌹🌹🌹🌹🌹

14. Janab Kumail Nagri sb.

🚩

Shahaadat  bar sare maqtal iraada dhoond leta hai.
Andhera hur ki qismat ka ujaala dhoond leta hai.

🚩

Khareedare jinaa'n ko khud banaakar haath se jannat.
Zamee'n par baith kar behlool daana dhoond leta hai.

🚩

Janabe fatema zahra ki chwkhatt pe jabee'n rakh kar.
Sitaara apni azmat ka thikaana dhoond leta hai.

🚩

Zamaana haq, wafa, sajde ka aur sabro shahaadatt ka.
Kitaabe karbala padhkar kholaasa dhoond leta hai.

🚩

Azaa khane me jaa kar maangta hu'n mai duaa jab bhi.
Asar meri duaa o ka waseela dhoond leta hai.

🚩

Maye hubbe husain ibne ali pee kar jawaani ko.
Habeeb ibne mazaaher ka budhaapa dhoond leta hai.

🚩

Phiraa kar khoshk ho'nto'n par zubaa'n banu tera asghar.
Kayi payaaso'n ka maqtal me nateeja dhoond leta hai.

🚩

Ali asghar tere sadqe me baade karbala ab takk.
Har ek insaan apna aabo daana dhoond leta hai.

🚩

Shabe meraaj shaahe ambiyaa se baat karne ko.
Khuda bhi arsh par haidar ka lehja dhoond leta hai.

🚩

Basera iska bad naslo'n me hargiz ho nahi Sakta.
*Ali ka ishq pakeeza qabeela dhoond leta hai*

🚩

Jinaa'n ki shaah zaadi fatema zahra ke ghar jaa kar.
Sukoone dil shahinshaahe madeena dhoond leta hai.

🚩

Wajoode ambiya ke waaste yasrib ki galiyo'n me.
Khudaa ahmad ke maathe ka paseena dhoond leta hai.

🚩

Ali ka laal apni maa'n ko kirdaare sakina me.
Ali akbar me naana ka saraa pa dhoond leta hai.

🚩

Alam haatho'n me lekar har ali ka chaahne waala.
Qasam allah ki jannat ka rastaa dhoond leta hai.

🚩

Tahe kanjar ali ka laal karne aakhri sajda.
Dahekti rayt par dekho musalla dhoond leta hai.

🚩

Ali ke ishq me sooli pe chadh kar meesame tammaar.
Hayaate jawedaani ka khazaana dhoond leta hai.

🚩

*kumail* aankho'n se jannat ka nazaara  dekhta hai o.
Husain ibne ali ka jo bhi rauza dhoond leta hai.

🔴🔴🔴🔴🔴🔴🔴

15. Janab Zia Haidar sb.

1.
Andhero me mohabbat ka khazaana dhooNdh leta hai,
Ali wala kahiN bhi ho uNjaala dhooNdh leta hai.

3.
Pukaara gar kisi ne ya ali kahkar hai mushkil me,
Fansi dariya me kashti ko kinaara dhooNdh leta hai.

4.
Ali ki shaan tu kya samjhega ai sheikh ai jahil,
Ali ka naam hi sajre khabeesa dhooNdh leta hai.

5.
Asal me hai wohi khoone khabeesa ka nateeja bhi,
Saqeefa me jo apne se khaleefa dhooNdh leta hai.

6.
Wo khaadi mulk ho ya ho wo mulke magrib o mashriq,
Ali ka ishq pakeeza qabeela dhooNdh leta hai.

7.
Mili izzat ziya tujhko karam hai yeh bhi maula ka,
Wagarna is ata'at ko bashar kya dhooNdh leta hai hai.

🌹🌹🌹🌹🌹

16. Janab Altaf Maroofi sb.
............................................
Ali ka ishq jab Apna elaaqa dhooNd leta hai

To deewanoN ki basti me bhi Daana dhooNd leta hai
🌹
Sakha e ishq e Haidar jab k banda dhooNd leta

To Reti pr bhi wo Qasr e  Zobaida dhooNd leta hai
🌹
Payambar ka ye waazeh Qaul.
har insaN pe zahir hai

Ali ka ishq pakeeza qabeela dhooNd leta hai
🌹
Qalam mera Aqeedat k safeene me safar kr k

Bohoor e mad'h me *man  kunto maula* dhooNd leta hai
🌹🌹🌹🌹🌹ki

No comments:

Post a Comment