Monday 3 July 2017

Tarhi Misra: Khayyaat ban k Aagaya Rizwan Eid par

🌺 *BAZM-E-SHOARA* 🌺
  
     SalamunAlaikum.

*MISRA BARA E Manqabat*       

              👇👇👇👇

*Khayyaat ban k Aagaya Rizwan Eid par.*

Qafiya: 👉 *Rizwaan*
Radeef : 👉 *Eid par*

Misra by👉🏻  *Altaf Haidari Maroofi*

Pesh karda MISRE pr shoara hazraat ke kalaam ya qat'aa peshe khidmat hai..........

1. Janab Arshad Sirsivi sb.

1

Sadqa de sidq dil se musalman eid par

Allah aur hoga mehrban eid par

Ye jo tere pados me rehte hain kuch yateem

Inka bhi haq hai tujh pe meri jaan eid par

2

Kehte the fatima se ye hasnain baar baar

Malboos e nau ka dil me hai armaan eid par

Zahara ne keh diya to libaas aayenge zaroor

Khayyat ban ke aayega rizwan eid par

3

Aazad hoga qaid se shaitan eid par

Behkenge phir se chand musalman eid par

Roza namaz sadqa o fitra ke sath sath

Taqo me rakkha jayega  quran eid par

4

Becha tha yaani is tarah iman eid par

Dekhi thi pichhle saal bhi sultan eid par

Sunte hain ab ki baar bhi ima'n bikenge khoob

Layega film abke bhi salman eid par

2. Janab Kumail Nagri sb.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Bass isliye k uski badhe shaan eid par.
Zahra ke dar pe aagaya rizwaan eid par.

🌹

Jannat ki shaa'h zadi k kahne ki deyr thi.
Khayyat banke aagaya rizwaan eid par.

🌹

Khushnudiye husaino hasan ke liye faqat
Naqa bane hai'n nabiyo'n ke sultaan eid par.

🌹

Kapde pahenke nikle jo ghar se hasan husain.
Un par nabi bhi hogaye qurbaan eid par.

🌹

Humraa'h mustafa ke hai'n hasnain. Ya kahu'n.
Saj dhaj ke ja rahe hai'n do quraan eid par.

🌹

Dekha qataar me hai'n  khade ambiya tamaam.
Aaye ali ke dar pe jo salmaan eid par.

🌹

Aayi'n hai'n sunne mariyam o hawwa o haajera.
Fizza sunaaye jaati hai quraan eid par.

🌹

Haidar ko janasheen banaya rasool ne.
Jalne lage hai'n kiyu'n? Ye musalmaan eid par.

🌹

Man kunto ki sadaa ko suna to tadap uthaa.
Rota hai jaa k ghaar me shaitaan eid par.

🌹

Rah rah k aarahi hai sada siskiyo'n ke saath.
Mitti me milgaye mere armaan eid par.

🌹

Daman ali ka thaam lo miljaayega qaraar.
Kiyu'n? Shaiq ghoomte ho parishaan eid par.

🌹

Allah jane kaisa zamana ye aagaya.
Pakde hai'n bhayi bhayi garebaan eid par.

🌹

Baqi rahi hayaat to agle baras *Kumail*
Jaoonga karbala se khurasaan eid par.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
3. Janab Hasnain Maroofi sb.
🌹🌹🌹786🌹🌹🌹

ho,n ge sawaar khuld ke sultaan eid par

Naaqa bane ge  sarware zishaan eid par

Khulte hi lub botool ke hasnain ke liye

Khaiyaat ban ke aa gaya rizwaan eid par

🌹🌹🌹🌹🌹

4. Janab Ghazi Abbas sb.

Maqbool hoga har Dil e armaan eid par
Banjaa darr e Husain ka darbaan eid par

Eidii mileygi, jaake ley bait e rasool par
Kyu phir rahaa Hai bankey tu naadaan eid par

Hasnain ko rasool ke kaandho pey dekhkar
Qush horahey Hai boozar o Salman eid par

Dunya ke jhanjato se zaraa ruqq ko modkar
Maango qudaa se Quld ka saamaan eid par

Nazr e rasool e paak mey yu bangaye ameer
Saadey libaas pehnkey Salman eid par

Shehzadi e jinaa ki faqat eak baat par
*Khayyaat bankey aagaya Rizwan eid par*

Kartii Hai intezaar, Tera baarwey imam
Palkey bichaakey raah mey qur'aan eid par

Nasl e yazeed Aaj bhi bambaariyo ke saath
Kartey Hai momino ko pareyshaan eid par

Aansu bahaakey eid manaayegi fatema
Aajaaye garchey baarwa qur'aan eid par

Padhkar namaaz e eid theatre ko Jo gayaa
Insaan se Wo bangaya shaitaan eid par

Do zaanu baithkar darr e zehra pey baa adab
"GAAZI​" padheyga Sher basad shaan eid par

5. Janab Zeeshan Aazmi sb.

1. Itna khayal rakhna musalman Eid par
Ho poora waaladain ka armaan Eid par

2. Hotey hain ek maah musalman sab magar
Zahir har ek ki hoti hai pahchaan eid par

3. Aamaal rakh sambhal ke ramzan ke sabhi
Bilkul ragho'n me daudega shaitan eid par

4. Shikwe gile bhoola ke gale bhai se milo
Ek dosare pe jaa'n karo qurbaan Eid par

5. Baad e namaz e eid sawari bane Rasool (saw)
Hasnain par huwe yu maherbaan eid par

6. Jo kuch kaha hai aapne sach hoga fatima
Khayyaat ban ke aayega rizwaan eid par

7. Nusrat ko kitne honge hamare imam ki
Ho jaye gar zahoor ka elaan Eid par

8. Ramazan ke tufail me ho aisi marefat
Ho waqt ke imaam ka irfaan Eid par

9. Muddat huwee hai unse huwe door ay khuda
Kar unki ek jhalak se tu ahsaan eid par

10. Maqbool kar dua meri parwardigar tu
Milne ka unse kab se hai armaan Eid par

11. Dil ko qaraar ayega muddat ke baad gar
Deedaar muntazar ka ho Zeeshan Eid par

6. Janab Raheman Ali sb.

Na ho naraj koi bhi musalman eid per
Pure karo tum sab ke arman eid per

Na baat karo tum eidi ki tum iss eid per
Mili hai sadiyo se pehle quraan eid per

Milne jao tum harek Momin ke ghar me
Na rahe  gareeb ka ghar sumsan eid per

Hoga ab qaid s azad  ab khbrdaar rehna
Jaega  movie dekhne shaitan eid per

Manga tha jo libas hasan hussain ke liye
Aagaya foran leke jannat se rizvan eid per

Ay rab ho agla ramzan hamara imam ke sath
Waqte imam ki dua magta hai *Raheman* eid per

7. Janab Naushad Bijani sb.

Aayega chhut ke qayd se shaytaan eid par.
Masjid ko fir karega woh veeraan eid par.

Kuchh log eid gaah se jaayenge ghar magar.
Ban jaayenge woh raah me haywaan eid par.

Quraan rakh ke taaq pe taala lagaenge.
Laaenge ghar gunaah ka saamaan eid par.

Haidar ka gham kahi pe kahi eid ki khushi.
Yu'n baant'ta hai qaum ko shaytaan eid par.

☔☔☔☔☔
*Qata band*

Millat ke navjavaano'n raho milke tum sada.
Hona hai gar che faatahe maydaan eid par.

Bat jaavoge to jeet na paavoge ghayr se.
Izzat bhi hogi aap ki uryaan eid par.

☔☔☔☔☔

Lekar libaas khuld se hasnain ke liye.
Khayyaat ban k Aagaya Rizwan Eid par.

Navshad dekh apne girebaa'n me jhaak kar.
Ghyro'n pe kyu'n lagaata hai bohtaan eid par.

8. Janab Taqi Kazmi sb.

Dunya pe ho gya hai ye faizaan eid per.
Khushiya,n mna rha h musalman eid pr

Ramzaan ke mahine me jis tarha se parha.
Ase hi parhna dosto qur aan eid par.

Haider agr na khte to hoti kabhi na eid.
Maula ka hai ye momino ehsaan eid par.

Jannat se bhi Azeez lga fatema ka dar.
Khayyaat bnke aagya rizwan eid par.

Shiyon ki eid ho gyi ak roz jo phle.
Sara jhaan rh gya hairaan eid pr.

Apne padosiyo ka bhi rakhe khyaal wo.
Khushiyan mna rha h jo insaan eid par.

Dushman bhi aake mere gle lag gye taqi.
Meri ye jaan ae taqi qurbaan eid par.'

No comments:

Post a Comment