[18/05/2017]
🌺 *BAZM-E-SHOARA* 🌺
SalamunAlaikum.
*MISRA BARAE Manqabat*
👇👇👇👇
*Bala k dasht me Asgar Akela bat karta hai*
Qhafiya: 👉 *Akela*
Radeef : 👉 *bat karta hai*
Misra by👉🏻 *Altaf Haidari Maroofi*
Diye gae tarhi misre par shoara hazraat ke kalaam aur qata........
.
1. Jb Zeeshan Aazmi sb
Badan se sar juda ho Jaye to kya baat karta hai
Magar Shabbir chadh kar nouke naiza baat karta hai
Amire shaam ke darbaar me aandhi si aati hai
Jo sheh ki god me hyder ka pota baat karta hai
Sitam se taan kar seena ali asgar ke sadke me
Ali walo ke ghar ka bacha bacha baat karta hai
Saro ko peet kar rotey hain aadaa, jab tabassum se
Bala ke dasht me Asghar akela baat karta hai
Hamari mehfilo me aa nahi Sakta koi gaddar
Agar aa Jaye to zeeshan juta baat karta hai
2. Jb Raheman Ali sb
Karbala mai beshir se haideri jazbaa baat krta hai
Bala ke dast me asgar akela baat krta hai
Tha pareshan pura yaziidi darbar baade khutba
Jab kaha ke shabbir ka beta baat karta hai
Darr darr ke ghum rahe the sab maidane jang mai
Abbas ka vo dariya pe dabdaba baat karta hai
Nahi samja koi ke kya huva thaa shabe meraj per
Nabi se meraj me haider ya khuda baat karta hai
Raheman ke ilm me ijafa ho jald se jald mabood
Apni shayriyo se haideri dewaana baat karta hai
3. Jb Kaifi Kalkatwi sb.
*Ke us ke sath har aashique ali ka baat karta hai*
*Jahan behlol sa koyi deewana baat karta hai*
*Bata de toor pe "moosa se" mujhko shaikh bas itna*
*Ye lehje mei'n khuda ke kis ka lehja baat karta hai*
*Fazilat kya baya'n kar payega dast e nabuwat ki*
*Jo hatho'n par chala aye to zarra baat karta hai*
*Pareshaa'n qumbar o salmaan o buzar hain" ke fizza se*
*Dar e zehra pe kya koyi farishta baat karta hai*
*Zabaa'n khamosh hai is simt aur us simt bhi lekin*
*Imam e waqt se bas hur ka chera baat karta hai*
*Na paayi hai kisi ne aisi qismat aur payega*
*Teri qismat pe hur sara zamana baat karta hai*
*Jari koi nahi isse bada 6maah mei'n logo'n*
*Bala ke dash mei'n asghar akela baat karta hai*
*Shifaei'n humko milti hai tere parcham se jab ghazi*
*Hawao'n par fizao'n se pharera baat karta hai*
*Shabih e mustafa hai'n darmiyaa'n ashaab ke lekin*
*Ho'n gar maidaa'n mei'n to haider ka lehja baat karta hai*
*Faqat barish nahi kaifi ali asghar ka sadqa hai*
*Falak se aa raha har ek qatra baat karta hai*
4. Jb Fasih Ali Abbas Sb
.............
Aliwalon se dushman jab Ali ka baat karta hai.
yun lagta hai samandar se ke qatra baat karta hai.
..............
Na kyun kar thar thara'en ab sar e darbar sab koofi.
Zaba'n Zainab ki aur Hyder ka lahja baat karta hai.
..............
Ibadath ka baya'n kiya ho miya'n Zain ul leba ki ab.
Ye wo sajid hai jis se khud mussala baat karta hai.
..............
Amal ki zad pa dekhe hain badalte ruq kasam Hur ki.
Jo hai dil me munawer wo aqeeda baat karta hai.
.............
Ali Asghar ki himmat ko salam apna salam apna.
Hazar'on dushman'on se ek akela baat karta hai.
.............
Taho bala bhare darbar ko karta hai pal bhar me
Hazar'on jhooton se jab ek sacha baat karta hai.
5. Jb Naushad Bijani sb
🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺
Sitamgaaro'n se baanu ka dulaara baat karta hai.
Bala ke dasht me asghar akela baat karta hai.
Zabaa'n se apni woh kar ke ishaara baat karta hai.
Dikha kar apne sookhe hoont pyasa baat karta hai.
Yazeedi fauj uske khauf se aansu bahaati hai.
Jab unse muskura kar ayk baccha baat karta hai.
Zabaane bezabaani se rajazkhwaani hai ki ayse.
Ke jayse buzdilo'n se ik tavaana baat karta hai.
Shujaa'at dekhkar chhe maah ke bacche ki sab bole.
Yaqeenan ran me ghaazi ka bhateeja baat karta hai.
Hazaaro'n ashkiya sayraab hai lekin hai sab khaamosh.
Magar ik teen rozo shab ka pyaasa baat karta hai.
Zirah pahne huve zalim musallah darte hai'n lekin.
Bina talwaar ke haidar ka pota baat karta hai.
Bina ghabraae fauje shaam ke lakho savaaro'n se.
Zamee'n par let kar yeh pa-payada baat karta hai.
✅Qata band✅
🔸🔸🔸🔸🔸🔸🔸
Sjoode khaas me jab rab se naana baat karta hai.
Tab unki pusht par aakar navaasa baat karta hai.
Nabi yeh soch kar toolaani sajda karte hai shayed.
Ke rab se aaj nafse mutmainna baat karta hai.
🔸🔸🔸🔸🔸🔸🔸🔸
✅Qata band✅
🔸🔸🔸🔸🔸🔸🔸🔸
Kiya karta hai murde keh ke zinda *qum be iznillah.*
To us se pahele apne rab se iisa baat karta hai.
Ali kehte hai *qum be izni* or thokar lagate hi.
Janaaze se yaqeenan uthke murda baat karta hai.
🔸🔸🔸🔸🔸🔸🔸🔸
Waha'n sooraj sitam ka doob jaata hai sada Navshad.
Jaha'n haidar ka yeh nanha sitaara baat karta hai
🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺
6. Jb Hasnain Maroofi sb
🌹🌹🌹786🌹🌹🌹
andhera munh chhupaata hai ujaala baat karta hai
Ali waalo,n ki basti hai ilaaqa baat karta hai
🌹
sada deti hai,n takbeere,n musallah baat karta hai
Tahe khanjar abhi tak sheh ka sajda baat karta hai
🌹
Hazaaro,n baani e shar hai,n nabi ka dee,n hai narghe me
Bala ke dasht me asghar akela baat karta hai
🌹
Ye azmat sirf haasil hai abu taalib ke paalo,n ko
Kahi,n haatho,n pa aa kar sang reza baat karta hai
🌹
zamaana dekh le nabiyo,n ki tarha mujze aa kar
Dar e binte ali pa aa ke gunga baat karta hai
🌹
ye jab chaahe,n jaha,n chaahe,n palat de,n dobta soraj
Agar ye maar de,n thokar to murdah baat karta hai
🌹
welaadat aur welaayet ko kaha,n tak tum chhupao ge
Ali khamoosh hote hai,n to kaaba baat karta hai
🌹
husain ibne ali ne hur ko apna kar ke batlaaya
zamaana dekh le qatre se dariya baat karta hai
🌹
kaho hasnain mulke shaam se khamoosh ho jaye,n
Abhi naize pa aa ke ibne zahra baat karta hai
🌹🌹🌹🌹🌹🌹
7. Jb Eram Mehdi sb
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
*Na dollar baat karta hai na Lira baat karta hai*
*Sar-e marqad farishton se aqeeda baat karta hai*
*faqeeraan e Ali o fatima zehara ki janib se*
*Shah-e ghaibat se ghaibat me areeza baat karta hai*
*kisi ke hath ki garmi se paththar narm hota hai*
*Hatheli par kisi ki sang reza baat karta hai*
*Kabhi fitrus jo ata hai mere mayoos khabon me*
*kisi bachche ke jhoole ki hamesha baat krta hai*
*janaza le ke aye the, wo us ki aazmaish me*
*K Jiska hukm mil jaye to murda baat krta hai*
*Ye mauqa phir na ayega, utho bedaar ho jao*
*Sipah e shaam se hur ka savera baat krta hai*
*faraz e dar par meesam ke jaise haq bayano'n ki*
*zabane'n kaat di jayen to jazba baat krta hai*
*Abutalib se haider se shah e mazlom o bekas se*
*Museebat me inhi logon se kaaba baat karta hai*
*Alam jab nasb hota hai kahin abbas e ghazi ka*
*Wafaon ki hawaon se pahraira baat karta hai*
*Qaza ke dar se jab ahl-e zaba'n mu pher lete hain*
*Bala ke dasht me Asghar akela baat karta hai*
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
8. Jb Zia Haidar sb
🌹🌹🌹🌹🌹
1.
Sitaara baat karta hai farishtah baat karta hai,
Shab e hijrat ka noorani nazaara baat karta hai.
2.
Kinaara baat karta hai safeenah baat karta hai,
shah e hujjat se pani par musalla baat krta hai
3.
Shabe meraaj duniya ko ye Ahmad ne hai batlaya,
Ali ke lahje me Allah Ta'aala baat karta hai.
4.
Ali aaye chalo bhago nahi *apna* thikaana ab,
*butaane khana e kaba se kaba bat karta hai*
5.
Bula lo gar ali ko tum to bedaa paar ho jaaye,
Fansi dariya me kashti se kinaara baat karta hai.
6.
SadayeN sunke halmin ki Abutalib ke ghar ka hi,
*gira kr khud ko jhoole se jiyala bat karta h*
7.
Abutalib ke khuN ka hi faqat jazba hai ye dekho,
Bala ke dasht me Asghar akela baat karta hai.
8.
DuayeN poori ho jaayeN ZIA sadqe me Asghar ke,
*hozoor e khaliqe yakta waseela bat karta h*
🌹🌹🌹🌹
9. Jb Qamber Ali sb.
*Mat'la awwal...*
🌹 Sada halmin ki sun sun kar jo baccha baat karta hai..
Imam e waqt ki nusrat ka jazba baat karta hai.
*Mat'la sani...*
🌹🌹 Sada e istagasa ka taqaza baat karta hai...
Ali Asghar ki jur'at ka irada baat karta hai.
🌹 Woh jur'at hai bhala kis mein jo hiltey lab tere roke...
Zuban e be zubani mein jo piasa baat karta hai.
🌹 Hawa e garm sakit hai her eik qatil hai sakte mein...
Bala ke dasht mein Asghar akela baat karta hai.
🌹 Yaqenan godiyan bhar jaye ge baab e hawaij hai...
Yahan Asghar ke jhole ka waseela baat karta hai.
🌹🌹 Jo munkir hein waseeley ke meri ye baat aab sun lein...
Ali Asghar ke jholey ka waseela baat karta hai.
🌹 Ujar jati hein jinki godiyan bacchon ke merne sey...
Tasalleeyat ki khatir unsey jhola baat karta hai.
🌹 Ye Woh mojiz numa roza hai sotey hein jahan Asghar...
Yahan chalta hai lungra aur gonga baat karta hai.
🌹 Kahan mumkin teri midhat hai ay Mola Ali Asghar...
Yahan Qamber ka bus pakeeza shajra baat karta hai.
10. Jb Kumail Nagri sb
Har ek tasweer chup hai aur nazara'h baat karta hai.
Sare maidaan banu ka dulara baat karta hai.
🔵🔴
⚫⚪
Ghamo'n ka jab koi tufaan apna sar uthaata hai.
Tab ashgar teri himmat par zamaana baat karta hai.
🔴🔵
⚫⚪
Zubaa'n wale zubaa'n rakh kar udhar khamoosh hai laikin.
Sare maqtal idhar asghar akela baat karta hai.
🔴🔵
⚫⚪
Haweli me abu talib ke sab ke sab mohammed hai'n.
Jo budha baat karta hai O bacha baat karta hai.
🔴🔵
⚫⚪
Kabhi bhi waqt aaya deen par tareeq me dekho.
Faqat aale mohammed ka gharaana baat karta hai.
🔴🔵
⚫⚪
Laga rakha hai hur ko sine se zahra ke bete ne.
Zamaana dekh ye qatre se dariya baat karta hai.
🔴🔵
⚫⚪
Maye hubbe husain ibne ali pee kar shabe ashoor.
Habeeb ibne mazaher ka budhapa baat karta hai.
🔴🔵
⚫⚪
Dhalegi ab shabe tareek dekho hur ke qismat ki.
Ali akbar ke lehje me sawera baat karta hai.
🔴🔵
⚫⚪
Daba sakta nahi ab deen ki awaaz ko koyi.
Azaano'n me ali akbar ka lehja baat karta hai.
🔴🔵
⚫⚪
Tilaawat hoti hai quraan ki ya rabbe ta'ala se.
Sare naiza mohammed ka nawasa baat karta hai.
🔴🔵
⚫⚪
Kabhi miskeen ki surat kabhi khayyat ki Surat.
Dare zahra pe akar khud farishta baat karta hai.
🔴🔵
⚫⚪
Nishani dekhkar diwaar par haidar ki aamad ki.
Ye lagta hai ali ke haq me kaba baat karta hai.
🔴🔵
⚫⚪
Shabe hijrat mayaane guftagu soncha mohammed ne.
Ali ke lehje me allah bhi. Kiya Baat karta hai.
🔴🔵
⚫⚪
Agar phaila kabhi to qud me ek quraan ban jaaye.
Simat jaaye to phir quraa'n ka nuqta baat karta hai.
🔴🔵
⚫⚪
Hai mehwe sajda zainul abedee'n ishqe ilaahi me.
ibaadat ki fizao'n me musalla baat karta hai.
🔴🔵
⚫⚪
Alam abbas ka jab se saja kar ghar me rakha hai.
Meri dehleez se arshe moalla baat karta hai.
🔴🔵
⚫⚪
Adab ke saath mauje sunti hai'n lehja aqeedat ka.
Labe dariya mera dekho areeza baat karta hai.
🔴🔵
⚫⚪
Koyi qud ko husaini kehne se zahir nahi hota.
*kumail* uska labo lehja saleeqa baat karta hai.
🔴🔵
⚫⚪
11. Jb Altaf Haidar Maroofi Sb
Farishte rizq jab late hain duniya me to hans hans kr
Ali Asghar k khoo'n ka qatra qatra bat karta hai
Laraz jate hain toofano'n k dil Uski khetabat se
Sar e maidaan jab sarwar ka beta bat karta hai
Bhalaayi chahta hai Hurmula to bhag ja warna
Ye wo baccha hai jo lakho'n se tanha bat karta hai
🌹🌹🌹🌹🌹🌹