TARHI MISRA: Sheh(as) jo Abbas(as) se keh dete ke talwaar utha.
Misra by janab Altaf Haidari Maroofi sahab.
29/04/2017
1
Janab Kaifi kalkatvi sahab
*Karbala hatho'n pe ja haider e karraar utha*
*Jang e khaibar ka alam sheh ke alamdaar utha*
*Alqama roti" you'n maqtal mein qayamat hoti*
*Sheh jo abbas se keh dete ke talwaar utha*
2
Janab Nauvshad Bijani sahab,
Kha gae maat adu dekh ke kheecha huva khat.
Chashme ghaazi me jab ik ghayz ka angaar utha
Hashr kya hota sitamgaaro'n ka roze aashoor.
Sheh jo Abbas se keh dete ke talwaar utha.
3
Janab Hasan Utrolvi Sahab
Phir wo utha hi nahi Uth hi gaya duniya
Tere neze ke muqabil me jo ek baar utha...
Marhala 12 imamao'n talak aata hi nahi...
Sheh jo Abbas a.s se keh dete ki talwaar utha...
4
Janab Zeeshan Azmi sahab.
Joo'n ki too'n fauje yazeedi rahi maqtal me khadi
Khainch kar khat zamee'n par jaise hi jarraar utha
Dushmane dee'n ka lahoo bahte huwe aataa nazar
Sheh jo Abbas se kah dete ke talwaar utha
5
Janab Zain Rizvi sahab.
**
Sheher baiyat me bhi ik parcham e inkaar utha
Yaani neze pa sare sayyed e abrar utha
Jaane kis darja mohabbat hai abutalib ko
Deene islam bachane yahi har baar utha
**
Walwalo ka hai taqaza ke ulat de maqtal
Hath padti hai husaam aaj bhi ik baar utha
Dasht lasho se bhara hota lahu se dariya
Sheh jo abbas se keh dete ki talwar utha
**
Shab ko ghaflat me tha hur subho ko bedaar utha
Sunke akbar ki aza'n haq ka talabgaar utha
Jazba e nusrate shabbir jo jaga dil me
Tha to mujrim hi magar sahibe kirdaar utha
**
Dee'n ko darkar tawanai thi baade sarwar
Koi ham naam ali ka tha jo is baar utha
Aabroo daao pe aayi jo masiha'o ki
Tab mohammad ke gharane ka hi beemaar utha
**
Log is rishte ko aasan samajhte the bahut
Ishq ke chehre se parda bhi sare daar utha
Saans lena hua dushwaar zaba'n kash ko wahan
Zikre haider ko jahan meesame tammar utha
No comments:
Post a Comment