Saturday 20 May 2017

Tarhi Misra: Gule Narjis ki khushbu me zamana doob jayega

🌺 *BAZM-E-SHOARA* 🌺
  
     SalamunAlaikum.

*MISRA BARAE Manqabat*       

              👇👇👇👇

*Gule Narjis ki khushbu me zamana doob jayega*

Qhafiya: 👉  *Zamana*
Radeef : 👉 *Doob jayega*

Misra by👉🏻  *Altaf Haidari Maroofi*

Diye gae tarhi misre par shoara hazraat ek qata ya kalam aap hazraat e peshe khidmat hai........

1. Janab Muhib Rizvi sb:

Teri midhat me har harfe qasida doob jayega
Samandar ki taho me jaake qatra doob jayega.

Agar uski fazilat ke samandar me utar jaye
Bashar kya cheez hai sara zamana doob jayega.

2. Janab Zeeshan Aazmi sb:

1. ولادت مہدی (ع) کی ہے ہر نظارہ ڈوب جائیگا
ہو کوئی چودھویں کے چاند جیسا ڈوب جائیگا

2. مہک ہے پندرہ شعبان کی دونوں جہانوں میں
خوشی میں آپ کی مدحت کی روضہ ڈوب جائیگا

3. حدیثِ مہدوی پڑھ لو اسی نایاب گوہر میں
ہمارے ذہن کا باطل عقیدہ ڈوب جائیگا

4. تلاوت جا نہیں ہوتی کبھی قرآن کی کچھ بھی
امام آئیں گے جب بھی وہ ٹھکانہ ڈوب جائیگا

5. میرے مولا کے آنے پر حقیقت سامنے ہوگی
پڑھا ہے مُلّا نے جتنا فسانہ ڈوب جائیگا

6. نبی کا چاہے بیٹا ہو پہاڑی پر چڑھے چاہے
بہا قہرِ خدا تو وہ بچارہ ڈوب جائیگا

7. ذرا آنے تو دیجیئے فضائے ظلمتِ شر میں
گل نرجس کی خوشبو میں زمانہ ڈوب جائیگا

8. اگر اعمال سے اپنے امام عصر رخ پھیرے
ہمارا چلو بھر پانی میں چہرہ ڈوب جائیگا

9. بنائے جتنے ہونگے ظلم سے ذیشان ظالم نے
عدالت کے سمندر میں وہ خانہ ڈوب جائیگا

3. Janab Kaifi kalkatwi sb:

🌷
*Yazidi nasl ka sara khazana doob jayega*
*​Chalega tab na koi bhi bahana doob jayega​*

🌷
*​Fidak ke ghasibo'n pa is tarha sailaab aayega​*
*Ke jis mei'n kufr ka har ek gharana doob jayega​*

🌷
*​Wiladat par imam e waqt ki sun lo falak walo'n​*
*​Gule Narjis ki khushbu me zamana doob jayega​*

🌷
*​Imam e asr ki ulfat mei'n in aulad e adam se​*
*​Jo hai behlool sa bas woh deewana doob jayega​*

🌷
*​Tere amaal ki kashti mei'n gar soorakh hai waiz​*
*​Utar ja aesi kashti se chala'na doob jayega​*

🌷
*​Khuloos e dil se gar likha hai tum ne madh e moula me​*
*​Aqeedat ke samandar mei'n tarana doob jayega​*

🌷
*​Karam Mehdi(a.s) ka hai kaifi tere ashaar pa warna​*
*​Bada hi sakht tha isko nibhana dhoob jayega​*
🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷

4. Janab Fasih sb:

Mai e ulfat me sahab ki jo pura doob jaayega.

Kitab e haq ke darya me wo banda doob jayega.

          .................

Ba hukm e rab nikal kar aayega ghaibat se jis din wo.

Gul e nargis ki khushboo me zamana doob jayega.
         
            ...........

Chalegi zulfeqaar e hyderi mehdi jab aayenge.

Laho me har saqifaai ka chehra doob jayega.

             ............

Yaqee'n ke saath likho aur unhe bhejo padhenge wo.

Ye mat samjho hai kagaz ka areeza doob jayega.
             ............

Fasih  itna yaqee'n hai khush aqeeda shadma'n honge.

Samander me lohu ke bad aqeeda doob jayega.

5. Janab Kumail Nagri sb:

*Gule narjis ki khusbu me zamana doob jayega*

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷

Masarrat ki ghata o me nazara doob jayega.
Gule narjis ki khusbu me zamana doob jayega.

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷

Qamar narjis ka ghaibat se nikal kar jab bhi aayega.
To uski zaufeshani me andhera doob jayega.

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷

Alam abbas ka lekar jab aayega mera maula.
Azadaro'n ki phir kasrat se makka doob jayega.

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷

Chali hai nooh ki kashti tufaile panjatan se jab.
To ye kaise yaqee'n karlu'n ariza doob jayega.

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷

Fazeelat ke samandar me badhane raushni nikla.
Abhi zahra ke angan me sitaara doob jayega.

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷

Kanizi me  janabe fatema ki dekhna aakar.
Kalame haq me fizza tera lehja doob jayega.

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷

Wajood apna bachane keliye hur naam ka koyi.
Nikal kar zulm se range wafa me doob jayega.

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷

Bujhayega o kaise piyaas abbase dilawar ki.
Bas ek chullu me ghazi ke jo dariya doob jayega.

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷

Kamano teer lekar hurmela asghar se mat takra.
Tabassum ki leher me har nishana doob jayega.

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷

Phirayega zuba'n sukhe huye honto'n pe jab asghar.
Sipahe shaam ka zillat me chehra doob jayega.

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷

Jo lehne akbari pohuchegi har janib biyabaa'n me.
Saqifayi irado'n ka janaza'h doob jayega.

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷

Zuba'n akbar ki dahne shaa'h me jakar jo aayegi.
Atash ki bojh se dariya me dariya doob jayega.

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷

Bahaaya hai you'n dariya sabr ka sajjado zainab ne.
Yazeede be haya tera gharaana doob jayega.

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷

Azaadari mitaane ki ye koshish chod de zalim.
Adawat me tera saraa khazana doob jayega.

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷

*kumail* ayenge aise aise aalim dekho mimbar par.
Agar sunle'n unhe to phir aqeeda doob jayega.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹

6. Janab Raheman Ali sb:

Midhate haider e  karrar mai zamana doob  jaega
Gule narjis ki khushbu mai zamana doob jaega

Rahege azadar hamesha allah ki nighebani mai
Isse hamari harek muskil ka andhera doob jaega

Jab gunjegi sada man kunto movla ki fijao mai
Ali ko varis na manne ka phir bahana doob jaega

Sitamgoron ne kiya kiya sitam aale payambar per
Aakherat mai un lanatiyon ka chehra doob jaega

Aaenga jab toofan mehdi ka naam ka duniya me
Dajjal se dushmano ka to apna thikana doob jaega

Kar shukriya Raheman ke tujpe hai karam mehdi ka
Varna batil ke alam mai tera pura gharana doob jaega

No comments:

Post a Comment