Wednesday 10 May 2017

Tarhi Misra: Kar gae islaam ko aabaad zainul aabedee'n

🌺 *BAZM-E-SHOARA* 🌺
  
     SalamunAlaikum.

*MISRA BARAE Manqabat*       

              👇👇👇👇

*Kar gae islaam ko aabaad zainul aabedee'n. (a.s) .*

Qhafiya: 👉  *Aabaad*
Radeef : 👉 *Zainul aabedee'n. (a.s)*

Misra by👉🏻  Janab Navdhad Bijani Sahab

Diye gaye tarhi misre par shoara hazraat ke qata aur kalaam.....

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

1. Janab Hasan Raza sb

Kah rahi h mahfil e meelad zainu abdin
Kar gaye islam ko aabad zainul abdin

Dst e paigmbr pe klma khak ke zrre paden
Apka kalma pade faulad zianul abdin

Tum ne rone pr kiya mjboor zulmo jor ko
Hain bhot shbbeer tumse shaad zainul abdin

Sbr dekha to kaha be saakhta ayyub ne
Hain mere maula mere ustad zainul abdin

Shm ka hakim to zindan e hwas me qaid h
Hain magar is qaid se azad zainul abdin

Samne the zulm ke tum is tarh sabit qdam
Thak gye khud hi sitam eejad znl abdin

Nek mqsad mit ni skta kisi b bap ka
Apke jaisi ho gr aulad zbl abdn

Kr gye hain sbr ki aandhi se bad e krbla
Zulm k har shahr ko brbad zanl abdn

Hoke zakhmi sham tak sbr o tahmmul se tere
Bediyan krti rahin fryad znl abdin

Roz e mhshr kaisa mnzr hoga jb pesh e khoda
Ap honge is laqab se yad znl abdn

Ta qyamt sbr b jisko padega aye Raza
Sbr ki aisi hain ek roodad zbl abdin

2. Janab Zeeshan Aazmi sb

Kya balaghat kya fasahat aap ke khutbe me hain

Sunke Mursal hogaye hain shaad zainul aabidee'n

Sham ke darbar me karke bayaa'n haq baat ko

Kar gaye islam ko aabaad zainul aabidee'n

3. Janab Kaifi kalkatwi sb

🌷
*Deen e ahmed de raha hai daad zainul aabedee'n*
*Aap ke khutbo'n pa hai naushaad zainul aabedee'n*

🌷
*Apne khutbo'n se fanah kar ke yazeedi nasl ko*
*Kar gae islaam ko aabaad zainul aabedee'n*

🌷
*Rok na paya yazid e waqt sajdo'n ko kahi'n*
*Qaid mein rehkar bhi hain azaad zainul aabedee'n*

🌷
*Zulm ko hai sabr ka aesa sabaq sikhla diya*
*Ta - abad karta rahega yaad zainul aabedee'n*

🌷
*Aap ke qadmo'n pa aake aaj bhi rota hua*
*Kar raha hai zulm khud faryaad zainul aabedee'n*

🌷
*Kar raha hai tu sana e syed e sajjad jo*
*Ho rahe hain tujh se kaifi shaad zainul aabedee'n*

4. Janab Arshad sirsivi sb

1
Har zameen e sabr ke shahzad zainul abedeen
Qaid ho ke bhi rahe sajjad zainul abedeen

2
Aap ho ya aapke ajdaad zainul abedeen
Hauslo me hain sabhi faulad zainul abedeen

3
Jis jagah the zulm la tadad zainul abedeen
Kar gaye sajde wahan aabad zainul abedeen

4
Qaid khano me bhi sajdo se ujala kar gaye
Khatm karke zulmat e bedad zainul abedeen

5
Kaun mulk e bandgi me ho saka juz aapke
Sajda e shahe huda ke baad zainul abedeen

6
Ab wajood e karbala baqi rahega hashr tak
Majliso ki rakh gaye buniyad zainul abedeen

7
Wo namazo se rahe ghafil ye mumkin hi nahi
Jis bashar ke dil me ho'n aabad zainul abedeen

8
Bheja hai mukhtar ne sar hurmula ka kaat kar
Aaj hone hain yaqinan shaad zainul abedeen

9
Majlis e sarwar ki surat bandgi ke waste
Ik ibadat kar gaye eijaad zainul abedeen

10
Jab kabhi guzrengi sar se zulmato ki aandhiyan
Aayenge reh_reh ke dee'n ko yaad zainul abedeen

11
Roohe haider keh uthi sabro tahmmul dekh kar
Wah mere laal zindabad zainul abedeen

12
Maqsad e sheh ki baqa ke sirf do hi naam hain
Ek zainab dusra sajjad zainul abedeen

13
Na_tawani me salamat laye ho islam ko
Khud khuda dega mubarak baad zainul abedeen

14
Dastane sabr likhni thi faqat ik lafz me
Shukre rab hai aa gaye so yaad zainul abedeen

15
Panjetan ka sabr aala hai magar in sab ke baad
Sabr ke maqtab ke hain ustad zainul abedeen

16
Sajido aabid to guzre hain sabhi is nasl me
Han faqat kehlaye hain sajjad zainul abedeen

17
Zurrat o sabr o shujat ilm me akhlaq me
Hain sabhi aulad dar aulad zainul abedeen

18
Aa gaye masoom to takhte sulema'n ban gaya
Aaj farsh e mehfil e meelad zainul abedeen

19
Zulfekar e khutba e nayab ki jhankar se
Qasr e qatil kar gaye barbad zainul abedeen

20
Bediyon me qaid hoke karke baiyat se gurez
Kar gaye har zehan ko aazad zainul abedeen

21
Naqhat e nehje balgha khushbu e quran se
Hain muaattar aapke irshad zainul abedeen

22
Jo namazo ke taqabul me azadari rakhe'n
Aapko kya samjhe'n wo aafrad zainul abedeen

23
Ab to apne sabr ke taeir ko kuch aaram do
Thak gaye hain zulm ke sayyaad zainul abedeen

24
Taziyano ke nisha'n hain pusht pe ya ye kahu'n
Dard ki tehreer hai roodad zainul abedeen

25
Pao ke zakhmo se zakhmi ho gayi hain bediyan
Aablo ke lab pe hai fariyaad zainul abedeen

26
Mujh gunah gaar e jaha'n ko hashr ke maidan me
Aapki darkar hai imdad zainul abedeen

5. Janab Naushad bijani sb

Seh ke jabr o zulm la-taadaad zainul aabedee'n
Kar gaye islaam ko aabaad zainul aabedee'n. (a.s)

Maqsade karbal rahe shaamil azaadai ke saath.
Chaahte hai'n aap gar ho shaad zainul aabedee'n. (a.s)

Teri seerat ko sada rakhta hu mai peshe nazar.
Fir manata hu tera meelaad zainul aabedee'n (a.s)

Ham pe vaajib hai ke ham sheh ki aza aysi kare.
Kar gae jaisi aza iijaad zainul aabedee'n. (a.s)

Ayk pal me ho gaya naabood aywaane sitam.
Sabr ki ban kar chale jab baad zainul aabedee'n. (a.s)

Imteha'n ka waqt gar hota nahi to touq kya.
Mom kar dete harek faulaad zainul aabedee'n. (a.s)

Kehta hai Navshad baade maatam-o-saum-o-salaat.
Chauda sadyo'n baad bhi hain yaad Zainul Abideen. (a.s)
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

No comments:

Post a Comment