Sunday 30 April 2017

Tarhi Misra: Ja rahe hai karbalaa sarwar madeena chhor kar

TARHI MISRA: Ja rahe hai karbalaa sarwar madeena chhor kar

Misra by Janab Navshad Bijani Sahab
26/04/2017

1
Janab Zia sahab.

Turbat e zahra pa tha ye bibi sughra ka baya'n.
Ja raheN haiN karbala baba madina chhor kar.
Karti huN israar ye ki le chaleN wo mujhko bhi,
Dadi kahiye to zara jaayeN na tanha chhor kar.





2
Janab Shahid mirza sahab.

Maa ki Turbath aur wo Nana ka Rouza chhorker🔹
Raahe Haq mein Shahedee'n Beti ko tanha chhorker🔹
Ghar lutane Sar katane deen par Shahid kaho🔹
Jaa rahe hai Karbala Sarwar Madina chhorker🔹



3
Janab Kumail Nagri sahab

Ghar me beti fatema sughra ko *tanha* chod kar.
Jarahe hai karbala sarwar *madina* chod kar.

⚫⚫

Wada e tifli nibha ne keliye haidar ka laal.
Jaraha hai marqade zahra ko *tanha* chod kar.

⚫⚫

Apne sine se laga kar boli sughra ay bahen.
Jarahi ho tum bhi kiya, hum ko *sakina* chod kar.

⚫⚫

Boli sughra haif hai bhayya ali akbar mere.
Jarahe ho meri aankho'n me *andhera* chod kar.

⚫⚫

Bole akbar ay bahen lene mai wapas aavunga.
Jaraha hu'n mai magar *wada* ye mera chod kar.

⚫⚫

Aan kar sughra ye boli mai karungi intezaar.
Jaa rahe ho tum mere dil me *tamanna* chod kar.

⚫⚫

Aap ki furqat me baba zindagi to maut hai.
Jaa rahe ho goya beti ka *janaza'h* chod kar.

⚫⚫

Dil shikasta ko ghadi bhar to saku'n mil jaayega.
Jaao par bhayya ali asghar ko *baba* Chod kar.

⚫⚫

Choom kar mathe ko asghar ke ye sughra ne kaha.
Kiya chale jawoge aankho'n me ye *chehra'h* chod kar.

⚫⚫

Hogaya mahshar bapa usdam madine me *kumail*
Jaa rahe The haa'h jab nana ka *rauza* chod kar.


4
Janab Kaifi sahab.

*Ja rahe hain karbalaa sarwar madeena chhor kar*
*Ik shama qabr e payamber par hain jalta chhorh kar*

*Rukhsat e aakhir ko aaya hai hussain ibn e ali*
*Dar pe rauze ke tumhare apna kunba chhorh kar*

*Qabr e zehra tharthara utthi qayamat aa gai*
*Jab suna jata hai beta maa'n ko tanha chhorh kar*

*Amma rauze par tumhare ho chiragha is liye*
*Ja raha hoon ghar mei'n ik bimaar chehra chhorh kar*

*Fatehma zehra ki turbat se sada aane lagi*
*Hamsafar hai maa'n teri baba ka saaya chhorh kar*

*Kehti hai'n ummul-bani abbas ko" shabbir se*
*Ek lamha bhi juda hona na beta chhorh kar*

*Dasht mein so jaonga amma main asghar ko liye*
*Qaid mein bali sakina ko akelaa chhorh kar*

*Daman e shabbir thame bachchi hai ik nauha gar*
*Kyun chale ho janib e maqtal aye baba chhorh kar*

*Majlis e shabbir ki khatir woh dekho ghar mere*
*Aagaye'n zehra bhi kaifi apna rauza chhorh kar*





5
Janab Navshad Bijani Sahab,

Ja raha hai qabr naana ki navaasa chhor kar.
Khaak karbal ki baraaye umme salma chhor kar.

Lakhte dil lakhte jigar sughra ko tanha chhor kar.
Ja rahe hai karbala sarwar madeena chhor kar.

Ghutniyo ke bal husain aae hai ma ki qabr tak
Kis tarah uth paaenge ab qabre zehra chhor kar.

Qabre maadar se lipat kar ro ke kehte the husain.
Karbala jaata hu tera aasataana chhor kar.

Roze aashura tu amma aana maqtal me zaroor.
God me sar lena mera apna roza chhod kar.

BHaai ko bhi saath laana karbala ke dasht me.
Qatl hojaaunga mai qaasim ka laasha chhor kar.

Saaf maqtal ki zamee'n tu aake kar dena zaroor.
Mai kataaunga jaha'n sar apna, dunya chhor kar.

Karna saaya apne baalo'n se tu meri laash par
Dhoop me aada mera jaaenge laasha chhor kar

Teen din ki pyaas se sookha gala hoga mera.
Paani tu amma na peena mujko pyaasa chhor kar.

Khayme jab jal jaae or chhin jaae zainab ki rida.
Kehna baaba se woh aaye apna roza chhod kar.

Berida le jaaenge zainab ko aada shaam tak.
Dena tu pursa use tab mera laasha chhor kar.

Qabr se aai sada zehra ki ay pyaare husain.
Kis tarah rah paaungi mai tuj ko tanha chhor kar.

Tu jaha'n hoga vaha'n yeh teri ma aajaayehi.
Saath tere mai bhi aaungi madeena chhor kar.

God me meri katega sar tera tu dekhna.
Chayn se kaise rahu mai tujko tanha chhor kar.

Saath mai zainab ke bhi jaaungi mere laadle.
Dhoop me chalti rahungi mai bhi saaya chhor kar.

Ay mere pyare safar islaam ki khaatir karo.
Ab basaalo karbala tum shehre tuba chhor kar.

Alweda navshad maadar se kaha shabbeer ne.
Rote rote aagae ghar qabre zehra chhor kar.

No comments:

Post a Comment