Wednesday 26 April 2017

Tarhi Misra: Hai Kalame Kibriya me'n Tazkira Meraj ka.

مصرعہ بزم شعراء

🌺 *BAZM-E-SHOARA* 🌺
  
MISRA BARAE QATA 

              👇👇👇👇

Hai Kalame Kibriya me'n Tazkira Meraj ka.

Qhafiya: 👉  Tazkera
Radeef : 👉 Meraaj ka

Misra by👉🏻  Janab Kashif sitapuri sahab

Diye gaye tarhi misre par shoara hazraat ke kalaam...

1.Janab Fasih sb:

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Hai kalam e kibriya me tazkira meraj ka.

Padh ke ab to samjhe duniya waqiya meraj ka.

        .................

Marhaba sad Marhaba ya mustafa aayi nida.

Jab safar sarkar ko dar pesh tha meraj ka.

         ..............

Ya baata do Haath chooma tha nabi ne kiska phir.

Ya to kahdo jism waala tha khuda meraj ka.

           .........

Rauza e aqdas pa apne humko bhi bulwaiye.

Aay habeeb e kibriya hai wasta meraj ka.



2.Janab Arshad sb:

Azmate Zahara aya'n karni thi har makhlooq par

Mashgala kuch bhi nahi iske siwa meraj ka

Tohfa e Zahara nabi ko milna tha allah se

Is liye to pesh aaya waqiya meraj ka

3.Janab Naushad sb:

Farq jo samja nahi rooho badan ke darmya'n.

Woh bhala samjega kaise waaqea meraaj ka.

Saaf lafzo me likha hai khool kar tum dekh lo.

Hai kitabe kibrya me tazkera meraaz ka.

4.Janab Zia haidar sb:

KyuN nusairi na kahe Ali ko wo apna Khuda,
Hai kalaame kibriya me tazkira meraaj ka.
Hai gunaah itna hi uska ki use Haidar ka,
Sajdaye khaliq na dikha sab dikha meraaj ka.

5.Janab Kausar sb:

Jo samajh paae na ab tak waaqeaa meraaj ka

Wo bhala samjhenge kaise faaslaa meraaj ka

Aql ke andho bhala kaise dikhaai de tumhe

Hai kalaam,e kibriya me tazkera meraaj ka

6.Janab Hasnain maroofi sb:

Murtaza likhhu,n ya likhhu,n mustafa meraaj ka

Ya ki likhhu,n deene haq me maarqa meraaj ka

Lam ya lid ke haath bhi parde se baaher aa gaye

Ye mohammad ka hai ya phir mujaza meraaj ka

Khilqate aadam zameene farsh tak mehdood hai

Aamade zahra hai lekin martaba meraaj ka

kiu,n na ay hasnain is ka zikr aaye ba raha

Hai kalaame kibriya me tazkira meraaj ka

7.Janab Kaifi kalkkatawi sb:

*Raaz khola hai khuda ne kar ke meraj e nabi*
*Martaba alaa bohat hai ba khuda meraj ka*

*Kis tarha jhut laoge tum ayatei'n quraan ki*
*Hai kalaam e kibriya mei'n tazkira meraj ka*

8.Janab Kumail sb:

Kholkar quraan dekho martaba meraaj ka.

Hai kalaame kibriya me tazkera meraaj ka.

Tha nuzule noore zahra ke liye ye ehteraam.

Bas yahi hai dar haqeeqat falsafa meraaj ka.

24/04/2017

No comments:

Post a Comment