Thursday 27 July 2017

Tarhi Misra: imaan ka markaz hai imaan e Abu Talib

[16/07/2017]
🌺 *BAZM-E-SHOARA* 🌺
  
     SalamunAlaikum.

*MISRA BARA E MANQABAT*  

              👇👇👇👇
Maf'oolo mafaaee,lun Maf'oolo mafaa,eelun

مَفعُولُ مفاعِیلُن مَفعُولُ مَفاعِیلُن

*imaan ka markaz hai imaan e Abu Talib.*

*ایمان کا مرکز ہے ایمانِ ابوطالب*

Qafiya: 👉 *imaan e.* ایمانِ
Radeef : 👉 *Abu Talib.* ابو طالب

Misra by👉🏻  *Janab Altaf Haidari Maroofi sahab*

Pesh karda MISRE par ek manqabat ya kam se kam ek qat'aa shoara hazraat ke peshe khidmat hai 

1. Janab Taqi Kazmi sb

1.Kya koi utarega ahsaan e abutalib.
Hai sabke liye yakta mizan e abutalib.

2.Ahmad ki risalt par imaan sda rakhna.
Tha aakhri sanso tak aylan e abutalib.

3.Han aqd e mohmmad me alhamd parhi jisne.
Duniya na samjh payi Imaan e abutalib

4.Qur aan se pahle hi qur aan parha isne.
Hai sabki zabano pr quraan e abutalib.

5.Imaan pe shak kar le ye ho hi nhi skta.
Jo koi taqi parh le diwaan e abutalib.

6.Har ak musalma,n ko imaan diya isne.
Imaan ka markaz hai Iman e abutalib.

2. Janab Rizwan Sb

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Aao me karata hu pehchane abutalib

Kur'aan ne mana he ahsane abutalib

Ab taq Jo nahi samje salman ke IMA KO

Samje wo bhala kaise imane abutalib

Kyu kehte ho qalma go tum log inhe qafir

Islam raha jab ke mehmane abutalib

Imane abutalib kis darje pe fa'iz he

Bas jaane Mohammad ya rab jaane abutalib

Jo mere Sana kha he jannat me chale Jaye

Hona he ye mehshar me ailaane abutalib

Kam aql musalma KO ab kon ye samjaye

Iman ka marqaz he imane abutalib

Chalte the Mohammad bhi piche abutalib ke

"Rizwan" batau kya ab shaane abutalib

3. Janab Zeeshan Aazmi sb

रोशन है ज़माने पर ईमाने अबूतालिब
अल्लाह ही जाने क्या है शाने अबूतालिब

रहने से रिसालत और रहने से इमामत के
पुर नूर जहां मे है अएवाने अबूतालिब

समझोगे ना हरगिज़ तुम कुरआन को रटने से
मोमिन को जो मिलता है इ़रफाने अबूतालिब

जब अ़ग़द मोहम्मद(स) का तय पाया ख़दीजा से
उस वक्त हुआ पूरा अरमान अबूतालिब

दुनिया ने अभी तक वह मीज़ान नहीं देखी
तुल जाये जहां यूंही एहसान अबूतालिब

यह बात वज़ाहत से मेहदी ही बताएंगे
ईमान का मरकज़ है ईमाने अबूतालिब

ज़ीशान को यह मतलब समझाओ ना ऐ मुफ्ती
बेहतर वह समझता है फैज़ाने अबूतालिब

✍ ज़ीशान आज़मी

*ایمان کا مرکز ہے ایمانِ ابوطالب*

1. روشن ہے زمانے پر ایمان ابو طالب
اللہ ہی جانے کیا ہے شان ابو طالب

2. رہنے سے رسالت اور رہنے سے امامت کے
پُر نور جہاں میں ہے ایوان ابو طالب

3. سمجھوگے نہ ہرگز تم قرآن کو رٹنے سے
مومن کو جو ملتا ہے عرفان ابو طالب

4. جب عقد محمد(ص) کا طے پایا خدیجہ سے
اس وقت ہوا پورا ارمان ابو طالب

5. دنیا نے ابھی تک وہ میزان نہیں دیکھی
تل جائے جہاں یونہی احسان ابو طالب

6. یہ بات وضاحت سے مہدی ہی بتائیں گے
ایمان کا مرکز ہے ایمانِ ابوطالب

7. ذیشان کو یہ مطلب سمجھاؤ نہ اے مفتی
بہتر وہ سمجھتا ہے فیضانِ ابو طالب

4. Janab ali fayez sb

ہرشان سے اعلی ہے یہ شانِ ابوطالب
ایمان کا مرکز ہے ایمانِ ابوطالب

حیدر  کے پدر کی میں کروں مدح بھلا کیسے
یزدان ہےقرآن میں مدح خوانِ ابوطالب

مسلم کی نشانی ہے جاں دینا محمد پر
قربان محمد پے ہے جانِ ابو طالب

جو لوگ خوشی کرتے تھے اصنام پرستی پے
وہ مانتے نہیں آج بھی ایمانِ ابو طالب

ہر فعل ِابوطالب کو رب نے کہا اپنا
کفران خدا کا ہے کفرانِ ابوطالب

توحید و نبوّت کو محفوظ کریں کیسے
یہ جانتے ہیں حیدر یا جانے ابو طالب

ایمان کی پہچان نہ مشکل کبھی ہوتی
بن جاتے اگر لوگ مسلمانِ ابو طالب

5. Janab Hasnain Maroofi sb
🌹🌹🌹786🌹🌹🌹

Likhhe ga koyi kaise diwaan e abu taalib

Meraaj ki manzil hai unwaan e abu Taalib

🌹

Islaam sanwarta hai aakar isi daiwdi par

Imaan ka markaz hai imaan e abu taalib

🌹

Aaraam kiya karte hai,n aa ke malaayek bhi

Firdos se badhkar hai daalaan e abu taalib

🌹

Haatho,n pa payembar ke kaaba me jo goya hai

Munh bolta pahla hai quraan e abu taalib

🌹

Samjhe ga bhala rutba keya koyi zamaane me

Jibreele amee,n jab hai,n darbaan e abu taalib

🌹

Shabbeer ke haatho,n par maqtal me jo aaya hai

Ek tifl nahi hai wo diwaane abu taalib

🌹

Haq ho hi nahi sakta Hasnain kabhi pura

Insaan pa itne hai,n ahsaan e abi taalib

🌹🌹🌹🌹🌹

6. Janab Arshad sirsivi sb

1
दोहराते हैं नेज़े पर ऐलाने  अबुतालिब
वो देखो सरे मक़तल ज़ीशाने अबुतालिब

2
आजिज़ हूँ लिखूं कैसे मैं शाने अबुतालिब
कुछ ज़ोरे क़लम दे दे रेहमाने अबुतालिब

3
सौ बार फ़िदा दीं पर हो जाने अबुतालिब
दिल में है फ़क़त ये ही अरमाने अबुतालिब

4
फिर होगा क़लम मेरा मेहमाने अबुतालिब
बरसा है मेरे दिल पर फैज़ाने अबुतालिब

5
इस अज़्म के पैकर को क्या समझें जहां वाले
दीबाचा ए इस्मत है ऐवाने अबुतालिब

6
ये अक़्द ए मोहम्मद की अलहम्द बताएगी
है कितनी बुलन्दी पर ईमाने अबुतालिब

7
सजती हैं फ़रिशतों की अक्सर ही यहाँ बज़्मे
इक अर्शे मुअल्ला है दालाने अबुतालिब

8
ये नोके सिनां पर जो रक्खा है सरे असग़र
है दीन की गर्दन पर अहसाने अबुतालिब

9
जब चश्मे बसीरत ही अहमद सी नहीं हासिल
फिर कैसे कोई रक्खे इरफ़ाने अबुतालिब

10
ये शहरे सितम आख़िर बर्बाद तो होना है
असग़र की हँसी में है तूफ़ाने अबुतालिब

11
नस्लों को परखती है मैदान में दुश्मन की
है ज़र्बे यदुल्लाही फ़ुरक़ाने अबुतालिब

12
वल शम्स ओ क़मर चेहरा वल लैल सी ज़ुल्फ़ें हैं
कुल पैकरे अहमद है क़ुरआने अबुतालिब

13
है कुफ़्रो निफ़ाक़ इनके ईमान पे शक़ करना
तफ़सीरे शरीअत है इरफ़ाने अबुतालिब

14
इस्लामे मोहम्मद की इस दावते अव्वल को
अल्लाह ने बख्शा है ऐवाने अबुतालिब

15
ईसारो वफ़ा अज़्म ओ ईमानो अमल जुर्रत
ये सारे के सारे हैं उन्वाने अबुतालिब

16
इस्लाम शनासी का आ जाता शऊर इसको
पढ़ लेती अगर दुनिया दीवाने अबुतालिब

17
तौक़ीरे रिसालत है हर एक अमल इनका
ईमान का मरकज़ है ईमाने अबुतालिब

18
लाज़िम है कि शजरो में पाकीज़गी शामिल हो
वरना नहीं समझोगे तुम शाने अबुतालिब

19
ये नाते नबी लिखनी दुशवार नहीं कोई
थामे हो अगर शाइर दामाने अबुतालिब

20
हसनैन की ख़िदमत में रहते हैं सदा हाज़िर
लगते हैं फ़रिश्ते भी दरबाने अबुतालिब

21
मेहमान नवाज़ी हो या इश्क़ यतीमों से
शामिल हैं शरीयत में अरक़ाने अबुतालिब

22
ये करबोबला में जो आते हैं नज़र रौज़े
इक रोज़ में महके हैं रेहाने अबुतालिब

23
कुछ और नहीं हसरत बस इतनी तमन्ना है
मरके भी मैं कहलाऊँ फ़रज़ाने अबुतालिब

24
आमाल बहुत कम हैं बख़्शिश के लिए अपने
दरकार है महशर में दामाने अबुतालिब

25
आशूर के दिन अरशद ख़ूने शहे वाला से
तहरीर हुआ रन में क़ुरआने अबुतालिब

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

7. janab Kumail Nagri sb

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Hai deene ilaahi par ehsaane abu talib.
imraan pe nazaa'n hai rahmaane abu talib.

🌹

Baqi hai zamaane me elaane abu talib.
islaam ka parcham hai pehchaane abu talib.

🌹

Salmaan bana koyi aur koyi bana buzar.
Hasil huwa jisko bhi irfaane abu talib.

🌹

Eisa ki bulandi ko ab takk jo nahi samjhi.
Kiya samjhegi ye duniya phir shaane abu talib.

🌹

Mu'h choom ke ahmad ka ye binte asad boli.
Kiya chaand sa chehra'h hai ay jaane abu talib.

🌹

Paaye hai'n Mohammad ke paakiza qadam usne.
Jannat se bhi afzal hai dalaane abu talib.

🌹

Aghosh me hai kulle eimaan palaa inke.
Eimaan ka markazz hai eimaane abu talib.

🌹

Dekha hai zamaane ne aaghoshe risaalat me.
Qur'aan sunaata hai  qur'aane abu talib.

🌹

Har aan payambar ki rahte hai'n hifaazat me.
Ahmad pe nichaawar hai ji jaane abu talib.

🌹

Dushman ke iraado'n par phir jaayega ab paani!.
Asghar ke labo'n par hai muskaane abu talib.

🌹

Batlata hai haidar ko qud apni rizaa deyna.
Hai zaate ilaahi bhi yazdaane abu talib.

🌹

Jannat aur jahannum ka tab faisla aayegaa!
Mehshar me sajega jab diwaane abu talib.

🌹

Dhoonda gaya mehshar me jab unko to ye dekha.
Kausar pe nazar aaye rindaane abu talib.

🌹

Ulfat me *kumail* itnaa duba huwa rehta hai.
Dil uska banaa hai ab eywaane abu talib.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
8. Janab muntazir sb

1) KITNA HE FIDAAYEE YE ELAANE ABUTALIB
  HE JAAN MOHAMMED KI HI JAANE ABUTALIB

2)UN KE HI LAHU ME HE ISLAAM SE GADDARI
JO PAA NA SAKE RIZQ E IRFAANE ABUTALIB

3) HAYDER KE ZACHAKHAANE PAR SOCHO ZARA WAAEZ
KHUD QA'BE NE BATLAAYEE HE SHAANE ABUTALIB

4)JO QUFR KE HAAMI HE HARGIZ NA KAHENGE WO
IMAAN KA MARQAZ HE IMAAN E ABUTALIB

5)SAR KARBOBALA KIS NE KI HE YE BATAANE KO
GOYA HUVA NEZE PE QURAAN E ABUTALIB

6)IMAAN PARAKHNE KE YE DONO ZARIYE HE.N
MIZAAN ALI KI AUR MIZAAN E ABUTALIB

7)HAR BANDA E MOMIN KA HE AAJ BHI EK RAHBAR
HE AAJ TALAK JAARI EHSAAN E ABUTALIB

8)AY *MUNTAZIR*IMRAA.N KI AZMAT KYA LIKKHEGA TU
DEEWAANO NE LIKKHE HE DEEWAAN E ABUTALIB

9. Janab Altaf Maroofi Sb

Kuch bheek khuda dede shaayaan e Abutalib

Karna hai Raqam mujh ko deewan e Abutalib
🌹
Hai waasta e kulle iman e Abutalib

De fikr ko parwaz e irfaan e Abutalib
🌹
Jo log samajhte hain pindaan e Abutalib

Un sab pe hai baraan e Armaan e Abutalib
🌹
ek saaya e saamit aur ek saaya e naatiq hai

QurAan ka juzdaN aur Damaan e Abutalib
🌹
Sardar e jawanan e jannat hain yahi dono

Lulu e Abutalib Marjaan e Abutalib
🌹
Ek samt resalat hai
Ek samt imamat hai

ma bain hai dono k meezan e Abutalib
🌹
Har waqt farishtoN ki aamad ne kiya saabit

Jannat me kahiN pr hai Aiwaan e Abutalib
🌹
Ahmad ki kefaalat ka inko hai sharaf haasil

Har fazl se Aala hai ye shaan e Abutalib
🌹🌹
Kafir hai to godi me Q 14 Mohammad Hain

Khaliq ko nahi hai kya  irfaan e Abutalib ?
🥀
Ohda do musalmaN ka ya kahte raho kaafir

Kuch bhi nahi hota hai Noqsaan e Abutalib
🌹🌹
Khaaliq ne kaha kulle imaan ata kr k

iman ka markaz hai iman e Abutalib
🌹
Jo Naam e Mohammad par JaN dene ko Raazi ho

Jannat me wahi hoga Mehmaan e Abutalib
🌹
Puri na kabhi hogi
Ehsan k seegoN ki

Gardaante jao tum gardaan e Abutalib
🌹
Ta sub,he qayamat har maddah e payambar pr

Hai naat ki soorat me faizan e Abutalib
🌹
Ai ahle qalam likkho murda hai k zinda hai

Naize pe jo goya hai Qur'aan e Abutalib
🌹
jannat ki fezaaoN me Sooraj se kahiN zyada

Raushan hai munawwar hai ek Naan e Abutalib
🌹
islam k daman Me Altaf hain 2 jumle

Ehsaan e Khadeeja Aur Ehsaan e Abutalib

10. Janab kaifi kalkatwi sb

*Samjhega koyi kaise faizaan e abu taalib*
*Khalique ki inayat hai ye shaan e abu talib*

*Sar deke bataya hai maqtal mei'n shah e dee'n ne*
*Hai deen e mohammad pe ahsan e abu taalib*

*Imraan the tifli mei'n pehchaan payamber ki*
*Kyun kar na mohammed ho'n pehchaan e abu talib*

*Masroof e tilawat hai neze ki balandi par*
*Shabbir ki surat mei'n quraan e abu talib*

*Shak jis ko hua jab bhi pohncha wo h jahannam mei'n*
*Imaan ka markaz hai imaan e abu taalib*

*Dil aal e payambar ka jisne bhi dukhaya hai*
*Hoga woh bhala kaise mehman e abu talib*

*Kehte the sadaa kaifi farzand e abu talib*
*Bas dee'n pe nichawar hai ye jaan e abu talib*

11. Janab Mohsin Banarsi sb

*🌸🌸🌸786🌸🌸🌸*

*Dekhe to koyi parh ke diwan-e-abu talib*
*Imaan ka marqaz hai imaan-e-abu talib*

🌸🦋🌸

*Jaa'n deke bachaya hai jab mursale aazam ko*
*Hai deen-e-mohammad pe ehsaan-e-abu talib*

🌸🦋🌸

*Is dar pe sitaare ne aakar ye bataya hai*
*rakhte hai'n sitare bhi irfan-e-abu talib*

🌸🦋🌸

*Har gaam pe dushman se ahmad ko bachaya hai*
*Ye maan lo dee'n pe hai ehsan-e-abu talib*

🌸🦋🌸

*inki sulb e tahir me rakh k imamat ko*
*khaliq ne kiya pura armaan-e-abu talib*

🌸🦋🌸

*Dar asl wo kafir hai jo inko kahe kafir*
*Mohsin k sar ankho'n pe farman-e-abu talib*

🌸🦋🌸

12. Janab Azam Maroofi Sb

Kis tarha likhun aakhir mai Shane abutalib.
🌹🌹
Sardare Iram Hain farzandaane abutalib..
🌹🌹
Tha ghaiz nigahon me jab aayi Bala Haq pr...
🌹🌹
Takrate the aapas me dandaane abutalib..
🌹🌹
Islam ko b kulle imaan Mila inse ...
🌹🌹
Imaan ka markaz h imaane abutalib..
🌹🌹
Bete se kahin badhkar h jaan bhateeje ki..
🌹🌹
Hota h shabe hijrat ailaane abutalib..
🌹🌹
Ab khana-a-kaba k asnaam ki shaamat h...
🌹🌹
Qur'an k upar h Qur'ane abutalib
🌹🌹
Qiratse aqeedat pr ash'aar likha Maine..
Azam u hua mujhpar ahsaane abutalib..

13. Janab Shahid mirza sb

🍀🌹🍀🌹🍀🌹🍀🌹🍀

Ho peshe nazar her dum unwaane Abu Talib🌱
Imaan ka markaz hai iman e Abu Talib
🍀🌷🍀

Behta hai lahu inka islam ki rag rag me🌱
Hai deene Mohammed par ahsan e Abu Talib
🍀🌷🍀

Hamwaar huyi'n rahe'n islam ki us din se 🌱
Jis roz se thama hai damaane Abu Talib
🍀🌷🍀

Jab khum me Mohammed ke hatou'n pe Ali aaye🌱
Tab nikle sar-e-maida'n arman e Abu Talib
🍀🌷🍀

Beto'n ko fida kar ke islam ki raho'n me🌱
Shabbir ne dikhlayi hai shaan e Abu Talib
🍀🌷🍀

Is Mehdi e daura'n ki surat me pase parda🌱
Baakhi hai zamane me iman e Abu Talib
🍀🌷🍀

Jazba ye mera shahid is madahsarai se🌱
Firdous me kardega mehman e Abu Talib
🍀🌷🍀

🍀🌼🍀🌼🍀🍀🌼🍀🌼🍀🌼
14. Janab Naushad Bijani sb
🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺

Majrooh na kar paaye jo shaane abutalib.
Karte hai woh tauheene imaane abutalib.

Yeh sher raqam hai dar deevaane abutaalib.
Qurba'n hai mohammad par har aane abutaalib.

Bachain se rehte hai bin dekhe bhateeje ko.
Deedare mohammad hai darmaane abutaalib.

Rizwa'n ki tarah mursal dete hai yaha pehra.
Firdaus se hai aala daalane abitaalib.

Imraan sa mujko bhi kar kufr ata ya rab.
Mujh par bhi chad'ha de sab alvaane abutaalib.

Thaama hai mohammad ne daamaane abutaalib.
Imaan ka marqaz hai imaane abutaalib.

Navshad ki turbat me kehte hai malak milkar.
Sone do ise yeh hai mehmaane abutaalib.

🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺

15. Mohtarma Sakeena Sahiba.

Mumkeen nahi utre jo ahsane abu taalib
Imaan ka marqaz hai imaan e abu taalib

Kyun bugzo hasad rakh kar kehte ho inhe qafir
Poochho to mohammad se tum shaan e abu taalib

Jibreel bhi hazir hain hasnain ki khidmat me
Sardar e malayak hain darban e abhu taalib

Ek noor e mohammad hai ek noor hai haider ka
Is noor se roshan hai daalan e abu taalib

Zohra bhi utar aaya imraan ki dewdi par
Allah ne batlaayi yun shaan e abu taalib

Ahmad(s.) bhi hai haidar(a)bhi hasnain(a) bhi zehra(s) bhi
Hai panch sitaro se Farhaan e abu taalib

Sine pe sina kha ke akbar ne ye bataya hai
Shamil hai mere khoo'n me iman e abu taalib

Ye ajizi lafzo ki is baat ki shahid hai
Mushkil hai raqam karna diwaan e abu taalib

Ashaar ki surat me qirtaas ke seene par
Likkha hai sskeena ne irfan  e abu taalib

16. Janab Hasan Utraulvi Sb

Hay sabse judgana ye shaan e Abutalib...a.s
Kud sayyed e batha hain mehmaan e Abutalib...a.s

Haider ko sulaya hain bistar pe Mohammad ke...a.s
Utrega kisi se bhi ehsaan e Abutalib..a.s

Ham Khaak ke paikar hy azmat teri kya jane...
Masoom ko hota hy irfan e Abutalib...a.s

Abbas se Akbar se ladtey bhi adu kaisey...a.s
ye sher e dilawar hai'n khasane Abutalib...a.s

17 . Janab Raheman Ali sb

*QurAa,n hai sana khavan e Unwaan e abutalib*

*Iman ka markaz he iman e abutalib*

*tum Lakh karo koshish lekin ay jahan valon*

*Hogi na kabhi dil se kam shan e abutalib*

18. Janab Ghazi Abbas sb

Samjheyga bhalaa kaisey tu shaan e abutalib
Dil mey nahi jab terey Irfan e abutalib

Islaam palaa inki pakdey huwey unglii ko
Islaam Hai maqrooz e ehsaan e abutalib

Qur'aan se bhii pehley qur'aan sunaaney par
Hai naaz Kiya kartaa Rehmaan e abutalib

Bass ajr e risaalat ko dunya mey adaa karley
Jannat mey baneygaa tuu mehmaan e abutalib

Wo hashr ke maidaa'n mey sarr peetkey royegaa
Haasil na huwa jisko daamaan e abutalib

Jibreel yahii miltey rizwaa'n bhi yahii dikhtey
Ye quld Hai yaa ke Hai daalaan e abutalib

Bass eak ishaarey par hojaatey Hain wo haazir
Jibreel Nazar aaye darbaan e abutalib

Paale Hai Mohammad ko zaalim se bachaakar ye
Kya koi chukaayega ehsaan e abutalib

Dunya ho ke uqbaa ho mat laao muqaabil mey
Ye Kuch bhi nahii shaayaan o shaan e abutalib*

Eemaan e Mohammad se ye baat huyi raushan
*Eemaan ka markaz Hai eemaan e abutalib*

Ahmad ho ke Hyder ho shabbir ho ya asgar
Ye saarey ke saarey Hai juzdaan e abutalib

Sarr tann se judaa hokar qur'aan sunaatey Hai
Haa aisey hi hotey Hai pisraan e abutalib

Mehfil bhi karo *"GAAZI"* Sajda bhi bajaalaawo
Kuch yuu bhi karo poora Armaan e abutalib

19. Janab Eram Mehdi Sb

👇👇👇👇👇👇👇

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

hai karbobala juu e faizan e abutalib
peete hain yahan dat kar rindaan e abutalib

Wal-laah ye misra hai shayaan e abutalib
"emaan ka markaz hai emaan e abutalib"

har teer e sitam seh kar islaam bachaya hai
Allah !! main ho jaoun qurbaan e abutalib

mahfooz hai wo qahr e toofaan e hawadis se
jis ghar me saje bazm e Irfaan e abutalib

padhte ho namazon me jo shekh use choro
Al-hamd qaseed hai dar shaan e abutalib

Allah ne lagta hai fursat se sajaya hai
Gulhaye Imaamat se Guldaan e Abutalib

hai dosh e muhammad pr shabbeer sar e masjid!!
ya, rehl-e risalat pr quraan e abutalid

bahlool e zamana ka dunya se laqab paye
Deewana agr padh le Deewan e abutalib

aye shaikh sar-e mahshar bas aek dua karna
tal jaye kisi soorat tufaan e abutalib

arbaab e saqeefa ka imaan zara taulun
mil jaye agar mujh ko Meezan e abutalib

Aye dushman e paighambar, jaoge kaha bach kar
maidaan e qayamat hai maidaan e abutalib

hai pesh e nazar seerat sarkaar e do aalam ki
chora hai na chorenge damaan e Abutalib

Har millat o mazhab ke afraad chale ayen
Jannat se kushada hai dalaan e abutalib

do qism ke matwale fardaus me jayenge
khasaan e abutalib, shiyaan e abutalib

dunya se eram jana, ashaar bhi le jana
kehlaoge mahshar me hassaan e abutalib

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

20. Janab manzoor sb

ho  jaye  jo  duniya  ko  irfan  e abutalib
ho wird e zaba'n sabki quran e abutalib

bhatke hue rahi ko manzil nahi milti hai
iman  ka  markaz  hai  iman  e  abutalib

khalik ne jaha'n bheja ek bolte qura'n ko
hai kitna mukaddas wo juzdan e abutalib

har mod pe haq isne sincha hai lahu dekar
had se hai'n siwa dee'n pe ehsan e abutalib

sardar farishto'n ke aate hai'n zami per jab
wo shan se bante hai'n darban e abutalib

kyu hamse ulajhte ho qura'n kabhi dekho
khalik ne batayi hai pehchan e abutalib

Allah o mohammad ya Haider hi samajhte hain
Manzoor likhe kaise fir shaan e Abutalib

21. Janab Fasi Ali Abbas sb

Kya hoga zara soncho iqaan e abu talib.

Imaan ka markaz hai imaan e abu talib.

Nusrat ko teri main aur hai aal meri hazir.

Ye deen e nabi se hai paimaan e abu talib.

Palti hai risalat bhi saaye me imamat bhi.

Koi na mila aisa humshaan e abu talib.

22. Janab Imran sb.

या रब हो अता मुझको इरफ़ाने अबू तालिब (अ.स.)
ऐ काश रक़म कर लूं मैं शाने अबू तालिब (अ.स.)

1-काबे के मोवज़्ज़िन थे, ये भूल ही बैठे हो
ख़िदमात भी वां की है, ये भूल ही बैठे हो
क्यूँ कर नज़र आएगा अरकाने अबू तालिब (अ.स.)

2-अन्दाज़ ही ऐसा था, खुद हज़रते इमरां का
आंसू भी र वां होते, दिल महवे ख़ुदा होता
सुनते थे पयम्बर जब आज़ाने अबू तालिब (अ.स.)

3-करनी है हिफाज़त अब, तौहीद की ऐ हैदर
ज़ामिन हो नुबुव्वत के , ये ध्यान रहे अक्सर
फ़रमा गए रेहलत पर ईमराने अबू तालिब (अ.स.)

4-दहशत फैलाते हैं, जो नामे ख़ुदा लेकर
आई एस आई एस हों या, तैबा के हों लश्कर
क़ह्हार भी है उन पर रहमाने अबू तालिब (अ.स.)

5-कौनैन में ये अल्फ़ाज़, खुद आप ही वाहिद हैं
खुद इसपे यदुल्लाही, मोहरें भी तो शाहिद है
इमान का मरकज़ है इमाने अबू तालिब (अ.स.)

6-इमदाद पए नाते, अहमद हो शहे इमरान
"इमरान" पे अब करिये कुछ नज़रे करम सुल्तान
दुनिया को बता पाऊं फ़ैज़ाने अबू तालिब (अ.स.)

No comments:

Post a Comment