Sunday 18 June 2017

Tarhi Misra: Hai dil me hamaare wila-e-hasan(as)

🌺 *BAZM-E-SHOARA* 🌺
  
     SalamunAlaikum.

*MISRA BARAE Manqabat*       

              👇👇👇👇

*Hai dil me hamaare wila-e-hasan*

Qhafiya: 👉 *wila*
Radeef : 👉 *-e-hasan* (a.s.)

Misra by👉🏻  *Janab Navshad Bijani sb*

1. Janab Manzoor sb.

मुझे बक्श क़ूवत खुदा ए हसन
मैं करने चला हूं  सना ए हसन

लगा दूसरा क़ुरआं नाज़िल हुआ है
जो  गोदी मे ज़हरा की आये हसन

हुई नूर की आसमानो से बारिश
है  फैली  जहां मे ज़िया ए हसन

हैं रौशन हमारी अंधेरों  मे राहें
है दिल मे हमारे विला ए हसन

ख़ुदा बक़्शे मुझको तौक़ीर इतनी
मैं बस चूम लूं ख़ाक ए पाये हसन

है मन्ज़ूर हसरत मरने से पहले
मुझे दर पे  अपने बुलाये हसन

2. Janab Anees Abr Sb.

Huwi aaj mujhpar ata e Hasan(as),
Labon par hai mere sana e Hasan(as)..

Qalam se jo talwaar ka kaam le,
Nahi hai koi ma siwa e Hasan(as)..

Hai meri fazilat isi baat me,
Kahe mujhko dunya gada e Hasan(as)..

Bada isse rutba na dekha koi,
Hai doshe Muhammad(saw) pe jaa e Hasan(as)..

Mohabbat hai sulh o amaaN se hame,
Hai dil me hamare wila e Hasan(as)..

Banaya hai rabne haseeN is qadar,
Likhu husn har-jaa ba-jaae Hasan(as)..

Jo marzi hai inki wo marzi e rab,
Ye louh o qalam hai bara e Hasan(as)..

Dil e Abr ki hai yahi ilteja,
Mujhe bhi madeena bulaaye Hasan(as)..

3. Janab Fasih Ali Abbas sb.
----------------------------
🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Hai jiske bhi dil me villa e hasan.

Karega wohi bas sana e hasan.

Jo hai kaar e raushan suno teg ke.

Asr wo qalam me dikhaye hasan.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

4. Janab Ali sayyed sb.

🌹Wiladat huwee aaj aayee hasan
Aaj hum muskaraye baraye hasan🌹

🌹Huwi fatah ek Karbala dekhiye
Uthake qalam jab chalaye hasan🌹

🌹Muqaddar us shaks ka sawar jae
Nigaah e mehshar jo muskuraye hasan🌹

🌹Hamesha hame dengi Dua'n Fatima s.a
Hai dil m hamarey Wila e hasan🌹

🌹Munawwar ho jae noor se qabr meri
Agar che khud tasreef laaye hasan🌹

🌹Hai tammana yehi dil m 'Ali' ki
Zindagi bhar karta rahu sana e Hasan🌹

5. Janab Arshad sirsivi sb.

  Lga jaise Qur'an hai quraan par
Sare doshe ahmad jo aaye hasan

Kalam ko bhi zarbe ali kar diya
Khirad wale dekhne adaye hasan

6. Janab Hasan Utraulvi Sb.

Dua jo bhi mangey baraye Hasan a.s ...
Dua uski har ek bar aaye Hasan a.s ...

Juda gul se hoti nahi nikhatei'n ...
Mein kerta rahunga sanaye Hasan a.s ...

Zamene me cha jaye tarikiya'n ...
Agar che na Suraj Ugaye Hasan ...

Taraddud me pad jaye Khud khizr a.s bhi ...
Na unko agar che padhaye Hasan ...

Hasan a.s teri juti ka sadqa mila ...
Tabhi sher padhke sunaye Hasan ...

7. Janab Raheman Ali sb.

Ho mid'hat bhala kis tarah ap ki

Hai kam zindagi bhi bara e Hasan

Yaqee'n hai k Bahre'n bhi seekhunga main

Hai darkar mujh ko dua e hasan

8. Janab Ghazi sb.

Karo aaj khulkey Sanaa e Hasan
Ye mehfil sajii Hai baraa e Hasan

Do baala Ali ki Qushi hogayi
Mohammad ke soorat mey aaye Hasan

Andhera huwa qatm, phailaa hai Noor
Lahad mey Merii jabse aaye Hasan

Sajaaya tha my mehfil e panjatan
Merey ghar mey tashreef laaye Hasan

Hai Ishq e nabi, ishq e Hyder ke saath
Hai dil mey hamaarey wilaa e Hasan

Tu maadey mey tabdeel hojaayega
Zabaa par agar Kun ko laaye Hasan

Tu aye maawiya bach nahi paayega
Agar teyg e Hyder chalaaye Hasan

Adoo, Jung e qasim pey kehney Lagey
Lo bhaago, jawaanii ke aaye hasan

Muqaddar Meri ab sawar jaayegi
Mujhey dekhkar muskuraaye hasan

Qudaa, kardey "GAAZI" pey itna Karam
Baqee'a mey usko bulaaye Hasan


9. Janab Zia Haidar sb.

🌹🌹🌹🌹🌹
1.
Hai mere laboN par sanaaye Hasan,
Ye kahte huve mushkuraaye Hasan.

2.
Kiya jab zameeno zamaaN ne sana,
Fir humse bhala kyuN bhulaaye Hasan.

3.
KyuN kar ho na qismat qaramat liye,
Hai jinke saroN par kisaaye Hasan.

4.
Mohammad Ali Fatma o Khuda,
Khush hai yaN sabhi amn laaye Hasan.

5.
Ye bole malak aur jinno bashar,
Hai dil me hamaare wilaaye Hasan.

6.
Ho jate nusairi Khuda ki kasam,
Gar hota na sajda Khudaaye Hasan.

7.
Ab wo kya karega bhala maaNg kar,
Wo jisko huva hai ataaye Hasan.

8.
Fir kyuN ho pareshaaN jahaaN me ZIA,
Jab wo ban gaya hai gadaaye Hasan.

10. Janab Kumail nagri sb.

Azal se hai hum bhi fidaye hasan.
Hai dil me hamare welaye hasan.

🌹

Mere ho'nt kaise na choome malak.
Labo'n par hai mere sanaye hasan.

🌹

Mujhe khauf mehshar ka hargiz nahi.
Meri zindagi hai baraye hasan.

🌹

Huwa aur raushan ye jahaa'n.
Jab aghoshe zahra me aaye  hasan.

🌹

Nabi leke aghosh me the khade.
Unhe'n dekhkar muskuraye hasan.

🌹

Ye murda jilaade ajab kuch nahi.
Jab ek mard ko zan banaye hasan.

🌹

*Kumail* aake bole farishte na darr.
Hai teri lahed me bhi aaye hasan.


11. Janab Zeeshan Aazmi sb.

Azal se hai lab par sanaaye Hasan
Hai dil me hamare vilaye Hasan

Hasan ki wiladat pe momin sabhi
chiraagaa'n kiye hain baraye Hasan

Sahabi ho, phir bhi ho sulh e Hasan
Munafiq ki pahchaa'n bataye Hasan

Bade achche akhlaq se shekh ko
Wazu ka tarika sikhaye Hasan

Dhani ilm o hikmat ka wo shakhs hai
Ataa ho jise khake paay e Hasan

Ye Zeeshan ke dil ka armaan hai
Ziyarat ko teri wo aaye Hasan

12. Janab Naushad Bijani sb.

Jo karta hai dil se sanaa-e-hasan.
To hoti hai us par ataa-e-hasan.

Hai noore mohammad ziya-e-hasan.
Loaabe nabi hai ghiza-e-hasan.

Hai husne hasan chaand se bhi hasee'n
Hai noore nabi me nahaaye hasan.

Hai inka amal seerate mustafa.
Hai deene nabi iqtedaa-e-hasan.

Woh hogi lazeez aabe kausar se gar.
Maye hubbe haidar pilaaye hasan.

Adu-e-hasan hai adu-e-khuda.
Khuda ki reza hai reza-e-hasan.

Hai laanat munafiq pe meri sada.
Hai dil me mohabbat bara-e-hasan.

Janaaza uthega jo navshaad ka.
To saath uske hogi dua-e-hasan


13. Janab kaifi kalkatwi sb.

*Hai kya" koyi kaise" bata e hasan*
*Hai noor e khudayi khuda e hasan*

*Sabaq amn ka jo sikhaye hamei'n*
*Nahi do jaha'n mei'n siwa e hasan*

*Ishara jo kar de zara ghaiz me*
*Falak bhi tere dar pe aa e hasan*

*Hain andaz e ahmed liye is tarha*
*Sitam ko qalam se jhuka e hasan*

*Muqaabil sada zulm ke kyun na ho*
*Hai dil me hamaare wila e hasan*

*Ali ki shuja'at liye dast mei'n*
*Sitam do jaha'n ka utha e hasan*

*Khuda jaan e kya manzilat inki hai*
*Kare koyi kaise sanaa e hasan*

*Jo khushboo jina ki hame baksh de*
*Woh gul karbala ka khila e hasan*

*Lo qasim ki surat me khud khuld se*
*Shah e dee'n ki nusrat ko aa e hasan*

*Haan rauz e ki tameer ke waste*
*Hamei'n bhi madeena bula e hasan*

*Hai kis me ye himmat mitaye use*
*Muqaddar jo kaifi bana e hasan*

No comments:

Post a Comment