Tuesday 13 June 2017

Tarhi Misra: Ye Deen-e-Nabi tera sana khwa'n hai Khadija(sa)

🌺 *BAZM-E-SHOARA* 🌺
  
     SalamunAlaikum.

*MISRA BARAE Manqabat*       

              👇👇👇👇

*Ye Deen-e-Nabi  tera  sana khwa'n hai Khadija(sa)*

*یہ  دین_نبی  تیرا  ثناخواں    ہے  خدیجہ*

Qhafiya: 👉*Sanaakhwa'n*
Radeef : 👉 *Hai khadeeja*

Misra by👉🏻  *Janab Chaman Abbas Alipuri sahab*

Diye gae tarhi misre par shoara hazraat ke kalaam aur qata......

1. Janab Zeeshan Aazmi sb

*Yeh deen e nabi tera sanakhaa'n hai khadija*

Daulat teri Nazro'n me to bithwaa'n hai khadija
Qayel tere ahsaan ki niswaa'n hai khadija

Manzil tere imaa'n ki khuda ko hi pata hai
Imaan tera pahla na daswaa'n hai khadija

Ahsan dilo jaa'n se kiya deen pe tu ne
Yeh deen e nabi tera sanakhaa'n hai khadija

Zeeshan qaseeda tera kiyo'nkar na likhega
Ahsaan tera dee'n pe farawaa'n hai khadija

دولت تری نظروں میں تو بِٹھواں ہے خدیجہ
قائل تری احسان کی نسواں ہے خدیجہ

منزل ترے ایماں کی خدا کو ہی پتا ہے
ایمان ترا پہلا نہ دسواں ہے خدیجہ

احسان دل و جاں سے کیا دین پہ تو نے
یہ دینِ نبی ترا ثناخواں ہے خدیجہ

ذیشان قصیدہ ترا کیوں کر نہ لکھیں گا
احسان ترا دیں پہ فراواں ہے خدیجہ

2. Janab Arshad sirsivi sb

Maanoos tere azm se Qur'an hai khadija
Ye deene nabi tera sana kha'n hai khadija

Kis shaan se islam pe qurba'n hai khadija
Ab tak tera maqrooz musalma'n hai khadija

Tareekh hai shahid hain ali mardo me awwal
Niswaniyat me pehli musalma'n hai khadija

Do zaate rahi'n mohsine islam e mohammad
Ek zaat teri dusri imra'n hai khadija

Deebacha e zahara teri aaghosh e muqaddas
Iman e mohammad tera ima'n hai khadija

Ham surat e zainab bhi sare dashte bala dekh
Is deen e payambar ki nigehbaa'n hai khadija

Wo zaat e muqaddas jise sab kehte hain zahara
Us umme abih ki bhi tu maa'n hai khadija

Faaqo me basar ki hai malika e arab ne
Kis darja mohammad pe mehrba'n hai khadija

Khilta hai jaha'n fatima zahara sa koi phool
Wo ismat o iffat ka gulista'n hai khadija

Ye tere charagho ki ziya o ka sila hai
Islam ka roshan jo shabista'n hai khadija

3. Janab Kumail nagri sb

Tahreere risalat ki   tu unwa'n hai khadeeja.
islaam mohammad hai to eimaa'n hai khadeeja

💐

Hai dil me mohammad ke samayi teri ulfat.
Paighambare islaam ki tu jaa'n hai khadeeja

💐

Tazeem teri kiyu'n na kare huro malaik.
Shehzadiye kaunain ki tu maa'n hai khadeeja.

💐

Thi zaheda aisi k saqawat me thi aala.
Hasil tujhe allah ka irfa'n hai khadeeja.

💐

Ehsaan ke saaye me tere sar ko jhookaye.
Ye deene nabi tera sana khwa'n hai khadeeja.

💐

Taeed mohammad ki agar ho to hai momkin.
Midhat teri karna nahi asaa'n hai khadeeja.

💐

Sarmaaya nichawar kiya sab raahe khuda me.
islaam pe tera bada ehsaa'n hai khdeeja.

💐

Aghosh me ismat ka jo ek phool liye hai.
imraa'n ke o aa'ngan ka gulista'n hai khadeeja

💐

Kaise na o le aayega hasnain ke kapde.
Naukar tere ghar walo'n ka rizwaa'n hai khadeeja

💐

Kirdaar tera dekh ke shada'n hai kudayi.
Paighambare islaam bhi naza'n hai khadeeja.

💐

4. Janab Altaf Maroofi sb

Maqrooz shahenshaah e Solaima'n hai Khadeeja

itna tera islam pe ehsa'n hai khadeeja
🌹
Daulat kada e fakhr e Rasoola'n hai khadeeja

har tar'h se ham palla e  Imara'n hai khadeeja
🌹
Sooraj bhi use dekh ke beena'iyaN kho de

itna tere Qadmo'n me cheraaga'n hai khadeeja
🌹
Wo Ahle saqeefa hain.
Jise chahe banaye'n

Altaf ghadeeri hun meri MaaN hai khadeeja

5. Janab Jabir Ali sb

Tune hi bachaya hai ise maal ke zariye
Is din e Nabi pe tera ehsaaN hai Khadija.

Ye saare musalamaa hai sana ko teri aajiz,
Yeh din e nabi tera sanakhwaaN hai Khadija.

6. Janab Naushad bijani sb

Qur'aa'n se tuje jaanna aasaa'n hai khadeeja
Ummat me teri shaan numaaya'n hai khadeeja.

Ghamgeen teri maut se hai faatema zehra
Ro ro ke tere gham me woh naala'n hai khadeeja.

Rota hai janaaze pe tere haasmi kumba.
Or chaak mohammad ka gireba'n hai khadeeja.

Chaai hai teri maut se kaabe pe udaasi.
Ghar ehmade mukhtaar ka veera'n hai khadeeja.

Navshad ko mehshar me bhi tum dena sahaara.
Aakhir wo tumhaara hi namak-khwa'n hai khadeeja.

7. Janab Rahman Ali sb

SAB MAAL ATA KAR DIYE TABLEEGH E NABI ME

YE DEEN E KHUDA PAR TERA EHSA'N HAI KHADEEJA

ISLAM K LAB PAR HAI YAHI SUB'HO MASA BAAT

Ye din e nabi tera sanakhvan hai khadeeja

1 comment: