Thursday 10 March 2016

Tarhi Misra: Zakhm ho kaise bayaaN Binte Shah e Abraar ke. , March 2016

Misra: Zakhm ho kaise bayaaN Binte Shah e Abraar ke.

Misra By: Altaf Maroofi sahab

Tarikh: March 2016


1.
Masoom Haidri Maroofi Sahab

1
Kaise din guzre yateeme ahmade mukhtaar ke
Marsiye mahfooz hai
Tareekh me ghamkhaar ke
2
Apne hi haq keliye darbaar tak jana pada
Kya ye mamuli hain gham us bekaso lachaar ke
3
Chand ghanto.n.me hi
Baalo.n.ki siyaahi kho
Gai
Jab sare darbaar haq chhine gae haqdaar ke
4
Chakkiyo.n.ke beech ho jata hai jo daano.n
Ka haal
Pis gain.yun darmiya.n
Zahra daro diwaar ke
5
Ho gaya pahlu shikasta ho gae mohsin shaheed
Zakhm hon kaise bayan binte shahe abraar ke
6
.4.ghante thi khadi haq
Ke liye binte rasool
Aur hanste the sabhi kursi nashin darbaar ke
7
Rehlate ahmad ko lamhe bhi na guzre the
Abhi
Rang zaahir ho gae har aek ke kirdaar ke
8
Jal rahi hai turbate zahraa sulagti dhoop
Me
Us pe saae bhi nahin
Chhode gae diwaar ke
9
Dahr me chhina jinho.n
Ne faatema zahra ka haq
Hashr me jaenge kaise
Saamne sarkaar ke
10
Dahr me masoom ak aesa bhi maqtal hai
Jaha.n.
Hamne dekhe hain paseene chhoot te talwaar ke


2.
Shaarif Rizvi Allahabadi Sahab

Jis jagha bacche hai'n rahte ahmade mukhtaar ke
Hai wahi ghar Aaj dekho darmiya'n aghyaar ke

Binte Ahmad par giraya is tarha dushman ne Dar
Aa gai'n hai'n darmiya'n bibi daro diwaar ke

Chot pahonchi is qadar Haidar ko Zahra jab gai'n
Zakhm kam the mil Gaye hote agar talwar ke

Jumlaye subbat alayya ye batata hai hame
zakhm ho kaise baya'n binte shahe abrar ke

Jaise hi Ahmad Gaye wo Dar jalane aa gaye
Haaye gam kam ho na paye the Abhi ghamkhwar ke

Sin hai aththara(18) baras lekin zaeefi aa gai
Gam bhala kaise baya'n ho'n zaojaye karrar ke

Fatima ki qabr pe matam kare'n Mahdi ke saath
Dil me shaarif bas yahi arma'n hai'n matmdaar ke


3.
Altaf Haidar Maaroofi Sahab

Aake Jab bose farazdaq ne liye Afkaar ke
Tab likhe Altaf ne Ash'aar is meayaar ke

Ham zobaane'n mid'hate khairunnesa pe waar ke
Eek din qad'mo me honge Meesam e tammar ke

Jb se choome hain qadam zahra tere zoowaar ke
Ham pe saaye hain qaseemul jannate wannaar ke

Shaahzaadi ke ghulamo'n ki ghulami gar mile
Sar main qadmo me saja dun Hazrate Ammar ke

Khud nikaalega bine zahra hi gardan kaat kr
Halq me atka hai jo baaghe fedak DO CHAAR ke

Is qadar zahra pe hain toote sitam Aghyaar ke
Aagaya subbat Alayya lab pe us laachaar ke

Qat'aa band👇🏼

TAZMEEN👇🏼
Poocha  Jibreele Amee'n se hazrat e Ayyoob ne
Zakhm hon kaise baya'n binte shahe Abrar ke

Na hain paigambar na mohsin* pasliya'n hain choor choor
Sirf fizza janti h dard us lachar ke

itrat'e At'haar ki ghurbat pe padh kr marsiya
Le liye rassi ne bose Haidare Karrar k

Maslehat thi isliye khamosh tha maula mera
Warna dikhlata manaazir hashr ke bazar ke


4.
Sadiq Ali Naushad Bijani Sahab

1
Kyun naho chhalni jigar zehra ke maatamdaar ke.
Jab ke rote hai ali bhi haath sar pe maar ke.

2
Zainabo kulsoom hai'n girya kuna fizza ke saath.
Aur rote hai nawase ehmade mukhtaar ke.

3
Taab la sakte nahi unke masaaeb sunke ham.
Zakhm kaise ho baya binte shahe abraar ke.

4
Aag aada ne lagaai lakdiya'n karke jam'a
Kar diya zehra ko zakhmi laat dar ko maar ke.

5
Ho gayi'n us waqt chakna choor dono pasliya'n
Fatema thi darmya'n jisdam daro dewaar ke.

6
Fatema ke jism me keele'n saraayat kar gai.
The badan me zakhm misle teer or talwaar ke.

7
Ho gaya saakit hamal mohsin jaha se chal base
Raakh jalke ho gae armaan ek laachaar ke.

8
Tum ali ko khol do yeh roke kehti thi batool.
Haath jab aada ne baandhe haidare karrar ke.

9
Dee'n ke gulshan ko sada aabaad rakhne ke lye.
Umr bhar gul ne sahe zulmo sitam har khaar ke.

10
Jab talak zinda rahi sub'ho masa roti rahi rahi.
Khoon ke aansu rava aakho'n se the ghamkhaar ke.

11
Aake baytul huzn me karti voh ummat ka gila.
Baba dekho aake khud zilmo sitam aghyaar ke.

12
Rotiya'n is haal me bhi khud pakaati faatema.
Aur kapde bhi voh dhoti khuld ke sardaar ke.

13
Rote rote jaanibe mulke baka voh chal basi.
So gai turbat me dardo gham se woh thak haar ke.

14
Qabr me bhi chain aada ne nahi lene diya.
Kar diya hamwaar rauza hukm se darbaar ke.

15
Aa gaya wqate qaza Navshad ka ae dosto.
Ab use deedaar honge haidare qarrar ke.



5.
Nazaa Jafri Sahab

Misre per kuch Ashaar peshe kar raha hun ba tore islah

Noha padhte hai.n Nawase Ahmade mukhtar ke
ghar me hai kohram barpa Haidare karrar ke

Lash per zehra ki Haidar karte hai.n Aaho fugha.n
aur zainab Roti hae.n deewar per sar mar ke

pasliya.n tooti huwi Haidar ne jab se dekh lee.n
phoot kar khoo.n Rote hae.n chale dile Aazar ke

batn me zehra ke mohsin ko bhi kar dala shaheed
ummati Aise huwe hae.n Ahmade mukhtar ke

kalma go haji namazi sab hi the darbar me
Huq me koi bolne wala na tha Huqdar ke

tum ko de deti.n khushi se bheek me gar mangte
atema Hasnin pe baghe fidak ko war ke

Rote Rote apne dil ko tham kar bole Ali
zaqm ho.n kaise baya.n binte shahe Abrar ke

mujh ko likhwani hai qismat shahe dee.n se is liye.n
hath me Nazaa Areeza de diya zawwar ke.


6.
Azam Maroofi Sahab

1
War itne ho rahe hain zulm ki talwar k ...
Zakhm ho'n kaise bya'n binte shahe abrar k.......
2
Para-a-qalbe mohammad (saww) ki judai ka hai gham....
Ashk me doobe hain bacche ahmade mukhtar k......
3
Aj b zahra k marqad pr koi saya nahi......
Saiyada pe ab b hain ye sab sitam aghyaar k....
4
Ghaib se jab aaye'nge Azam imame aakhri......
Tode jaye'nge sabhi dar zulm ki deewar k....


7.
Mohammad Reza Maroofi Sahab

takheer ki mazerat ke sath.

لگ گئی جب آگ گھر میں حیدر کرار کے

درمیاں بنت نبی آئیں در و دیوار کے

حکم دے رکھا ہے پیغمبر نے صبر و ضبط کا

کس طرح جوہر دکھائیں گے علی تلوار کے

اے رضا مجروح سینہ اور ٹوٹی پسلیاں

زخم ہوں کیسے بیاں بنت شہ ابرار کے

Lag gai jab Aag ghar me haidar e karrar ke
Darmiya'n binte nabi Aai'n dar o diwar ke.

Hukm de rakhkha hai paighambar ne sabr o zabt ka
Kis tarah jaohar dekhaye'n ge ali.talwar ke

Aye raza majrooh sina aur tuti.pasliya'n
Zakhm ho'n kaise baya'n bint e shae abrar ke.


8.
Anees Abr Sahab

Rukh badal daale sitam ne deen ke gulzaar ke,
DarmyaaN Ahmed ki dukhtar hai dar o diwaar ke...

Abr jinko dekhkar Hyder(as) na laaye taab jab
Zakhm kaise ho bayaaN Binte Shah e Abraar ke...


9.
Hasan Reza Banarasi Sahab

lab pe hai ya Fatema(as) har ek matamdar ke
aur seeene me hai gam Binte Shah e Abraar ke...

pasliya'n tooti hoi dekhi ali ne jis ghadi
ashk barsane lage deewar pe sar mar ke

kya gazb ab jaha se fatema(sa) b chal basi
chand hi din to hai guzre ahmad e mukhtar ke

sayyada k gam me halat gair h jarrar ki
aur bchche ro rhe h haidr e karrar k

sab sahabi h nbi ke sab nbi k kalma go
kaise kah du fatma h drmiya'n agyaar ke....


10.
Masoom Najaf Maroofi Sahab

Dekhke pahlu shikasta bekaso lachaar ke
Marsiya padne lage lab haidare karraar ke

Ranjo gham had se sewa tha jab bhare darbaar me
Darmiya'n thi'n chaar ghanta Fatima kuffaar ke

Dahr me aane se pahle ho gaye Mohsin  shaheed

Zad me aake aag se jalte daro deewaar ke

Ashk barsane laga mera qalam qirtas par
Jab likhe ahwaal binte ahmade mukhtaar ke

Sayyade sajjad se seekha hai hum ne ye honar
Ashk hi se waar karna samne  talwaar ke

Baap ke shauhar ke beto'n ke abhi taze hai'n gham
Zakhm ho'n kaise bayaa'n binte shahe abraar ke

Isliye aati hai'n zahra majliso'n me ai NAJAF
Ashke gham bante hai'n marham khuld ke sardar ke

Wassalaam,
Iltemase dua,
-Anees Abr

No comments:

Post a Comment