Wednesday 9 March 2016

Eram Mehdi - Tarhi Kalaam



🌹Tarahi kalaam pesh e khidmat hai 🌹

Tarhi Misra:
*Maut aa sakti nahi hai sheh(as) ke matamdaar tak*

Kalaam:
Maghferat ke waste jana tha jo ghaffar tak***
Sar jhuka kar a gaye hm Haider e Karrar tak***

Har payambar, aap ka marhoon e minnat hai Ali
hazrat e Adam se lekr aakhri sarkaar tak***

Dushman e ala e Nabi se hafize ke sath sath
Salb kr leta hai khaliq quwat e guftar tak***

Dekhye ibne Ali ke toote naize kamaal
al qama qabze me hai, is paar se us paar tak***

Hai Rawayat me ke Haider ki ijazat ke bagair
Maut a sakti nahi hai shah ke matamdar tak***

Baiat e fasiq ka lasha beriyon ki shakl me
khinch kr laye hain Abid Shaam ke darbar tak***

Zainab o Sajjad ne pahuncha ke akhir dam liya
talib e bait ko us ke kaifar e kirdar tak***

Tazyane Sayyad e Sajjad pr jab bhi lage
Kh rahi thi ya Ali zangeer ki jhankar tak***

uske sir ki manzilat, allah se pucho Eram,
pair jis ke aye dosh e Ahmed e Mukhtaar tak***

🌹ERAM MEHDI🌹

No comments:

Post a Comment