Friday 4 March 2016

Tarhi Misra: Baad e nabi muhaal hai jeena Batool(sa) ka MARCH 2016

Bazme Shaora

Tarhi Misra:  Baad e Nabi Muhaal Hai Jeena Batool(sa) ka

Misra By: Janab Altaf Maroofi Sahab


Ba Tareekh: March-2016




1. Sadiqali Bijani Naushad.

1
Mai kya tumhe bataau hai kya kya batool ka.
Makka batool ka hai madeena batool ka.

2
Firdaus hai batool ki kaba batool ka.
Yeh saari kaaenaat hai sadqa batool ka.

3
Maula hai aalmeen ka shauhar batool ka.
Rehmat hai aalmeen pe baba batool ka.

4
Sardaare khuld jab ke hai bete batool ke.
Hai bil yaqeen arshe moalla batool ka.

5
Qur'aan padh raha hai qaseeda batool ka.
Mahve sana hai paalne vaala batool ka.

6
Makhsoos panjetan me hai rutba batool ka.
Hai martaba jahaan me aala batool ka.


 7/8 qataband.
Jab chal base jahaan se mulke baka nabi
Or ghar jalaane aagae aada batool ka.

Dar jab gira to pasliya tooti batool ki.
Haae shaheed hogaya bach'cha batool ka.
😭😭😭


9
Subbat alayya kehke voh roti thi raat din.
Labrez dardo gham se tha nawha batool ka.

10
Hasnain aur zainabo kulsoom ro diye.
Bach'cho'n ke sar se uth gaya saaya batool ka.

11
Hayhaat! cheekh maar ke roe abuturaab.
Pehloo bhi ho gaya tha shikasta batool ka.

12
Gham se nidhaal ho gar bach'che batool ke.
Jis dam utha tha ghar se janaza batool ka.

13
Navshad ki dua hai, vaseela batool ka.
Ya rab dikhade usko tu ravza batool ka.




2. Janab Rizwan Bijani sahab.
Qurba huwa he dee pe gharana batool(s.a)ka

Kis darja he baland ye rutba batool(s.a)ka

Mehdood sirf hazrate insan taq nhi

Dono jahaan khate he sadQa batool(s.a)ka

Zinda jalaye jayenge maidane hasr me

Jin zalimo ne dar he jalaya batool(s.a)ka

Arzo sama bhi kanpa he Soon kar ye marsiya

Baade nabi muhaal he jina batool(s.a)ka

Jannat ke noujawano ke sardaar ki tarah

Abbas bhi he raaj dulara batool(s.a)ka

Qatil ke ghar bhi farsh aza ka bicha gya

Sine ko apne taan ke pota batool(s.a)ka

Chahat ka gar he dawa to parda n chodna

Apni kanizo se he ye kehna batool(s.a)ka

Be shaq wo dale jayenge dojakh me muh ke bal

Duniya me jisne dil he dukhaya batool(s.a)ka

Har dushmane batool se lene ko intqaam

Ik din jaroor aayega beta batool(s.a)ka

Aale nabi ki shaan me likhne ke waste

"Rizwan"ko mila he sahara batool(s.a)ka




3. Janab hasan raza hafiz sahab.

ummat se puchta h ye baba batul ka
q shab me uth rha h janaza btaul ka

jis waqt yad aya zamana batul ka
khud aa gaya zabn pe nauha batul ka

ahle madina karte h aa kar shikayte'n
ummat ko na gwar h rona batul ka

aa kr slam karte the jis dar pe mustafa
wo dar sitamgaro ne jalaya batool ka

fizza mujhe sambhalo k mohsin hua shaheed
deewar o dar k beech h nauha batula ka

tooti h pasliya'n to kamar h jhuki hui
ummat ne hal kaisa bnaya batul ka

kahti h ro k subbat alayya masaebun
bad e nabi mohal h jina batoola.ka

kis jurm me shaheed.kiya mujhko muslimo
mahshar me tumse puchega bachcha batul ka

mushkil se chalti h to asa bi larazta h
18 sal wali zaeefa batula ka

taza tha mustafa ki judai ka gam abi
bchcho k sar se uth gaya saya batul ka

us waqt cheekh mar k rone lage ali
pahlu nazar jo aya shikasta batul ka

zhra ko yad jab b kiya ankh nam hui
Haidr ko har ghadi rha sadma batula ka

ash,aar  taziyat k likhe h Raza ne bi
maula.qabul kijiye pursa batul ka





4. Janab Khateeb Allahabadi sahab.

                      1
Is trha gham se chalni hai seena batool ka

Badi nabi mohaal hai jeena batool ka

                 2

Karbobala me zainab o sarwar ki shaql me

Islam ko mila hai khazeena batool ka

             3

Is rukh se bhi samajhiye Husain aur Karbala

Angoothi hai khuda ki nageena batool ka

              4

Jibreel aake krne lage naukari yaha..n

Itna pasand aaya Qareena batool ka

               5

Firdaus chahiye to dar e Fatima pe aa

Jannat se jaake milta hai zeena batool ka

             6 maqta

Chakki chala rahe hain malak isliye Khateeb

Rab ko nahi gawara . paseena batool ka





5. Janab Nazaa jafri sahab.

kis ja nahee.n bataiye qabza batool ka
qosain tak hai sara ilaqa batool ka

hai is qadar Azeem gharana batool ka
ghar hai imamto.n ka khazna batool ka

shere khuda hi doolha banega batool ka
Allah ke ghar se aaya hai Rishta batool ka

Lab per Rasoole pak ke hae.n muskurahte.n
sadqa Luta rahi hae.n qudeeja batool ka

masroof hae.n tilawate quraan me batool
quraan padh raha hai qaseeda batool ka

Auqat kya hamari hamari bisat kya
Nabyo.n ka hai naseeb waseela batool ka

Farshe zamee.n se leke sare la makaa.n talak
taqseem raoz hota hai sadqa batool ka

Noori mahal me Aaj hai yakja khuda ka Noor
kya chadare kisa me hai jalwa batool ka

Likkha hai shahe deen ne Asghar ke khoon se
karbobala ke mathe pe qarza batool ka

bola ye Rab Husain hai dee.n Ast dee.n panah
sadyo.n ki Aabroo hai ye beta batool ka

jari hai Aaj tak bhi imamat ka silsila
Ab bhi imame waqt hai pota batool ka

peeche nahee.n hatenge Azadare shahe dee.n
Taameer kar ke chodenge Rauza batool ka

Aisi munafeqat ki hawaye.n chali ke bas
baade Nabi muhal hai jeena batool ka

Nazaa chuka na paiga Rauze Abad talak
maqrooz is qadar hai zamana batool ka





6. Janab Hasnain maroofi sahab.

Ahsaan keya chukaaye gi doniya botool ka

Har saans har hayaat hai sadqa botool ka
🌹
Soraj se keya kisi ne nigaahe,n milayi hai

Dekha hai kis ne  naqshe kaf e paa botool ka
🌹
quraan apni zer o zabar ki zubaan me

Samjha raha hai baithna uthna botool ka
🌹
Mariyem jina se aayi hai,n sadqa utaar ne

Fizza bichha rahi hai,n musalla botool ka
🌹
paani piye,n ge sher hiran aik ghaat par

Baad e zohoor hoga zamaana botool ka
🌹
fizza bhi aayeto,n ki zuba,n bolne lagi,n

Son son ke guftagu ka saleeqa botool ka
🌹
hur ko mere husain ne bakhsha hai is liye

Izzat se us ne naam liya tha botool ka
🌹
teero,n me ek sagheer abhi muskoraaye ga

Tofaan me chiraagh jale ga botool ka
🌹
mukin nahi ki laaye zamaana koyi jawaab

Be misl hai jahaan me kunba botool ka
🌹
hasnain ye dua hai khuda e kareem se

Taameer ho baqie me rauza botool ka




7. Khanda'n maroofi sahab.

بعد رسول پہلو جو ٹوٹا بتول کا
دشوار اور ہوگیا جینا    بتول ک
ا
بتلارہے ہیں رنج ومصیبت خداقسم
اک ایک گھونٹ صبر کاپینابتول ک
ا
جودرد ساتھ قبرمیں مخفی ہے جزعلی
وہ درد کوئی جان نہ پایا بتول کا

حیدرکےسارےزخم کادرمان تھیں بتول
لیکن علاج زخم نہ پایا  بتول  ک
ا
اک آئینہ میں دیکھئے تصویر صبر کو
اوردوسرے میں دیکھئے چہرہ بتول کا

قتل ابوتراب سےلیکر ابھی  تلک
ہرروززخم ہوتاہے تازہ   بتول کا

خنداں امام عصرہیں غیبت میں سوگوار
امت نےکیوں گرادیاروضہ بتول کا

Baad e rasol pahlo jo toota botol ka
Dushwar aur hogaya jeena botol ka

Btla rahe hain rnj o musebat khuda qasam
Ek eek ghont sbr ka peena botol ka

Jo drd saath qbr me mkhfi hai juz ali
Wo drd koi jan na paya botol ka

Haider ke sare zakhm ka drman thin botol
Lekin elaj zakhm na paya botol ka

Ek aaene me dekhia taswer e sabr ko
Aur dusre me dekhia chehra botol ka

Qtl e abuturab se lekr abhi talak
Hr roz zakhm hota hai taza botol ka

Khanda'n imam e asr hain ghaibat me sogawar
Ummat ne q gira diya rauza botol ka
 



8. Janab Akmal kopaganji sahah.

Ummat ne chia jo tha sahara batool ka
Kaise guzAr basar kare kunba batool ka

Zulm o sitam ka abr barsta hai har tarh
Bad, e,nabi mohal hai jina batool ka




9. Maulana Mohammad Raza Maroofi sahab.

Jab likh diya qalam ne qasida botool ka

Tab mujh pe mehraba'n hua baba botool ka

Hure'n uthake le gai'n hur ko suye jena'n

Rumal sheh ne jaise hi bandha botool ka

Faoran hazar bab ijabat ke wa huye

Aaya ju'n hi dua me wasila botool ka

Bad e nozool e Aaya e tatheer kar liya

Ismat ke Aasman ne sajda botool ka

Kahe ko us ko khaof ho roz e hesab ka

Jis ko bhi mil gaya hai sahara botool ka

Taazeem un ki karke batate hain mustafa

Ye hai meri nigah me rutba botool ka

Tatheer o dahr o suraye kaosar ki shakl me

QurAan me likha hai qasida botool ka

Mushkil kusha e dono jaha'n bhi bawaqt e ghusl

Pahlu ka zakhm dekh ke roya botool ka

Tadpa jo dil hemayat e mazloom me mera

Hamrah mere ho gaya kunba botool ka

Mohsin shahid ho gaye tuti hain pasliya'n

Bad e nabi mohal hai jeena botool ka

Is ko bhi tod de na kahin aye raza saood

Taameer mere dil me hai raoza botool ka
 




10. Janab Masoom haidri maroofi sahab.

1
Jannat me jashne paak hai barpa batool ka
Mariyam suna r ahi hsi.n.qaseeda batool
Ka
2
Haidar ki zaujiyat me bhi rahkar rahi.n.batool
Allaah ne rakha hai ye
Rutba bstool ka
3
Beti ko koi baap nahi.n
Kahta apni maa.n.
Haq ki qasam sharaf hai ye tanhaa bayool ka
4
Daulat jo di hai maa.n
Ne to beti ne apna khu.n
Ahsaan deen par hai khadija batool ka
5
Mar ja aati bhuk.o.
Peyaas se ye saari kaenaat
Hota agar na dahr me faaqa batool ka
😭😭😭😭😭
6
Kyu.n.ho na paash.
Paash kaleja batool ka
Rehlat jahaa.n.se kar gayaa baba batool ka
7
Ho jae kyu.n.zaeef na 18 saal me
Muddat ye kam hai gham hai zeyaada batool ka
8
Darbaar me khadi rahi
Ghanto.n.wo ghamzda
Lekin kisi ne haal na
Puchha batool ka
9
Rone pe bhi lagaadi.n.
Zamaane ne bandishe.n.
Baade nabi mohaal hai
Jeena batool ka
10
Masoom haidri wo qayaamat ki raat thi
Jis raat ko utha tha janaaza batool ka





11. Janab Eram Mehdi sahab.

Pursa nabi ko aj hai dena batool ka...
Sunye kaleja thaam ke naoha batool ka...
______________________________________

Ummat ne wo pahad sitam ke giraye hain
Bad e nabi muhaal hai jeena batool ka...
______________________________________

Batla raha hai ranj o masaib ki dastan
Ghar me asa ko tek ke chalna batool ka...
______________________________________

Khati thin sar ko pet ke baba tumhare bad
Dusman hua hai sara zamana batool ka...
______________________________________

Dar ko jala ke bibi ke upar gira diya
Maalik ye imtehan hai kaisa batool ka...
______________________________________

Pahlu pakard ke roone lagin binte mustafa
Fizza pukarin mar gaya baccha batool ka...
______________________________________

Ummat ne khoob ajr e Risalat kiya ada
Mismar kr ke dahr me rauza batool ka...
______________________________________

Kulsoom aj mominon bin man ki ho gayin
zainab ke sar se uth gaya saya batool ka...
______________________________________

Hasnain nala zan hain fiza sogwar hai
kandhon pe hai Ali ke janaza batool ka...
______________________________________

Sar ko kata ke wada e tifli nibha gaya
Haider ka lal, ankhon ka taara batool ka...
______________________________________

Kaise nabi se ankh milayenge wo eram
Jinko khatak raha hai gharana batool ka...





12. Janab Masoom Najaf Maroofi sahab.

Jibreel pad rahe hai'n qaseeda batool ka
Jo kuch bhi hai rasool ka saara batool ka

Nissa'n ki hai misal qareena batool ka
Rab pad raha hai khud hi tarana batool ka

Khud bhooke rah auro'n ko de de'n jo rotiya'n
Dunya me ek hai aisa gharana batool ka

Mal kar laho sagheer ka rukh par Husain ne
Sadqa kiya hai pani o daana batool ka

Qarbaniye Husain se sabit ye ho gaya
Laya hai rang khoon paseena batool ka

Bahre nejat laye hai'n yasrab se shahe dee'n
Daryaye Karbala me safeena batool ka

Thame huwe kamar ko pahuchti hai'n har jagah
Ashke azaye shah hai khazeena batool ka

Sone na dega chain se afwaje zulm ko
Baqi abhi hai aakhari beta batool ka

Uthte hai'n ehteraam me sardare ambiya
Qausen se bhi ucha hai rutba batool ka

Dar pe Ali ke, bhes me sayel ke ai Najaf
Jibreel ne bhi khaya hai sadqa batool ka
 




13. Janab Anees Abr sahab.

NauhakunaaN hai arsh pe Baba Batool(sa) ka,
Pehlu huwa hai aaj shikasta Batool(sa) ka ...

Kuch roz hi gaye the wafaat e Rasool me,
Darwaza dushmanoN ne jalaya Batool(sa) ka...

Is par na zaalimoN ne kiya bas ae mominoN,
Afsos qatl kar diya bachcha Batool(sa) ka...

GairoN ko rota dekh na paate the jab Ali(as),
Kaise na jaane dekha hai rona Batool(sa) ka...

Gamke pahaad toot pade haaye is qadar,
"Subbat Alayya" hogaya nauha Batool(sa) ka...

Baba se door hoke jiye bhi to kis tarah,
Baad e Nabi muhaal hai jeena Batool(sa) ka...

Gairo ne gazb kar diya Haqq e Ali wali,
Baag e fidak bhi leliya jo tha Batool ka...

Baba ko rone waali wo beti guzar gayi,
khamosh eyk shab huwa girya Batool(sa) ka...

Zainab(sa) jigarfigaar hai, Kulsoom(sa) nauhagar,
Hyder(as) utha rahe hai janaza Batool(sa) ka...

Hassnain(as) ro rahe hai ke amma guzar gayi,
Koi nahi jo de unhe pursa Batool(sa) ka...

Wo raat Abr roze qayamat se kam na thi,
Jis shab me uth raha tha janaza Batool(sa) ka...





14. Jaban Sharif Rizvi sahab.

Kaise batau'n aap ko kya kya butool ka
Ye saari kaaynat hai sadqa butool ka

Bach kar KAha'n pe jayenge dushman butool ke
Baaqi hai is jahan me beta butool ka

Zaoja Ali ki ! maa'n hai'n ye geyarah(11) imam ki
Mumkin nahi bayan ho rutba butool ka

Mujhko duae'n dete hai'n sardare ambiya
Jisdam qasida maine sunaya butool ka

Afsos kal tha shahre madina butool ka
Baade nabi mohaal hai jeena butool ka

Ay kalma go nabi ke zara soch to lete
Ke ek laqab hai umme abiha butool ka

Hai khanaye wahi pe zara dekho ek hujoom
Darwaza dushmano ne jalaya butool ka

Isse badi wo karte jinayat batao kya
Haaye shikam me maara hai baccha butool ka

Pehlu shikasta bibi ne kaise padhi namaz
Kis tarha se bayan ho sajda butool ka

Haidar ke jinke sabr ki milti nahi misal
Bardasht kar na paaye wo sadma butool ka

Mazlumiye butool isi misre se samjho
Shab me utha hai haaye janaza butool ka

Raoze se apne dekh ke tooti hui mazaar
Shaarif yaqee'n hai Rota hai baba butool ka.


15. Hasan Utraulvi sahab.
 
Zauf e behisht pe hy thikanaa batool ka...
mera'j hay zameen pe aana batool ka...!!!

Mosa palat ke dekh zara koh e toor se...
Roshan hy kaynaat me jalwa batool s.a ka...!!!
  
Ismat ki shahzadi kaha'n aur kaha'an gulaam...
Bhari hy umr e nooh pe lamha batool ka...!!!

 Dono hi bargah e illahi me ek hain...
zarbat ali a.s ki chakki chalana batool ka...!!!

 Masrur ho rahey hain sabhi ahl e aabru...
Padhne laga hasan jo Qaseeda batool ka..!!


Wassalaam.
-Anees Abr

No comments:

Post a Comment