Friday 4 March 2016

Tarhi Misra: Aabid e Bimaar(as) baiyat ko qaza tak le gaye Feb 2016

***Bazm E Shaora***

Tarhi Misra: Aabid e Bimaar(as) baiyat ko qaza tak le gaye

Misra By: Anees Abr Sahab

Ba Tareekh: Feb 2016







1.
Janab mohammad kazim sahab.

Dee'n bachane ke liye arze bala tak le gaye
Zainab o Sajjad ko jo nainawa tak le gaye
_________

Phir Husain ibne Ali ne Karnama kardiya
Surkhiye Khune Motahhaar ko Fiza Tak le gaye
________

Karbala se leke kufa aur deyare shaam tak
Aabide beemar baiyat ko qaza tak legaye
________

Sayyade sajjad ne har dam yazeedi chaal ke
dhol ke hain pol khole aur hawa tak le gaye
________

Jaise uttha zaighame haider tarayi chhod kar
Khud Adu bhage hi ghairon ko bhaga tak le gaye
________

Baad ban kar zainabi khutbaat ne kya kar diya!!
Har taraf se zulm ka Diya bujha tak legaye
________

Jab bhi socha zayre  jannat banu'n main dahr me
Tab farishte aake mujhko karbala tak le gaye


دیں بچانے کے لئے ارض بلا تک لے گئے
زینب و سجاد کو جو نینوا تک لے گئے

پھر حسین ابن علی نے کارنامہ کردیا
سرخئ خون مطہر کو فضا تک لے گئے

کربلا سے لیکے کوفہ اور دیار شام تک
عابد بیمار بیعت کو قضا تک لے گئے

سید سجاد نے ہر دم یزیدی چال کے
ڈھول کے ہیں پول کھولے اور ھوا تک لے گئے

جیسے اٹھا ضیغم حیدر ترائی چھوڑ کر
خود عدو بھاگے ہی غیروں کو بھگا تک لے گئے

باد بن کر زینبی خطبات نے کیا کردیا
ہر طرف سے ظلم کا دیا بجھا تک لے گئے

جب بھی سوچا زائر جنت بنوں میں دہر میں
تب فرشتے آکے مجھ کو کربلا تک لے گئے.






2.
Janab Ghafir Rizvi sahab

Shehpar e tafkeer mujh ko us feza tak le gaye.
dil feda hone laga esi jagah tak le gaye.
🌹
Andaleeb e gulshan e ismat hui hai naghma zan.
jis ke naghmey fikr e aasi ko khuda tak le gaye.
🌹
Khouf maqtal ka hame lahaq nahi hota sanam.
hum to khud apna gala teer e jafa tak le gaye.
🌹
Khaima zan neyzo'n ki chhao'n me hai'n hum to Mut'ma'en.
Khouf ke lam'hey tumhe'n teh'tus'sara tak le gaye.
🌹
Me tawaf e kaba e mid'hat me tha mashghul e hajj.
Mujh ko afkar e hasee'n umnul qura tak le gaye.
🌹
Aaye the yu'n to malak mehfil me shirkat ke liey.
Par tabar'ruk me sanaa arsh e ola tak le gaye.
🌹
Mid'hat e Sajjad me aata hai sajdo'n ka maza.
Ye hi sajdey sajda e Shah e huda tak le gaye.
🌹
Dil me hub'be aal paishani pe sajde ka nisha'n.
Hum to bakhshish ke liey khak e shefa tak le gaye.
🌹
Muskura uth'tha muqad'dar us ka bhi misl e gulab.
Fouj e haq me jis ko Sarwar karbala tak le gaye.
🌹
Allah Allah zayer e Karb o bala ka martaba!.
Arsh se aakar malayek khak e paa tak le gaye.
🌹
Jab bhi rind e jaam e hub'b e aal ke behke qadam.
pahle masjid phir use farsh e aza tak le gaye.
🌹
Keh do GHAFIR kufr se arthi ka kar le intezaam.
Sayyad e Sajjad bai'at ko qaza tak le gaye.




3.
Janab Anees Sahab

Sabr ke jauhar ko uski inteha tak le gaye,
Wo Ali aabid(as) hai jo deeN ko baqa tak le gaye...

Halqa e zanjeer se bandhi banaya shaam me,
Zulm ke baani ko fir behr e  fana tak le gaye...

Koh e gam kaanthoN pe rakhkar, dars kuch aisa diya,
Shikwa  e insaan ko shukr e khuda tak le gaye..

Inteqaam e khun e shah e karbala lete huwe,
Aabid e bimaar baiyat ko qaza tak le gaye...

Karbala ki daastaaN me aise bhi jaaNbaaz the,
Jo charag e zindagi ko bhi hawa tak le gaye...

Umre me tabdeel karke hajj e baitullaah ko,
Khana e qaba ko sarwar karbala tak le gaye..

Darbadar hona hamari aadatoN me hi nahi,
Ham to saari mushkileN mushkil kusha tak le gaye..

Di azan e sub'h e ashura Ali akbar ne yu'n.
Hur ko faani daar se daar e baqa tak le gaye.

Sirf Asgar ne zabaaN chhini nahi paikaar me,
Muskurakar dehn e baatil se sada tak le gaye..

Past karke tashnagi e aab ko paani samet,
Nau e insaaN ko Jari(as) auj e wafa tak le gaye...

Todkar dilme base asnaam zor e khulq se,
But tarashoN ko Nabi ishq e khuda tak e gaye...

GulshanoN me jab anadil hogayi midhatsaraa,
Abr ham us pal se lafzoN ko sana tak le gaye...





4.
Janab Aijaz sahab

Fikr apni aaj hum shahe huda tak le gaye

yaani baithe baithe khud ko karbala tak le gaye.

1.
Jab takhayyul apna ham arshe ula tak le gaye.

mujhko jibreele amee'n farshe aza tak le gaye.

2.
is waseele se dua ham kibriya tak le gaye

apni arzi ham janabe sayyada tak le gaye.

3.
itni uchai nahi milti kabhi bhi pyas ko.

hazrate abbas usko jis jagah tak le gaye.

4.
Har taman'na ho gaei puri hamari doato'n.

Aaye masjid me taman'na ko khuda tak le gaye.

5.
Haidari zor e shuja'at ko dikhane ke liye.

shahe dee'n asgar ko ran me hurmula tak le gaye.

6.
Tazmeen
Sabre Aabid ki shuja'at ka namuna dekhiye.

sayyade sajjad baiat ko qaza tak le gaye

7.
Fikr meri ho gayi Aijaz manind e uqaab.

tayere afkar mujhko karbala tak le gaye.




5.
Janab Hasnain Sahab.

Azmate kirdaar e fizza sayeda tak le gaye

Martaba ek khaadima ka ambiya tak le gaye
🌹
Badh ke kausar ne mere rukhsaar ke bose liye

Ashk aankho,n ke mujhe jab fatema tak le gaye
🌹
rakh ke sar rone laga kirtaas par mera qalam

Jab mere afkaar mujh ko karbala tak le gaye
🌹
hazrate aeiyoob arz e karbala ki khaak se

Chun ke sajjad e hazi,n ke naqsh e paa tak le gaye
🌹
waar jhoole se nikal kar ran me asghar ne kiya

Aabid e mibaar baiyet ko qaza tak le gaye
🌹
Karbala hasnain aaye the kafan ke waaste

Zindagi ke saath jeene ki dua tak le gaye






6.
Sadiqali Bijani Navshad.

1
Be khudi me khud ko baabe mayqada tak le gae.

Ham maye hubbe ali ahle wila tak le gae.


2
Jab maye iskqe ali pi kar bhi ham tashna rahe.

Jaam khaali kar ke fir se sakiya tak le gae.


3
Aagae jaame wila peene malaaik us jaga.

Apne hisseki vo pi kar fir khuda tak le gae.




4
Ho gai aamad jaha'n me sayyade sajjad ki.

Yeh khabar jibreel bazme ambiya tak le gae.


5
Hoor o gilma'n ghusl dene ke liye maulood ko.

Hauz kausar ka dare shahe hoda tak le gaye.


6
Husne aabid ka tasadduq baant'te the jab husain.

Kya malak kya hoor o gilma'n, ambiya tak le gae.


7
Sayyade sajjad ko joola julaane ke liye.

Khud husain ibne ali arshe ola tak le gae.




8
Ham duaae'n apni sab zainul aba tak le gae.

Or duao'n ko hamaari woh khuda tak le gae.


9
Mangi jab beemaario'n me ham ne aabid se shifa.

Woh hame ik aan me khaake shifa tak le gae.


10
Ishq aabid se hai tujko to use saabit bhi kar.

Kya tere sajde tuje zainul aba tak le gae???


11
Seerate ahle saqeefa ko fana tak le gae.

Aabide beemar bay'at ko qaza tak le gae.

                    


12
Kanpta tha dar se rustam ka badan zere kafan.

Ghayz me ghazi alam jab alqama tak legae.


13
Yaad woh tasveere akbar raah me karte rahe.

Jab khalilullah bete ko mina tak le gae.


14
Hind se karbobala tak jo pahunch skte nate.

Kafele Nashad woh farshe aza tak le gae.






7.
Janab Masoom haidri Maroofi sahab
                    
1
Apni peshaani ko jab
Khaake shefaa tak legae
Tab mere sajde mujhe mere khuda tak legae
2
Haajatai.n.apni jo baabe sayada tak legae
Aise bande khud ko jannat ki fizaz tak legae
3
Khwabe ibaraheem ko taabeer dene keliye
Shaahe di.n.beto.n.ko
Apne karbala tak legae
4
Aise aise the bahaadur
Lashkare shabbeer me
Tute naeze par jo nahre alqama tak legae
5
Tab kahi.n.jaakar hame shabbeer ki chau khat mili
Pahle apne aap ko shahre wafaa tak legae
6
Azamate farshe azaa aakar zamaana dekhle
Shah ki majlis ka tabrruk ambbiya tak legae
7
The jo shaidae nabi sachche musalmaa.n
The agar
Kyu.n.qirtaas o qalam wo mustafa tak legae
8
Jis jagah tak sabre
Aiyyubi pahoch sakta
Nahi.n.
Sayyade sajjaad khud ko us jagah tak legae
9
Dono.n.kismat ke safar
Me saath nikle the magar
Mai.n.gaya hur tak wo khud ko hurmula tak legae
10
Karbala ke dasht se..masoom..thokar maarte
Abide bimaar bai at ko qaza tak legae





8.
Janab Najaf Marufi sahab

Parchme Abbas ko jab jab hawa tak le Gaye
Arsh wale us hawa ko sayyada tak le Gaye

Bas na chal paya kisi ka jab hansi ke samne
Himmate Asghar ko aada humala tak  le gaye

Aa gaye sardare jannat meri nusrat keliye
Nama'ae aamal jab mera khuda tak le gaye

Dahr me paida na hoga talibe bai'at Najaf
Aabide bimar bai'at ko qaza tak le gaye.


9. Hasan Utraulvi Sahab
misre pe ek Qata shahzadi zehra s.a quboll krein....

Apne ashkon ko rumal e sayyada tak le gaye...
Phir yahi aansu hame bagh e jina tak le gaye...
Khushbu e ismat muyyasar ho farishtey islie....
Sura e maryam s.a ko zehra s.a ki rida tak le gaye...


No comments:

Post a Comment