Friday 18 March 2016

Tarhi Misra: Kul Panjetan me Markaz Ismat Batool(sa) hai. March 2016

Tarhi Misra: Kul Panjetan me Markaz  Ismat Batool(sa) hai.

Misra By: Mohammad Raza Maroofi sahab.

Tarikh: March 2016

1.
Janab Hasan raza haafiz sahab.

allh jane kitni ba azmat batul h
kul panjatn me markz e ismat batool h

sare jaha k waste rahmat h mustafa
pr mustafa ke waste rhmat batool h

aor aurto ki bat kya maryam aor hajra
inke liye b shamme hedayt batul h

tatheer hal ata ki aor kosar ki shakl me
quran k labo ki telawat batul h

naan e jawee'n se ukhda h kahibar ka dar kahi'n
ye to tumhare hath ki quwat batool.h

huro malak b seekhte the tarz e bandagi
jab dekhte the.mahwe Ebadat batul h

usko koi bcha ni skta azab se
jis bad nasab pe apki lanat batul h

jisne taharato ko tahart ki di sanad
is kayenat me wo tahart batool h

arshe bari'n bi rkhkhe h inke qadm pe sar
yani har ek urooj ki gayat batool h

shahzadi ban ke rhti h jisme kaneez bi
aisi faqat tumahari adalat batool h

har waqt wird karta hu "ya zhra" isliye
meri zaban ki b halwat batool h

haidr ko mustafa ko taa aaruf  ke waste
har waqt apki hi zroort batool h

har ek bashr k waste taqat h "ya Ali"
lekin ali k waste taqat batul h

zhra ki zat aa ni skti h aqal me
bas u smajh lo sirr e mashiyat batool h

kahdo Raza kanizo se zhra ki jan len
markaz haya ki malkae gairt batool



2.
Janab Eram Rizvi sahab.

Haq hai shareek e kaar e risalat batool hai...
Kul panjatan me makaz e ismat batool hai...

Unpar eram bahisht ki khushbu bhi hai haram
Naaraz jin se ta ba qayamat batool hai..



3.
Janab Hasan Utrolvi sahab.

Wo jiske dil me teri mohabbat batool hay...uske lie jina'n ki zamanat batool hay...

Mushkil kusha ke waste bab e sukoon ye...dastey khuda ali hain to quwwat batool hay....

Chada me aayin aap to tatheer agaayii...kul panjatan me markaz e ismat batool hay...

Lene chalein falak ke maki'n sukhi rotiyan..
Kuch itni paak teri zianat batool hay




4.
Janab Masoom Haidari Maroofi sahab.

Kya shaan teri kya teri
Azmat batool hai

Qur'aan me baya'n teri
Mid'hat batool hai
🌹
Tere bina na hota kisi
Shai ka bhi wajood

Ye kaynat teri badaulat batool hai
🌹
Jab kahdiya hai juzwe
Resaalat Rasool ne

Phir ye kaho rasool ki
Surat batool hai
🌹
Lehja wahi kalaam wahi tarze zindagi

Har aek rukh se akse
Nabuwat batool hai
🌹
Dono jaha'n ke waaste rahmat hai jo rasool

Us zaate paak ke liye rahmat batool hai
🌹
Haatho'n me tere aaye to bol utthe zulfeqaar

Bilkul nabi si teri karaamat batool hai
🌹
Paya hai jis ne umme abiha ka martaba

Tanha wo kayenaat me aurat batool hai
🌹
Fizza bhi ayato'n ki zuba'n bolne lagi

Kitni azeem tar teri sohbat batool hai
🌹
Jannat se maine puchha tumhaari khushi hai kya

jannat pukaar uthi meri jannat batool hai
🌹TAZMEEN🌹
Rishta na door ho kisi rishte se isliye

Kul panjtan me markaze ismat botool hai
🌹
Gyara(11) imaam aenge iski hi nasl  se

Masoom deene haq ki
Zarurat batool hai





5.
Janab Hamza Sunasara sahab.

Kul panjetan me markaze ismat batool hai
Ya yu kahu mai deen ki azmat batool hai

Qur'aaN ke hafizoN ko ae Hamza batado tum,
Furqaan ke laboN ki tilawat batool hai






6.
Sadiqali Bijani Navshad.

1
Makhlooke kul jahan pe hujjat batool hai.
Beshaq shareeke kaare risaalat batool hai.

2
Sadqe me jinke shamsh-o-qamar ko mili ziya.
Woh bemisaal noor ki khilkat batool hai.

3
baghe jena se kausaro tasneem tk gayi
Jannat ne jazb ki hai woh niq'hat batool hai.

4
Jibreel ke labo'n ki tilaavat batool hai.
Hoor-o-malak ki gaahe ziyarat batool hai.

5
Jis dar pe bheek mangne aae malaaeka
Woh bemisaal baabe sakhaavat batool hai.

6
Kul ambiya ke vaste ne'amat batool hai.
Khatme rosol ke vaste rehmat batool hai.

7
Binte khadeeja, noore risalat batool hai.
Ain-e-nabi-e-paak ki qurrat batool hai.

8
Ummat me mustafa ki amaanat batool hai.
Qalbe-rasoole-paak ki rahat batool hai.

9
Is baat ki gawaah hai tat'heer ki rida
Kul panjetan me marqaz-e-ismat batool hai.

10
Khutba suna ke kar diya saabit batool ne.
Arzo samaa me aala adaalat batool hai.

11
Fizza yeh keh rahi thi sahaaba ke darmya'n.
Mere liye jahaan me jannat batool hai.

12
Deene khuda ko apne lahoo se hai di hayaat.
Baade rasool roohe shari'at batool hai.

13
Mohsin shaheed hogaya zakhmi huvi qamar.
Masroof aaj gham me nihayat batool hai.

14
Subbat alayya keh ke woh qabre rasool par
Baba se roz mahve shiqayat batool hai.

15
Ro ro k kah rahe hain ye har dam abuturaab.
Dunya se aaj kar gai rehlat batool hai.

16
Fizza yeh boli bach'cho'n se sar apna peet kar.
Daare fana se ho gai rukhsat batool hai.

17
NAVSHAD jaake chain se so jaao qabr me.
Haami tumhari roze qayaamat batool hai.





7.
Masoom Najaf Maroofi sahan.

Imano muslameen ki Surat batool hai
Rab ki nabi pe khas enayat batool hai

Maula Ali imam imamat batool hai
Sardare ambiya ki nabo'wat batool hai

Jibreel choomte rahe har baar lab mere
Jab jab mai'n kah raha tha ki jannat batool hai

Shah isliye hi laye the zainab ko Karbala
Irfane deene rab ki zarurat batool hai

Dargoor ab jaha'n me na hoo'ngi kabhi banaat
Niswa'n pe hone wali karamat batool hai

Inke qareeb aa nahi'n sakta kabhi bhi rijs
Baite khuda se bad ke taharat batool hai

Ismat ka dars milta ghar se rasool ke
Kul panjatan me markaze ismat batool hai

Damane Fatima nahi'n chhode ge ai  NAJAF
Mahshar me kaam aaye wah daulat batool hai.




8.
Janab Mazhar marufi sahab.

Kufve ali hai juzve risalat botool hai
Kah lijiye khuda ki mashee at botool hai

Dono jahan ke waste rahmat hain mustafa
Aur mustafa ke waste rahmat botool hai

His me sukoon pays nabi o imam ne
Fazle khuda se aisi imarat botool hai

Ummat pa farz hai Karen dono ka ihteram
Quraan rasool to aayat botool hai

Darwaze par ye hai malekul maut ki sada
Aajawon ghar me mai bhi ijazat botool hai

Sarmaya ye rasool khadeja hain is taraf
Aur us taraf khadeja ki daulat botool hai

Chadar orhaden apni to zofe nabi ho door
Allah hai Hakeem to hikmat botool hai

Mazhar isi ne pai hai tatheer ki sanad
Kul panjatan me marze ismat botool hai.





9.
Janab Anees Abr Sahab.

Me'araaj me jo utri wo ayat Batool(sa) hai,
Maryam(sa) ye keh rahi hai Taharat Batool hai...

Uqda khula hai aya e Tatheer se yahi,
Kul panjetan me markaz e Ismat Batool(sa) hai.





10.
Maulana Mohammad Raza Maroofi sahab.

Takheer ke liye Mazerat ke sath tarah par eik qata.

Meraj me hui thi raza jo rasool.par

Rab ki wahi.azeem enayat botool hai

Abtar jo kah rahe the wo khamosh ho gaye

Un ka jawab teri weladat botool hai

Ahl e kesa ka in se ta'aruf bata gaya

Kul panjatan me markaz e ismat botool.hai.

معراج میں ہوئی تھی رضا جو رسول پر

رب کی وہی عظیم عنایت بتول ہے

ابتر جو کہہ رہے تھے وہ خاموش ہوگئے

ان کا جواب تیری ولادت بتول ہے

اہل کسا کا ان سے تعارف بتاگیا
کل پنجتن میں مرکز عصمت بتول ہے

11.
Janab Hassnain Maroofi sahab

Qaul e rasoole paak se saabit ye ho gaya
Kul panjatan me markaz e ismat botool hai

Kiu,n kar na kainaat kare badh ke ahteraam
Maulaaye kainaat ki izzat botool hai ....

Wassalaam,
Iletmas e Dua
-Anees Abr

No comments:

Post a Comment