Thursday 24 March 2016

Tarhi misra: Dushmano ko mili abtari or payambar ko kavsar mila March 2016

Tarhi misra: Dushmano ko mili abtari or payambar ko kavsar mila.

Misra by: Maulana Ghafir Rizvi sahab.

Ba Tarikh: March 2016

1.
Maulana Ghafir rizvi sahab

Koyi Salman dekha gaya koyi in me Abuzar mila.
Munsalik jo bhi in se hua bakhshisho'n ka samandar mila.
🌹
Hai ye Zahra ke dar ka sharaf har kisi ko mayas'sar nahi.
jo gadagar zamane ka tha wo yaha'n par tawangar mila.
🌹
Shukriya shukriya kibriya teri rahmat ka dar khul gaya.
Taaj e khaak e dar e Fatima mere adna se sar par mila.
🌹
Kya ta'ajjub agar hal'ata in ki mid'hat me ho lab gushaa.
be zaba'n path'tharo'n ko suku'n in ke hatho'n pe aa kar mila.
🌹
Tere mashkoor hai'n hum Khuda! Hum ko esa muqad'dar mila.
sar jhukaya to khak e shefa dil me dekha to Haider mila.
🌹
Hum to khamosh hai'n bhaiyo'n jaao taareekh se pooch lo.
khaar kis ka muqad'dar bana awr kis ko gul e tar mila.
🌹
Maslak e ishq par gaamzan hum safeer e mavad'dat baney.
us ki qismat pe afsous hai jo sitam ki dagar par mila.
🌹
Jis ke haq me bhi neyki karo muntazir us ke sharr ke raho.
gul pasando'n ki qismat hai ye gul ke badley me khanjar mila.
🌹
Gar hai maqsad muqad'dar baney aao Zahra ki dehleez par.
Sar jhukati hai Fizza yaha'n sajda karta Abuzar mila.
🌹
Hai ye ailane GHAFIR suno, shak agar ho to kouser padho.
Dushmano'n ko mili ab'tari or payamber ko kouser mila.
🌹




2.
janab akmal kopaganji sahab.

Dushmano ko mili abtari aur payembar ko kaosar mila
Kiyo karun mai n shukre khuda mujhko jannat ka afsar mila

Kar nahin sakta akmal kabhi bat gairon ke dahlij ki

Jab dare sayyada par ise ek se ek behtar mila

Rat bhar kaise dozakh me tha zikar uska mai kaise karun

Subh hote hi hur e jari jab ki jannat ke dar par mila





3
janab Eram Mehdi Rizvi sahab.

Rab ki taqseem to dekhye, sab ko hissa barabar mila...
Dushmano ko mila abtari, or payambar ko kausar mila...
Rahmaton ki ghata chai hai, aj tera rajab ka hai din
Aaj teri badaulat Ali, bait e Rab ko naya dar mila...





4.
jaban hasan utrolvi sahab.

Munkir e gulshan e mustafa swas ,khud ka hi khet banjar mila.... Dushmano'n ko mili abtariii,aur payambar swas ko kauser mila...!!!

Hay haram fatema s.a aapka, maskan e mazhab e kibriya...
Jisne is ghar ko choda usee, deen e islam beghar mila...!!!

Mil gaya murtaza ko alam, unko na mardagi ka hay gham...
Jisne jo kaam jaisa kiya , ajr usko barabar mila...!!

Hazr e aswad ne di ye sada, mai to khadim hun sajjad ka...
phir bhi kuch aisey ahmaq dikhey, jinki aqlo'n pe pathaar mila...!!!

Muntakhab karke Al-qaeda, kya mila hay tujhe faayda...
Mai to itna kahunga hasan tujhko phuta muqaddar mila...!!!






5
Maulana Raza Maroofi Sahab

🌹Baghba'n khush hai ye soch kar gulseta'n ko gul e tar mila

Aamad e fatema ke sabab zarra zarra muattar mila

🌹Un ke.darya e ulfat me jab main ne khud ko fana kar liya

Un.ka lutf o karam.dekhiye tha jo qatra samandar mila

🌹Zikr e shabbir karke bapa dekha chashm e aqidat se jab

Sath baitha azadar ke mera maola mere ghar mila

🌹Dil me shaoq e zeyarat liye pahuncha karbobala jis ghadi

Mujh ko darwaza e shah se hur ke jaisa moqaddar mila

🌹Khatm abtar ka tana hua rab ne quraan me kah diya

Dushmano'n ko mili abtari aur payambar ko kaosar mila

🌹Jhoomta hai ye ummul qora khana e mustafa hai saja

Jis se dil shadma'n ho gaya wo nigaho'n ko manzar mila

🌹Khud hain khatoon e roz e jaza aur baba rasool e khoda

Bete hasnain se Aap ke murtaza jaisa shaohar mila

🌹Main raza keya bharosa karun Aaj ke is musalman par

Jis se nuarat ki ummid thi hath me us ke khanjar mila

باغباں خوش ہے ہہ.سوچ کر گلستاں کو گل تر ملا

آمد فاطمہ کے سبب ذرہ ذرہ معطر ملا

ان کے دریائے الفت میں جب میں  نے خود کو فنا کرلیا

ان کا لطف و کرم دیکھئے جو تھا قطرہ سمندر ملا

ذکر شبیر کرکے بپا دیکھا چشم عقیدت سے جب

ساتھ بیٹھا عزادار کے میرا مولا مرے گھر ملا

دل میں شوق زیارت لئے پہنچا کرب وبلا جس گھڑی

مجھ کو دروازہ شاہ سے حر کے جیسا مقدر ملا

ختم ابتر کا طعنہ ہوا رب نے قرآن میں کہہ دیا

دشمنوں کو ملی ابتری اور پیمبر کو کوثر ملا

جھومتا ہے یہ ام القریٰ خانہ مصطفیٰ ہے سجا

جس سے دل شادماں ہوگیا وہ نگاہوں کو منظر ملا

خود ہیں خاتون روز جزا اور بابا رسول خدا

بیٹے حسنین سے آپ کے مرتضیٰ  جیسا شوہر ملا

میں رضا کیا بھروسہ کروں آج کے اس مسلمان پر

جس سے نصرت کی امید تھی اس ہاتھ میں اس کے خنجر ملا





6.

janab naaza jafri sahab.
مصطفےٰ کی عطا ہوگئی رحمتوں کا سمندر ملا _
اس کو اب اور کیا چاہئے جسکو زہرا ترا در ملا _

لوگ تھک تھک کے عاجز ہوئے ڈھونڈتے ڈھونڈتے مرگئے_
نہ محمد کا ثانی ملا اور نا حیدر کا ہمسر ملا _

بنگئی نور کی انجمن جبکہ یکجا ہوئے پنجیتن_
رب تیرے نور کا قافلہ زیر چادر جو آکر ملا _

مصطفے بولے ہمسر کوئی میرے حیدر کا آیا نہیں _
جو بنا تھا خدا کیلئے میرے بھائی کو وه گھر ملا _

شہ کے جھولے سے ہوتے ہی مس بولا فطرس کے جبریل سن _ 
میں اڑوں اور چل تو بھی اڑ پھر پروں سے میرے پر ملا _

رحمتوں کے گلستان میں فاطمہ کی جب آمد ہوئی _
دشمنوں کو ملی ابتری اور پیمبر کوثر ملا _

اپنی قسمت پہ نازاں ہوں میں شاعر آل عمراں ہوں میں _
ہر کسی کو جو ملتا نہیں مجھکو ایسا مقدر ملا

نازاں جعفری





7.
janab Hassnain Marufi Sahab.

saare aalam se hai wo juda teri daiwdi pa jo sar mila

Us ko uqba ka kuchh dar nahi jis ko zahra tera dar mila
🌹
Aik qohraam barpa hoa thar tharaane laga khauf se

Aansoo,n se mere dosto,n jab akad kar samundar mila
🌹
haq ne baagh e nabi ke liye is tarah kuchh kiya ahtemaam

Doshmano,n ko mili abtari aur payembar ko kausar mila
🌹
sab kamaalaate zahra hai ye chaahe fizza ho,n ya zulfeqaar

Har fazilat ki meraaj hai jis ko zahra tera ghar mila
🌹
parcham e haq ho ya karbala ashk e ghum ho ya farsh e azaa

Jo bhi binte nabi se mila saari doniya se behtar mila
🌹
teri chaukhat ki darbaan hai,n aaye e innama hal ataa

Soora e dahr haq ki qasam baite zahra ka jhomar mila
🌹
Tarz e fizza  ke eijaaz me aur misam ki taqleed me

Farsh e gaiti pa hasnain sa dosto,n ek sukhanwar mila






8
Sadiqali Bijani Navshad.

dehr me jis kisi ko dare ahlebayte payambar mila.
bil yaqi'n usko dunya me dar baaghe jannat se behtar mila.

🌹
koi joola julane laga koi chakki laga peesne.
fakhr se keh raha hai har ik mujko aysa muqaddar mila.

🌹
banke khayyat hasnain ka chal diya khuld ko chhoor kar.
eid ke din farishte ko jab hukme binte payambar mila.

🌹
inki dehleez par jo juke unko kya kya maraatib mile.
sayyada ke mulazim ko bhi arshe aala pe daftar mila.

🌹
kuchh ko ehle saqeefa mile kuchh ko haidar sa rehbar mila.
jisko haidar sa rehbar mila usko khallake akbar mila.

🌹
Is liye aada munkir huve shaahe yasrab ki meraaj ke
dushmano ko mili abtari or payambar ko kavsar mila.

🌹
fazle haidar se navshad ne chand ashaar jab likh die
kar diya rab ne us par karam neamato'n ka samandar mila


9
Janab Masoom Najaf Maroofi sahab

Meri qismat dobala huyi hur ke jaisa miqaddar mila
Midhate fatema ka sila mujhko mere hi ghar par mila

Phool murjhayega kyu'n bhala sinfe niswa'n ka ai dosto'n
Gulshane kibriya keliye ek gulo'n ka payamber mila

Khuld me kya kami ho gayi
Chhod ke teri jannat khuda
Koi khaiyat ki shakl me koi zahra ka naukar mila

Ju'nhi machle husaino Hasan apne poshak ke waste
Jo tha ruzwane khulde bari'n dar pe zahra ke tailor mila

Azmate Fatima o Ali dekh le ye zamana zara
Dar pe zahra ke fizza mili dar pe Haidar ke qambar mila

Fatima ki sakha dekhkar kibriya kar raha hai sana
Hajra ho'n ki ho'n aasia martaba sab se bad kar mila

Halq pe khake teere sitam karbala ke bayabaan me
Muskurata huwa shaah ka chh mahine ka Asghar mila

Mutma'in ho gaye mustafa ju'nhi jibreel ne ye kaha
Dushmano'n ko mili abtari aur payambar ko kausar mila

Teegho'n ki chhawo'n me ai NAJAF laile hijrat khuda keliye
So gaye chain se murtaza jab payambar ka bistar mila


10
Janab Anees Abr sahab

Fitrus o raahib o Hur ki jaisa haseeN hi muqaddar mila,
Shukr hai ae mere rab tera, Mujhko Shabbir(as) ka dar mila..

Keh rahi hai ye ayate kavsar zamane se ba huqme rab,
DushmanoN ko mili abtari or payambar ko kavsar mila...

Wassalaam
-Anees Abr

No comments:

Post a Comment